BAAB 42
ALLAH TA’ALA ne QURAN MAJEED ke muta’addid aayaat mein takabbur ki mazammat ki hai aur har khudsar mutakabbir ko bura gardaana hai chunaanche irshaad e ILAAHI hai :
“Albatta MAIN un logon ko APNI aayaat se pher doonga jo zameen mein naahaq takabbur karte hai.”
Aur farmaya:
“Isi tarah ALLAH AZZ WA JALL har sarkash mutakabbir ke dil par mohar laga deta hai.”
Mazeed farmaya
“aur unhone fatah maangi aur har sarkash aynaad rakhnewala naamuraad hua,”
ek aur aayat mein irshaad farmaya:
“WOH takabbur karnewalon ko mehboob nahi rakhta.”
Mazeed farmaya:
“Beshak unhone apni zindagiyon mein takabbur kiya aur bohot badi sarkashi ki.”
Farmane ILAAHI hai :
“Jo log MERI ibaadat se takabbur karte hai, bohot jald jahannam mein zaleel ho kar daakhil honge.”
Aur bhi muta’addid maqaamaat par ALLAH TA’ALA ne takabbur ki mazammat farmayi hai.
Aur farmane NABAWI ﷺ hai
“jis shakhs ke dil mein raai ke daane ke baraabar takabbur hoga wo Jannat mein daakhil nahi hoga aur jis shakhs ke dil mein raai ke daane ke baraabar Imaan hoga woh jahannam mein nahi jaayega.
HAZRAT E ABU HURAIRAH رضي الله عنه se marwi hai , HUZOOR ﷺ ne farmaya ALLAH farmaata hai ke azmat aur kibriyaai MERI chaadarein hai jo unmein se kisi ka daawa karega MAIN usey jahannam mein daal doonga , MUJHE kisi ki parwaah nahi hai .
HAZRAT E ABU SALMA BIN ABDURREHMAAN رضي الله عنه se marwi hai , HAZRAT E ABDULLAH BIN OMAR رضي الله عنه aur HAZRAT E ABDULLAH BIN AMAR رضي الله عنه ki kohe safa par mulaqaat hui , kuch der theherne ke baad ABDULLAH BIN AMAR رضي الله عنه chale gaye aur HAZRAT E ABDULLAH BIN UMAR رضي الله عنه rone lage , logon ne rone ka sabab poocha to AAPNE farmaya HAZRAT E ABDULLAH BIN AMAR رضي الله عنه ka kehna hai , unhone HAZRAT E RASOOL E AKRAM ﷺ ko yeh farmaate suna hai ” jis shakhs ke dil mein raai ke daane ke baraabar takabbur hoga ALLAH TA’ALA usey munh ke bal jahannam mein daalega . ”
Farmaan e NABAWI ﷺ hai ke aadmi apne nafs ki pairwee mein baraabar badhta chala jaata hai yahan tak ke usey mutakabbereen mein likha jaata hai aur usey unhi ke azaab mein mubtela kiya jaayega.
HAZRAT E SULAIMAAN BIN DAWOOD عليه السلام ne ek martaba parindon , insaanon , jinnon , aur darindon se farmaya ke MERI ma’eeyat (saath) mein chalo , chunaanche aap do laakh insaanon aur do laakh jinnon ke saath takht par jalwa farma huwe aur itni bulandi tak jaa pohonche ke wahan se farishton ki tasbeehaat ki aawaaz ba-aasaani suni jaa rahi thi , phir wahaan se neeche utre yahan tak ke unke kadam samundar ko choone lage to Aapne aawaaz suni , agar Tumhare kisi saathi ke dil mein zarra baraabar takabbur hoga to jitni bulandi tak MAIN tumko le gaya hun , us se bhi zyaada gehraayi mein usey dhañsa doonga.
