YATEEMON PAR ZULM SE MUMAANA'AT:
Farmane ILAAHI hai:
"Beshak jo log naahaq yateemon ka maal khaate hai, siwaaye iske nahi ke woh apne peton mein aag khaate hai aur albatta woh jahannam mein jaayenge."
HAZRATE QATADAA رضي الله عنه ka qaul hai ke ye aayat bani gitfaan ke ek shakhs ke haq mein naazil huwi, woh apne chote yateem bhateeje ka sarparast banaa aur uska tamaam maal kha gaya.
Naa-haq aur zulm se ye muraad hai ke woh aisa karte huwe haqeeqat mein yateemon par zulm karte hai. Is wa'eed mein woh log daakhil nahi hai jo fiqah ki kitaabon mein darj kiye gaye sharaa'it ke mutaabiq unke maal mein tasarruf (kharch) karte hai aur khaate hai.
Farmane ILAAHI hai:
"Aur jo gani ho usey chaahiye ke woh bachche ( yateemon ke maal mein se kuch na le) aur jo faqeer ho usey chaahiye ke insaaf ke saath khaaye."
Yaani woh apni laazmi zaroorat ke mutaabiq lele yaa bataur karz yaa apne kaam ki ujrat ke baraabar khaaye yaa woh bohot tang-dast ho lihaaza agar baad mein woh faraakh-dast ho jaaye to yateem ka khaaya huwa maal waapas kare wa gar na ye uske liye halaal hai.
Aur ALLAH TA'ALA ne yateemon ke huqooq par taakeed farma kar aur unse zyada shafaqat wa ulfat rakhne ka zikr farmakar logon ko tawajjoh dilaayi hai aur is ibtedaayi aayat se pehlewaali aayat mein irshaad farmaya hai ke :
"Aur Beshak darein woh log is baat se ke agar woh apne peeche naatwaan aulaad chord jaayein, woh un par khauf khaayein aur chaahiye ke ALLAH se darein aur chaahiye ke mohkam baat kahein."
Is aayate karima mein unlogon ke aqwaal ke bar-aks jo usey ek tihaayi se zyada waseeyat karne aur us jaisi aur baaton par mahmool karte hain, aaindah aanewali aayat se rabt dete huwe ye muraad hai ke jis shakhs ki sarparasti mein yateem ho woh us se behtar sulook kare, yahaan tak ke usey aise bulaaye jaise woh apni aulaad ko bulaata hai, yaani usey "aye bete" keh kar bulaaye aur usmein se aisi bhalaayi , ehsaan aur nek sulook kare aur uske maal ko is tarah kharch kare jaisa ke woh apne marne ke baad apni aulaad aur apne maal se sulook ki aarzoo rakhta hai kyunki qayamat ke din MAALIK RABB E ZULJALAAL aamaal ke mutaabiq jazaa deta hai yaani jaisa karoge waisa bharoge, jaise tum doosron ke saath sulook karoge wohi sulook tumhare saath kiya jaayega.
Basaa auqaat insaan bekhauf hokar doosre ke maal aur aulaad mein tasarruf karta hai ke usey achaanak maut aa leti hai aur ALLAH TA'ALA usey uske maal , aulaad khaandaan aur tamaam ta'alluqaat ki waisi hi jazaa deta jaisa sulook usne doosre ke saath kiya hota hai, agar achcha sulook kiya hota hai to achchi jazaa, aur agar buraa sulook kiya hota hai to buri jazaa milti hai.
Lihaaza har aqalmand ko chaahiye ke agar uske dil mein Deen ka khauf na ho, tab bhi usey apni aulaad aur maal ki khaatir khauf karna chaahiye aur yateemon ke maal ko jo uski sarparasti mein hai, aise kharch kare jaise woh apni aulaad ke maal mein unke yateem hone ki soorat me unke sarparast se kharch karne ki ummeed karta hai.
ALLAH TA'ALA ne HAZRATE DAWOOD عليه السلام ki taraf Wahi ki ke aye DAWOOD ! Yateem ke liye meherbaan baap ki tarah aur muflis bewa ke liye meherbaan shohar ki tarah ho jaa aur jaan le ke jaisa boyega waisa hi kaatega yaani TU jaisa karega waisa hi TUJH se kiya jaayega kyunki aakhir ek din marna hai, TERI aulaad ko yateem aur TERI biwi ko bewa hona hai.
