BAAB 3 SABR O MARZ Jo shakhs ye chaahta hai ke wo azaab e ILAAHI se chhoot jaaye, Sawaab wa Rehmat ko paa le aur Jannati ho jaaye use chaahiye ke wo apne aap ko dunyavi khwaahishaat se roke aur duniya ke aalaam o masaaib par sabr kare, chunaanche farmaane ILAAHI hai: "ALLAH sabr karnewaalon ko mehboob rakhta hai." SABR KI QISMEIN Sabr ki kayi qismein hain. ALLAH ki itaa'at par Sabr karna, Haraam cheezon se ruk jaana, Takaaleef par Sabr karna aur Pehle sadme par Sabr karna wagairah. Jo shakhs Ibaadat e ILAAHI par sabr karta hai aur har waqt ibaadat me mehw rehta hai use Qayaamat ke din ALLAH TA'ALA 300 aise darjaat ataa karega jin me har darje ka faasla Zameen o Aasmaan ke faasle ke baraabar hoga, Jo ALLAH TA'ALA ki Haraam ki hui cheezon se Sabr karta hai use 600 darjaat ataa honge. Jin me har darje ka faasla 7vein Aasmaan se 7vin Zameen ke faasle ke baraabar hoga. Jo Masaaib par Sabr karta hai use 700 darjaat ataa honge, har darje ka faasla Tahtus-Saraa se Arsh e Ula ke baraabar hoga. HIQAAYAT Hazrat e ZAKARIA alaihis salaam jab yahood pe hamle ki wajah se sheher se baahar nikle ke kahin roohposh ho jaayein aur yahood Unke peeche bhaage to AAP ne qareeb ek darakht dekhkar usse kaha "Aye darakht! Mujhe apne andar chupa le." Darakht chir gaya aur AAP usme roohposh ho gaye. Jab yahood wahan pahonche to shaitaan ne unhe saari baat batla kar kaha us darakht ko aari se do tukde kar do, chunaanche unhone aisa hi kiya aur yeh sirf isliye hua ke Hazrat e ZAKARIA alaihis salaam ne ZAAT E BAARI ki bajaaye Mazaahir Qudrat e Baari se panaah talab ki thi, AAP ne apne wajood ko museebat me daala aur AAP ke do tukde kar diye gaye. Hadees e QUDSI me hai ALLAH TA'ALA farmata hai jab MERA koi banda masaaib me MUJH se sawaal karta hai, MAIN use maangne se pehle de deta hun aur uski dua ko maqbool kar leta hun aur jo banda masaaib ke waqt MERI makhlooq se madad maangta hai MAIN us par aasmaanon ke darwaaze band kar deta hun. Kehte hain ke jab aari Hazrat e ZAKARIA alaihis salaam ke dimaag tak pahonchi to AAP ne aah ki, irshaad e ILAAHI hua Aye ZAKARIA! Masaaib par pehle sabr kyun nahi kiya jo ab faryaad karte ho, agar dobaara aah munh se nikaali to Daftar e Saabirain se Tumhara naam khaarij kar diya jaayega, tab Hazrat ne apne honton ko band kar liya, chir kar do tukde ho gaye, magar phir uff tak na kaha. Isliye har aqalmand ke liye zaroori hai ke woh masaaib par sabr kare aur hurf e shikwa zabaan par na laaye taa ke duniya aur Aakhirat ke azaab se najaat haasil kar le kyunke is duniya me masaaib Ambiya alaihis salaam aur AuliyaAllah hi par zyada waarid hote hain. SOOFIYA KI NAZAR ME MASAAIB KI HAQEEQAT Hazrat e JUNAID bagdaadi rehmatullaah alaih ka qaul hai masaaib Aarifeen ka chiraag, Mureedeen ki bedaari, Momin ki islaah aur Gaafilon ke liye halaaqat hai. Momin masaaib par sabr kiye bagair Imaan ki halaawat ko paa nahi sakta. Hadees Shareef me hain jo shakhs raat bhar beemaar raha aur sabr kar ke ALLAH TA'ALA ki raza ka taalib hua to wo shakhs gunaahon se aise paak ho jaayega jaise ke apni padaaish ke waqt tha, isliye jab tum beemaar ho jao to aafiyat ki tamaanna na karo. Janaab Zohaak kehte hain jo shakhs 40 raaton me ek raat me