TEEN SHAKHSON PAR JAHANNAM KA MAKHSOOS AZAAB
:
NABI E KAREEM ﷺ farmaate hain ke jahannam se ek gardan niklegi jiske do kaan , do aankhein aur kuwwate goyaai rakhne wali zabaan hogi , woh kahegi ke mujhe teen shakhson par muqarrar kiya gaya hai , har sarkash mutakabbir ke liye, ALLAH ke saath shareek thehraane waale ke liye aur tasweer banaane waale ke liye.
Farmaan e NABAWI ﷺ hai ke bakheel , mutakabbir aur bad-khisaal ( jannat mein nahi jaayega .
Farmaan e NABAWI ﷺ hai ke jannat aur jahannam ne baaham guftugu ki , jahannam bola ke maine sarkashon aur mutakabbiron ko apne liye pasand kiya hai , jannat ne kaha mere andar kamzor , zaeef aur dar-maanda log aayenge .
ALLAH TA’ALA ne jannat se farmaya tu MERI rehmat hai , MAIN jis bande ko chaahunga usey tere supurd kar dunga aur jahannam se farmaya tu MERA azaab hai , MAIN jise chaahunga tere azaab mein jhonk doonga aur tum dono ko bhar doonga .
BOHOT HI BURA BANDA
:
NABI E KAREEM ﷺ farmaate hain ke woh banda bohot bura hai jisne takabbur kiya , sarkashi ikhteyaar ki aur qaadir e mutlaq KHUDA ko bhool gaya , woh banda bohot bura hai jisne takabbur kiya , apne aap ko bohot badaa samjha aur bohot bade buland wa ba-izzat KHUDA ko bhool gaya , woh banda bohot bura hai jo maqsood e zindagi se gaafil ho gaya , usey bhool gaya aur qabron aur masaaib ko bhula baitha , woh banda bohot bura hai jisne bagaawat aur sarkashi ki aur apni ibtedaa wa inteha ko bhool gaya .
HAZRAT E SAABIT رضي الله عنه se marwi hai hamein maloom hua hai , HUZOOR ﷺ se kaha gaya ke falaan mein kitna takabbur hai , AAPNE farmaaya kya uske liye maut nahi hai ?. (yaani woh maut se nahi darta ) .
HAZRAT E ABDULLAH BIN AMAR رضي الله عنه se marwi hai , HUZOOR ﷺ ne farmaaya ke HAZRAT E NOOH عليه السلام ne wafaat ke waqt apne beton ko bulaakar farmaya MAIN tumhe do baaton ke karne ka hukm deta hun aur do baaton se rokta hun , MAIN tumhe takabbur aur shirk se manaa karta hun aur LAA ILAAHA ILLALLAHU WA SUBHANALLAAHI WABIHAMDIHI par kaarband rehne ka hukm deta hun kyunki agar ek palde mein aasmaan aur zameen apni tamaam ashyaan samet rakh diye jaayein aur doosre palde mein LAA ILAAHA ILLALLAAHU rakh diya jaaye to yeh palda bhaari ho jaayega, agar aasmaan o zameen apni tamaam tar ashyaan samet ek daaira ki tarah ho jaaye aur unmein LAA ILAAHA ILLALLAAHU rakh diya jaaye to woh daaira toot jaayega aur MAIN tumhe SUBHANALLAAHI WABIHAMDIHI padhne ka hukm deta hun kyunki yeh har cheez ki tasbeeh hai aur isi ke sabab har cheez ko rizq diya jaata hai .
HAZRATE ISAA عليه السلام ne farmaya use bashaarat ho jise ALLAH ne apni kitaab ka ilm diya aur wo mutakabbir nahi maraa.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke har sangdil , itraa kar chalnewala mutakabbir, maal jama karnewala aur kisi ko raahe KHUDA se rokne wala jahannami hai aur har muflis zaeef Jannati hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai “HAMEIN sabse zyada mehboob, HAMARA sabse zyada muqarrab qayamat mein wo shakhs hoga jo tum mein se behtareen akhlaaq ka maalik hai aur qayamat ke din HAMEIN sabse zyada naapasand aur HUMSE sabse zyada door, logon ka mazahka udaanewale, behuda-go aur mutafaqqiheen honge.” poocha gaya HUZOOR! Ye kaun honge ? AAPNE farmaya ye mutakabbir honge.
