> Zakat Kise Di Jaaye :-
In Lougo ko Zakaat di Ja Sakti he..
1) Faqir, 2) Miskin, 3) Aamil, 4) Riqaab, 5) Gaarim, 6) Fee Sabilillah, 7) Ibne Sabil(Musaafir).
(Fataawa E Hindiya(Aalamgiri), Jild-1, Safa-187)
Faqir wo he ki Jiske Paas Kuchh Na Kuchh ho Magar Itna Na ho ki Nisaab ko Pahunch Jaaye..
Miskin Woh he Jiske Paas Kuchh Na ho Yaha Tak ki Khaane Aur Badan Chhupaane ke liye Iska Mohtaaj ho,
Aamil wo he Jise Baadshaah E Islaam ne Zakaat Aur Ushr Wasul Karne ke liye Muqarrar kiya ho,
Riqaab se Muraad Mukaatab he, Mukaatab Us Gulaam ko Kehte he Jis se Uske Aaqa ne Uski Aazadi ke liye Kuchh Qimmat Adaa karna Tei ki ho, Fee Zamaana Riqaab Moujud nahi he..,
Gaarim se Muraad Maqruz he Yaani Us par Itna Qarz ho ki deine ke Baad Zakaat Ka Nisaab Baaqi Na rahe Agarche Uska Bhi Dusro par Qarz Baaqi ho Magar Leine par Qudrat Na Rakhta ho,
Fee Sabilillah Yaani Raah E KHUDA me Kharch karna, Iski bhi Chand Surate he..
Ibne Sabil Yani woh Musaafir Jiske Paas Safar ki Haalat me Maal Na Raha ye, Zakaat le Sakta he..
> Kinko Zakat Nahi de Sakte..??
In Musalmaano ko Zakaat Nahi de Sakte Agarche Sharai Faqir ho..
1) Banu Haashim(Saadaat E Kiraam) Chaahe deine Wala Haashmi ho Ya Geire Haashmi,
2) Apni Asl(Yaani Jinki Aulaad me se Zakaat deine Wala ho) Jeise Maa-Baap, Daada-Daadi, Naana-Naani Wageira..
3) Apni Furu’a(Yaani Jo Uski Aulaad me se ho) Jeise Beita, Pota, Poti, Nawasa, Nawaasi, Wageira,
4) Miyaa-Bibi Ek Dusre ko Zakaat Nahi de Sakte,
5) Gani ke Na Baalig Bacche(Kyu ki Woh Apne Baap ki Wajah se Gani me Sumaar hote he).
(Durre Mukhtaar, Jild-3, Safa-344, 349, 350)
> Kin Rishtedaaro ko Zakaat de Sakte he..??
1) Bahan, 2) Bhai, 3) Chacha, 4) Fufi, 5) Khala, 6) Maamu, 7) Bahu, 8) Daamaad, 9) Soteila Baap, 10) Soteili Maa, 11) Shohar ki Taraf se Soteili Aulaad, 12) Biwi ki Taraf se Soteili Aulaad.
(Fataawa E Razwiya, Jild-10, Safa-110)
> Kaafir Aur Bad-Mazhab ko Zakaat deina :-
Kaafir ko Zakaat deine se Zakaat Adaa nahi hogi.
(Fataawa E Razwiya, Jild-10, Safa-290)
Badmazhab ko Zakaat deina Haraam he Aur Un ko Deine se Zakaat Adaa bhi nahi hogi.
(Fataawa E Razwiya, Jild-10, Safa-290)
> Masjid ke Imaam ko Zakaat deina :-
Agar Masjid ke Imaam Sahaab Shar’an Faqir Na ho ya Saiyyad Saahab ho to Unhe Zakaat Nahi di Ja Sakti Aur Agar Woh Sharai Faqir ho Aur Saiyyad Saahab Na ho to Di Ja Sakti he, Balki Agar Woh Aalim bhi Ho to Unhi ko deina Afzal he, Magar Aalim ko Deite Waqt Is Baat ka Lihaaz Rakha Jaaye ki Unka Ahteraam Peishe Nazar ho Aur deine Wala Adab ke Sath de Jeise Chhote Bado ko Koi Chiz Nazr karte he.
(Bahaare Shariyat, Jild-1, Hissa-5, Safa-924)
Faqir Aalim par Sadqa karna Jaahil Faqir par Sadqa karne se Afzal he.
(Fataawa E Hindiya, Jild-1, Safa-187)
> Banu Haashim Koun he..??
Banu Haashim Aur Banu Abdul Muttalib se Muraad 5 Khaandaan he, Aale Ali, Aale Abbas, Aale Ja’afar, Aale Aqil, Aale Haaris Bin Abdul Muttalib, Inke Alawa Jinhone NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki i’aanat Na ki, Masalan Abu Lahab ki Agarche Ye Kaafir bhi Hazrate Abdul Muttalib ka Beita tha, Magar Is ki Aulaade Bani Haashim me Shumaar Na hogi.
(Fatawa E Hindiya, Jild-1, Safa-189)
(Bahaare Shariyat, Jild-1 Hissa-5, Safa-931)
> Banu Haashim ko Zakaat Na Deine ki Hikmat :-
HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Ye Sadqaat Lougo ke Meil he, Na ye MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) ko Halaal he Aur Na MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) ki Aaal ko.
(Muslim Shareef, Safa-540, Hadees-1072)
Yaani Mujhe Aur Meiri Aulaad ko Zakaat Leina Is liye Haraam he ki Zakaat Maal Ka Meil he,
> Kisko Zakaat Deina Afzal he..??
Agar Bahan-Bhai Garib ho to Pehle Unka Haqq he, Fir Unki Aulaad ka Fir Chacha Aur Fufiyo ka, Fir Unki Aulaad ka, Fir Maamuo Aur Khalaao ka, Fir Unki Aulaad ka, Fir Zawil Arhaam(Woh Rishtedaar Jo Maa, Bahan, Biwi ya Ladkiyo ki Taraf se Mansub ho) ka, Fir Padosiyo ka, Fir Apne Ahle Peisha ka, Fir Ahle Shahar ka(Jaha Uska Maal ho).
(Fataawa E Hindiya, Safa-190)
Leave A Comment