BAAB 45 MUKAASHAFATUL QULOOB
HAALAAT WA SAWAALAAT E QABR :
Farmane NABAWI ﷺ hai, jab mayyat ko qabr mein rakha jaata hai to qabr kehti hai aye insaan tujh par afsos hai, tujhe mere baare mein kis cheez ne dhoke mein daala tha ? Kya tujhe maaloom nahi tha ke main aazmaayishon, taarikiyon, tanhaayi aur keede makaude ka ghar hun, jab tu mujh par se aage peeche qadam rakhta guzra karta tha to tujhe kaunsa guroor ghere hota tha ? Agar mayyat nek hoti hai to uski taraf se koi jawaab denewala qabr ko jawaab deta hai, kya tujhe maaloom nahi hai ye shakhs nekiyon ka hukm deta aur buraaiyyon se roka karta tha. qabr kehti hai tab to main iske liye sabze (hariyaali) mein tabdeel ho jaaungi, uska jism nooraani ban jaayega aur uski rooh ALLAH TA'ALA ke qurb e rehmat mein jaayegi.
MADFAN KI NIDAA (PUKAAR) :
UBAID BIN UMAIR ALLAISI رحمت لله عليه se marwi hai ke jab koi shakhs marta hai to zameen ka wo tukda jis mein usko dafan hona hota hai ,nidaa karta hai ke main taareeki aur tanhaayi ka ghar hun , agar tu apni zindagi mein nek amal karta raha to main aaj tujh par saraapa rehmat ban jaunga aur agar tu naafarmaan tha to main aaj tere liye sazaa ban jaaungi. main wo hun ke jo mujh mein HAQ ka farmaabardaar ban kar aata hai wo khush ho kar baahar nikalta hai aur jo naafarmaan ban kar aata hai wo zaleel ho kar baahar nikalta hai.
JANAAB MOHAMMED BIN SABEEH رحمت لله عليه kehte hai ke mujh tak ye riwaayat pohonchi hai ke jab aadmi ko qabr mein rakha jaata hai aur use azaab diya jaata hai to uske qareebi murde kehte hain, aye apne bhaiyyon aur hamsaayon (padosiyon) ke baad Duniya mein rehnewale! Kya tu ne hamare jaane se koi naseehat haasil naa ki aur tere saamne hamaara mar kar qabron mein dafan ho jaana koi qaabil e gaur baat naa thi ? Tu ne hamaari maut se hamaare aamaal khatam hote dekhe ? Lekin tu zinda raha aur tujhe amal karne ki mohlat di gayi magar tu ne us mohlat ko ganeemat na jaana aur nek aamaal na kiye aur us se zameen ka wo tukda kehta hai aye duniya ki zaahiri par itraane wale ! Tu ne apne un rishtedaaron se ibrat kyun naa haasil ki jo dunyawi ne'maton par itraaya karte the magar wo tere saamne mere pet mein gum ho gaye, unki maut unhein qabron mein le aayi aur tu ne unhein kandhon par sawaar us manzil ki taraf aate dekha ke jis se koi raahe faraar nahi hai.
AAMAAL BHI MAYYAT SE SAWAAL KARTE HAIN :
YAZEED UR RAQAASHI رحمت لله عليه ka qaul hai ke mujhe yeh riwaayat mili hai , jab mayyat ko qabr mein rakha jaata hai to uske aamaal jamaa ho jaate hain , phir ALLAH TA'ALA unhe quwate goyaayi (bolne ki taaqat) deta hai aur woh kehte hain aye qabr ke tanha insaan ! tere sab dost aur azeez tujhse judaa ho gaye hain , aaj hamare siwa tera aur koi saathi na hoga .