Farmane NABAWI ﷺ hai , qayamat ke din mutakabbir choontiyon ki tarah uthaye jaayenge log unhe raundenge aur reza reza kar denge aur wo intehaayi zillat mein honge phir unhein jahannam ke qaidkhaana ki taraf le jaaya jaayega jiska naam bolas hai, unpar jahannam ki aag bhadkegi, unhein dauzakhiyon ke jismon se nikalne waali peep pilaayi jaayegi.
HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه se marwi hai , HUZOOR ﷺ ne farmaya ke sarkash aur mutakabbiron ko qayamat ke din choontiyon jaisi jasaamat mein paida kiya jaayega, ALLAH TA’ALA ke yahan unki naa-qadri ki wajah se log unhe raund rahe honge.
JANAB MUHAMMED BIN WAASE’ رضي الله عنه se marwi hai ke MAIN BILAAL BIN ABI BURDA ke haan gaya aur unse kaha ke tumhare waalid ne mujhe HUZOOR ﷺ ki ye hadees sunaayi thi ke “jahannam mein ek waadi hai jiska naam habhab hai, ALLAH TA’ALA us waadi mein har mutakabbir ko daakhil karega ” aye BILAAL! Khayaal rakhna kahin us waadi ke rehne walon mein se naa ho jaana.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jahannam mein ek mahal hai jismein tamaam mutakabbiron ko jama kiya jaayega aur phir wo mahal unpar gira diya jaayega.
Farmane NABAWI ﷺ hai “AYE ALLAH ! MAIN takabbur ki buraayi se teri panaah maangta hun”, aur farmaya ke jo shakhs duniya se is haal mein jaaye ke woh teen cheezon se bari ho, woh Jannat mein jaayega.
1)Takabbur,
2) Qarz aur
3) khiyaanat.
HAZRATE ABUBAKR رضي الله عنه ka irshaad hai ke tum mein se koi bhi kisi musalmaan ko haqeer na samjhe kyunki haqeer musalmaan bhi ALLAH TA’ALA ke nazdeek bohot muazzaz hota hai.
JANAB WAHAB رضي الله عنه ka qaul hai ke ALLAH TA’ALA ne Jannat e adan ko paida farma kar kaha , tu har mutakabbir par haraam hai.
JANAB E AHNAF BIN QAIS رضي الله عنه JANAB E MAS’AB BIN ZUBAIR رضي الله عنه ke saath chaarpaayi par baitha karte the, ek din AHNAF tashreef laaye to HAZRATE MAS’AB pair lambe kiye hue daraaz the, UNHEIN dekh kar UNHONE pair nahi samete , HAZRATE AHNAF baith gaye aur unhein bohot dukh hua, yahan tak ke unke chehre par naaraazgi ki alaamatein zaahir ho gayi, tab unhone kaha ta’ajjub hai insaan takabbur karta hai haalaan ke woh do peshaab gaahon se nikla hai.
JANAB HASAN رضي الله عنه farmate hai ta’ajjub hai ke insaan rozaana ek ya do martaba pakhana dhota hai aur phir bhi ALLAH TA’ALA se muqaabla karta hai.
Aayate karima ” وفي انفسكم افلا تبصرون ” ke muta’alliq baaz Ulemaa ne kaha hai ke us se muraad insaan ki sharmgaahein hai.
HAZRATE MUHAMMED BIN HUSSAIN BIN ALI رضي الله عنهمم ka qaul hai ke insaan ke dil mein jitna takabbur daakhil hota hai utna hi uski aql kam hoti hai, takabbur zyada ho to aql bohot kam hoti hai aur agar takabbur thoda ho to usi ke hisaab se aql kam ho jaati hai.
