BAAB 69
MUMAANI’AT E SOOD KHWAARI:
Soodkhwaari ki mumaani’at mein kaafi aayaat naazil huwi hai aur bohot si Ahaadees bhi is silsile mein waarid huwi hai, chunaanche Bukhaari aur Abu DAWOOD ki hadees hai ke HUZOOR ﷺ ne jism par naqsh godnewale aur naqsh gudwaanewale, sood denewale aur sood lene wale par laanat ki hai aur kutte ki qeemat lene aur badkaariyon se mana farmaya aur tasweer banaanewalon par laanat farmayi hai.
Ahmed, Abu Yau’la, sahih ibne Khuzaima aur sahih ibne Hibbaan ne HAZRATE IBNE MASOOD رضي الله عنه se riwaayat ki hai, UNHONE farmaya sood lene wala, sood denewala, us par gawaah banne wala, uski tehreer karnewale par jab ki usey maaloom ho ke ye tehreer sood ke liye ho rahi hai , jism par phool
godnewale, phool gudwanewale par, jo apni khoobsoorti ke liye aisa karta hai , sadqe se inkaar karnewala aur badawi jo hijrat ke baad phir murtad huwa , sab MOHAMMAD ﷺ ki zabaan mubaarak se mal’oon qaraar paaye hai.
Haakim ne ba-sanade sahih yeh riwaayat ki hai , HUZOOR ﷺ ne farmaya ke chaar shakhs aise hai jinke liye ALLAH TA’ALA ne laazim kar diya hai ke unhein Jannat mein daakhil nahi karega aur naa hi woh Us ki ne’maton se lutf andoz honge, sharaabi, soodkhwaar , naahaq yateem ka maal khaane wala aur waalidain ka naafarmaan.
Haakim ki ek riwaayat hai jisey sahih qaraar diya gaya hai ke sood ke 73 darwaze hai jinmein se sabse kamtar yeh hai ke jaise koi shakhs apni maa se nikaah kar le.
Bazaaz ne ba-sanad e sahih riwaayat ki hai ke sood ke kuch upar 70 aqsaam (qismein) hai , isi tarah shirk bhi hai, baihaqi ki riwaayat hai ke sood ke 70 darwaaze hai aur sabse adnaa yeh hai ke insaan apni maa se badkaari kare.
Tibraani ne kabeer mein HAZRATE ABDULLAH BIN SALAAM رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke RASOOLALLAH ﷺ ne farmaya, woh dirham jo insaan sood mein leta hai , ALLAH TA’ALA ke nazdeek haalat e islam mein 33 zina karne se bhi badtar hai. Is riwaayat ki sanad me inqitaa’  hai aur Abidduniya aur bagawi ne isey mauqoofan HAZRATE ABDULLAH BIN SALAAM رضي الله عنه se riwaayat kiya hai aur yahi sahi hai aur yeh hadees e mauqoof bhi hadees e marfoo’ ke hukm mein hai kyunki ek soodi dirham ka mazkoora baalaa taadaad mein zina karne se bhi ALLAH TA’ALA ke yahaan bohot bada gunaah hona, Wahi ke bagair maaloom hona naamumkin hai, goya ki Unhone yeh hadees HUZOOR ﷺ se suni hogi.
HAZRATE ABDULLAH رضي الله عنه ka kehna hai, sood ke bahattar (72)  gunaah hai, uska sabse adnaa gunaah haalat e Islam mein kisi ka apni Maa se zina karne ke baraabar hai aur ek soodi dirham kuch upar 30 martaba zina karne se badtar hai, aur unhone yeh bhi kaha ke ALLAH TA’ALA qayamat ke din har nek aur badd ko khade hone ki ijaazat dega magar soodkhwaar khada nahi hoga lekin jaise woh shakhs khada hota hai jisey shaitaan ne aaseb se bawla kar diya ho.
Ahmed ne ba-sanade jaiyyad HAZRATE KAAB AHBAAR  رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke main 33 martaba zina karne ko ek dirham sood khaane se achcha samajhta hun, jab MAIN sood kamaun to ALLAH TA’ALA hi jaanta hai ke  MAIN kya khaa raha hun.
Ahmed ne ba-sanade sahih aur tibraani ne yeh hadees naql ki hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya insaan ka jaan boojh kar ek dirham sood khaana 33 martaba zina karne se badtar hai.
