quran hadees in hindi ilm k bare me hadees ulma ki hadees BAAB 87
QURAAN, ILM AUR ULEMAA :
NABI E AKRAM ﷺ ka irshaad hai ke jisne Quran e majeed ki tilaawat ki , phir yeh samjha ke kisi ko is se bhi oomda cheez di gayi hai to goya usne ALLAH TA’ALA ki azmat ko maamooli samjha hai.
irshaad e NABWI ﷺ hai ke ALLAH TA’ALA ke paas Quran e majeed se zyada martaba wala koi shafee’ nahi hai , ek aur farmaan hai ke MERI ummat ki behtareen ibaadat Quran e majeed ki tilaawat hai , ek aur irshaad hai ke tum mein se zyada behtar woh hai jo Quran e majeed padhe aur padhaaye , mazeed farmaya ke dilon ko zang is tarah lag jaata hai jaise lohe ko , arz kiya gaya uski chamak damak phir kaise laut-ti hai? AAPNE farmaya tilaawat e Quran aur maut ko yaad karne se .
JANAAB E FUZAIL BIN AYAAZ رضي الله عنه ka qaul hai ke Quran e kareem ka ilm rakhne wala islam ka jhanda uthaane wala hai lihaaza uske liye yeh munaasib nahi ke woh lahv wa laib mein mashgool logon ke saath mil kar lahv wa laib mein mashgool ho jaaye, bhoolne wale ke saath bhoole nahi aur behuda logon ke saath milkar behoodgi na kare kyunki yeh Quran e majeed ki taazeem ke khilaaf hai , AAPNE mazeed farmaya jo subah karte hi surah HASHR ki aakhri aayaat ki tilaawat karta hai, agar woh usi din mar jaaye to usey shaheedon mein likha jaata hai aur us par shaheedon ki mohar lagaayi jaati hai aur jo shakhs inko raat ki ibteda mein tilaawat karta hai aur agar woh usi raat mein mar jaaye to us par shaheedon ki mohar lagaayi jaati hai.
ILM AUR ULEMA KI FAZEELAT
:
Is silsile mein bohot hi kasrat se ahaadees waarid hain chunaanche HUZOOR ﷺ farmaate hai ke ALLAH TA’ALA jis shakhs se bhalaayi ka iraada farmaata hai usey Deen ki samajh deta hai aur usey raah e raast ki hidaayat farmaata hai.
neez irshaad e GIRAAMI hai ke Ulema , AMBIYA E KIRAAM عليه السلام ke waaris hai aur yeh badihee baat hai ke AMBIYA E KIRAAM عليه السلام se badhkar kisi ka rutba nahi aur AMBIYA E KIRAAM عليه السلام ke waarison se badhkar kisi waaris ka martaba nahi.
Farmaane NABAWI ﷺ hai ke sab logon se afzal woh momin Aalim hai ke jab uski taraf ruju kiya jaaye to woh nafa de aislamic hiqayat articles on islam urdu 32ur jab us sey beniyaazi barti jaaye to woh bhi beniyaaz ho jaaye.
neez irshaad farmaya ke martaba e NABUWWAT se sabse zyaada qareeb, Aalim aur Mujaahid hai, Ulema isliye ke unhone RASOOLON ke paigaamaat ko logon tak pohonchaaye aur Mujaahid isliye ke unhone AMBIYA E KIRAAM عليه السلام ke ahkaamaat ko ba-zore shamsheer poora kiya aur unke ahkaamaat ki pairwi ki , mazeed irshaad hai ke poore qabeele ki maut ek Aalim ki maut se aasaan hai.
aur farmaya ke qayamat ke din Ulema ki siyaahi ki dawaatein shohda ke khoon ke baraabar tauli jaayegi.
HUZOOR ﷺ ka farmaan hai ke Aalim ilm se kabhi sair nahi hota yahan tak ke jannat mein pohonch jaata hai, mazeed farmaaya ke MERI ummat ki halaaqat do cheezon mein hai, ilm ka chord dena aur maal ka jamaa karna.
Ek aur irshaad hai ke Aalim ban ya muta’allim , ya ilmi guftugu sunne waala ya ilm se mohabbat karne waala ban aur paanchwa yaani ilm se bugz rakhne waala naa ban ke halaak ho jaayega. aur farmaaya takabbur ilm ke liye bohot badi museebat hai.
Hukma ka qaul hai ke sardaari ke husool ke liye ilm haasil karta hai woh taufeeq aur ra’yyat ke ausaaf kho deta hai .BAAB 43 ZINDAGI KE BAARE MEIN GAUR WA FIKR
Farmaane ILAAHI hai :-
“Albatta MAIN APNI nishaaniyon se aise logon ko pher dunga jo duniya mein takabbur karte hain.”sabr in islam sabr quotes sin sabr raza qanaat
hadees nabi HAZRATE SHAFAEE رضي الله عنه ka qaul hai ke jisne Quran ka ilm seekha uski qeemat badh gayi , jisne ilm e fiqah seekha uski qadr badh gayi , jisne hadees seekhi uski daleel qawi huwi , jisne hisaab seekha uski aql pukhta huwi , jisne naadir baatein seekhi uski tabiyat narm huwi aur jis shakhs ne apni izzat nahi ki usey ilm ne koi faaida na diya.
HAZRATE HASAN BIN ALI رضي الله عنهما ka irshaad hai ke jo shakhs Ulema ki mehfil mein aksar haazir hota hai uski zabaan ki rukaawat door hoti hai , zehen ki uljhanein khul jaati hai aur jo kuch woh haasil karta hai uske liye musarrat ka sabab hota hai , uska ilm uske liye ek wilaayat hai aur faaidamand hota hai .
Farmaane NABAWI ﷺ hai ke ALLAH TA’ALA jis bande ko radd kar deta hai , ilm ko us sey door kar deta hai , ek aur irshaad mein hai ke jihaalat se badh kar koi faqr nahi hai.
END OF BAAB 87MOHABBAT AUR NAFS KA MAHAASABA
Leave A Comment