tawakal allah par kaisa ho in hindi tawakkal kya he
Farmane ILAAHI hai:
“Beshak ALLAH TA’ALA tawakkul karnewalon ko mehboob rakhta hai.”
Aur us sey buland maqaam jiska karnewaala ALLAH TA’ALA ki mohabbat se mausoom hai aur jiska libaas
wagairah ALLAH TA’ALA ki kifaayat se aaraasta hai , kaunsa hai ? Bas woh shakhs jisey ALLAH kaafi ho, nigehbaani karnewala ho , albatta woh azeem kaamyaabi par faaizul maraam huwa, kyunki mehboob ko naa to azaab diya jaata hai aur naa usey dhutkaara jaata hai aur naa usey door kiya jaata hai.
Ahaadees mein bhi tawakkul aur mutawakkileen ki fazeelat marwi hai chunaanche HAZRATE IBNE MASOOD رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya MAINE tamaam ummaton ko Makkah mein Hajj ke mauqe par jamaa hone ki jagah dekha aur MAINE APNI ummat ko dekha , usne har bulandi wa pasti ko gher rakha tha, MUJHE Unki kasrat e taadaad aur sooraton ne bohot muta’ajjub kiya tab MUJHSE kaha gaya, kya ab TUM raazi ho ? MAINE kaha haan ! phir kaha gaya, unke saath 70 hazaar afraad bila hisaab jannat mein jaayenge. AAPSE kaha gaya YAA RASOOLALLAH ﷺ ! Woh kaun log hai jo bilaa hisaab jannat mein daakhil honge? AAPNE farmaya woh log jo jismon ko nahi daagte, faalein nahi lete, chori chupe logon ki baatein nahi sunte aur apne RAB par tawakkul karte hai.
HAZRATE UKASHAA رضي الله عنه khade ho gaye aur arz ki Yaa RASOOLALLAH ﷺ ! ALLAH se dua kijiye ke ALLAH TA’ALA Mujhe unmein se karde, AAPNE farmaya Aye ALLAH ! UKASHAA ko unmein se karde ! phir ek aur SAHAABI ne khade ho kar arz ki AYE ALLAH ke NABI ! Mere liye bhi dua kijiye ke ALLAH TA’ALA Mujhe bhi unmein se karde ! AAPNE farmaya UKASHAA Tumse sabqat le gaye.
HUZOOR ﷺ ka farmaan hai ke agar tum sahi maano mein ALLAH par tawakkul karte to ALLAH TA’ALA tumhein parindon ki tarah rizq deta jo subah bhooke nikalte hai aur shaam ko sair hokar aate hai. Farmane NABAWI ﷺ hai jo sabse qataa ta’alluq karke ALLAH TA’ALA se ta’alluq jod leta hai, ALLAH TA’ALA har mushkil mein usey kaafi hota hai aur usey aise tareeqe se rizq deta hai jo uske wehem o gumaan mein bhi nahi hota aur jo shakhs duniya ka ho jaata hai ALLAH TA’ALA usey duniya ke supurd kar deta hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai , jo shakhs us cheez ko pasand karta hai ke woh sab logon se zyada maaldaar ho, usey chaahiye ke maujood
rizq se zyada aitmaad us rizq par kare jo ALLAH ke yahaan maujood hai. Marwi hai ke jab HUZOOR ﷺ
ke Ehle-khana faaqe se hote to AAP farmaate ke namaz ke liye khade ho jaao aur MERE RAB ne MUJHE yehi hukm diya hai:-
“Aur apne ghar waalon ko namaz ka hukm karo aur us par sabr karo.”
Farmaane NABAWI ﷺ hai ke jis shakhs ne jantar mantar kiya aur jism ko daaga, usne tawakkul nahi kiya. Marwi hai ke jab HAZRAT E JIBRAAEL عليه السلام ne HAZRATE E IBRAHEEM عليه السلام ko minjaneeq se aag mein phenke jaane ke waqt kaha, kya TUMHARI koi haajat hai ?
AAPNE farmaaya ke TUMSE MERI koi haajat waabasta nahi hai. AAP APNE us ahad ko poora kar rahe the jo UNHONE aag mein phenke
jaane ke liye giraftaari ke waqt kiya tha ke “MUJHE MERA RAB kaafi hai aur WOH achha kaarsaaz hai.” aur ALLAH TA’ALA ne ye aayat naazil farmaayi :-
“Aur IBRAHEEM ( عليه السلام) jisne apna qaul poora kiya.”
ALLAH TA’ALA ne HAZRAT E DAWOOD عليه السلام par Wahi naazil farmaayi, Aye DAWOOD ! MERA aisa koi banda nahi jo makhlooq ko
chord kar MERA daaman e rehmat thaam leta hai aur zameen o aasmaan us par sakhtiyaan laate hain magar MAIN uski sab dushwaariyaan door kar deta hun aur uske liye raasta nikaal deta hun.
HAZRAT E SAAD BIN JUBAIR رضي الله عنه kehte hain ke MUJHE bichhoo ne dank maara to MERI waalida ne MUJHE kasam di ki MAIN kisi jhaad phoonk karne waale ke paas jaa kar dum karaoon, chunaanche mantar padhne waale ne MERA wo haath pakda jo nahi dasa gaya tha aur ye ayaat padhi :-
“Aur US zinda par tawakkul kar JISEY maut nahi aayegi.”
aur kaha ke is aayat ko sunne ke baad kisi aadmi ke liye ye munaasib nahi hai ke woh ALLAH TA’ALA ke siwa kisi aur ki panaah talaash kare.
ek aalim se khwaab mein kaha gaya ke jisne ALLAH par aitmaad kiya usne apna rizq jama kar liya. baaz Ulema ka qaul hai ke muqarrar kardah rizq ka husool tujhe farz kardah aamaal se gaafil na karde kyunki is tarah teri aaqibat kharaab ho jaayegi aur tujhe wohi rizq milega jo tera muqaddar ho chuka hai.
YAHYA BIN MAAZ رضي الله عنه ka qaul hai ke bande ka bagair talab kiye rizq paa lena is baat ki daleel hai ke rizq ko bande ki talaash ka hukm diya gaya hai.
IBRAHIM BIN ADHAM رحمت لله عليه farmaate hain ke MAINE ek raahib se poocha tum kahaan se khaate ho ? usne kaha mujhe iski khabar nahi hai, RABBE JALEEL se pooch ke WOH mujhe kahaan se khilaata hai.
JANAAB HARAM bin HAYAAN ne HAZRATE OWAIS QARNI رضي الله عنه se kaha AAP MUJHE kahaan jaane ka hukm dete hain ? UNHONE shaam ki taraf ishaara kiya, HARAM bole, wahan guzar auqaat kaise hogi ? HAZRATE OWAIS ne farmaaya halaaq ho jaayein woh dil jinme KHUDA par aitmaad nahi hai aur woh shak mein padh gaye hain, aise dilon ko naseehat koi faaida nahi deti.
ek buzurg ka qaul hai ke jabse main ALLAH TA’ALA ko apna kaam banaane par raazi huwa hun, mujhe har bhalaayi ka raasta mil gaya hai,
aye ALLAH ! hamein bhi husn-e-adab ataa farma de.
END OF BAAB 74 Mukashifatul Quloob