HAZRAT E KA'AB رضي الله عنه se marwi hai ke jab nek aadmi ko qabr mein rakha jaata hai , to uske aamaal e swaaleha Namaaz , Roza, Hajj , Jihaad aur Sadqa wagairah uske paas jamaa ho jaate hain , jab azaab ke Farishte uske pairon ki taraf se aate hain to Namaaz kehti hai is se door raho , tumhara yahan koi kaam nahi , yeh in pairon par khada ho kar ALLAH TA'ALA ki lambi lambi ibaadat karta tha . phir woh Farishte sar ki taraf se aate hain to Roza kehta hai tumhare liye is taraf koi raah nahi hai kyunki duniya mein ALLAH TA'ALA ki khushnoodi ke liye isne bohot Roze rakhe aur taweel bhook wa pyaas bardaasht ki , Farishte uske jism ke doosre hisson ki taraf se aate hain to Hajj aur Jihaad kehte hain ke hat jao, isne apne jism ko dukh mein daal kar ALLAH TA'ALA ki raza ke liye Hajj aur Jihaad kiya tha lihaaza tumhare liye yahan koi jagah nahi hai . fir woh haathon ki taraf se aate hain to Sadqa kehta hai , mere dost se hat jao , in haathon se kitne Sadqaat nikle hain jo mehez khushnoodi e KHUDA ke liye diye gaye aur in haathon se nikal kar woh BAARGAAH E ILAAHI mein maqbooliyat ke darje par faaiz hue, lihaaza yahan tumhara koi kaam nahi hai .phir us mayyat ko kaha jaata hai ke teri zindagi aur maut dono behtareen hai aur Rehmat ke Farishte uski qabr mein Jannat ka farsh bichaate hain , uske liye Jannati libaas laate hain , hadd e nigaah tak uski qabr ko faraakh kar diya jaata hai aur Jannat ki ek qindeel uski qabr mein raushan kar di jaati hai jis se woh qayamat ke din tak raushni haasil karta rahega.
JANAAB E UBAID BIN UMAIR ne ek janaaze ke juloos mein kaha mujhe yeh riwaayat pohonchi hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya mayyat ko qabr mein bithaaya jaata hai , daraañ haaleke woh chalne waalon ke qadmon ki chaap ko sun raha hota hai to uske saath qabr guftagu karti hai aur kehti hai ke aye insaan tujh par afsos hai ! kya tujhe mujh se , meri tangi se , badbu se, haibat aur keedon se nahi daraaya gaya tha ? ab tu mere liye kya taiyyaar kar ke laaya hai ?
MOMIN KI WAFAAT PAR FARISHTON KI AAMAD :
HAZRAT E BARAA' BIN AAZIB رضي الله عنه se marwi hai ke hum HUZOOR ﷺ ke saath ek ansaari jawaan ke janaaza mein gaye , HUZOOR ﷺ uski qabr par sar jhuka kar baith gaye phir teen martaba :
AYE ALLAH ! Main TUJH se azaab e qabr se panaah maangta hun,
keh kar farmaya ke jab momin ki maut ka waqt qareeb aata hai to ALLAH TA'ALA uski taraf aise farishte bhejta hai jinke chehre suraj ki tarah raushan hote hain , woh uske liye khushbuein aur kafan saath laate hain aur hadd e nazar tak baith jaate hain , jab us momin ki rooh parwaaz karti hai to is aasmaan o zameen ke darmiyaan rehne waale tamaam farishte uske darjaat ki bulandi ki dua karte hain , uske liye aasmaanon ke darwaze khol diye jaate hain aur aasmaan ke har darwaze ki khwaahish hoti hai ke yeh rooh mere yahaan se daakhil ho , jab uski rooh upar ko jaati hai to kaha jaata hai Aye ALLAH ! TERA falaan banda aa gaya hai ,RAB TA'ALA irshaad farmata hai isey le jao aur isey woh inaamaat dikhlao jo MAINE iske liye taiyyaar kiye hain kyunki MAINE waada kiya hai ke "inhe mitti se MAINE paida kiya hai aur usi mein inko lautaunga ."
Murda qabr mein logon ke jooton ki chaap ko sunta hota hai , jab woh usey dafan karke waapas jaa rahe hote hain , tab usey kaha jaata hai ke aye insaan ! tera RAB kaun hai ? tera Deen kya hai ? aur tera NABI kaun hai ? woh jawaab mein kehta hai mera RAB ALLAH hai , mera Deen ISLAM aur mera NABI MUHAMMAD ﷺ hai.
phir farmaya qabr mein farishte sakht sarzanish karte (sakhti se daant-te hai aazmaaishi taur par) hain aur yeh aakhri museebat hai jo mayyat par qabr mein naazil hoti hai . jab woh unke sawaalaat ke jawaab se faarig o jaata hai to munaadi nida karta hai tu ne sach kaha aur yehi farmaan e ILAAHI hai :
ALLAH TA'ALA mominon ko mustahkam baat ke saath saabit kadam rakhta hai .
