BAAB 4
MUKAASHAFATUL QULOOB
RIYAAZAT WA KHWAAHISHAAT E NAFSAANI
MOOSA ALAIHIS SALAAM KO DUROOD PADHNE KA HUKM
ALLAH TA'ALA ne HAZRAT MOOSA alaihis salaam par WAHI naazil farmayi ke Aye MOOSA ! Agar tum chaahte ho ke MAIN tumhari zabaan par tumhare kalaam se , Tumhare dil mein khayaalaat se , tumhare badan mein tumhari rooh se ,tumhari aankhon mein noor e basaarat se aur tumhare kaanon mein quwwat e sama'at se zyada qareeb rahun to phir MOHAMMAD sallallahu alaihi wasallam par kasrat se durood bhejo.
ASSALAATO WASSALAAM U ALAIKA YA RASOOLALLAH.
(sallallahu alaihi wasallam)
Farmaane ILAAHI hai:
har nafs ye dekhe ke usne qayaamat ke liye kya amal kiye hai.
Aye insaan ! Achchi tarah samajh le ke tujhe buraayi ki taraf le jaanewala tera nafs tere shaitaan se bhi badaa dushman hai aur shaitaan ko tujh par teri khwaahishaat ki badaulat galba haasil hota hai, lihaaza tujhe tera nafs jhooti ummeedon aur dhoke mein daale hai, jo shaks be-khauf hua aur gaflat mein giraftaar hua, apne nafs ki pairwi karta hai, us insaan ka har daawa jhoota hai , agar tu nafs ki raza mein uski khwaahishaat ki itteba karega to halaaq ho jaayega aur agar uske muhaasba se gaafil hoga to behre isyaan mein garq ho jaayega. (gunaahon ke samandar me doob jaayega).
Agar tu us ki mukhaalifat se aajiz aakar uski khwaahishaat ki pairwi karega to ye tujhe naar e jahannam ki taraf kheench le jaayega. nafs ki baazgasht ( lautna) bhalaayi ki taraf nahi hai balki ye masaaib (museebaton ) ki jadh, sharmindagi ki kaan, iblees ka khazaana aur har buraayi ka thikaana hai aur iski fitna angeziyon ko siwaaye Aalim e khair wa shar ke yaani ALLAH TA'ALA ke siwa koi nahi jaanta.
FARMANE ILAAHI HAI:
"Aur ALLAH se daro ,beshak ALLAH tumhare tamaam aamaal se baa-khabar hai."
TAFSEER ABIL-LAIS REHMATULLAH ALAIH me hai, jab koi banda talab e Aakhirat ki wajah se apni guzishta ( guzri hui) zindagi par gaur o fikr karta hai to ye tafakkur (fikr karna) uske dil ke liye gusl ka kaam deta hai, jaisa ke farmane NABAWI hai, ek ghadi ka tafakkur saal bhar ki ibaadat se behtar hai..
lihaaza har aqalmand ke liye zaroori hai ke apne guzishta
(pichle) gunaahon ki magfirat talab kare, jin cheezon ka iqraar karta hai un mein tafakkur kare aur qayaamat ke din ke liye tosha banaaye , ummeedon ko kam kare, tauba mein jaldi kare.
ALLAH TA'ALA ka zikr karta rahe, haraam cheezon se airaaz kare aur nafs ko sabr par aamaada kare. Khwaahishaat e nafsaani ki itteba na kare kyunki nafs ek butt ki tarah hai jo nafs ki itteba karta hai wo goya butt ki itteba karta hai aur jo ikhlaas se ALLAH ki ibaadat karta hai, wo apne nafs par jabr karta hai.