IBNE ABID-DUNIYA aur baihaqqi ki riwaayat hai ke HUZOOR ﷺ ne SAHABA E KIRAAM ko khutba diya aur sood aur uski buraaiyyaan bayaan karte huwe farmaya ke aisa ek dirham jisey aadmi bataur e sood leta hai, ALLAH TA’ALA ke yahaan insaan ke 33 martaba zina karne se zyada bura hai aur sab se bada sood musalmaan ke maal mein se kuch lena hai.
Tibraani ne sageer aur awsat mein riwaayat ki hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke jis shakhs ne najaaiz taur par kisi zaalim ki  i’aanat ki taaki woh kisi ka maal dabaa le  to aisa shakhs ALLAH aur USKE RASOOL ﷺ ki zimmedaari se bari hai aur jisne ek dirham sood khaaya woh 33 martaba zina karne ke baraabar hai aur jiska gosht maal e haraam kha kar badha , jahannam aise shakhs ka zyada mustahiq hai.
Baihaqi ki riwaayat hai ke sood ke kuch upar 70 darwaze hai, iska sabse kamtar gunaah haalat e islam mein maa se zina karne ke baraabar hai aur sood ka ek dirham 53 martaba zina karne se zyada bura hai.
Tibraani ne awsat mein AMAR BIN RAASHID رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke sood ke 72 darwaze hai, unmein se adnaa darwaza (gunaah ) aadmi ka apni maa se zina karne ke baraabar hai aur sabse bura sood ye hai ke insaan apne bhai ke maal ki taraf haath lamba kare (sood mein musalmaan bhai ka maal le)
IBNE Maaja aur baihaqi ne Abi Ma’shar se, unhone ABU SAEED Maqburi aur unhone HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya, sood mein 70 gunaah hai , sabse adnaa gunaah yeh hai ke jaise aadmi apni maa se nikaah kar le.
ZINA AUR SOOD KA AAM HO JAANA AZAAB E ILAAHI KO DAAWAT DETA HAI :
Haakim ne ba-sanade sahih ke saath HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنهما  se riwaayat ki hai ke HUZOOR ﷺ ne phalon ko bada hone se pehle bechne se mana farmaya hai aur farmaya jab kisi sheher mein zina aur sood aam ho jaaye to unhone goya khud hi ALLAH ke azaab ko daawat de di hai.
ABU YAU’LA  ne sanade Jaiyyad ke saath HAZRATE IBNE MASOOD رضي الله عنه se riwaayat ki hai UNHONE HUZOOR ﷺ ki hadees bayaan karte huwe farmaya ke kisi qaum ka zina aur soodkhwaari zaahir nahi hote magar woh log azaab e ILAAHI ko apne liye halaal kar lete hai ( yaani jo qaum zina aur soodkhwaari mein mubtela hai usne goya azaab e ILAAHI ko daawat di hai.)
Ahmed ne yeh hadees naql ki hai , aisi koi qaum nahi jis mein sood chal nikle magar woh qahet-saali mein mubtela ki jaati hai aur jis qaum mein zina ki kasrat ho jaati hai, ALLAH TA’ALA usey khauf aur qahet-e-aam mein mubtela kar deta hai chaahe baarish hi kyun naa ho jaaye.
Ahmed ne ek taweel hadees mein, IBNE Maaja ne mukhtasaran aur Asbahaani ne is hadees ko bayaan kiya hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya ke jab MUJHE mea’raaj  mein sair karaayi gayi aur HUM saatwein aasmaan par pohonche to MAINE upar dekha to MUJHE bijli ki kadak aur garaj chamak nazar aayi, phir MAINE aisi qaum ko dekha jinke pet makaanon ki tarah the aur baahar se unke peton mein chalte phirte saanp nazar aa rahe the , MAINE poocha JIBRAEEL! Ye kaun hai ? UNHONE jawaab diya ke yeh soodkhor hain !
Asbahaani ne HAZRATE ABU SAEED KHUDRI رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya ke jab MUJHE aasmaanon ki taraf mea’raaj karaayi gayi to MAINE aasmaan e duniya mein aise aadmiyon ko dekha jinke pet bade bade ghadon jaise the , unke pet jhuke huwe the aur woh firaun ke pairokaaron ke raaston mein pade huwe the aur woh har subah wa shaam jahannam ke kinaare khade ho kar kehte, Aye ALLAH ! Qayamat kabhi qaayam naa karna , MAINE poocha JIBRAEEL! Ye kaun hai?  JIBRAEEL ne arz ki ke yeh AAPKI ummat ke soodkhwaar hai. woh nahi khade honge magar jaise woh shakhs khada hota hai jisey shaitaan aaseb se bawla kar deta hai. Asbahaani ka qaul hai ke aale firaun jo subah wa shaam aag par pesh kiye jaate hai, unhein raund-te huwe guzrenge.
