BAAB 7 MUKAASHAFATUL QULOOB FISQ, NIFAAQ AUR KHUDA FARAAMOSHI. Ek aurat HAZRAT E HASAN BASRI REHMATULLAAH ALAIH ke paas haazir hui aur kehne lagi, meri jawaan beti faut ho gayi hai, main chaahti hun ke use khwaab mein dekh lun, koi aisi dua batlaiyye jisse meri muraad poori ho jaye, AAPNE use ek dua sikhlaayi, us aurat ne raat mein wo dua padhi aur apni beti ko khwaab mein dekha to uska haal ye tha ke usne jahannam ke taarkol ka libaas pehen rakha tha, uske haathon mein zanjeerein aur paun mein bediyaan thi. aurat ne doosre din ye khwaab AAPKO sunaaya, AAP bohot magmoom hue, kuch arse (dinon) baad HAZRAT E HASAN BASRI REHMATULLAAH ALAIH ne us ladki ko jannat mein dekha, uske sar par taaj tha, wo AAP se kehne lagi AAP mujhe pehchaante hai? main usi khaatoon ki beti hun jo AAPKE paas aayi thi aur meri tabaah haalat AAPKO batlaayi thi. AAPNE us se poocha teri haalat mein yeh inqalaab kaise aaya? ladki ne kaha qabrastaan ke qareeb se ek swaaleh (nek) shakhs guzra aur usne HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM par durood bheja, uske durood padhne ki barkat se ALLAH TA'ALA ne hum paanch sau (500) qabr waalon par se azaab utha liya. NUKTA: Gaur ka maqaam hai ke HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM par ek shakhs ke durood bhejne ki barkat se itne bohot se log bakshe gaye ,kya wo shakhs jo 50 saal se HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM par durood bhej raha ho, qayaamat mein uski magfirat nahi hogi? Farmane ILAHI hai; Gunaah karne mein tum munaafiqon ki tarah na ban jao jinhone ALLAH ke ahkaamaat ko chhod diya aur uske khilaaf chalne lage. shahwaat e duniya se lutf-andoz hone lage aur fareb-kaari ki taraf maail ho gaye. MOMIN AUR MUNAAFIQ KA FARQ: RASOOLALLAH SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM se momin aur munaafiq ke mutalliq poocha gaya. AAPNE farmaya ke momin ki himmat namaz aur roze ki taraf rehti hai aur munaafiq ki himmat jaanwaron ki tarah khaane peene ki taraf rehti hai aur wo namaz rozon ki taraf mutawajjah hi nahi hota. momin ALLAH ki raah mein kharch karne aur bakshish talab karne mein mashgool rehta hai jabki munaafiq hirs wa hawas mein masroof rehta hai ,momin ALLAH TA'ALA ke siwa kisi se ummeed nahi lagata aur munaafiq ALLAH TA'ALA ke siwa tamaam makhlooq ki taraf ruju hota hai, momin deen ko maal se muqaddam samajhta hai aur munaafiq maal ko deen par tarji deta hai, momin ALLAH ke siwa kisi se nahi darta aur munaafiq ALLAH ke siwa har cheez se darta hai, momin neki karta hai aur ALLAH ki baargaah mein rota rehta hai , munaafiq gunaah karta hai aur khush hota hai, momin khalwat wa tanhaayi ko pasand karta hai, munaafiq bheed bhaad aur meljol ko pasand karta hai, momin bota hai aur fasal ki barbaadi se darta rehta hai aur munaafiq fasal ujaad dene ke baad kaatne ki tamanna rakhta hai, momin deen ki tadbeer ke saath achchaiyyon ka hukm deta hai buraiyyon se rokta hai aur islaah karta hai , munaafiq apni haibat aur satwat ( rob-daab) ke liye fitna o fasaad barpa karta hai aur nekiyon se rokta