BAAB 8 MUKAASHAFATUL QULOOB
TAUBA:
Gunaahon se tauba har musalmaan mard wa aurat par waajib hai, farmaane ILAAHI hai:
"Aye imaan waalon ! ALLAH se pukhta tauba karo."
Ek aur maqaam par irshaad e ILAAHI hai:
"Tum un logon ki tarah na ho jao jinhone ALLAH ko bhula diya."
USKI bheji hui kitaabon ko pasepusht (peeth-peeche) daal diya, goya unhone apne haal par rehem nahi kiya aur apne aapko gunaahon se nahi bachaya aur aakhirat ke liye koi neki nahi ki, farmane NABAWI SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM hai ki jo shakhs ALLAH TA'ALA se mulaaqaat pasand karta hai , ALLAH TA'ALA us se mulaaqaat pasand farmata hai, aur jo ALLAH TA'ALA se milna naapasand karta hai ALLAH TA'ALA us se milna naapasand farmata hai.
farmane ILAAHI hai,
"YEHI LOG NAAFARMAAN, WAADASHIKAN ( WAADA KE TODNE WAALE) , REHMAT WA BAKSHISH AUR RAAHE HIDAAYAT SE DOOR HAI."
FAASIQ KI QISMEIN:
Faasiq ki 2 qismein hai:
1) Faasiq kaafir
2) Faasiq faajir
Faasiq kaafir wo hai jo ALLAH aur uske RASOOL par Imaan nahi rakhta, hidaayat ko chhodkar gumraahi ka taalib hota hai jaisa ke farmaane ILAAHI hai:
"To fisq kiya usne apne RAB ke hukm ke baare me."
faasiq faajir wo hai jo sharaab peeta hai, maale haraam khaata hai, badkaariyaan karta hai, ibaadat ko chhodkar gunaahon mein zindagi basar karta hai magar ALLAH TA'ALA ko waahid (ek) maanta hai aur Uske saath shareek nahi theraata ..
In dono mein farq ye hai ke faasiq kaafir ki bakshish maut se pehle pehle kalma e shahaadat aur tauba ke bagair naamumkin hai, aur faasiq faajir ki magfirat maut se pehle tauba aur pashemaani (pachtaawe) ke zariye mumkin hai, isliye ke har wo gunaah jiska ta'alluq khwaahishaat e nafsaaniya se hai uski magfirat mumkin hai aur har wo gunaah jiski buniyaad takabbur aur khudbeeni hai uski magfirat naamumkin hai, shaitaan ki naafarmaani ki wajah bhi yahi takabbur aur khudbeeni thi.
Pas aye insaan tere liye zaroori hai ke marne se pehle Apne gunaahon se tauba karle, shayad ke ALLAH TA'ALA tere gunaahon ko maaf farma de jaisa ke farmaane ILAAHI hai..
ALLAH wo hai jo apne bandon ki tauba qubool karta hai aur unke gunaahon se darguzar farmata hai.
HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaaya hai, gunaahon se tauba karnewala us shakhs ki tarah hai jis se koi gunaah sarzad na hua ho.
HIKAAYAT:
Ek jawaan tha wo jab bhi koi gunaah karta to use apne daftar (diary) mein likh lete tha , ek dafa (martaba) usne koi gunaah kiya , jab likhne ke liye daftar khola to dekha usmein is aayat ke siwa kuch bhi nahi likha hua tha..
ALLAH TA'ALA unki buraaiyyon ko nekiyon mein tabdeel karta hai.
Shirk ki jagah Imaan , badkaari ki jagah bakshish, gunaah ki jagah ismat aur nekokaari likh di jaati hai.
EK JAWAAN KI SHARMINDAGI:
HAZRATE UMAR RADIYALLAHU TA'ALA ANHU ek martaba Madina Munnawwara ki ek gali se guzar rahe the, Aapne ek jawaan ko dekha jo kapdon ke neeche sharaab ki bottle chupaaye chala aaraha tha , Aapne poocha aye jawaan! Is bottle mein kya liye jaa rahe ho? Jawaan bohot sharminda hua ke main kaise kahun is bottle mein sharaab hai. Us waqt us jawaan ne dil hi dil mein dua maangi,
"Aye ALLAH ! mujhe HAZRATE UMAR RADIYALLAHU TA'ALA ANHU ke rubaru (saamne) sharmindagi aur ruswaayi se bacha! Mere aib ko dhaanp le, main phir kabhi sharaab nahi piyunga" jawaan ne HAZRATE UMAR ko jawaab diya AMEERUL MOMINEEN! ye sirka hai, Aapne farmaya mujhe dikhao to sahi chunaanche Aapne dekha to wo sirka tha.
AYE insaan! zara gaur kar ek banda, bande ke darr se khuloos e dil se taaib hua (tauba karta hai) to ALLAH ne uski sharaab ko sirke mein tabdeel (badal) kar diya, isi tarah agar koi gunaahgaar apne gunaahon par sharminda ho kar tauba kar leta hai to ALLAH TA'ALA uski naafarmaaniyon ki sharaab ko farmabardaari ke sirke me tabdeel kar deta hai. (jaisa ke us jawaan ke maamle mein hua jo apni buraaiyyaan apne daftar mein likh leta hai)
HIKAAYAT:
HAZRATE ABU HURAIRA RADIYALLAHU TA'ALA ANHU farmate hai ke ek raat main HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ke saath namaz e isha padhkar baahar nikla, raaste mein mujhe ek aurat mili, usne mujhse poocha maine ek gunaah kar liya hai, kya main tauba kar sakti hun? maine poocha tu ne kaunsa gunaah kiya hai? aurat boli maine zina kiya tha aur jab us zina se bachcha paida hua to maine use qatl kar diya , Maine kaha tu tabaah ho gayi tere liye koi tauba nahi hai, wo aurat behosh ho kar gir padi, aur main apni raah chal diya, tab mere dil mein khayaal aaya, maine HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se pooche bagair ye baat kyun keh di.
