BAAB 9 MUKAASHAFATUL QULOOB MOHABBAT : Kehte hai ke ek aadmi ne jungle mein ek soorat e badd (buri soorat) ko dekh kar poocha tu kaun hai? Usne jawaab diya main tera bura amal hun, us aadmi ne poocha tujhse najaat ki bhi koi soorat hai? Usne jawaab diya ke HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM par durood padhna. jaisa ke HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ka farmaan hai "MERE upar durood pul-siraat ke liye Noor hai, jo MUJH par jumuah ke din 80 martaba durood bhejta hai, ALLAH TA'ALA uske 80 saal ke gunaahon ko maaf kar deta hai. DUROOD NA BHEJNE WAALE SE HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM KA AIRAAZ (munh pherna): Ek aadmi HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM par durood nahi bhejta tha, ek raat usne khwaab mein HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ko dekha, AAPNE uski taraf tawajjoh na farmaayi ,us aadmi ne arz kiya ke kya HUZOOR mujhse naraaz hai isliye tawajjoh nahi farmaayi? AAPNE farmaya nahi MAIN tujhe pehchaanta hi nahi hun, arz ki gayi HUZOOR mujhe kaise nahi pehchaante haalaan ke ulema kehte hai ke AAP apne ummatiyon ko unke maa baap se bhi zyada pehchaante hai, AAPNE farmaaya ulmaa ne sach kaha lekin tu ne MUJHE durood bhej kar apni yaad nahi dilaayi, MERA koi ummati MUJH par jitna durood bhejta hai MAIN use utna hi pehchaanta hun. us shakhs ke dil mein ye baat baith gayi aur usne rozaana ek sau martaba durood bhejna shuru kar diya, kuch muddat baad HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ke deedaar se phir khwaab mein musharraf hua, AAPNE farmaya MAIN ab tujhe pehchaanta hun aur MAIN teri shafa'at karunga isliye ke woh HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ka muhib ban gaya tha. Farmane ILAAHI hai: "Aye Rasool unse keh dijiye ki agar tum ALLAH ko dost rakhte ho to Meri pairwi (itaa'at ) karo, ALLAH TA'ALA tum ko dost rakhega." is aayat ki shaane nuzool ye hai ke jab HUZOOR SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ne Kaab bin Ashraf aur uske saathiyon ko daawat e islam di to wo kehne lage, hum to ALLAH TA'ALA ke beton ki tarah hai aur Us se bohot mohabbat karte hai, tab ALLAH TA'ALA ne apne NABI SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM se kaha unse keh dijiye ,agar tum ALLAH TA'ALA se mohabbat rakhte ho to MERI itteba karo, MAIN ALLAH ka RASOOL hun , MAIN tumhari taraf Uska paigaam pahonchaane wala aur tumhare liye ALLAH ki hujjat ban kar aaya hun, MERI itteba karoge to ALLAH tumhe mehboob banaayega aur tumhare gunaahon ko maaf kardega, woh GAFOOR aur RAHEEM hai. Mominon ki mohabbat ALLAH ke saath ye hai ke wo Uske ahkaam par amal kare, Uski ibaadat kare aur Uski raza ke talabgaar rahe, aur ALLAH TA'ALA ki mominon ke saath mohabbat ye hai ke Woh unki taareef kare unhe sawaab ataa farmaaye, unke gunaahon ko maaf kare aur unhe Apni rehmat se husn e taufeeq , iffat wa ismat ataa farmaaye. IMAAM GAZAALI REHMATULLAH ALAIH AHYA UL ULOOM mein farmaate hai, jo shakhs 4 cheezon ke bagair 4 cheezon ka daawa karta hai wo jhoota hai. 1) Jo Jannat ki mohabbat ka daawa karta hai magar neki nahi karta. 