Tibraani ne sanad e sahih se riwaayat naql ki hai, AAPNE farmaya qayamat se pehle zina, sood aur sharaab aam ho jaayega.
Tibraani ne QAASIM BIN ABDULLAH WARRAAQ رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke MAINE HAZRATE ABDULLAH BIN ABI AUFA رضي الله عنه ko siyaarfa ( jahaan sood wagairah ka kaarobaar hota hai) ke bazaar mein dekha, woh ahle bazaar waalon se keh rahe the Aye ahle siyaarfa ! Tumhein khushkhabri ho, unhone kaha ALLAH Aapko Jannat ki khushkhabri de, AYE ABU MOHAMMED ! AAP hamein kis cheez ki khushkhabri de rahe hain ? AAPNE kaha MAINE RASOOLALLAH ﷺ ko siyaarfa ke liye farmate suna hai ke unhein aag ki bashaarat de do.
Tibraani ki hadees hai ke apne aap ko un gunaahon se bacha jinki magfirat nahi hoti, khayaanat aisa hi ek gunaah hai , jo jis cheez mein khayaanat karta hai qayamat ke din usey usi ke saath laaya jaayega, Soodkhori, jo sood khaata hai woh qayamat ke din paagal aaseb-zadah uthaaya  jaayega, phir AAPNE yeh aayat padhi “jo sood khaate hai woh us shakhs ki tarah khade honge jisey shaitaan aaseb se bawla kar deta hai.”
Asbahaani ki hadees hai ke qayamat ke din soodkhwaar paagal ki tarah apne dono pehlu kheenchta huwa aayega, phir AAPNE yeh aayat padhi “woh us shakhs ki tarah khade honge jisey shaitaan aaseb se  paagal kar deta hai. “
IBNE MAAJA aur HAAKIM ki hadees hai, HUZOOR  ﷺ ne farmaya ke jo bhi sood se apna maal badha leta hai, aakhirkaar woh tangdasti ka shikaar banta hai.
HAAKIM  ne ba-sanade sahih yeh Hadees naql ki hai ke sood chaahe kitna hi badh jaaye aakhirkaar qillat par muntij hota hai. ABU DAWOOD aur IBNE MAAJA ne HASAN رضي الله عنه se, UNHONE HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se riwaayat ki hai (muhaddiseen ne HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se HASAN ke simaa e Hadees mein ikhtilaaf kiya hai, jamhoor ka qaul hai ke simaa’ saabit nahi hai ) HUZOOR ﷺ ne farmaya  logon par aisa zamana aayega ke un mein koi bhi aisa na hoga jo sood naa khaata ho aur jo sood nahi khaayega
Sood ka gubaar us tak zaroor pohonch jaayega.
ABDULLAH BIN AHMED ne ZAWAAIDUL MUSNAD mein yeh hadees naql ki hai ke qasam hai US zaat ki JISKE  DASTE QUDRAT mein MERI jaan hai, albatta MERI ummat ke log buraaiyyon mein raat guzaarenge, aish o ishrat karenge aur lahv wa la-ib mein mashgool honge, jab subah hogi to ALLAH ki haraam ki huwi cheezon ko halaal karne, aurton se gaana bajaana sunne , sharaab peene , sood khaane aur resham pehenne ke sabab suwwar aur Bandar ban jaayenge.
Ahmed aur Baihaqi ki Hadees hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya is ummat ka ek giroh khaane peene aur lahv wa la-ib mein raat guzaarega, jab subah karenge to unki soortein maskh ho chuki hongi, woh Bandar aur khinzeer (suwwar) honge aur albatta woh zameen mein dhansenge aur unpar paththar barsaaye jaayenge, yahan tak ke log kahenge, falaan ghar aur falaan log zameen mein dhans gaye hai aur bila shuba unpar paththaron ki baarish ki jaayegi jaise qaum e loot par ki gayi thi , unke qabeelon par aur unke gharon par yeh museebat, unke sharaab peene, reshmi libaas pehenne, gaane bajaane ki mehfilein munaqqid karne , sood khaane aur qataa’ rehmi ke sabab hoga, aur ek khaslat ko bayaan karna raawi bhool gaye.
END OF BAAB 69.