HAZRAT E MAALIK BIN DEENAAR NE ANJEER KHANA CHAAHA
JANAAB E MAALIK BIN DEENAAR REHMATULLAH ALAIH ek din basra ke ek baazaar se guzar rahe the ke aapko anjeer nazar aaye, dil mein unhe khaane ki khwahish hui,dukaandaar ke paas pahonche aur kaha mere in jooton ke ewaz (badle) anjeer dedo,dukaandaar ne jooton ko purana dekhkar kaha inke badle me kuch nahi mil sakta, aap ye jawaab sunkar chal pade, kisi ne dukaandaar se kaha, jaante ho ye buzurg kaun the? Wo bola nahi, usne kaha ye mashhoor MADNI HAZRAT E MAALIK BIN DEENAAR RADIALLAHU ANHU the, wo dukaandaar ne jab ye suna to apne gulaam ko ek tokdi anjeeron se bhar kar di aur kaha agar janaab MAALIK BIN DEENAAR RADIALLAHU ANHU tujhse ye tokdi qubool karlein to is khidmat ke badle tu aazaad hai.gulaam bhaaga bhaaga aapki khidmat mein aaya aur arz ki huzoor ye qubool farmaiyye. Aapne kaha main nahi leta, gulaam bola agar aap ise qubool karlein to main aazaad ho jaunga ,aapne jawaab diya is me tere liye to aazaadi hai magar mere liye halaaqat hai, jab gulaam ne israar kiya to aapne farmaya ke maine qasam khaayi hai ke Deen ke ewaz (badle) me main anjeer nahi khaunga aur marte dam tak kabhi bhi anjeer nahi lunga .
ZINDAGI KI AAKHRI GHADI MEIN SABR
HAZRAT MAALIK BIN DEENAAR RADIALLAHU ANHU ko marz e wafaat mein is baat ki khwaahish hui ke main garm roti ka thareed banaakar khaun jis mein shehed aur doodh shaamil ho, chunaanche aapke hukm se khaadim ye tamaam cheezein lekar haazir hua. aap kuch der un cheezon ko dekhte rahe ,phir bole aye nafs ! Tu ne 30 saal mutawaatir ( lagaataar) sabr kiya hai ab zindagi ki is aakhri ghadi mein kya sabr nahi kar sakta? Ye kaha aur pyala chhord diya aur isi tarah sabr karte hue waasil e ba-haq ho gaye.
Haqeeqat ye hai ke ALLAH ke nek bandon yaani Ambiya, Auliya, Siddiqeen, Aashiqeen, aur Zaahideen ke haalaat aise hi the.
HAZRAT E SULAIMAAN ALAIHISSALAAM ka qaul hai ke jis shakhs ne apne nafs par qaabu paaya wo us shakhs se zyada taaqatwar hai jo tan-e-tanha ek sheher ko fatah kar leta hai.
HAZRAT E ALI RADIYALLAHU ANHU ka qaul hai ke main apne nafs ke saath bakriyon ke rewad (jhund) par aise ek jawaan ki tarah hun ke jab wo ek taraf unhe ikhatta karta hai to wo doosri taraf phail jaati hai.
Jo shakhs apne nafs ko fanaa (mita) kar deta hai, use rehmat ke kafan mein lapet kar karaamat ki zameen mein dafan kiya jaata hai, aur jo shakhs apne zameer (qalb) ko khatam kar deta hai use laanat ke kafan mein lapet kar azaab ki zameen mein dafan kiya jaata hai.
JANAAB YAHYA BIN MAAZ RAAZI REHMATULLAH ALAIH kehte hai ke apne nafs ka taa'at wa bandagi karke muqaabla karo, riyaazat, shab bedaari ( raat ka jaagna), qaleel guftagu (kam bolna), logon ki takleefon ko bardaasht karna aur kam khaane ka naam hai, kam sone se khayaalaat paakeeza hote hai, kam bolne se insaan aafaaton se mehfooz rehta hai, takleefein bardaasht karne se darjaat buland hote hai, aur kam khaane se shahwaat e nafsaani khatam ho jaati hai kyunki bohot khaana dil ki siyaahi aur use giraftaare zulmat karna hai, bhook hikmat ka Noor hai aur sair hona ALLAH TA'ALA se door kar deta hai.
FARMANE NABI SALLALLAHU ALAHI WASALLAM hai:
Apne quloob (dilon) ko bhook se munnawwar (raushan) karo, apne nafs ka bhook pyaas se muqaabla karo aur hamesha bhook ki tausat (waseele) se Jannat ka darwaza khatkhataate raho, bhooke rehnewaale ko mujaahid fi sabeelillaah (ALLAH ke raaste me ladnewale) ke sawaab ke baraabar sawaab milta hai aur ALLAH TA'ALA ke nazdeek bhooke pyaase rehne se behtareen koi amal nahi, aasmaan ke farishte us insaan ke paas bilkul nahi aate jisne apna pet bhar kar ibaadat ka mazaa kho diya ho.
