Musalman ka musalman par kya haq he Hadis sharifHar insaan par yeh laazim hai ke jab woh doosre se mile to usey salaam kahe, jab woh usey daawat de to uski daawat qubool kare, jab usey cheenk aaye to uska jawaab de, jab woh beemar pade to uski ayaadat ko jaaye, jab woh Mar jaaye to uske janaaze mein haazir ho, jab woh qasam dilaaye to uski qasam ko poora kare, jab woh naseehat ka
khwaastgaar ho to usey naseehat kare, uski gair-maujoodgi mein uski peeth ki hifaazat kare yaani uski geebat naa kare aur uske liye wohi kuch pasand kare jo apne liye pasand karta hai aur har woh cheez jisey woh apne liye napasand samajhta hai uske liye bhi makrooh samjhe.Yeh tamaam ehkaam ahaadees mein waarid huwe hai chunaanche HAZRATE ANAS رضي الله عنه HUZOOR ﷺ se riwaayat karte hai, AAPNE farmaya tujh par musalmanon ke 4 haq hai, unke nek ki imdaad kar , bure ke liye talab e magfirat kar, unmein se jaanewale (marnewale) ke liye dua maang aur unmein se tauba karnewale ke saath mohabbat rakh.
Leave A Comment