Skip to content
Sadqa E Fitr ke Fazaail wa Masaail in Hindi
> Hazrat Abdullah Ibne Umar RadiAllaho Ta’ala Anho Riwaayat karte he ki RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Musalmaano par Sadka E Fitr Muqarrar Farmaya .
(Bukhaari Shareef, Jild-1, Safa-507, Hadees-1503)
> Hazrate Saiyyadna Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Rozo ko Lagv Aur Behayaai ki Baat se Paak karne ke liye Aur Miskino ko Khilaane ke liye Sadka E Fitr Muqarrar Farmaya.
(Sunaane E Abu Daawud Jild–2, Safa-157, Hadees-1609)
Is Hadees ke Tehat Haakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahmatullah Alay Farmaate he
Yaani Fitra Waajib karne me 2 Hikmate he Ek to Rozaadaar ke Rozo ki Kotaahiyo ki Muaafi, Aksar Roze me Gussa Badh jata he To Bila Wajah Lad Padta he Kabhi Jhut, Gibat Wageira Bhi Ho Jate he, RABB TA’ALA Is Fitre ki Barkat se Kotaahiya Muaaf kar dega ki Neikiyo se Gunaah Ma’af hote he.
(Miraatul Manaajih, Jild-3, Safa-43)
> Sadqa E Fitr Kis Par Waajib he..??
Sadka E Fitr Har Us Aazad Musalmaan par Waajib he Jo Maalike Nisaab ho Aur Uska Nisaab Haajate Asliyya(Zarurat ki Chizo) se Faarig ho.
(Durre Mukhtaar, Jild-3, Safa-365)
> Sadka E Fitr me bhi Niyyat karna Aur Musalmaan ko Maal ka Maalik Kar Deina Sart he.
(Durre Mukhtaar, Jild-3, Safa-380)
> Sadqa E Fitr ke liye Roza Shart nahi :-
Sadka E Fitr Waajib hone ke liye Roza Rakhna Sart Nahi Lihaza Kisi Uzr Masalan Safar, Marz, Budhape ya Bila Uzr Roze Na Rakhne Wala bhi Fitra Adaa Karega.
(Durre Mukhtaar, Jild-3, Safa-367)
> Sadqa E Fitr kin Chizo se Adaa hota he…
Gandum(Genhu) Jaw, Khajur Munaqqa(Kismis) Ke Alawa Agar Kisi Dusri Chiz se Fitra Adaa karna Chaahe, Masalan Chawal, Juwar, Baazra ya Aur Koi Galla(Anaaz) ya Aur Koi Chiz deina Chaahe to Qimat ka Lihaaz Karna Hoga Yani Wo Chiz Aadhe Saa Genhu ya Ek Saa Jaw ki Qimmat ki ho,
(Bahaare Shariyat, Hissa-5, Safa-939)
> Sadqa E Fitr ki Miqdaar :-
Ek so Pacchhatar Rupe Athanni Bhar Upar(2 Kilo me 80 gram Kam) Wazan Genhu ya Uska Aanta Ya Itne Genhu ki Qimmat Ek Sadqa E Fitr ki Miqdaar he, Agar Khajur Ya Munakka(Kismis) Ya Jaw Ya Uska Aanta Ya Sattu ya Unki Qimmat deina Chaahe to Tin so Ekawan Rupe Bhar(4 Kilo me 160 Gram kam) Ek Sadqa E Fitr ki Miqdaar he.
(Bahaare Shariyat, Jild-1, Hissa-5, Safa-938, 939)
> Kya Deina Afzal he…??
Genhu Aur Jaw ke deine se Unka Aanta Deina Afzal he Aur Is se Afzal yeh he ki Qimmat de de, Khawaah Genhu ki Qimmat de ya Jaw ki ya Khajur ki.
(Fatawa E Hindiya, Jild-1, Safa-191-192)
> Sadqa E Fitr ki Adaaygi ka Waqt :-
Behtar ye he ki Eid ki Subah e Saadik hone ke Baad Aur Eidgaah Jane se Pehle Adaa karde.
(Durre Mukhtaar, Jild-3, Safa-376)
> Sadqa E Fitr Maah E Ramzaan me Adaa kar Diya to…??
Agar Eidul Fitr se Pehle Fitra Adaa Kare to Jaiz he.
(Fatawa E Hindiya(Aalamgiri), Jild-1, Safa-193)
> Fitra Kisko Diya jaaye :-
Sadqa E Fitr ke Masaarif wohi he Jo Zakaat ke he,
(Fatawa e Hindiya(Aalamgiri), Jild-1, Safa-194)
Yani Jinko Zakaat de Sakte he Unhe Fitra bhi de Sakte he Aur Jinko Zakaat Nahi de Sakte Unko Fitra bhi Nahi de Sakte, Lihaza Zakaat ki Tarah Sadqa E Fitr ki Raqam bhi Hila E Sharai ke Baad Madaaris wa Jaamiaat Aur Digar Deeni Kaamo me Istemaal ki Ja Sakti he.
(Fataawa E Amzadiya, Jild-1, Safa-376)
smartmobilityjamnagar2017-06-22T06:57:39+00:00
Share This Story, Choose Your Platform!
Leave A Comment