MAZARAAT PE HAAZRI ya JIYA’ARAT KA SAHI TARE’EQaMujaddid E Islam-Imam Ahmed Raza Khan (Aala hazrat) farmate hain
Mazaar Shareef ke Paainti (Qadmon) Ki Taraf se Jaaye,Mazaar se Kam se Kam Chaar (4) Haath Ke Faasle Par Khada Ho jaaye. Baa-Adab Salaam Arz Kare. Fatiha padhe:3 Baar Alhamd Sharif padhe.♦1 Martaba Ayat ul Kursi. ♦7 Martaba Sura e Ikhlas(Kul hu Allah hu ahad) ki Tilawat Kare. (Fatawa Razawiya 9/522)Mazaar Shareef par Dua Ka Tareeqa: Aala Hazrat farmate hain “Fatiha Ke Baad Zaair Sahib e Mazaar(Jis Allah ke Wali ki mazaar) Ke Wasile se Allah ke Bargaah me Dua Kare Aur Apna Jaaiz Maksad Pesh Kare.
Phir Salam Arz Karta Hua Wapis Aye. Ehtiyaat ke taur pe Mazaar Ko Na Haath Lagaye Na Bosaa (Chume) De. Tawaaf Bil Ittefaq Na Jaaiz Hain Aur Sajda Haraam Hain. Sirf Jiy’aarat karna chahie. (Fatawa Razawiya 9/522)
Mazaar ya qabar Par Phoolon Ki Chaadar Daalne Me Shariyat me kahi mana Nahi Balke Niyyat e Hasan Se Hasan Hain
Jaise Qabar Par Phool Daalna Ke Jab Tak Wo Tarr(Taaza ya sukhe huye na ho) Rahenge tab tak wo Allah ki Tasbih Karenge Is Se Mayyat Ka Dil Behalta Hain Aur Allah ki Rehmat Utar ti rehti Hain.
Fatawa E Alamgiri Me Hai Qabro Par Phoolo Ka Rakhna Acha Hain” (Fatawa Hindiya 5/351)
Deegar Hawala Jaat:
(Fatawa Imam Qazi Khan) (Imdadul Miftah)
(Raddul Mukhtar 1/606)
(Fatawa Razawiya 9/105)
Mazaarat Par Chaadar Chadhana:
Ala hazrat farmate hain “Mazaar Par Jab Chaadar Mojud Ho, Kharab Na Hui Ho aur Badalne Ki jarurat Nahi To Chaadar Chadhana Fuzul Hain…
Bulke Jo Daam Is me kharch ho raha ho wo, ALLAH Ke Wali Ko Esaal e Sawab Karne K Liye Kisi Mohtaj,Garib,Miskeen Ko De”
(Ahkaam e Shariyat 1/42)
Aaj kal humare Maashre me chaadar chadhane ko hi sab kuch samaj liya hai tab ke na ye Koi Farz,Waajib,Sunnat bhi nahi hain lekin Auliya E Karaam ki Taazeem hain aur Ta’azeem karna jaruri hain warna hum bhi Bad-aqeede wale jaise samaze jayenge.
Dhol,taashe,Music ke sath chaadar lekar jate hain ye Sharyat ke khilaaf aur galat hai Lekin Hamd o Sanaa, Naat-kha’ani,Islaami Naaro ke saath jis se kisi ko taqleef na ho aise jaa sakte hain.
Mazaar Sharif Ko Bousa Dena Aur Tawaf Karna Aala Hazrat Alaihir rahma farmate hain.
“Mazaar Ka Tawaaf Ba-neeyat Ta’azeem Na-jaiz Hain. Tawaaf Sirf Kaabe Ke Liye Makhsus(Khaas) Hain. Bosaa karne Se Bachna Chahiye,
Ulma Ka Is Masle Me Ikhtalaaf Hain. Aastana Bousi Aur Aankho Se Lagana Jaiz Hain”(Fatawa Razawiya 4/08)…

Leave A Comment