phir uske paas ek haseen o jameel shakhs aata hai jiske jism se khushbu ki laptein aati hai aur woh intehaayi deeda zeb libaas zeb e tan kiye hota hai, woh aakar kehta hai ke tujhe rehmat e KHUDA WANDI aur hamesha rehne wali ne'maton ki ameen 'Jannat' ki khushkhabri ho , momin jawaab mein kehta hai ALLAH TA'ALA tujhe bhalaayi se sarfaraaz farmaaye, tu kaun hai ? jawaab milta hai main tera nek amal hun, tu nekiyon mein badh kar hissa leta tha aur buraaiyon se ruk jaata tha isliye ALLAH TA'ALA ne tujhe behtareen jazaa di hai . fir munaadi nida karta hai ke is momin ke liye jannati farsh bicha do aur iske liye jannat ki jaanib ek darwaza khol do , chunaanche uske liye jannati farsh bicha diya jaata hai aur jannat ki taraf ek darwaza khol diya jaata hai aur woh dua maangta hai , AYE ALLAH qayamat ko jaldi qaayim farma taake main apne ahl o ayaal aur maal se mulaaqaat karun.
HUZOOR ﷺ ne farmaya jab kaafir ka aakhri waqt qareeb aata hai aur rooh duniya se rukhsat hona chaahti hai to sakht be-rehem farishte aag aur dauzakh ke taarkol ka libaas liye aate hain aur usey intehaayi khaufzada kar dete hain , jab uski rooh nikalti hai to aasmaan aur zameen ke darmiyaan rehne waale tamaam farishte us par laanat bhejte hain , aasmaanon ke darwaaze band kar diye jaate hain aur har darwaza yeh chaahta hai ke yeh rooh idhar se naa guzre , jab uski rooh upar chadhti hai to usey neeche phenk diya jaata hai aur kaha jaata hai AYE ALLAH ! TERA falaan banda aaya hai jise zameen o aasmaan ne qubool nahi kiya hai , RAB TA'ALA farmaata hai ke usey waapas lautao aur usey woh azaab dikhlao jo MAINE uske liye qabr mein taiyyaar kiya hai kyunki insaan se MERA waada hai " tumhe HUMNE mitti se paida kiya aur HUM tumhe usi mein lautaayenge " aur woh murda qabr mein dafan karke waapas jaane walon ke jooton ki chaap sunta hai , tab us se kaha jaata hai , aye insaan ! tera RAB kaun hai ? tera Deen kya hai ? tera NABI kaun hai ? woh kehta hai main nahi jaanta aur usey kaha jaata hai tu na jaane , phir uske paas ek badsoorat badbudaar aur intehaayi galeez kapdon waala aa kar kehta hai tujhe qehr e KHUDA wandi aur daaimi dardnaak azaab ki khushkhabri ho , murda kaafir kehta hai ALLAH TA'ALA tujhe buri khabar sunaaye tu kaun hai ? woh kehta hai main tere aamaal e bad hun, bakhuda tu buraaiyon mein bohot tezi dikhaata tha aur nekiyon se airaaz kiya karta tha lihaaza ALLAH TA'ALA ne tujhe buri jazaa di . kaafir kehta hai ALLAH TA'ALA tujhe bhi jazaa de, phir uske liye ek goonga , andha aur farishta muqarrar kiya jaata hai, jiske paas lohe ka hathoda hota hai jise agar jinn o insaan mil kar uthaana chaahein to na utha sakein , agar woh pahaad par maara jaaye to mitti ho jaaye , woh farishta uss insaan ko hathoda maarta hai jisse woh reza reza ho jaata hai phir woh zinda ho jaata hai aur farishta usey aankhon ke darmiyaan maarta hai jiski aawaaz jinn o insaan ke siwa zameen ki tamaam makhlooq sunti hai , phir munaadi nida karta hai , uske liye jahannam ki do takhtiyaan bichao aur uske liye jahannam ki jaanib ek darwaza khol do lihaaza uske liye jahannam ke do takhte bicha diye jaate hain aur jahannam ki taraf darwaza khol diya jaata hai.
HAZRAT MUHAMMAD BIN ALI رحمت لله عليه se marwi hai ke har marne waale par maut ke waqt uske achche aur bure aamaal pesh kiye jaate hain, woh nekiyon ki taraf taktaki baandhe dekhta hai aur gunaahon ke dekhne se aankhein churataa hai.
HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه se marwi hai ke RASOOL E KHUDA ﷺ ne farmaya , momin par jab maut ka waqt qareeb aata hai to farishte resham ke ek kapde mein mushk aur naazbu ki tehniyaan laate hain , un Jannati ashiya ko dekh kar momin ki rooh aisi aasaani se nikalti hai jaise aate mein se baal nikalta hai aur kaha jaata hai " aye nafs e mutmainnah! apne RAB ki taraf khush aur pasandeedah ho kar laut ja."