Chunaanche main AAPKI khidmat mein aaya aur saara waaqiya arz kiya , HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya , tumne bohot bura kiya, kya tumne ye aayat nahi padhi?
"Aur wo log jo nahi pukaarte ALLAH ke saath kisi aur KHUDA ko."
ABU HURAIRA RADIYALLAHU ANHU kehte hai jyunhi maine ye baat suni main us aurat ki talaash mein nikla aur har kisi se poochne laga mujhe us aurat ka pata batlao jisne mujhse masla poocha tha, yahan tak ke bachche mujhe paagal samajhne lage, bil aakhir maine us aurat ko talaash kar hi liya aur use ye aayat sunaayi jab main is aayat me 'Hasanaatin' tak suna chuka to wo khushi se diwaani ho gayi aur kehne lagi maine apna baag ALLAH aur uske RASOOL ke liye baksh diya.
UTBAA KA AJEEEB WAQYA:
UTBATUL GULAAM jiski fitna-angezi aur sharaab noshi ki daastaane mashoor thi, ek din janaab HASAN BASRI REHMATULLAH ALAIH ki majlis mein aaya, us waqt HAZRATE HASAN REHMATULLAH ALAIH ek aayat ki tafseer bayaan kar rahe the , (yaani kya mominon ke liye woh waqt nahi aaya ke unke dil ALLAH se darein.) AAPNE is aayat ki aisi tashreeh ki ke log rone lage, ek jawaan majlis mein khada ho gaya aur kehne laga aye banda e momin! kya mujh jaisa faasiq o faajir bhi agar tauba kar le to ALLAH TA'ALA qubool farmayega?
AAPNE farmaya haan ALLAH TA'ALA tere gunaahon ko maaf kardega , jab UTABATUL GULAAM ne ye baat suni to uska chehra zard padh gaya aur kaanpte hue cheekh maar kar behosh ho gaya, jab use hosh aaya to HAZRATE HASAN BASRI REHMATULLAH ALAIH ne uske qareeb aakar arbi ke kuch sheyr padhe...(mafhoom)
1) AYE ALLAH ke naafarmaan jawaan ! jaanta hai naafarmaani ki sazaa kya hai?
2) naafarmaanon ke liye purshor jahannam hai aur hashr ke din ALLAH TA'ALA ki sakht naaraazgi hai.
3) agar tu naare jahannam par raazi hai to beshak gunaah karta reh, warna gunaahon se ruk jaa.
4) tu ne apne gunaahon ke badle apni jaan ko rehan (girvi) rakh diya hai, usko chhudaane ki koshish kar.
UTBA ne phir cheekh maari aur behosh ho gaya, jab hosh aaya to kehne laga Aye shaikh ! Kya mujh jaise badbakht ki RABBE RAHEEM tauba qubool kar lega? AAPNE kaha darguzar karnewala RAB, zaalim bande ki tauba qubool farma leta hai, us waqt UTBA ne sar utha kar RAB se teen duayein ki;
1) Aye ALLAH agar TU ne mere gunaahon ko maaf aur meri tauba ko qubool kar liya hai to aise haafize aur aqal se meri izzat afzaayi farma ke main Qur'an e Majeed aur Uloom e Deen mein se jo kuch bhi sunu use kabhi faraamosh na karun.
2) aye ALLAH ! mujhe aisi aawaaz inaayat farmaa ke meri qira'at ko sunkar sakht se sakht dil bhi mom ho jaye.
3)aye ALLAH mujhe rizq e halaal ataa farmaa aur aise tareeke se de jis ka main tasawwur bhi na kar sakun.
ALLAH ne UTBA ki teenon duaein qubool karli, uska haafiza aur fehem farast (samajh wa aqalmandi) badh gayi aur jab wo Qur'an ki tilaawat karta to har sunne wala gunaahon se taib ho jaata tha aur uske ghar mein har roz ek pyala shorba ka aur do rotiyaan( rizq e halaal) se pohonch jaati , aur kisi ko maaloom nahi tha ke ye kaun rakh jaata hai aur UTBA Gulaam ki saari zindagi aisa hi hota raha. ye us shakhs ka haal hai jisne ALLAH TA'ALA se lau lagaayi.
beshak ALLAH TA'ALA nek amal karnewalon ke ajr ko zaaya nahi karta.
SAWAAL:
kisi Aalim se poocha gaya ke jab banda tauba karta hai to kya use apni tauba ki maqbool ya gair maqbool hone ka pata chal jata hai?
JAWAAB:
Aalim ne jawaab diya aisi mukammal baat to nahi albatta kuch nishaaniyaan hai jin se tauba ki qubooliyat ka pata chalta hai, woh apne aap ko gunaahon se paak rakhta hai, uske dil se khushi gaayab ho jaati hai, har dam ALLAH ko maujood samajhne lagta hai, nekon ke qareeb aur buron se door rehne lagta hai, duniya ki thodi si ne'mat ko azeem aur aakhirat ke liye kaseer nekiyon ko bhi qaleel (thodi) samajhta hai, apne dil ko har waqt faraaiz e khudaawandi mein masroof aur apni zabaan ko band rakhta hai , hamesha apne guzishta gunaahon par gaur o fikr karta rehta hai aur gam aur pareshaani ko apne liye laazim kar leta hai.
End of baab 8