QURAN e Majeed ki bohot si aayaat se is namaz ki fazeelat saabit hai ,irshaad e ILAAHI hai:
“Beshak tera RAB jaanta hai ke tu do tihaayi raat ke qareeb khadaa hota hai.”
Farmane ILAAHI hai:
“Tehqeeq raat ka uthna nafs ko kuchalne ke liye bohot sakht hai aur kaam ka bohot durust karnewala hai.”
Farmane ILAAHI hai:
“Unki karwatein (pehlu ) bichaunon se door hoti hai.”
Mazeed farmaan hota hai :
“Kya jo shakhs ke woh raat ke waqt bandagi karta hai.”
Irshaad e ILAAHI hai:
“Aur woh log jo apne RAB ke liye raat ko sajda karte huwe aur qiyaam karte huwe guzaarte hai.”
Mazeed irshaad hota hai :
“AYE imaan waalon! Sabr aur namaaz se madad chaaho.”
Kaha gaya hai ke is namaaz se muraad raat ki namaaz hai jis par mudaawamat (paabandi) karke nafs se jihaad kiya jaa sakta hai.
Ahaadees mein bhi is namaaz ki fazeelat waarid hai chunaanche Farmane NABAWI ﷺ hai ke jab tum mein se koi ek so jaata hai to shaitaan uski guddi mein teen gaanthen deta hai aur har gaanth mein woh kehta hai ke bohot taweel raat baaqi hai abhi kuch der aur so ley, pas agar insaan bedaar ho kar zikr e KHUDA karta hai to ek gaanth khul jaati hai, jab wuzu karta hai to doosri gaanth khul jaati hai aur jab insaan namaaz mein masroof ho jaata hai to teesri gaanth bhi khul jaati hai aur insaan is haal mein subah karta hai ke woh khushi wa musarrat ka paanewala aur halka-phulka hota hai warna woh sust aur badmizaaj ho kar uthta hai.
Hadees shareef mein hai ke HUZOOR ﷺ ki khidmat mein aise shakhs ka tazkira kiya gaya jo saari raat sota hai yahaan tak ke subah ho jaati hai, AAPNE farmaya yeh aisa shakhs hai ke jiske kaan mein shaitaan ne peshaab kar diya hai.
Hadees shareef mein hai ke shaitaan ke paas naak ki dawa , chaatney ki cheez aur chidakne ki cheezein hai, jab woh kisi insaan ki naak mein dawaai daalta hai to woh badkhulq ban jaata hai , jab kisi insaan ko chaatney ki dawa deta hai to woh insaan bad-zabaan ho jaata hai aur jab kisi insaan par dawaayi chidakta hai to woh subah tak sota rehta hai.
HUZOOR ﷺ ka irshaad hai ke aadhi raat mein bande ka do rakatein namaaz padhna, duniya aur uski tamaam ashyaa se behtar hai ,agar MERI ummat par dushwaar naa hota to MAIN yeh do rakatein unpar farz kar deta. saheeh Bukhaari mein HAZRATE JAABIR رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke raat mein ek aisi saa’at hai ke jab usmein banda ALLAH TA’ALA se bhalaayi ka sawaal karta hai to ALLAH TA’ALA usey ataa kar deta hai. Ek riwaayat mein hai ke woh duniya aur aakhirat ki jo bhalaayi Maangta hai aur yeh saa’at har raat mein hoti hai.
Leave A Comment