BAAB 18
FAZEELAT E REHEM:
RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irshad hai, Jannat mein rehem karnewala hi daakhil hoga, SAHABA e KIRAAM ne kaha hum sab rehem
karnewale hai, AAPNE farmaya raheem wo nahi jo apne aap par rehem kare balki raheem wo hai jo apne aap par aur doosron par rehem kare.
REHAM KI HAQEEQAT:
Apne aap par rehem karne ka matlab ye hai ke khuloos dil se ibaadat karke gunaahon se kinaarakash (alag) ho kar aur tauba karke apne wajood ko ALLAH ke azaab se bachaaye, doosron par rehem ye hai ke kisi musalmaan ko takleef na de.
Farmane HUZOOR E ANWAR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hai, musalmaan wo hai jiske haath aur zabaan se log mehfooz rahe. aur wo jaanwaron par rehem kare, unse unki taaqat ke mutaabiq kaam le.
HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka farmaan hai, ek shakhs safar mein jaa raha tha ke use raaste mein sakht pyaas lagi, use qareeb hi ek quwaan nazar aaya , jab quwein se paani pee kar chala to dekha ek kutta pyaas ke maare zabaan baahar nikaale pada hai, use khayaal aaya ke use bhi meri tarah pyaas lagi hogi, wo waapas gaya , munh mein paani bhar kar kutte ke paas aaya aur use pila diya, ALLAH TA’ALA ne mehez isi rehem ki badaulat uske gunaahon ko maaf kar diya.
SAHABA E KIRAAM ne sawaal kiya YA RASOOLALLAH ! SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM jaanwaron par shafqat (hamdardi) karne se bhi hamein sawaab milta hai? AAPNE farmaya har zee rooh (jaandaar) par shafqat ka ajr (sawab) milta hai.
HAZRATE ANAS BIN MAALIK RADIYALLAHU ANHU se marwi hai , Ek raat HAZRAT E UMAR RADIYALLAHU ANHU gasht laga rahe the ke AAP ka guzar ek qaafile se hua , AAP ko andesha laahiq hua kahin koi unka saamaan na chura le, raaste mein unhe HAZRAT E ABDUL REHMAN BIN AUF RADIYALLAHU ANHU mile aur UNHONE poocha AMEERUL MOMINEEN ! Is waqt kahan tashreef le jaa rahe hai? AAPNE farmaya ek qaafila qareeb utra hai , mujhe dar hai kahin koi chor unka saamaan na le jaaye, chalo unki nigehbaani karein. ye dono HAZRAAT qaafile ke qareeb jaa kar baith gaye aur saari raat pehra dete rahe yahan tak ke subah ho gayi, HAZRATE UMAR RADIYALLAHU ANHU ne awaaz di aye qaafilewalon ! Namaz ke liye utho! Jab qaafila jaag gaya to ye HAZRAAT waapas laute.
Pas hamare liye zaroori hai ke hum SAHABA e KIRAAM ke naqshe qadam par chalein , ALLAH TA’ALA ne unki taareef mein irshaad farmaya ….
“WO musalmaanon par balki tamaam makhlooq par rehem karnewale hai yahan tak ke zimmi kaafir (gair muslim jo islaami sultanat me rahe aur jizya adaa kare) bhi UNKI nigaahe shafqat se mehroom na rahe.”
Note: fee zamaanina koi bhi zimmi kaafir nahi isliye aaj ke kafiron se shafqat ki ijaazat nahi..
HAZRATE UMAR RADIYALLAHU ANHU ne ek boodhe zimmi ko logon ke darwaazon par bheek maangte hue dekha to farmaya HUM ne tere saath insaaf nahi kiya, Jawaani mein tujhse jizya lete rahe aur budhaape mein tujhe darbadar thokarein khaane ko chord diya, AAPNE usi waqt baitul maal se uska wazifa muqarrar kar diya.