bhi giraftaar e ranj o alam na hua ho ALLAH TA'ALA ke yahaan uske liye koi khair o bhalaayi nahi hai. MAREEZ BANDA MOMIN KE GUNAAH NAHI LIKHE JAATE Hazrat e MAAZ bin Jabal radiyallahu ta'ala anhu se marwi hai jab banda momin kisi beemaari me mubtela ho jata hai to uske baayein shaane waale farishte se kaha jaata hai ke uske gunaahon ko likhna band kar do. Daayein shaane waale se kaha jaata hai uske naam e aamaal me woh behtareen nekiyaan likho jo us se sarzad hui hai. Hadees Shareef me hain jab koi banda beemaar ho jaata hai to ALLAH TA'ALA uski taraf 2 farishte bhejta hai ke jaa kar dekho MERA banda kya kehta hai? Agar beemaar ALHAMDULILLAH kehta hai to farishte ALLAH ki baargaah me jaa kar uska qaul arz karte hain. Irshaad e ILAAHI hota hai agar MAINE is bande ko is beemaari me maut de di to use Jannat me daakhil karunga aur agar sehat ataa ki to use pehle se bhi behtar parwarish karnewala gosht aur khoon dunga. Aur uske gunaahon ko maaf kar dunga. EK IBRAT ANGEZ HIQAAYAT Bani Israeel me ek nihaayat hi faajir o faasiq insaan tha jo apni badkaariyon se kabhi baaz na aata tha. Ehle shehar jab uski badkaariyin se aajiz aa gaye to ALLAH TA'ALA se us ke shar se mehfooz rehne ki dua maangne lage. ALLAH TA'ALA ne Hazrate MOOSA alaihis salaam ki taraf WAHI ki ke bani israeel ke fulaan sheher me ek badkaar jawaan rehta hai use sheher se nikaal dijiye, taa ke uski badkaariyon ki wajah se saare sheher par aag na barse. Hazrat e MOOSA alaihis salaam wahan tashreef le gaye aur use uski basti se nikaal diya phir farmaane ILAAHI hua ke use us basti se bhi nikaal dijiye. Jab hazrat e MOOSA alaihis salaam ne usko us basti se bhi nikaal diya to usne ek aise gaar par thikaana banaaya jahaan naa koi insaan tha aur naa hi kisi charind parind ka guzar tha. Qurb o Jawaar me naa kahin aabaadi thi aur naa door door tak sabze ka koi pataa tha. Us gaar me aa kar woh jawaan beemaar ho gaya, uski teemaadaari ke liye koi shakhs bhi uske aas-paas maujood naa tha jo uski khidmat karta. Wo za'af wa naatwaani se zameen par gir padaa aur kehne laga, kaash is waqt agar meri maa mere paas maujood hoti to mujh par shafaqat karti aur meri is bekasi aur bebasi par roti. Agr mera baap hota to meri nigehbaani, nigehraasht aur madad karta. Agar meri biwi hoti to meri judaayi par roti, Agar mere bacchhe is waqt maujood hote to kehte, Aye RAB ! hamaare aajiz gunehgaar badkaar aur musaafir baap ko baksh de, jise pehle to sheher-badar kiya gaya aur phir doosri basti se bhi nikaal diya gaya tha aur ab woh gaar me bhi har ek cheez se naa ummeed ho kar duniya se aakhirat ki taraf chala hai aur woh mere janaaze ke peeche rote hue chalte. Phir woh naujawaan kehne laga Aye ALLAH ! Tu ne mujhe waalidain aur biwi bachhon se to door kiya hai magar Apne fazl o karam se door naa karna, TU ne mera dil azeezon ki judaayi me jalaaya hai, ab mere saraapa ko mere gunaahon ke sabab jahannam ki aag me naa jalaana. Usi dam ALLAH TA'ALA ne ek farishta uske baap ke hamshakal banaa kar, ek hoor ko uski maa aur ek hoor ko uski biwi ki hamshakal banaa kar aur gulmaan e Jannat ko uske bachhon ke roop me bhej diya. Ye sab uske qareeb aa kar baith gaye aur uski shiddat e takleef