Zakat ke Fazaail :
Zakaat ke Yu to Bahot Fazaail Bayaan kiye gaye he Usme Se Kuchh Fazaail Peishe Khidmat he..

> ALLAH TA’ALA Quraane Paak Me Irshad Farmata he
“Aur Namaaz Qaayam rakho Aur Zakaat do”
(Surah Al Baqara, Aayat-43)

Ek Aur Jagah Irshaad he ki
“Ay MEHBUB Unke Maal me se Zakaat Tahsil karo Jis se Tum Unhe Suthra Aur Paakiza Kar do”
(Surah Touba, Aayat-103)
Ek Aur Jagah Irshaad he
“Aur Meiri Rahmat Har Chiz ko Gheire he To Anqarib Mei Ne’amato ko Unke liye Likh Dunga Jo Darte Aur Zakaat deite he”
(Surah Al A’raaf, Aayat-156)

> Maal Paak hota he :-
Hazrate Anas Bin Maalik RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Apne Maal ki Zakaat Nikaalo ki woh Paak Karne Waali he, Tujhe Paak kar degi.
(Musnade Ahmad Bin Hambal, Jild-4, Safa-274, Hadees-12397)

> Maal ki Hifaazat ka Sabab :
HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Apne Maalo ko Zakaat de kar Mazbut Qal’o me kar lo Aur Apne Bimaaro ka Ilaaj Kheiraat se Karo.
(Maraasile Abu Daawud Ma Sunaane Abu Daawud, Safa-8)

> HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Jab Hazrate Muaaz RadiAllaho Ta’ala Anho ko Jab Yaman ki Taraf Bheija to Farmyaa
Inko Bataao ki ALLAH AZZAWAJAL ne Unke Maal me Zakaat Farz ki he, Maaldaaro se le kar Fuqra ko di jaaye.
(Sunaane Tirmizi, Jild-2, Safa-126, Hadees-625)

> HUZOOR NABI E PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Tumhaare Islaam ka Poora hona ye he ki Tum Apne Maalo ki Zakaat Adaa karo.
(Attargib Wattarhib, Jild-1, Safa-301)

> HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Jisne Apne Maal ki Zakaat Adaa kar di Beshak ALLAH TA’ALA Ne Us se Shar ko Door kar Diya.
(Al Majma ul Ausat, Jild-1, Safa-431, Hadees-1579)

.