Hadise nabwi HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنهما is farmaan e ILAAHI “woh aapas mein rehem karnewale hai” ki tafseer mein farmate hai ke unke nek , buron ke liye aur bure nekon ke liye dua karte hai, jab koi badkaar ummat e MOHAMMED (ﷺ ) ke nek mard ko dekhta hai to kehta hai Aye ALLAH! TU ne isey jo bhalaayi ataa farmayi hai usmein barkat de, usey saabit qadam rakh aur hamein uski barkaton se nawaaz, aur jab koi nek kisi badkaar ko dekhta hai to kehta hai Aye ALLAH! isey hidaayat de iski tauba qubool farma aur iski lagzishon ko maaf farma de.
Musalmaan par musalmaan ka ye bhi haq hai ke woh jo kuch apne liye pasand karta hai, doosre bhai ke liye bhi wohi pasand kare aur jo cheez apne liye buri samajhta hai doosre musalmaan ke liye bhi usey bura samjhe