par Ta'assuf aur Aah wa Zaari karne lage. Jawaan unhe dekh kar bohot khush hua aur usi musarrat me uska inteqaal ho gaya. Tab ALLAH TA'ALA ne Hazrat e MOOSA alaihis salaam ki taraf WAHI ki ke fulaan gaar ki taraf jao wahaan hamaara ek dost mar gaya hai, Tum uski taqfeen wa tadfeen ka intezaam karo. Hukm e ILAAHI ke moajab hazrat e MOOSA alaihis salaam jab gaar me pahonche to unhone wahan usi jawaan ko maraa hua paaya jisko Unhone pehle sheher aur phir basti se nikaala tha. Uske gird hoorein taaziyat karnewaalon ki tarah baithi hui thi. MOOSA alaihis salaam ne baargaah e ILAAHI me arz ki, "Aye RABBUL IZZAT ! Ye to wohi jawaan hai jise Maine TERE hukm se sheher aur basti se nikaal diya tha. RABBUL IZZAT ne farmaya, Aye MOOSA ! MAINE uske bohot zyada rone aur azeezon ke firaaq me tadapne ki wajah se uspar rehem kiya hai aur farishte ko uske baap ki aur hoor wa gulmaan ko uski maa, biwi aur bachhon ke hamshakl banaa kar bheja hai. Jo gurbat me uski takleefon par rote hain jab woh maraa to uski bechaargi par zameen o aasmaan wale roye. Aur MAIN ARHAMAR RAAHIMEEN phir kyun na uske gunaahon ko maaf karta. JAB MUSAAFIR, MUSAAFIRAT MEIN INTEQAAL KARTA HAI Jab kisi musaafir par nazaa (dam nikalna) ka aalam taari hota hai to ALLAH TA'ALA farishton se farmata hai ye bechara musaafir hai, apne ahl o ayaal aur waalidain wagaira ko chhod chuka hai, jab ye marega to is par koi taasif (afsos) karnewala bhi na hoga, tab ALLAH TA'ALA farishton ko uske waalidain, aulaad, aur khavesh wa aqaarib (dost wa ehbaab) ki shakl mein bhejta hai, jab wo unhe apne qareeb dekhta hai to unko apne khavesh wa aqaarib samajh kar had-darja masroor (khush) hota hai aur usi musarrat mein uski rooh parwaaz kar jaati hai, phir wo farishte pareshaan haal ho kar uske janaaze ke peeche peeche chalte hain aur qayaamat tak uski magfirat ki dua karte rehte hai. Farmaane ILAAHI hai: "ALLAH apne bandon par meherbaan hai." Ibne Ataa rehmatullah alaih kehte hai: Insaan ka sidq wa kizb (sach wa jhoot) uski museebat aur shaadmaani (khushi) ke waqt zaahir hota hai. jo shakhs shaadmaani wa khush haali mein to ALLAH TA'ALA ka shukr adaa karta hai magar masaaib (museebat) mein faryaad wa fugaan karta hai wo jhoota hai. Agar kisi ko do aalam ka ilm ataa kar diya jaaye phir us par masaaib ki yalgaar ho aur wo shikwa wa shikaayat karne lage to use uska ye ilm wa amal koi faida nahi dega(ye ilm bekaar hai ). Hadees e Qudsi hai: "ALLAH TA'ALA irshaad farmata hai: Jo MERI qaza par raazi nahi, MERI ataa par shukr nahi karta wo MERE siwa koi aur RAB talaash kare." HIQAAYAT .... Wahab bin Mamba kehte hai ALLAH ke ek NABI ne pachaas (50) baras ALLAH ki ibaadat ki, tab ALLAH TA'ALA ne us NABI ki taraf ye WAHI farmayi ke MAINE Tujhe baksh diya hai. NABI ne arz ki Aye ALLAH ! Maine to koi gunaah hi nahi kiya, baksha kis cheez ko gaya? ALLAH TA'ALA ne Unki ek rag ko band kardiya jiski wajah se wo saari raat na so sake. Subah ko jab unke paas farishta aaya to Unhone rag band ho jaane ki shikaayat ki, tab farishta bola, ALLAH TA'ALA farmata hai; Tere pachaas (50) baras ki ibaadat se Teri ye ek shikaayat afzun (zyada) hai. (is ibaadat par tu naazaan tha?) End of Baab 3..
Leave A Comment