ALLAH TA'ALA ki taiyyaar ki huwi aasaaishon aur izzat ki taraf jaa , aur jab rooh nikal aati hai to usey us mushk aur naazbu mein rakh kar upar se resham lapet kar Jannat ki taraf le jaaya jaata hai .
KAAFIR PAR AZAAB:
Jab kaafir par maut ka waqt qareeb aata hai to farishte ek taat par jahannam ki chingaariyaan rakhkar aate hai jiski wajah se uski rooh shadeed azaab se kheenchi jaati hai aur kaha jaata hai Aye nafs e khabees museebatzada aur maqhoor ho kar ALLAH TA'ALA ke azaab aur zillat wa ruswaayi ki taraf nikal jaa, jab uski rooh nikal aati hai to use un angaaron par rakha jaata hai jis se wo ubalne lagti hai aur uspar taat lapetkar phir jahannam ki taraf le jaaya jaata hai.
JANAB E MOHAMMED BIN KA'AB QURZI رضي الله عنه se marwi hai , UNHONE ye farmaan e ILAAHI:
Yahan tak ke jab un mein se kisi ek par maut aaye to wo kehta hai, aye mere RAB ! Mujhe waapas lauta taaki main nek amal karun, us jagah jise main chord aaya hun.
Padhkar kaha , Ye sun kar RAB TA'ALA ne farmaya tu kya chaahta hai aur tujhe kis cheez ki khwaahish hai ? Kya tu isliye jaana chaahta hai taake maal jama kare ? Darakht lagaye, imaaratein banaaye aur nehrein khudwaye? Wo kahega nahi balki isliye ke main chhode huwe nek amal kar lunga. RAB TA'ALA farmata hai "tehqeeq ye baat hai jise wo kehne wala hai" yaani Har kaafir maut ke waqt yehi kalmaat zaroor kehta hai.
HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه se marwi hai , HUZOOR ﷺ ne farmaya ke momin ki qabr ek sabz baag hota hai, Uski qabr 70 haath faraakh kar di jaati hai aur woh chaudhwin raat ke chaand ki tarah chamkega , phir farmaya ke ye aayat e mubaaraka :
"Beshaq uske liye zindagi tang hoti hai."
Jaante ho kiske baare mein naazil huwi hai ? Sahaba e KIRAAM رضي الله عنهمم ne arz kiya ALLAH aur USKA RASOOL behtar jaanta hai, AAPNE Farmaya ye kaafir ke azaab ke muta'alliq hai, uski qabr mein us par 99 saanp musallat kar diye jaate hai , har saanp ke 7 sar hote hai jo uske wajood ko nochte, use khaate aur hashr ke din tak us par garm garm phoonke maarte rehte hai,
Aur ye baat bhi samajh lijiye ke is makhsoos adad par ta'ajjub na kijiye kyunki un saanpon ki taadaad un buraaiyyon ki taadaad ke baraabar hai jaise takabbur, dikhaawa, hasad , keena aur kisi ke liye dil mein mail rakhna wagairah agarche in buraaiyyon ke usool gine chune hai magar inki shaakhein aur phir un shaakhon ki shaakhein bohot zyada hai jo sab ki sab muhlik hai aur qabr mein yahi sifaat e mazmooma saanpon ki shakl mein tabdeel ho kar aayengi, jo buraayi us kaafir ke wajood mein zyada raasikh hogi wo asdaha ki tarah dasegi, jo zara kam hogi wo bichchoo ki tarah dank maaregi aur jo un do ke darmiyaan hogi wo saanp ki shakl mein namudaar hogi.
As-haabe maarefat aur saahib e dil hazraat apne Noor e baseerat se in muhlikaat aur inki shaakhon ko jaante hai magar inki taadaad par muttela' hona , ye NOOR E NABUWWAT ka kaam hai is jaisi hadeeson ke zaahiri maana sahee aur inke posheedah maani bhi hai jo ahle maarefat bakhoobi samajhte hai, lihaaza agar kisi zaahir-been par unke haqaiq munkashif na hon to use inkaar ki bajaaye tasdeeq aur tasleem se kaam lena chaahiye kyunki Imaan ka kam az kam darja yahi hai.
END OF BAAB 45