Musalman ka matlab hadise nabwi se 05 HUZOOR ﷺ ne farmaya “jaante ho musalmaan kaun hai ? “ SAHABA E KIRAAM ne arz kiya ke ALLAH ﷻ aur USKA RASOOL ﷺ behtar jaante hai, AAPNE farmaya musalmaan woh hai jiske haath aur zabaan se doosre musalmaan mehfooz rahe. SAHABA ne arz ki momin kaun hai ? AAPNE farmaya jisne apni taraf se musalmaanon ko unke maal aur jaanon mein bekhauf kar diya, poocha gaya muhaajir kaun hai ? AAPNE farmaya jisne buraayiyon ko chhord diya aur unse kinaara-kash raha.
Ek shakhs ne arz kiya “ YAA RASOOLALLAH ﷺ ! Islam kya hai ? “ AAPNE farmaya ye ke tu dil se ALLAH ko tasleem kar le aur tere haath aur zabaan se doosre musalmaan mehfooz rahe.
MUJAAHID رضي الله عنه ka qaul hai ke jahannamiyon par khaarish musallat kar di jaayegi jo tezi se unka gosht khatm karke unki haddiyaan numaaya kar degi, tab nida aayegi aye falaan ! kya ye khaarish tujhe takleef deti hai ? woh kahega haan! awaaz aayegi, ye musalmaanon to takaaleef dene ka tere liye badla hai.
Leave A Comment