aur buraiyyon ka hukm deta hai, ALLAH TA'ALA ka irshaad hai " munaafiq mard aur aurtein ek doosre mein se hai , neki se rokte aur buraiyyon ka hukm dete hai aur apne haathon ko band karte hai, unhone ALLAH ko bhula diya aur ALLAH ne unhe bhula diya , bila shuba munaafiq faasik hai, ALLAH TA'ALA ne munaafiq mard aur munaafiq aurton ke liye aur kuffaar ke liye jahannam ki aag ka waada kiya hai ye unhe kaafi hai. aur ALLAH ne unpar laanat ki hai aur unke liye hamesha ka azaab hai. Ek aur jagah unke baare mein is tarah irshaad farmaya hai, "beshak ALLAH TA'ALA tamaam munafiqon aur kaafiron ko jahannam mein jama karne wala hai" yaani agar wo apne kufr aur nifaaq par mar jaaye. ALLAH TA'ALA ne is irshaad mein ibteda'an (pehle) munafiqon ka zikr kiya hai is liye ki kuffaar se bhi zyada badbakht hote hai aur ALLAH ne un sab ka thikaana jahannam qaraar diya hai. FARMANE ILAAHI hai "beshak munafiq jahannam ke sabse nichle tabqe mein honge aur aap kisi ko unka madadgaar nahi paayenge. LAFZE MUNAAFIQ lugat mein NAAFIQUL YARBU se mushtaq hai , Kehte hai ke junglee chuhe (yarbu ) ke bil ke do suraakh hote hai, ek daakhil hone ke liye aur doosra suraakh nikalne ke liye hota hai, ek suraakh se zaahir hota hai aur doosre se bhaag nikalta hai, munafiq ko bhi isliye munafiq kehte hai ke wo bazaahir to musalmaanon ki shakal mein hota hai magar kufr ki taraf nikal jaata hai. HADEES SHARIF mein hai "munafiq ki misaal aisi nawarid (nayi aanewaali) bakri ki tarah hai jo do rewdiyon ke darmiyaan ho , kabhi wo us rewad ki taraf bhaagti hai aur kabhi is rewad ki taraf daudti hai yaani kisi ek rewad mein nahi theherti. Usi tarah munafiq bhi na to kalbiyatn ( poore ka poora) musalmaanon mein shaamil hota hai aur naa hi kaafiron mein. JAHANNAM KE 7 DARWAAZE; ALLAH TA'ALA ne jahannam ko paida kiya aur uske 7 darwaaze banaaye jaisa ke farmane Ilaahi hai, uske darwaze lohe ke honge jin par laanat ki tahein ( parat ) jami hai, uska zaahir taambe ka aur baatin seese ka hai, uski gehraayi mein azaab aur uski oonchaayi mein ALLAH ki naaraazgi hai, uski zameen taambe, sheeshe, lohe aur seese ki hai usmein rehne waalon ke liye upar, neeche, daayein, baayein aag hi aag hai. uske tabqaat (darje) upar se neeche ki taraf hai aur sab se nichla tabqa munaafiqon ke liye hai. HADEES SHAREEF mein waarid hai ke HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ne JIBRAEEL se jahannam ki taareef aur garmi ke baare mein daryaft farmaya, JIBRAEEL ne jawaab diya ALLAH TA'ALA ne jahannam ko paida kiya aur use hazaar saal tak dehkaaya to wo surkh (laal) ho gaya, phir hazaar saal dehkaaya to safed ho gaya, jab mazeed ek hazaar saal tak dehkaaya gaya to wo bilkul siah (kaala) wa taareek ho gaya. us RAB ki qasam jisne AAP ko NABI e barhaq banaakar bheja hai, agar jahannamiyon ka ek kapda bhi duniya mein zaahir ho jaaye to tamaam log fanaa (khatam) ho jaayein, agar jahannam ke paani ka ek dol duniya ke paaniyon mein mila diya jaaye to jo bhi chakhe wo mar jaaye aur jahannam ki zanjeeron ka ek tukda jiska zikr ALLAH TA'ALA