Sadqa karne ka tariqa Farmane NABAWI ﷺ hai ke islam ki buniyaad paanch cheezon par hai, ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat, MOHAMMAD ﷺ ki Risaalat ki shahaadat, namaaz qaaim karna aur zakaat adaa karna. ( ila aakhiril hadees )
Aur ALLAH TA’ALA ne in donon mein taqseer ( kami ) karnewalon ki wa’eed e shadeed ki hai chunaanche ALLAH TA’ALA irshaad farmaata hai;
“Pas halaakat hai un namaaziyon ke liye jo apni namaaz se be-khabar hai.”
Is baare mein pehle hi mukammal behes guzar chuki hai aur ALLAH TA’ALA ne APNE kalaam mein irshaad farmaya hai;
“Aur jo log sona chaandi jamaa karte hai aur usey ALLAH ki raah mein kharch nahi karte pas unhein dardnaak azaab ki khushkhabri dijiye.”
Is aayat e kareema mein raah e KHUDA mein kharch karne se muraad zakaat adaa karna hai.
SADQA KISE DIYA JAAYE ?
Sadqa dete waqt aise nek afraad fuqra talaash kiye jaayein jo duniya se tark e ta’alluq kar chuke hon aur aakhirat se lau lagaye huwe hon kyunki aise fuqra ko sadqa dena maal ko badhaana hai, Farmane NABAWI ﷺ hai ke parhezgaar ka khaana khaa aur parhezgaar ko khaana khila, AAPNE yeh baat isliye farmaayi ke parhezgaar us ta’aam (khaane) se parhezgaari mein badhega lihaaza tu bhi us i’aanat ki wajah se uski ibaadat wa riyaazat mein shareek gina jaayega.
Ek Aalim ka qaul hai ke sadqa dete waqt sufi fuqra ko tarjeeh de, kisine us Aalim se kaha ke agar aap tamaam fuqraa ka kehte to behtar hota, Aalim ne kaha nahi , yeh sufi faqeer ek aisa giroh hai jinki tamaam tar tawajjoh ALLAH TA’ALA ki taraf mabzool rehti hai , jab unmein se kisiko faaqe se waasta padta hai to unki himmatein paraaganda ho jaati hai , mujhe unmein se kisi ek faqeer ki tawajjoh faaqe se hataa kar ALLAH TA’ALA ki taraf kar dena un hazaar faqeeron ko dene se zyada pasand hai, jinki dilchaspiyon ka markaz duniya hai.

Leave A Comment