2) Jo shakhs NABI SALLALLAAHU ALAIHI WASALLAM ki mohabbat ka daawa karta hai magar ulema aur swaalehaa ( nek logon) ko dost nahi rakhta. 3) Jo aag se darne ka daawa karta hai magar gunaah nahi chhodta. 4) Jo shakhs ALLAH ki mohabbat ka daawa karta hai magar takleefon ki shikaayat karta hai jaisa ke HAZRAT E RAABIYA farmaati hain, "tu ALLAH TA'ALA ki naafarmaani karta hai haalaan ki bazaahir tu mohabbatein khudawandi ka daawedaar hai, mujhe zindagi ki qasam ! ye anokhi baat hai. Agar teri mohabbat sachchi hoti to tu Uski itaa'at karta kyunki muhib jis se mohabbat karta hai uski itaa'at karta hai. aur mohabbat ki alaamat mehboob ki muwafiqat karne aur uske khilaaf na karne mein hai. JANAABE SHIBLI REHMATULLAH ALAIH se MOHABBAT ka daawa Ek jama'at JANAABE SHIBLI REHMATULLAH ALAIH ke paas aayi aur woh log kehne lage "hum tumse mohabbat karte hain " , Aapne unhe dekh kar patthar maare to woh log bhaag khade hue , Aapne poocha " agar tum waqa'i mujhse mohabbat karte the to meri taraf se di gayi itni si takleef pe kyun bhaag gaye ho ?" Phir SHIBLI REHMATULLAH ALAIH ne farmaaya ahle mohabbat ne ulfat ka pyaala piya to unpar yeh wasee (phaili) zameen aur sheher tang ho gaye , unhone ALLAH TA'ALA ko aise pehchaana jaise pehchaanne ka haq hai. woh Uski azmat mein sargardaan aur Uski qudrat mein hairaan hai , unhone mohabbat ka jaam piya aur Uski ulfat ke samandar mein doob gaye aur Uski baargah mein munaajaat se sheereeni haasil ki phir aapne yeh sher padha, "Aye Maula Teri mohabbat ki yaad ne mujhe madhosh kar diya , kya TU ne kisi aise mehboob ko dekha hai jo madhosh na ho ." Kehte hain ke jab oont mast ho jaata hai to 40 din tak ghaas wagairah nahi khaata aur agar us par pehle se dugna bojh laadh diya jaaye tab bhi use utha leta hai isliye ke jab uska dil mehboob ki yaad mein tadapta hota hai to use na chaare ki khwaahish hoti hai na hi woh bhaari bojh uthaane se ghabrata hai. jab oont apne mehboob ki yaad mein apni khwaahishaat ko chhod deta hai aur bhaari bojh utha leta hai to kya tumne bhi kabhi ALLAH TA'ALA ki raza'jui (raza ki khaatir) ke liye apni naajaayaz khwaahishaat ko chhoda hai ? Kabhi khaana peena band kiya hai? Kabhi apne wajood par baare giraan daala hai ? Agar tumne in mazkoora baala umoor mein se koi kaam nahi kiya to tumhara daawa jhoota hai jo tumhe na duniya mein faiyda dega na aakhirat mein , na makhlooq ke nazdeek faiydamand hai na Khaaliq ke huzoor mein. HAZRATE ALI KARRAMALLAH WAJHA HUL KAREEM farmaate hain , jo Jannat ka ummeedwaar hua usne nekiyon mein jaldi ki jo jahannam se dara usne khud ko naajaayaz khwaahishon se rok diya aur jise maut ka yakeen aa gaya usne lazzat e duniya ko khatam kar diya. JANAAB E IBRAAHIM KHAWWAAS REHMATULLAH ALAIH se mohabbat ke baare mein sawaal kiya gaya to Aapne farmaaya mohabbat naam hai iraadon ko khatam kar dene , tamaam sifaton aur haajaton ko murda kar dene aur apne wajood ko ishaaraat ke samandar mein garq kar dene ka . END OF
Leave A Comment