ne yun farmaya hai har tukde ki lambaayi mashriq wa magrib ke tool (lambaayi) ke baraabar hai. agar use duniya ke kisi bade se bade pahaad par rakh diya jaaye to wo pighal jaayega aur agar kisi jahannami ko jahannam se nikaal kar duniya mein laaya jaaye to uski badboo se tamaam makhlooq fanaa (khatam) ho jaaye. HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ne JIBRAEEL se kaha ye batlao ke jahannam ke darwaaze kya hamaare darwaazon jaise hai? JIBRAEEL ne arz ki nahi HUZOOR ! wo mukhtalif tabqaat mein bane hue hai, kuch upar aur kuch neeche hai aur ek darwaaze ka darmiyaani faasla 70 saal ka hai, har darwaaza pehle darwaaze se 70 guna zyada garm hai. AAPNE un darwaazon mein rehne waalon ke mutaalliq poocha to JIBRAIL ne jawaab diya sabse nichle ka naam "HAAVIYA" hai aur usmein munaafiqeen hai, jaisa ke farmane Ilaahi hai, "beshak munaafiqeen sabse nichle darje me hain". doosre tabaq ka naam "JAHEEM " hai aur usmein mushrik hai, teesre ka naam "SAQAR " hai aur usmein saabi ( Ek deen se doosre deen ki jaanib phir jaane waala) hai, chauthe ka naam "LAZA " hai aur usmein iblees aur uske pairokaar majoosi hai, paanchve ka naam "HUTMA" hai aur usmein yahood hai, chatte ka naam "SAEER" hai aur usmein nasaara hai, phir JIBRAEEL khaamosh ho gaye, AAPNE poocha aye JIBRAEEL kya tum mujhe saatwe tabqe mein rehne walon ke mutaalliq nahi bataoge ? JIBRAEEL ne arz ki HUZOOR mat poochiye, AAPNE farmaya batlao to sahi, tab JIBRAEEL ne kaha us tabqe mein AAPKE wo ummati hai jo gunaahe kabeera ke murtakib huwe aur bagair tauba kiye mar gaye. RIWAAYAT: Jab ye aayat naazil hui HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM apni ummat ke baare mein intehaayi khaufzada hue aur bohot zyada ashkbaar hue lihaaza jo shakhs bhi ALLAH ki sakht giraft ko aur uske qahar ko jaanta hai use chaahiye ke bohot darta rahe aur nafs ki lagzishon par rota rahe qabl iske ke un masaaib (museebaton) ko jhelein, us dehshatnaak maqaam ko dekhe, uski parda-dari ki jaaye, use ALLAH ke saamne pesh kiya jaaye aur use jahannam mein jaane ka hukm ho. MARNE KE BAAD AFSOS: Kitne aise boodhe hai jo jahannam mein faryaadein karte hai, kitne jawaan hai jo jawaani ke ziyaa ( jawaani ki barbaadi ) ko yaad karke aah wa pukaar karte hai, kitni aisi aurtein hai jo guzishta (guzri hui) zindagi ki bad aamaaliyon ko yaad karke chillaati hai, is haal me ke unke ajsaam (badan) aur chehre siyah (kaale) ho chuke hai, unki kamrein toot chuki hai, na unke badon ki izzat ki jaati hai aur naa hi chhoton par rehem kiya jaata hai aur na unki aurton ki parda-poshi ki jaati hai. AYE ALLAH ! HAMEIN AAG, AAG KE AZAAB AUR HAR US KAAM SE BACHA JO HAMEIN AAG KI TARAF LE JAAYE AUR APNI REHMAT KE TUFAIL HAMEIN NEKON KE SAATH JANNAT MEIN DAAKHIL FARMAA. AYE AZEEZ ! AYE GAFFAAR ! AYE ALLAH! HAMAARE AIBON KO DHAANP LE, HAMEIN KHAUF SE NAJAAT DE, HAMEIN LAGZISHON SE BACHA AUR APNE SAAMNE SHARMINDAGI SE MEHFOOZ RAKH. YA ARHAMAR RAAHIMEEN WA SALLALLAAHU ALAA SAYYEDINA MUHAMMADINW WA ALAA AALIHI WASAHBIHI WASALLAM. End of baab 7
Leave A Comment