JANAB SULEMAAN رحمت لله عليه se us gunaah ke muta’alliq poocha gaya jiski maujoodgi mein neki koi faida nahi deti to unhone kaha wo takabbur hai.
HAZRATE NOMAAN BIN BASHEER رضي الله عنه ne mimbar par khade ho kar farmaya shaitaan ke kuch jaal hain, un jaalon mein se yeh jaal bhi hai. ALLAH ki ne’maton par itraana , USKI ataa’on par fakhr karna , bandagaane KHUDA se takabbur karna aur ALLAH TA’ALA ki naapasandeeda khwaahishaat ki ittebaa karna. AYE ALLAH ! apni minnat aur ehsaan ke tufail duniya aur aakhirat mein hamein afw aur aafiyat ataa farma ! Aameen.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jo shakhs takabbur ki wajah se apne tehband ko ghaseet-ta hai, ALLAH TA’ALA use nigaahe rehmat se nahi dekhta hai, mazeed farmaya ke ek shakhs apni chaadar par fakhr kar raha tha , uska nafs bohot itraa raha tha , ALLAH TA’ALA ne use zameen mein dhansa diya aur woh qayamat ke din tak usi tarah dhansta chala jaayega.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jo shakhs takabbur se apne kapde ghaseet kar chalta hai ALLAH TA’ALA qayamat ke din uspar nigaahe rehmat nahi farmayega.
HAZRATE ZAID BIN ASLAM se marwi hai ke Main HAZRATE ABDULLA BIN UMAR رضي الله عنه ki khidmat mein haazir hua to ABDULLAH BIN WAAQID ka guzar hua jo naye kapde pehne hue tha, MAINE suna HAZRATE ABDULLAH BIN UMAR رضي الله عنه keh rahe the ke aye bete ! tehband ko ooncha karlo kyunki MAINE RASOOLALLAH ﷺ ko ye farmate huwe suna hai jo apne tehband ko takabbur se ghaseet kar chalta hai, ALLAH TA’ALA uski taraf nigaahe rehmat nahi karta.
Riwaayat hai ke HUZOOR ﷺ ne ek martaba Apni hatheli par lu’aab e dehen lagaakar farmaya, ALLAH TA’ALA farmata hai aye insaan ! Tu ujb wa guroor kar raha hai haalaan ke MAINE tujhe is jaise paani se paida kiya hai, yahan tak ke jab MAINE tujhe mukammal kar diya to tu rang birange kapde pehenkar zameen par dandnaata phir raha hai haalaan ke tujhe isi zameen mein jaana hai, tu ne maal jamaa karke use rok liya magar jab maut tere saamne aa jaati hai to sadqa karne ki ijaazat talab karta hai , ab sadqa karne ka waqt kahan ?
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jab MERA ummati itraa kar chalega aur faaras wa room wale unki khidmat guzaar honge to ALLAH TA’ALA un par doosron ko musallat kar dega.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jo apne aap ko badaa samajhta hai aur itraa kar chalta hai , wo ALLAH TA’ALA se is haalat mein mulaaqaat karega ke ALLAH TA’ALA uspar naaraaz hoga.
JANAB E ABUBAKR AL HAZLI رضي الله عنه se marwi hai , hum HAZRATE HASAN رضي الله عنه ke saath baithe huwe the ke ibne al haisam ka guzar hua jo apne mahal ki taraf jaa raha tha , usne kayi reshmi abaayein ek doosre par pehen rakhi thi aur unki wajah se uski achkan khuli hui thi , wo nihaayat mutakabbiraana andaaz mein ek ek qadam rakhta hua jaa raha tha , HAZRATE HASAN ne ek nazar use dekha aur farmaya afsos ! afsos ! Naak chadhaanewala, itraakar chalnewala munh phailaaye hue apne dono pehlu dekhta hua jaa raha hai, aye bewaqoof ! Tu apne pehlu mein aisi ne’maton ko dekh raha hai jinka shukr adaa nahi kiya gaya jo ALLAH TA’ALA ke hukm se banaayi gayi aur naa hi tu ne ALLAH TA’ALA ke huqooq ko adaa kiya hai, tere badan ke har ek uzw mein ALLAH ki ne’mat hai aur shaitaan har uzw par qabza ki fikr mein hai. ba-Khuda! Apni fitrat ke mutaabiq chalna yaa diwaane ki tarah ladkhadaakar chalna is chalne se behtar hai.
