Aap ko wilaadat 608 A.D. me hui. Aap ke waalid ka naam Haaris ibn Abi Diraar hai.
Aap ke waalid Banu Mustaliq qabeele ke sardaar the.
******************
Banu Mustaliq qabeele waalo ne Madeena munawwara par hamle karne ki tajweej ki. Musalmano ko is ka pata chalgaya aur unho ne 700 muslimo ke lashkar ke saath kooch ki aur al-Muraisi tak pahunche. Pehle musalamno ki taraf seBanu Mustaliq apnaane ki daawat di gai. Magar Banu Mustaliq ne inkaar kiya aur jang ki tayyari ki. Sha’abaan 6 Hijri (December 627A.D.) me maqaam e Muraisi par Banu Mustaliq aur musalamano ke bich janghui.
Hazrat Abu Bakr Siddeeq radi-Allāhu ta’ala anhu ko muhaajiro ke sardaar banaaye gaye aur Sa’ad bin Ubadah al- Khazraji ko ansaari ke sardaar banaaye gay Jang meek musalman shaheed hue aur Musalmano ne jang me fateh
haasil ki. Juwairiyya ke shohar Musaafi bin Safwan bhi jang me qatl
hue. Aur Juwairiyya ko dusre logo ke saath qaid kiya gaya. Aur aap ko Saabit bin Qais ko diya gaya.
Aap ke waalid aap ko riha karaane ke liye bahot saare oont lekar Madeena pahunche. Madeena me daakhil hone sepehle unho ne un oonto me se apne pasandeeda 2 behtar mazboot oont ek waadi me chhupa diye. Jab Huzoor
Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se mulaaqat hui to unho ne kaha ke ‘In oonto ko rakh lo aur meri beti ko aazaad kar do.’ Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne un se farmaaya ‘Aur un 2 oonto ka kya jo tum waadi me rakhkar aaye ho?’ Ye sunkar Haaris ibn Abi Diraar ko yaqeen ho gaya ke ‘Huzoor Mohammad Mustafasallallāhu alaihi wa sallam ALLĀH ta’ala ke bheje hue Nabi
e saadiq hain.’ Aur unho ne kalma padhkar Islaam apna
liya.
Is duraan aap Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me aai aur arz kiya ‘Main qabeele ke sardaar ki beti hu aur ab ghulaamo waala sulook bardaasht karna mere liye mumkin nahi. Aap meri najaat ka koi raasta
bata’iye.’
Aap ki baat sunkar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Main behtar raasta bataata hu. Aap mujh se nikaah kar lo.’ Ye baat sunkar aap behad khush hui. Aur aap ne Islaam apnaaya.
********************
6 Hijri (628A.D.) me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alahi wa sallam ne aap se nikaah kiya tab Huzoor sallallāhualahi wa sallam ki umr 58 saal thi aur aap ki umr 20 saal thi.
Huzoor sallallāhu alahi wa sallam ne Banu Mustaliq ke logo ko aazaad kar diya. Baad me un me se bahot saare logo ne Islaam apnaaya.Aap ka naam ‘Barrah’ tha. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhualaihi wa sallam ne aap ka naam ‘Juwairiya’ rakha.
****************
Aap bahot khubsurat aur zaheen aur faseeh thi. Aap bahot ibaadat guzaar aur parhezgaar thi. Aap har mahine me 3 roze rakhti thi.
*******************
Aap ka wisaal 10 Safar 50 Hijri (670 A.D.) ko hua. Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.
***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Ummul mo’mineen Hazarte Juwairiya radi-Allāhu ta’ala anha aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen. —