Minhaajul Aabideen me HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE radiyallahu ta'ala anhu ka ye qaul mazkoor hai ke Main jab se Imaan laaya hun, kabhi pet bhar kar khana nahi khaya taake main apne RAB ki ibaadat ka mazaa haasil kar sakun. Aur apne RAB ke shauk e deedaar ki wajah se kabhi sair ho kar paani nahi piya hai isliye ke bohot khane se ibaadat me kami waqai ho jaati hai kyun ke jab insaan khoob sair hokar kha leta hai to uska jism giraan ( bhaari) aur aankhein neend se bojhal ho jaati hai uske aazaa e badan dheele padh jaate hai phir wo ba-wajood koshish ke siwaaye neend ke kuch bhi haasil nahi kar paata aur is tarah wo us murdaar ki maanind ( tarah) ban jaata hai jo rehguzar (raaste) me padaa ho.
MUNIYATAL MUFTI mein hai ke janaab Luqmaan hakeem ne apne bete se kaha khaana aur sona kam karo kyunki jo shakhs zyada khaata hai aur zyada sota hai wo Qayaamat ke din aamaal e swaaleh (nek kaamon) se khaali haath hoga.
FARMANE NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hai ke apne dilon ko zyada khaane peene se halaaq na karo, jis tara zyada paani se kheti tabaah ho jaati hai usi tarah zyada khaane peene se dil halaaq ho jaata hai.
Nek logon ne maida ko aisi haandi se misaal di hai jo ubalti rehti hai aur uske bukhaaraat (bhaap) baraabar dil par pohonchte rehte hai, phir unhi bukhaaraat (bhaap) ki kasrat dil ko galeez aur kasheef (ghanda aur maila) bana deta hai, zyada khaane se ilm o fikr mein kami waaqe' ho jati hai aur shikam puri (pet bharna) fataanat aur zakaawat (aqlmandi wa zehaanat) ko barbaad kar deti hai.
HIKAYAT.;
HAZRAT YAHYA BIN ZAKARIA ALAIHISSALAAM ne shaitaan ko dekha wo bohot se daam ( phanda, jaal ) uthaye hue tha, AAP ne poocha ye kya hai? shaitaan ne kaha ye khwaahishaat hai, jinse main ibne Aadam ko qaid karta hun, AAP ne farmaya mere liye bhi koi phanda hai?
shaitaan bola nahi magar ek raat AAP ne pet bhar kar khaana kha liya tha jis se AAP ko namaz mein susti paida ho gayi thi, tab HAZRAT E YAHYA ALAIHISSALAAM bole, aainda main kabhi bhi pet bhar kar khaana nahi khaunga. shaitaan bola agar ye baat hai to main bhi aainda kisi ko naseehat nahi karunga.
ye us muqaddas hasti ka haal hai jisne saari umr me sirf ek raat pet bhar kar khaana khaaya tha, us shakhs ka kya haal hoga jo umr bhar kabhi bhi bhooka nahi rehta aur pet bhar kar khaana khaata hai aur us par wo chaahta hai ke wo ibaadat guzaar ban jaaye.
HIKAYAT:
HAZRAT E YAHYA ALAIHISSALAAM ne ek raat jau ki roti pet bhar kar khaa li aur ibaadat e ILAAHI mein haazir na hue, ALLAH TA'ALA ne WAHI ki aye YAHYA! kya tu ne is duniya ko Aakhirat se behtar samjha hai ya MERE jawaare Rehmat se behtar tu ne koi jawaar paa liya hai.
MUJHE izzat wa jalaal ki qasam agar tu Jannatul firdaus ka nazaara kar le aur jahannam ko dekhle to aansuon ke badle khoon roye aur is marqaye (achhe libaas) ki bajaaye lohe ka libaas pehne.
End of baab 4....