AAFAAT E QAYAMAT :
Marwi hai ke HAZRATE AYESHA SIDDIQA رضي الله عنها ne HUZOOR ﷺ se daryaaft kiya ke YAA RASOOLALLAH ! ﷺ kya qayamat ke din dost dost ko yaad karega? AAPNE farmaya teen jagaahon par koi kisiko yaad nahi karega,
Meezaan e amal ke waqt yahan tak ke woh apna halka ya bhaari paldaa dekh naa le, Naama e aamaal ke udne ke waqt yaa to usey daayein haath  yaa baayein haath mein naame aamaal de diya jaaye aur us waqt jabke jahannam se aag ki gardan baahar niklegi aur logon ki taraf  badhti chali aayegi aur kahegi main har mushrik , sarkash, mutakabbir aur us shakhs par muqarrar ki gayi hun jo qayamat ke din par Imaan nahi rakhhta tha, pas woh unhein apne sholon mein lapet kar jahannam ki ghaatiyon mein daal degi aur jahannam par baal se baareek aur talwaar ki dhaar se zyada  tez Pul hai aur us par kaante honge , log us par bijli ki chamak  aur tez hawa ki tarah guzreinge .

SOOR E ISRAAFEEL KI HAQEEQAT:

HAZRATE ABU HURAIRAH  رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya jab ALLAH TA’ALA ne zameen o aasmaan ko paida farmaya to phir soor ko paida farmaya aur ISRAAFEEL ko diya WOH usey munh mein rakhe, arsh ki taraf nigaah jamaye khade hai ke kab USEY soor phoonkne ka hukm milta hai. ABU HURAIRAH  رضي الله عنه kehte hai Maine arz ki Yaa RASOOLALLAH ! ﷺ Soor kya hai? AAPNE farmaya woh bail ka ek seengh hai . Maine kahaa woh kaisa hai? AAPNE farmaya bohot bade daaire wala hai , qasam hai US zaat ki JISNE MUJHE haq ke saath mab’oos farmaya hai ,uske daaire ka qatar (ghera) zameen aur aasmaan ki chaudaayi ke baraabar hai, usey teen martaba phoonka jaayega , pehle ghabraahat ke liye, doosre maut ke liye aur teesri  martaba qabron se uthne ke liye, phir roohein aisi niklegi jaise shehed ki makhkhiyaan, woh zameen o aasmaan ke khala ko bhar degi aur naak ke raaste jismon mein daakhil ho jaayegi, phir farmaya sabse pehle MERI qabr phategi.

Doosri riwaayat mein hai, tab ALLAH TA’ALA JIBRAEEL, MIKAYEEL aur  ISRAAFEEL ko zinda karega,  Woh HUZOOR ﷺ ki qabr e Anwar ki taraf aayenge ,UNKE saath buraaq aur Jannati libaas honge, phir HUZOOR ﷺ ki qabr e Anwar shak hongi aur AAP JIBRAEEL E AMEEN ko dekhkar farmayenge ke ye kaunsa din hai? JIBRAEEL arz karenge , ye Roz e Qayamat hai, ye museebat ka din hai, ye sakhti ka din hai. AAP farmayenge aye JIBRAEEL! ALLAH TA’ALA ne MERI ummat ke saath kaisa sulook kiya hai? JIBRAEEL arz karenge AAPKO bashaarat ho ke sabse pehle shakhs AAP hai jinki qabr shak huwi hai.
HAZRATE ABU HURAIRAH  رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke ALLAH TA’ALA farmayega, aye jinn o ins ! MAINE tumhein naseehat ki thi, lo tumhare naam e aamaal mein tumhare aamaal darj hai , jo apna saheefa achcha paye woh ALLAH ki Hamd kare aur jo usey behtar naa paaye  woh apne aap ko malaamat kare.

JANAABE YAHYA BIN MA’AZ RAAZI رضي الله عنه se manqool hai ke  unhone apni majlis mein ye aayaat suni:
“us din hum parhezgaaron ko REHMAAN ki taraf jamaa karenge , wafad ki soorat mein.”
Yaani woh sawaar ho kar ALLAH ki baargaah mein haazir honge
“Aur HUM mujrimon  ko jahannam ki taraf pyaasa haankenge.”
Yaani woh paidal aur pyaase ALLAH ki baargaah mein jayenge, to AAPNE farmaya, aye logon ! Neki aur bhalaayi mein pesh-pesh raho.  Kal tum hashr ke din qabron se uthaaye jaoge aur mukhtalif simton se fauj dar fauj aaoge , ALLAH ke saamne Akeley Akeley khade honge aur tumse ek ek harf ka sawaal kiya jaayega, nek log ALLAH ki baargaah mein sawaar  ho kar giroh dar giroh aayenge, badkaaron ko paidal aur pyaasa laaya jaayega  aur log jamaa’at dar jamaa’at jahannam mein daakhil honge. Aye bhaiyyon!  Tumhare aage ek aisa din hai jo tumhare saal aur maah ke andaazon ke mutaabiq 50,000 baras ka hai jo halchal machaane wala aur bhaag daud ka din hai jis din log KHAALIQ E QAINAAT ki baargaah mein khade honge jo hasrat, afsos, nukta-cheeni , muhaasaba, cheekh o pukaar , museebat , sakhti aur dobaara zindaa hone ka din hai, jis din insaan apne kiye huwe aamaal dekhega, afsos aur  pachtaawe ka din, jis din baaz chehre safed aur baaz siyaah (kaale) honge , jis din kisi ko maal aur aulaad faida nahi degi, magar jo qalb e saleem lekar aayega wohi faida paayega, jis din zaalimon ko maazirat koi faida nahi degi aur unke liye laanat aur bura thikaana hoga.

JANAABE MAQAATIL BIN SULAIMAAN  رضي الله عنه ka qaul hai ke qayamat ke din makhlooq sau (100) baras kaamil khaamosh rahegi aur log sau baras tak taareekiyon mein hairaan wa pareshaan rahenge aur sau baras woh ek doosre par chadh daudenge ,RABB ke haan jhagde karenge ,qayamat ke din ki tawaalat 50,000 baras ki hongi, magar momin mukhlis par aise guzrega , jitna halki farz namaaz padhne mein waqt sarf hota hai.
FARMANE NABAWI ﷺ hai ke bande ke qadam us waqt tak nahi hilenge jab tak ke us se chaar cheezon ka sawaal nahi kar liya jaayega,
usne apni umr kaise sarf ki,
Apne aap ko kisi cheez mein masroof rakha,
apne ilm par kitna amal kiya aur daulat kaise kamaayi aur kaise kharch ki hai?
HAZRATE IBNE ABBAS  رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke ALLAH TA’ALA ne har ek NABI ko qubool honewaali ek ek dua ataa farmayi thi, UN sab ne apni apni woh dua duniya mein maang li magar MAINE Apni dua ko qayamat ke din Apni ummat ki shafaa’at ke liye mehfooz rakh liya hai.
AYE RABB E ZULJALAAL!  RASOOLALLAH ﷺ ki hurmat wa tauqeer ke tufail hamein bhi UNKI shafaa’at se mehroom na farma, sallallahu alaihi wa aalihi wa as haabihi wasallim.

Mukashifatul quloob
END OF BAAB 64 az imam gazali