namaz juma in hindi jumuah prayer hidis nabi
 BAAB 93 Mukashifatul Quloob
Jumuah ka din ek azeem din hai, ALLAH TA’ALA ne iske saath islaam ko azmat di aur yeh din musalmaanon ke liye khaas kar diya, Farmane ILAAHI hai;”Jab jumuah ke din namaaz ke liye pukaara jaaye pas jaldi karo ALLAH ke zikr ki taraf aur khareed wa farokht chord do.”
Is aayat se maaloom huwa ke ALLAH TA’ALA ne jumuah ke waqt dunyawi shugal haraam qaraar diye hai aur har woh cheez jo jumuah ke liye rukaawat bane mamnoo’ qaraar de di gayi hai.
HUZOOR ﷺ ka farmaan hai ke tehqeeq ALLAH TA’ALA ne tum par MERE us din aur us maqaam mein jumuah ko farz qaraar de diya hai. Ek aur irshaad yeh hai ke jo shakhs bagair kisi uzr ke teen jumuah ki namazein chord deta hai , ALLAH TA’ALA uske dil par mohar laga deta hai. Ek riwaayat ke alfaaz yeh hai ke “usne islaam ko pas e pusht daal diya.”
Ek shakhs HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنهما ke paas baar baar aata rahaa aur ek aise shakhs ke muta’alliq poochta raha jo mar gaya aur namaze jumuah aur jamaa’ton mein shareek nahi hota tha. HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنهما ne farmaya, woh jahannam mein hai, woh shakhs poora ek mahina hi poochta raha aur AAP ye hi kehte rahe ke woh jahannam mein hai.
Hadees shareef mein hai ke ahle kitaab ko jumuah ka din diya gaya magar unhone ismein ikhtilaaf kiya lihaaza yeh din unse waapas le liya gaya , ALLAH TA’ALA ne hamein iski hidaayat ki, isey us ummat ke liye muakkhar kiya aur unke liye usey eid ka din banaaya lihaaza yeh log sab logon se sabqat le jaanewale hai aur ahle kitaab unke taabe’ hai.
HAZRATE ANAS رضي الله عنه se marwi hai , HUZOOR ﷺ ne farmaya MERE paas JIBRAEEL aaye ,UNKE haath mein safed aaina tha, UNHONE kaha yeh Jumuah hai, ALLAH TA’ALA isey AAP par farz karta hai taaki yeh AAPKE aur AAPKE baad aanewale logon ke liye Eid ho , MAINE poocha ismein kya yuman wa barkat hai ? JIBRAEEL ne kaha ismein ek oomda saa’at hai, jo shakhs us mein bhalaayi ki dua maangta hai agar woh cheez us shakhs ke muqaddar me ho to ALLAH TA’ALA usey ataa farmata hai warna us sey behtar cheez uske liye zakheera kar di jaati hai, yaa koi shakhs us saa’at mein aisi museebat se panaah maangta hai jo uska muqaddar ho chuki hai to ALLAH TA’ALA us museebat se bhi badi museebat ko taal deta hai aur woh hamare nazdeek sab dinon ka Sardaar hai aur hum aakhirat mein ek yaum mazeed maangte hai, MAINE kaha woh kyun ? JIBRAEEL ne arz ki AAPKE RAB ne Jannat  mein ek aisi waadi banaayi hai jo safed hai aur mushk ki khushbu se labrez hai , jab Jumuah ka din hota hai to ALLAH TA’ALA illeeyeen se kursi par nuzool e ijlaal farmata hai, yahaan tak ke sab USKE deedaar se musharraf hote hai.
HUZOOR ﷺ farmate hai ke sabse oomda din jis mein suraj tulu’ hota hai , Jumuah ka din hai, isi din AADAM عليه السلام ki paidaish huwi , isi din WOH Jannat me daakhil kiye gaye, isi din WOH Jannat se zameen ki taraf Utaare gaye, isi din UNKI tauba qubool huwi, isi din UNKA wisaal huwa, isi din qayamat qaaim hogi aur woh ALLAH ke nazdeek yaum e mazeed hai, aasmaani farishton mein is din ka yahi naam hai aur yahi Jannat mein ALLAH TA’ALA ke deedaar ka din hai.
JUMUAH KE DIN JAHANNAM SE AAZAADI NASEEB HOTI HAI :
Hadees shareef mein hai ke ALLAH TA’ALA har Jumuah ke din 6 laakh insaanon ko jahannam se aazaad karta hai.
HAZRATE ANAS رضي الله عنه se marwi hai , HUZOOR ﷺ ne farmaya ke jab tu ne Jumuah ko saalim kar liya to Goya Tamaam dinon ko saalim kar liya.
HUZOOR ﷺ ne farmaya ke jahannam har roz zahwaaye kubra (nisf o nahaar ) mein zawaal se pehle bhadkaaya jaata hai yaani suraj jab ain aasmaan ke dil mein hota hai Lihaaza us saa’at mein namaaz mat padho magar Jumuah ke din yeh qaid nahi hai kyunki Jumuah saara ke saara namaaz hai aur us din jahannam nahi bhadkaaya jaata hai.
*NOTE* :
*Imam Gazaali Shaafai Maslak se The Aur Shawaafe ke Nazdeek Jumuah ke Din Do paher me Makrooh waqt nahi, Aur Hamare Imam Hazrat e IMAM E AAZAM ne Har Roz Makrooh waqt zikr farmaya hai.*Hazrat isa alaihissalam par hawareen ka iman lana hindi
(Mufti Maqsood Akhtar Sahab )
HAZRATE KA’AB رضي الله عنه ka farmaan hai ke ALLAH TA’ALA  ne sab shehron se Makkah Muazzama ko fazeelat bakshi hai , sab maheenon mein ramzan ko fazeelat ataa ki hai , sab dinon mein Jumuah ke din ko fazeelat di hai aur sab raaton mein lailatul qadr ko fazeelat ataa farmayi hai.
Kaha gaya hai ke Jumuah ke din hasharaatul arz aur parindey ek doosre se mulaaqaat karte hai aur kehte hai is nek din mein salaam ho, salaam ho.
NABI E KAREEM ﷺ farmate hai ke jo shakhs Jumuah ke din wa Jumuah ki raat ko faut huwa, ALLAH TA’ALA uske liye sau shaheedon ka sawaab likhta hai aur usey qabr ke fitne se Bacha leta hai.tawakal allah par kaisa ho in hindi tawakkal kya he
END OF BAAB 93 Mukashifatul Quloob