namaz -Riwaayat hai ke JANAAB E JIBRAEEL E AMEEN عليه السلام ne HUZOOR ﷺ se arz ki ke IBNE UMAR oomda aadmi hai , kaash woh raat ki ibaadat karta, HUZOOR ﷺ ne HAZRATE IBNE UMAR رضي الله عنهما ko is baat ki khabar di, uske baad HAZRATE IBNE UMAR رضي الله عنهما hamesha raat ko ibaadat kiya karte. HAZRATE NAAFEAA رضي الله عنه ka qaul hai ke AAP raat ko ibaadat karte huwe Mujh se kaha karte dekho kahin subah to nahi ho gayi? MAIN kehta nahi ,AAP phir ibaadat mein mashgool ho jaate, phir farmate aye NAAFE’ ! Dekho subah huwi ? MAIN kehta haan to AAP baith jaate aur istigfaar farmate yahaan tak ke subah khoob raushan ho jaati.
HAZRATE ALI KARAMALLAHU WAJHA HU se marwi hai ke HAZRATE YAHYA BIN ZAKARIYA عليه السلام ne ek raat jau ki roti pet bhar kar khaa li , raat ko UNKI aankh lag gayi aur woh subah tak sote rahe , apne wazaaif wa ibaadat mein mashgool naa ho sake, tab ALLAH TA’ALA ne AAPKI taraf Wahi farmaayi Aye YAHYA ! Kya TU ne MERE taiyyaar kiye huwe ghar se oomda ghar yaa MERE pados se oomda pados paa liya hai ? MUJHE MERE izzat o jalaal ki qasam ! AYE YAHYA ! agar TU ne jannat ul firdaus ko dekh Liya hota to uske shauk mein TERI charbi pighal jaati aur rooh nikal jaati aur agar TU jahannam ko dekha leta to TERI charbi pighal jaati aur aankhon se peep behti.
HUZOOR ﷺ se arz ki gayi Yaa RASOOLALLAH ﷺ ! Falaan aadmi raat ko namaaz padhta hai , subah huwi to usne chori kar li , AAPNE farmaya anqareeb uska nek amal usko in buraaiyyon se rok dega. Mazeed irshaad farmaya ke ALLAH TA’ALA us bande par rehem farmaye jo raat ko khada ho kar ibaadat karta raha , phir usne apni aurat ko jagaaya aur usne bhi uske saath khade ho kar ibaadat ki, agar aurat ne inkaar kiya to us bande ne uske munh par paani ke cheente maare aur AAPNE farmaya ALLAH ne us aurat par rehem farmaya jo raat ko khadi ho kar ibaadat karti rahi phir usne apne khaawind ko jagaaya aur woh bhi uske saath ibaadat mein mashgool ho gaya wagarna us aurat ne apne khaawind ke munh par paani ke cheente maare.
Farmane nabwi ﷺ hai jo raat ko khud bedaar ho aur apni aurat ko bhi jagaaya phir dono ne khade ho kar do rakat namaaz adaa ki, ALLAH TA’ALA unhein zikr karnewale mardon aur aurton mein se likh deta hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke faraaiz ke baad sabse afzal namaaz raat ki hai.
HAZRATE UMAR رضي الله عنه se marwi hai HUZOOR ﷺ ne farmaya ke apne wazaaif yaa ibaadat karne ke liye jiski raat ko aankh naa khuli aur usne woh wazaaif aur ibaadat subah ki namaaz aur zohar ki namaaz ke darmiyaan adaa kiye to uske liye poori raat ki ibaadat ka sawaab likh diya jaata hai.
Kehte hai ke IMAM BUKHAARI رضي الله عنه Aksar yeh ash’aar padha karte :
1- faraagat ke auqaat mein ruku wa sujood ko ganeemat jaan, anqareeb tujhe maut aa jaayegi.
2- maine kitne aise tandrust dekhe hai jinhein koi beemaari nahi thi aur achaanak unki roohein parwaaz kar gayin.
Leave A Comment