HAZRATE ALI KARAMULLAH WAJ HA HU se marwi hai maine ek subah HAZRAT E UMAR RADIYALLAHU ANHU ko dekha ek waadi (bolnewaale) oonth par sawaar chale jaa rahe hai, maine poocha AMEERUL MOMINEEN! kahan jaa rahe hai? AAPNE farmaya sadqa ke oonth mein se ek oonth gum ho gaya hai, use talaash kar raha hun, maine kaha AAPNE baad mein aanewale KHULAFAA ko mushkil mein daal diya hai, HAZRAT E UMAR RADIYALLAHU ANHU ne jawaab mein kaha AYE ABUL HASAN (RADIYALLAHU ANHU) mujhe malaamat na karo, RABBE ZUL JALAAL ki qasam ! JISNE MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ko NABI E BARHAQ banaakar bheja , agar darya e furaat ke kinaare ek saal ke bhed ka bachcha bhi mar jaaye to qayaamat ke din uske baare mein muakhaza (pakad) hoga kyunki us AMEER ki koi izzat nahi jisne musalmaanon ko halaaq kar diya aur naa hi us badbakht ka koi maqaam hai jisne musalmaanon ko khaufzada kiya.
REHEM KE BAARE MEIN IRSHAADAT E NABAWIYA:
Farmane MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hai, MERI ummat ke log Jannat mein namaaz, rozon ki kasrat se nahi balki dilon ki salaamati , sakhaawat, aur musalmaanon par rehem karne ki badaulat daakhil honge.
HUZOOR E ANWAR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irshaad hai, Rehem karnewalon par ALLAH TA’ALA rehem karta hai, Tum zameen waalon par rehem karo AASMAANWALA tum par rehem farmayega.
Farmane NABAWI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hai jo kisi par rehem nahi karta, us par rehem nahi kiya jaata, jo kisi ko nahi bakhashta use nahi baksha jaata.
HAZRATE MAALIK BIN ANAS RADIYALLAHU ANHU se marwi hai, HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya tum par musalmaanon ke 4 huqooq hai apne mohsin ki imdaad karo, gunahgaaron ke liye magfirat talab karo, mareez ki ayaadat karo, aur tauba karnewalon ko dost rakho.
Riwaayat hai ke HAZRATE MOOSA ALAIHISSALAAM ne ALLAH TA’ALA se sawaal kiya AYE ALLAH! TU ne mujhe kis wajah se safi banaaya hai? RAB TA’ALA ne farmaya makhlooq par Tere rehem karne ki wajah se.
HAZRATE ABU DARDA RADIYALLAHU ANHU bachchon se chidiya khareed kar unhe chord dete aur farmate jao aazaadi ki zindagi basar karo.
Farmane NABAWI hai ke rehmat, shafaqqat, aur mohabbat mein tamaam musalmaan ek jism ki tarah hai, jab jism ka koi azu (hissa) takleef mein mubtala ho jaata hai to saara jism us dard aur takleef mein mubtala ho jaata hai.
HIKAAYAT:
BANI ISRAIL par sakht qahet ka zamana tha, ek aabid ka ret ke teele se guzar hua to uske dil mein khayaal aaya kaash ye ret ka teela aate ka teela hota aur main us se BANI ISRAIL ka pet bharwata, ALLAH TA’ALA ne BANI ISRAIL ke NABI ki taraf Wahi bheji , MERE us bande se kehdo ke tujhe is teele ke baraabar BANI ISRAIL ko aata khilaane se jitna sawaab milta HUMNE tumhari is niyyat ki badaulat hi utna sawaab de diya hai, isi liye farmane NABAWI hai, momin ki niyyat uske amal se behtar hai.
HIKAAYAT:
HAZRAT E ISAA ALAIHISSALAAM ek martaba kahin jaa rahe the, AAPNE shaitaan ko dekha ek haath mein shahed aur doosre mein raakh liye chala jaa raha tha, AAPNE poocha aye dushman e KHUDA ! Ye shahed aur raakh tere kis kaam aati hai, shaitaan ne kaha shahed geebat karnewalon ke honton par lagaata hun taake wo aur aage badhe , raakh yateemon ke chehron par malta hun taake log unse nafrat kare.
HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya jab yateem ko dukh diya jaata hai to uske rone se ALLAH TA’ALA ka arsh kaanp jaata hai aur RABBE ZUL JALAAL farmata hai aye farishton ! is yateem ko jiska baap mano-mitti tale dafn ho chuka hai , kisne rulaaya hai?
HUZOOR E ANWAR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irshaad hai ke jisne yateem ke libaas wa ta’aam ki zimmedaari le li ALLAH TA’ALA ne uske liye Jannat waajib kardiya. Rauzatul ulmaa mein hai ke HAZRATE IBRAHIM ALAIHISSALAAM khaane se pehle meel do meel ka chakkar lagaakar mehmaanon ko talaash kiya karte the .
Ek martaba HAZRATE ALI KARAMULLAH WAJ HA HU ro pade, Poocha gaya AAP kyun roye ? AAPNE farmaya ek hafta ho gaya ,mere yahaan koi mehmaan nahi aaya, shaayad ALLAH TA’ALA mujhse khush nahi hai.
Farmane NABAWI hai jo kisi bhooke ko FI SABEELILLAAH khaana khilaata hai uske liye Jannat waajib ho jaati hai aur jisne kisi bhooke se khaana rok liya ALLAH TA’ALA qayaamat ke din us shakhs se apna fazl o karam rok lega aur use azaab dega.
SAKHI ALLAH KE QAREEB AUR JAHANNAM SE DOOR HOTA HAI:
Farmane NABAWI hai sakhi ALLAH TA’ALA, Jannat aur logon ke qareeb hota hai aur jahannam se door hota hai, bakheel ALLAH TA’ALA, Jannat aur logon se door hota hai aur jahannam se qareeb hota hai, farmane NABAWI hai ke jaahil sakhi ALLAH TA’ALA ko aabid bakheel se zyada pasand hai. Farmane NABAWI hai ke qayaamat ke din 4 shakhs bila hisaab Jannat mein daakhil honge, aalim e baa’amal, haaji jisne hajj ke baad maut tak gunaahon ka irtekaab na kiya , shaheed jo ALLAH ke kalme ko buland karne ke liye maidaan e jung mein maara gaya, sakhi jisne maal e halaal kamaaya aur ALLAH ki raza jui mein kharch kar diya.
ye log ek doosre se is baat par jhagdenge ke Jannat mein pehle kaun daakhil hota hai.
HAZRATE IBNE ABBAS RADIYALLAHU ANHU se marwi hai ke HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya , ALLAH ne apne baaz bandon ko maal o daulat se maalaamaal kar diya taake wo logon ko faida pohonchaate rahe jo shakhs faida pohonchane mein pas o pesh (hichkichaata hai) karta hai, ALLAH TA’ALA uski daulat kisi aur ko de deta hai.
Farmane NABAWI hai , sakhaawat bahisht ka ek darakht hai jiski shaakhein zameen par jhuki hui hai jisne us ki kisi shaakh ko thaam liya wo use Jannat mein le jaayegi.
HAZRATE JAABIR RADIYALLAHU ANHU se marwi hai ,HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se poocha gaya ke kaunsa amal afzal hai ? AAPNE farmaya sabr aur sakhaawat.
HAZRATE MIQDAAM BIN SHURAIH REHMATULLAH ALAIH apne waalid aur apne jadd se riwaayat karte hai , unke dada ne HUZOOR ki khidmat mein arz ki ke mujhe aisa amal batlaaiye jo mujhe Jannat ka makeen bana de. AAPNE farmaya magfirat ke asbaab mein se khaana khilaana , salaam karna aur khush akhlaaqi hai.
END OF BAAB 18.Mukashifatul quloob

Leave A Comment