Rajab, tarjeeb se mushtaq hai jiske Maana taazeem ke hai, usey asab bhi kaha gaya hai kyunki ismein tauba karnewalon par rehmat oondeli jaati hai aur nek amal karnewalon par qabooliyat ke anwaar ka faizaan hota hai. Isey asam bhi kaha gaya hai kyunki ismein jung aur qitaal wagairah mehsoos nahi kiya jaata. (ek qaul yeh hai ke Rajab jannat ki ek neher ka naam hai jiska paani doodh se zyada safed , shehed se zyada meetha aur barf se zyada thanda hai, uska paani wohi piyega jo Rajab mein roze rakhta hai.)
Farmane NABAWI ﷺ hai ke Rajab ALLAH ka mahina, Shaabaan MERA mahina aur Ramzan MERI ummat ka mahina hai. Ramz shanaas logon ka kehna hai ke Rajab ke teen huroof hai ‘re’, ‘jeem’ aur ‘be’, ‘re’ se rehmat ILAAHI, ‘jeem’ se bande ke jurm aur galtiyaan aur ‘be’ se ALLAH TA’ALA ki meherbaaniyaan muraad hai, goya ALLAH farmata hai ke MAIN APNE bande ke gunaahon ko APNI rehmat  aur meherbaaniyon mein samo leta hun.

HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se marwi hai RASOOLALLAH ﷺ ne farmaya ke jisne Rajab ki 27vin ka roza rakha uske liye 60 maah ke rozon ka sawaab likha jaata hai ,yeh pehla din hai jis mein HAZRATE JIBRAEEL عليه السلام HUZOOR ﷺ ke liye paigaam e ILAAHI lekar naazil huwe aur isi mahine mein HUZOOR ﷺ ko me’raaj shareef ka sharf haasil hua .
Farmaane NABAWI ﷺ hai ke baakhabar ho jao, Rajab ALLAH TA’ALA ka maahe asam hai, jisne Rajab mein ek din imaan aur talab e sawaab ki neeyat se roza rakha usne ALLAH TA’ALA ki azeem raza-mandi ko apne liye waajib kar liya.
Kaha gaya hai ke ALLAH TA’ALA ne mahinon mein se chaar mahinon ko zeenat bakshi hai, Zil qaada, Zilhijja, Moharram aur Rajab, isiliye farmane ILAAHI hai ke ” inmein se chaar mahine Haraam hain” inmein se teen mahine mile huwe hai aur ek tanha hai aur woh hai maahe Rajab ul murajjab.

HIKAAYAT ;

Bait ul Maqdas mein ek aurat Rajab ke har din mein 12,000 martaba قل هو الله احد  padha karti thi aur maahe Rajab ul murajjab mein adnaa libaas pehenti thi, ek baar woh beemaar ho gayi aur usne apne bete ko waseeyat ki ke usey bakri ke pashmeeñ  libaas samet dafan kiya jaaye. jab woh mar gayi to uske farzand ne usey oomda kapdon ka kafan pehnaya ,raat ko usne khwaab mein maa ko dekha woh keh rahi thi, main tujhse raazi nahi hun kyunki tu ne meri waseeyat ke khilaaf kiya hai. Woh ghabra ke uth baitha, apni maa ka woh libaas uthaaya taaki usey bhi qabr mein dafan kar aaye, usne jaa kar maa ki qabr khodi magar usey qabr mein kuch naa mila, woh bohot hairaan hua tab usne yeh nidaa suni ke kya tujhe maaloom nahi ke jisne Rajab mein HAMAARI itaa’at ki ,HUM usey tanha aur akela nahi chordte.
Riwaayat hai ke jab Rajab ke awwaleen jumuah ki ek tihaayi raat guzarti hai to koi farishta baaqi nahi rehta magar sab rajab ke rozedaaron ke liye bakshish ki dua karte hai.
HAZRATE ANAS رضي الله عنه se marwi hai HUZOOR ﷺ ne farmaya jisne maahe Haraam ( Rajab ) mein teen roze rakhe, uske liye nau saal ki ibaadat ka sawaab likha jaata hai. HAZRATE ANAS رضي الله عنه ne farmaya MERE donon kaan behre hon agar MAINE HUZOOR ﷺ se yeh baat naa suni ho.

NUKTA :

Maahe Haraam chaar hai, afzal tareen Farishte chaar hai, naazil karda kitaabon me se afzal kitaabein chaar hai, wuzu ke aazaa chaar hai , afzal tareen kalmaate e tasbeeh chaar hai (yaani سبحان الله والحمد لله ولا إله إلا الله والله اكبر  ) hisaab ke ahem arkaan chaar hai, ikaaiya, dahaaiya, sainkde aur hazaar. Auqaat chaar hai, saa’at, din, mahina aur saal , saal ke mausam chaar hai, sarma, garma, bahaar aur khizaañ (patjhad). Tabaa’e  chaar hai, haraarat, baroodat, yaboosat aur rutubat. Badan ke hukmaraan chaar hai, safraa, sauda, khoon aur balgam aur Khulfaaye Raashideen bhi chaar hai,  HAZRATE ABU BAKR, HAZRATE UMAR, HAZRATE USMAN AUR HAZRATE ALI رضوان الله عليهم  أجمعين.
Dailmi  ne HAZRATE AYESHA رضي الله عنها se ek riwaayat naql ki hai ke NABI E AKRAM ﷺ ne farmaya ALLAH TA’ALA chaar raaton mein khair wa barkat ki baarish karta hai, Eid ul adha ki raat  , Eid ul fitr ki raat , Pandhrawi Shaabaan ki raat aur Rajab ul Murajjab ki pehli raat.
Dailmi ne HAZRATE ABI UMAAMA رضي الله عنه se yeh riwaayat bhi naql ki hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya paanch raatein aisi hai jinmein koi dua radd nahi ki jaati , Rajab ki pehli raat , Pandhra Shaabaan ki raat, Jumuah ki raat aur do raatein Eidain ki.

END OF BAAB 100 Mukashifatul Quloob