NABI E KAREEM ﷺ farmaate hai ke tanhaa namaz padhne se baa-jama’at Namazpadhne ko 27 darje fazeelat haasil hai.
HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ ne baaz logon ko chand namaazon mein naa dekhkar farmaya ,MERA yeh iraada huwa ke MAIN kisi aadmi ko namaz padhaane ka hukm dun aur MAIN Unlogon ke yahaan jaun jo jama’at se reh gaye hai aur unko aur unke gharwalon ko jalaa dun. Doosri riwaayat mein hai ke phir MAIN Unlogon ke gharon ko lakdiyon ke gaththon ke saath un par jalaane ka hukm dun jo jama’at mein shareek nahi huwe , agar unmein se kisi ko ilm hota ke moti haddi yaa jaanwar ke do haath (jama’at mein shareek hone se) milenge to woh zaroor jama’at mein shaamil hote.
HAZRATE USMAN رضي الله عنه se marfu’an marwi hai ke jo ishaa ki jama’at mein haazir huwa pas goya usne aadhi raat ibaadat mein guzaari aur jo subah ki jama’at mein bhi shaamil huwa goya usne saari umr ibaadat mein guzaari.
RASOOL E AKRAM ﷺ ka irshaad hai ke jisne namaaz baa-jama’at adaa ki pas goya usne apne seene ko ibaadat se bhar liya. HAZRATE SAEED BIN MUSAIB رضي الله عنه ka qaul hai ke 20 baras se mutawaatir MAIN us waqt masjid mein hota hun jab muazzin azaan deta hai.
Leave A Comment