Aap ke waalid ka naam Haaris ibn Abi Diraar hai.
Aap ke waalid Banu Mustaliq qabeele ke sardaar the.
******************
Banu Mustaliq qabeele waalo ne Madeena munawwara par
hamle karne ki tajweej ki. Musalmano ko is ka pata chal
gaya aur unho ne 700 muslimo ke lashkar ke saath kooch ki
aur al-Muraisi tak pahunche. Pehle musalamno ki taraf se
Banu Mustaliq apnaane ki daawat di gai. Magar Banu
Mustaliq ne inkaar kiya aur jang ki tayyari ki.
Sha’abaan 6 Hijri (December 627A.D.) me maqaam e
Muraisi par Banu Mustaliq aur musalamano ke bich jang
hui. Hazrat Abu Bakr Siddeeq radi-Allāhu ta’ala anhu ko
muhaajiro ke sardaar banaaye gaye aur Sa’ad bin Ubadah
al- Khazraji ko ansaari ke sardaar banaaye gaye. Jang me
ek musalman shaheed hue aur Musalmano ne jang me fateh
haasil ki.
Juwairiyya ke shohar Musaafi bin Safwan bhi jang me qatl
hue. Aur Juwairiyya ko dusre logo ke saath qaid kiya gaya.
Aur aap ko Saabit bin Qais ko diya gaya.
Aap ke waalid aap ko riha karaane ke liye bahot saare oont
lekar Madeena pahunche. Madeena me daakhil hone se
pehle unho ne un oonto me se apne pasandeeda 2 behtar
mazboot oont ek waadi me chhupa diye. Jab Huzoor
Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se mulaaqat hui to
unho ne kaha ke ‘In oonto ko rakh lo aur meri beti ko
aazaad kar do.’ Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa
sallam ne un se farmaaya ‘Aur un 2 oonto ka kya jo tum
waadi me rakhkar aaye ho?’ Ye sunkar Haaris ibn Abi
Diraar ko yaqeen ho gaya ke ‘Huzoor Mohammad Mustafa
sallallāhu alaihi wa sallam ALLĀH ta’ala ke bheje hue Nabi
e saadiq hain.’ Aur unho ne kalma padhkar Islaam apna
liya.
Is duraan aap Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa
sallam ki baargaah me aai aur arz kiya ‘Main qabeele ke
sardaar ki beti hu aur ab ghulaamo waala sulook bardaasht
karna mere liye mumkin nahi. Aap meri najaat ka koi raasta
bata’iye.’
Aap ki baat sunkar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi
wa sallam ne farmaaya ‘Main behtar raasta bataata hu. Aap
mujh se nikaah kar lo.’
Ye baat sunkar aap behad khush hui. Aur aap ne Islaam
apnaaya.
********************
6 Hijri (628A.D.) me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alahi
wa sallam ne aap se nikaah kiya tab Huzoor sallallāhu
alahi wa sallam ki umr 58 saal thi aur aap ki umr 20 saal
thi.
Huzoor sallallāhu alahi wa sallam ne Banu Mustaliq ke logo
ko aazaad kar diya. Baad me un me se bahot saare logo ne
Islaam apnaaya.
Aap ka naam ‘Barrah’ tha. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu
alaihi wa sallam ne aap ka naam ‘Juwairiya’ rakha.
****************
Aap bahot khubsurat aur zaheen aur faseeh thi.
Aap bahot ibaadat guzaar aur parhezgaar thi.
Aap har mahine me 3 roze rakhti thi.
*******************
Aap ka wisaal 10 Safar 50 Hijri (670 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me
hai.
***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke
sadqe me
Aur Ummul mo’mineen Hazarte Juwairiya radi-Allāhu
ta’ala anha aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke
Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki
taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae
aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen. —
Leave A Comment