Zil HaJJ Ke 10 din KI FAZILAT in hindi urdu
Zil-hijj Islamic saal ka aakhiri mahina hai aur hurmat waale 4 mahino mese ek,dhul hijjah mahine ke 10th din eid ul adha ka pahla din hota hai in 10 dino ka bayan qur’an me khaas taur se huwa hai.in 10 dino ki ahmiyat isse bhi wajeh hoti hai ki allah ne in dino ki QASAM khaayi hai.
EId-al-Adha (Bakri-Eid), which is also called Eid al-Adha or Id-UL-Adha, is a competition that many Muslims rejoice with unique prayers, greetings and presents. It is a gazetted vacation in India and is also known as the competition of sacrifice.
In 10 dino me kiya jaane waalanek kaam allah ko saal ke baaki dino me kiye hue nek aamal se zyada pasand hai.(abu dawood). in 10 ki nafli ibadat dusre dino ki nafli ibadat se afzal hai, in dino ki farz ibadat dusre dino ki farz ibadat se afzal hai, yah matlab bhi nahi hai ki in dino ki nafli ibadat aam dino ki farz ibadat se bhi afzal hai(5 aham deeni masail)
Zilhajj Islami saal ka akhri maheena hai. Ye hurmat wala maheena boht babarkat or fazilat wala maheena hai. Allah Ta’ala ko ye maheena boht pasand hai. Is k pehle das dinon ki boht fazilat hai. Hadis e Pak mai hai k:
“Zilhajj ka sara maheena bari bazurgi or fazilat ka maheena hai. Lekin is maah k pehle das din or is mai ibadat ka bht sawaab hai or farmaya k das din mai se teen din kasrat k sath apne rab ko yad karo uski barai biyan karo.Ye teen din ye hain: Zilhajj ki 8, 9, 10 tareekh .
In dino mai nawafil b ada karen or roza b rakhen. Tilawat e Quran b karen or Tasbeeh o Tehleel b karen. Teesra or chotha kalma kasrat se parhen. Har roz Isha ki namaz k baad do Rakat nafil is tarah ada karen k har rakat mai Surat fatiha k bad 3 bar Surat kosar, 3 bar Surat ikhlas parhen or ye nafil parhne wale ko Allah jannat k alaa muqam mai dakhil kare ga, nama e amaal mai hazaar naikiyan likhi jayen gi or hazaar dinar sadqa dene ka sawab mile ga Allah Ta’ala parhne ki tofeeq ata farmaye.
Zil HaJJ ki Fazilate:
9 Zil HaJJ ke din allah taala saal ke baaki dino ke mukaable me zyada logon ko jahannum ki aag se aazaadi deta hai (muslim)
Zil HaJJ ke 10 dino mese ek din 9 Zil HaJJ aisa hai Ki allah taala ne isme deen e islam ko muqammal hone ki khush khabri sunaayi thi.(sahih bukhari)
Zil HaJJ ka 10wa din sab dino se afzal hai. (abu dawood)
Ye fazilaton ki wajah yah hai ki in dino me tamam buniyaadi ibaadaten jama hoti hain, yani namaz, roza, hajj sadqa in dino ke elawa aur kisi din yah ibadaten jama nahi hoti (fath ul bari)
In dino justaju se ibadat karni chahiye.
khaas taur se allah ke siwa koi mabood nahi aur tamam taarif allah ke liye hai ka jikra zyada se zyada karna chahiye.
kuch sahaba in dino me takbeeraat kahte they yaha tak ki bazaar me bhi inka wird karte aur inki takbiraat shuru kar dete (sahih bukhari)
9 Zil HaJJ ka roza rakhne se pichle ek saal ke gunah maaf ho jaate Hain (sahih muslim)
jo shakhs kurbani karna chahta hai wah in 10 dino me qurbani karne tak apne jism ke baal aur naakhun(nails) etc nahi kaat sakta(sahih muslim
zilhajj ki fazilat quran se
Al Quran: “Tum Farmao Beshak Meri Namaz Or Meri Qurbaani, Mera Jeena Or Mera Marna Sab Allah Ke Liye Hai, Jo Rab Hai Sare Jahaan Ka. – (Surah 6. Al-An’am, Ayah 162)
Al-QURAAN• “Dhul-Hijjah Ke Shuru Ke (9 Days) Roze Rakhna Is Sunnah! …Mafhoome-Hadees: “Rasool ‘Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Dhul-Hijjah Ke Shuru Ke (9 Days) Roze Rakha Karte The.. – (Sunan Abu Dawud, Vol 2, 665-Sahih)
Leave A Comment