hadise nabawi JANAAB MOHAMMED BIN WAASE’ رضي الله عنه farmate hai ke MAIN duniya se teen cheezon ki khwaahish rakhta hun, aisa bhai ke agar MAIN tedhaa ho jaun to MUJHE seedha karde, begair kaawish ke mukhtasar rizq  jiski baaz-purs naa ho, aur namaaz baa-jama’at jiski galtiyaan MERE liye maaf kardi jaaye aur jiski fazeelat MUJHE baksh di jaaye.
HAZRATE ABU UBAIDAA BIN JARAAH رضي الله عنه ne ek martaba kuch logon ki imaamat ki ,jab namaz se faarig huwe to shaitaan ke muta’alliq farmaya ke woh MUJHE  behkaata raha yahaan tak ke MAINE bhi khudko doosre se afzal samajh liya ,MAIN aaj ke baad imaamat nahi karunga.
JANAAB HASAN رضي الله عنه ka qaul hai ke aise shakhs ke peeche namaz na padho jo Ulemaa ki majlis mein naa jaata ho.
JANAAB NAKHAI رضي الله عنه ka qaul hai jo bagair kisi ilm ke logon ki imaamat karta hai woh us shakhs ki tarah hai jo samandar mein rehkar uska paani naapta hai aur uski kami wa zyadati ko nahi samajhta hai.
JANAAB HAATIM ASAM رضي الله عنه ka qaul hai ke MERI  ek namaaz baa-jamaa’at faut hogayi to sirf ABUL ISHAAQ  BUKHARI  MERI taaziyat ko aaye  , Agar MERA bachcha faut ho jaata to 10,000 se bhi zyada log taaziyat ke liye aate kyunki log deen ke nuqsaan ko duniya ke nuqsaan se bohot halka jaante hai.
HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنه ka qaul hai ke jis shakhs ne azaan sun kar uska jawaab naa diya usne bhalaayi ka iraada nahi kiya aur naa hi usey bhalaayi naseeb hogi.
HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه ka qaul hai ke pighle huwe seesey se insaan ke kaanon ka bhar diya jaana is sey behtar hai ke woh azaan sun kar uska jawaab naa de.
Manqool hai ke HAZRATE MAIMOON BIN MEHRAAN masjid mein aaye to AAPSE kaha gaya ke log to waapas laut gaye hai (yaani namaaz ho chuki hai ) AAPNE yeh sun kar farmaya   انا لله وانا اليه راجعون  , aur kaha ke is namaaz ke paa lene ki fazeelat MUJHE iraq ki hukumat se zyada pasand thi.
40 NAMAZEIN BAA-JAMAA’AT ADAA KARNE PAR IN’AAM E ILAAHI :
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jisne 40 din tamaam namazein baa-jamaa’at adaa ki aur uski takbeer e tehrima faut nahi huwi , ALLAH TA’ALA uski khaatir do bara’atein likh deta hai , ek nifaaq se chutkaara aur doosra chutkaara jahannam se.
Yeh bhi kaha gaya hai ke jab qayamat ka din hoga to qabron se ek aisi jamaa’at uthegi jinke chehre chamakdaar sitaare ki tarah honge, farishte unse kahenge ke tumhare aamaal kya the? Woh jawaab denge ke jab hum azaan sunte the to wazu ke liye khade ho jaaya karte  the aur kisi aur kaam mein qatayi mashgool nahi hote the. phir ek aisi jamaa’at aayegi jinke chehre chaand ki tarah honge ,woh farishton ke sawaal ke baad kahenge ke hum waqt se pehle wazu kiya karte the, phir ek aisi jamaa’at aayegi jinke chehre aaftaab ki tarah chamak rahe honge aur woh kahenge ke hum azaan masjid mein suna karte the( yaani azaan se pehle masjid mein pohonch jaate the).
mMarwi hai ke salf e swaaliheen takbeer e ulaa faut hone par teen din tak apni taa’ziyat kiya karte the.