HAZRATE MUGAIRAH BIN SHO’BA رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ ( raat mein namaz ke liye ) khade huwe yahan tak ke AAPKE paaye mubaarak raat mein khade ho kar ibaadat karne ke sabab soojh gaye, AAPSE kaha gaya YAA RASOOLALLAH ﷺ ! kya ALLAH TA’ALA ne AAPKI agli pichli khilaaf e aulaa baaton ko maaf nahi farma diya? AAPNE yeh sun kar irshaad farmaya, kya MAIN ALLAH TA’ALA ka shukr guzaar banda naa banun?
Is hadees shareef se yeh matlab nikalta hai ke is sey AAPKI muraad mazeed in’aamaat e ILAAHIYA ki talab aur justajoo thi kyunki shukr zyaadati e ne’mat ka sabab hai , farmaane ILAAHI hai:
“Agar tum shukr karo to MAIN albatta tumko zyada dunga.”
HUZOOR ﷺ ne HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se farmaya ke Kya TUM is baat ko pasand karte ho ke TUM par zindagi , maut , qabr wa hashr mein ALLAH TA’ALA ki rehmat ka nuzool ho , raat ka Kuch hissa baaqi ho aur Tum RAB ki raza ke husool ke liye uthkar ibaadat karo ? Aye ABU HURAIRAH رضي الله عنه ! ghar ke konon mein namaaz padha karo , TUMHARA ghar aasmaan se aisa chamakta huwa nazar aayega jaise ke zameen waalon ko chamakdaar sitaare nazar aaya karte hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai tumhare liye laazim hai ke raat ko ibaadat kiya karo kyunki yeh guzashta nek logon ka tareeqa hai , beshak raat ka qayaam ALLAH TA’ALA ke qurb ka sabab , gunaahon ka kaffaara, jismaani beemaariyon ko door karnewala aur gunaahon se rokne waala hai.
HUZOOR ﷺ ka irshaad e giraami hai ke har woh shakhs jo raat ko ibaadat karta aadi ho aur usey neend aa jaaye to uske naama e aamaal mein raat ki ibaadat ka sawaab likh diya jaata hai aur neend ko uspar baksh diya jaata hai. HUZOOR ﷺ ne HAZRATE ABU ZAR رضي الله عنه se farmaya Aye ABU ZAR ! Jab tum safar ka iraada karte ho to zaade raah taiyyaar karte ho ? arz ki jee haan ! AAPNE farmaya qayamat ke taweel raaste ka safar kaise karoge? Aye ABU ZAR ! MAIN TUMHEIN aisi cheez batlaun jo tumko qayamat ke din nafaa de ? ABU ZAR رضي الله عنه ne arz ki MERE maa baap AAP par qurbaan, zaroor batlaaiyye ! AAPNE farmaya qayamat ke din ke liye sakht garmi ke din roza rakh, qabr ki wehshat ko door karne ke liye andheri raat mein nafl do rakat padh , ahem umoor e qayamat ki hujjat ke liye hajj kar , miskeen par sadqa kar yaa haq baat keh aur buri baat kehne se khaamosh reh.
Riwaayat hai ke HUZOOR ﷺ ke zamaane mubaarak mein ek aadmi tha, jab log apne bistaron pe so jaate aur aankhein sukoon haasil karne ke liye band ho jaati to woh khada ho kar namaaz padhta, Quran majeed ki tilaawat karta aur kehta Aye KHAALIQ e jahannam ! Mujhe jahannam se bacha ! HUZOOR ﷺ ki baargaah mein us shakhs ka tazkira kiya gaya to AAPNE farmaya jab woh aisi haalat mein ho to MUJHE khabar kar dena chunaanche AAP wahaan tashreef laaye aur uski tilaawat wa duayein suni, subah huwi to AAPNE us sey farmaya aye falaan ! Tu ne ALLAH TA’ALA se jannat ka sawaal kyun nahi kiya? woh aadmi bola YAA RASOOLALLAH ﷺ main jannat ka sawaal kaise karun , abhi to mere aamaal uski talab ke laayak nahi huwe. Is guftagu ko thodi hi der guzri thi ke JIBRAEEL E AMEEN عليه السلام naazil huwe aur arz ki Yaa RASOOLALLAH ﷺ ! falaan aadmi ko batla dijiye ke ALLAH TA’ALA ne usey jahannam se mehfooz farma liya aur usey jannat mein daakhil kar diya hai.
Leave A Comment