Yateemon ke maal khaane aur un par zulm karne ke muta'alliq bohot si Ahaadees mein shadeed wa'eedein aayi hai jaisa ke mazkoora baala aayat mein logon ko is tabaah karnewale, behuda aur zaleel harkat se baaz rakhne ke liye sakht tambeeh ki gayi hai.
Muslim wagairah mein marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya aye ABU ZARR ! MAIN Tujhe kamzor samajhta hun aur MAIN Tere liye wohi kuch pasand karta hun jo APNE liye pasand karta hun, kabhi do par hukmaraan naa ban aur maal e yateem ko achcha naa samajh.
Bukhaari wa Muslim wagairah mein hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya hai ke saat muhlik baaton se bacho, SAHABA E KIRAAM ne arz ki YAA RASOOLALLAH ! ( ﷺ) woh kaunsi hai,? AAPNE farmaya,
ALLAH ke saath shareek banana ,
Jaadu,
Naahaq kisi ko qatl karna ,
Sood khaana aur
Yateem ka maal khaana wagairah.
Haakim ne sanad e saheeh ke saath riwaayat ki hai, HUZOOR ﷺ ne farmaaya chaar shakhs aise hai ke ye ALLAH ka adl (insaaf) hoga ke unhein Jannat mein daakhil naa kare aur naa hi unhein Jannat ki ne'maton se lutf andoz hone de, Sharaabi, Soodkhor, Naahaq yateemon ka maal khaanewala aur Waalidain ka naafarmaan.
Saheeh ibne Hibbaan mein riwaayat hai ke un baaton mein jo AAP ﷺ ne HAZRATE AMAR BIN HAZAM رضي الله عنه ke tawassut se yaman walon ko jo ahkaam bheje the, unmein ye bhi tha ke qayamat ke din ALLAH TA'ALA ki baargaah mein sabse badaa gunaah ALLAH ka shareek thehraana , naahaq kisi momin ko qatl karna , jung ke din maidaan se (yaani jihaad fee sabeelillaah) se faraar, Waalidain ki naafarmaani, paakbaaz aurton par tohmat lagaana , jaadu seekhna, sood khaana aur yateem ka maal khaana hai.
YATEEMON KA MAAL NAAHAQ KHAANA AUR USKA BADLA :
ABU YO'LAA رحمت لله عليه ki riwaayat hai ke qayamat ke din qabron se ek aisi qaum uthaayi jaayegi jinke munh se aag bhadak rahi hogi, arz ki gayi YAA RASOOLALLAH ! ﷺ Woh kaun hai ? AAPNE farmaya kya tumne ye farmane ILAAHI nahi dekha :
"Beshak jo log zulm ke taur par yateemon ka maal khaate hai siwaaye iske nahi ke woh apne pet mein aag khaate hai."
Muslim ki riwaayat se mea'raaj shareef ki hadees mein hai , pas MAIN achaanak aise aadmiyon ke paas aaya jinpar kuch log muqarrar the jo unki daadhiyaan noch rahe the aur kuch log jahannam ke paththar laakar unke munh mein daal rahe the jo unke peeche se nikal rahe the, MAINE kaha aye JIBRAEEL! Ye kaun hai ? JIBRAEEL ne kaha jo log naahaq yateemon ka maal khaate hain woh apne pet mein aag kha raahe hain, pas iske siwa aur kuch nahi, (yeh wohi log hai ).
SHAB E MEA'RAAJ NABI E AKRAM ﷺ KA MAAL E NAAHAQ KHAANEWALON PAR GUZAR.:
Qartabi ki tafseer mein HAZRATE ABU SAEED KHUDRI رضي الله عنه se marwi hai , UNHONE NABI E AKRAM ﷺ se riwaayat ki hai, AAPNE farmaya mea'raaj ki raat MAINE aisi qaum ko dekha jinke hont oont ke honton ke jaise the aur unpar kuch log muqarrar hain jo unke hont pakadkar unke munh mein jahannam ke paththar daal rahe hain jo unke neeche se nikal rahe hai, tab MAINE poocha JIBRAEEL! ye kaun hai? JIBRAEEL bole ye woh hain jo naahaq yateemon ka maal khaaya karte hain.
END OF BAAB 55
Leave A Comment