>>shaitan ki hakikat story of shaitan in hindi ‘Iblish’ ki Ibadat Aur Roohani Tarakki Aur Faristo me Ginti :-
Iblish Ibadat e Ilahi ko Dil se Aada Karnewala tha, Uska Sara Wakt Ibadat me Gujarta tha, KHUDA TA’ALA ne Ushe Aasman Par Bula Liya, Fariste Uski Ibadat Deikh ke Heiratzada reh gaye,
Faristo ne HAQQ TA’ALA ko Arz ki, Esha Ibadat Gujar Aur Farmabardar Banda, Faristo me Saamel Karne layak he,
HAQQ TA’ALA ne Faristo ki Arz Qabool Farmayi, Iblish ko Faristo ki Jama’at me Saamil kar liya gaya,

Iblish Ek Hazar(1,000) Saal Tak Pehle Aasman par Raha, Pehle Aasman par Uska Naam “Aabid” tha, Iblish ko Ibadat ka Shouk Aur Jouk Din-ba-din Badta raha,
HAQQ WABARAK WA TA’ALA ne Ushe Tarakki Badhti de kar Dusre Aasman par Utha liya, Dusre Aasman par Uska Naam “Zaahid” tha,
Fir Ushe Tisre Aasman par Uska Naam “Aarif” Rakhne me Aaya,
Is Tarah Choute Aasman par “Wali” Naam Tha,
Paanchve Aasman par “Muttaki” Naam tha,
Chatte Aasman par “Azazil” Naam tha, Aur
Saatve Aasman par ‘Lohe Mehfuz’ me “Iblish” Naam tha,
Is Tarah Ibadat Karte Karte Saatve Aasman par Pahonch gaya, Rizvan e ‘Jannat’ ki Sifaraish par Iblish ko ‘Jannat’ me Dakhil hone ki Ijajat Mil gayi, Aur Iblish Seitan Shaan-o-Shoukat ke Saath Jannat me Rehne laga, Iblish Jannat me Pahonch kar bhi Ibadat Karta raha, Faristo ki Taalim Aur Farmano ki Khidmat Bajata raha, Iblish ki Taalim Aur Sabak dene ki ye Shaan thi ke ‘Arsh’ ke niche Yaakut ka Takht bichane me Aata tha, Sar par Noor ka Zhanda Fizaome Lehrata tha,
“Kuch Thikana he, Bhala Eyzaz ka,
Jo Mala’ik ki Sifarish se Mila,
Tera Tu to Bolta he, Har kahi,
Ey Azazil, Ab Teira Shaani Nahi”
Seitan ka Asal Naam to ‘Azazil’ tha Magar KHUDA ke Huqm se Nafarmani ke Baad Ushe “Iblish” kehne me Aaya,
Kitne Raaviyo ne likha he,
Iblish ke Dil me Ye Tassavur tha ki,
Nouzobillah ALLAH RABBUL IJJAT ke Baad, Me hi ek Hasti hu jo Ye Jimmedari ke Layak hu, Aur Agar ALLAH RABBUL IJJAT ye Jimmedari kishi Dusre ko aata karega to me Khilaaf jaunga, kyu ki Tamam Ilmi Aur Amali kaamo me Mere Barabar koi Nahi, Aur
Vohi Din Faristo ki ek Jama’at ne ‘Lohe-Mehfuz’ me Dekha ki, Nazdiki Wakt me ALLAH RABBUL AALAMIN ka Ek Nazdiki Banda La’anat ka Haqdaar hoga, Aur Us par La’anat Jaari karne me Aayegi,hazrat ismail ki qurbani ka waqia  or ibrahim ka imtihan 7
Fariste Jab ye ‘Lohe-Mehfuz’ par ye Deikh kar Wapis Aaye to Ranjo-Gam ka Asar unki Peishani pe jahir tha,
Iblish unki ye Kefiyat deikh kar Uski Vajah puchi, to Faristo ne Sab Baat batadi, ye Sun kar Iblish ne kaha “Ye Baat Muje Saalo se Maalum he magar Me ne Kishi ko Bataya Nahi, Kyu ki ye Baat se Mera aur Tumhara koi Ta’aluk nahi he”
Faristo ne kaha Hame Baargahe Ilahi me Dua karni Chahiye ke Vo(KHUDA) Hame ye Mushibat se Bachale,
Iblish ne Dua ke liye Hath Uthaye, Aur Baargahe Ilahi me Dua ki
“Allah humma Aamin hum”
Tarjuma : ‘Ay ALLAH Inko(Faristo ko) ye Musibat se Bachale’
Dua ke Wakt Iblish ne Faristo ke liye Dua ki, Aur Khud, Khudko ye Dua ke Lafzo me Saamil na kiya,
kyu ki Takabbur Aur Gurur se (iblish Seitan) ko ye Tasawwur ho gaya ki me to iske(Na Farmani karnewale) Daayre me Aata nahi, aur ye Mouke par Usko Khyaal na Raha ki Vo Khud ke liye Dua kare, ye Takabbur ka Anjam ye hua ki vo khud hi (Nafarmani) Saja ka Haqdaar Thehrane me Aaya,
Azazil Seitan (Iblish) ki Ibadat ke Baare me ek Rivayat ye bhi he ki Iblish Jamino Aasman ki Har Jagah me Hazar Saal(1,000) Tak Sajde me Padha raha, Magar Jab wo Sajde se Sar Uthata to Uske Sajde karne ki Jagah me ye likha hota
“La’anatullahi Ala Iblish”
Tarjuma : ‘Iblish par ALLAH ki La’anat ho’
is liye Wo Khud bhi Iblish par La’anat karta aur Wo hi Lafz likh deita, jo ki Aanevale Wakt me khud hi Bannewala tha.
(Namaz Aur Nabi, Hissa-2, Safa-19,20)
Share karna Na Bhule…
Dusre Bhaiyo tak Pahonchaye…