Ibne al haisam ne jab ye suna to aakar maazarat karne laga. AAPNE farmaya mujhse maazarat naa chaaho , ALLAH TA’ALA se tauba karo, kya tu ne ye farmaan e ILAAHI nahi suna hai “aur zameen par itraakar na chal, beshak tu naa to zameen ko phaadega aur naa hi pahaadon jitna lamba ho jaayega.”
JAWAANI PAR FAKHR NAHI KARNA CHAAHIYE :
HAZRATE HASAN رحمت لله عليه ke qareeb se ek jawaan ka guzar hua jo khoobsoorat kapde pehna hua tha AAPNE use bulaakar farmaya aye insaan ! Apni jawaani par fakhr karta hai ? Apni aadaton se mohabbat karta hai ? goya ke qabr ne tere wajood ko chupa liya hai aur tu ne apne aamaal dekh liye hai ? Tujhpar haif sad haif ! ( afsos sad afsos !) Jaa aur apne dil ka ilaaj kar kyunki ALLAH TA’ALA ko bandon ke umdaa dilon ki zaroorat hai.
Riwaayat hai ke HAZRATE UMAR BIN ABDUL AZIZ رضي الله عنه ne khilaafat sambhaalne se pehle Hajj kiya, HAZRATE TAAOOS رحمت لله عليه ne unhe dekha ke woh itraa itraakar chal rahe hai.TAAOOS رحمت لله عليه ne unke pehlu ko ungli se dabaakar kaha ye uski chaal nahi hai jiske pet mein gandagi bhari ho. JANAAB E UMAR BIN ABDUL AZIZ رضي الله عنه ne maazarat khwahana lehza mein kaha aye Amme mohtaram ! Mere jism ke har uzw ne mujhe is chaal par majboor kiya aur main ye chaal seekh gaya.
HAZRATE MUHAMMED BIN WAASE’ رحمت لله عليه ne apne bete ko naaz wa nakhre se chalte hue dekhkar bulaya aur kaha jaante ho tum kaun ho ? Tumhari maa ko maine sau dirham mein khareeda tha aur tumhara baap makhlooq e KHUDA mein bohot se logon se kam martaba hai.
HAZRATE ABDULLAAH BIN UMAR رضي الله عنه ne ek aadmi ko tehband ghaseet kar chalte hue dekhkar farmaya ke shaitan ke bhi bhai hai. AAPNE do yaa teen martaba ye jumla dohraaya.
Riwaayat hai ke MUTRIF BIN ABDULLAAH BIN AL SHIKKHEER رحمت لله عليه ne Muhlib ko reshmi jubba pehne naaz se chalte dekhkar kaha ke aye banda e KHUDA! Ye chaal un logon ki hai jinhe ALLAH TA’ALA naapasand karta hai aur jo RASOOL E KHUDA ﷺ ke dushman hai, Muhlib ne kaha Mujhe pehchante ho main kaun hun ? JANAAB E MUTRIF رحمت لله عليه bole achchi tarah pehchaanta hun, teri ibteda naapaak nutfe se, teri intehaa gande murdaar ke taur par hai aur darmiyaani muddat mein tu gandagi uthaaye phirta hai. Muhlib ne ye sunkar mutakabbiraana chaal tark kardi aur aage rawaana ho gaya.
Isi mauzoo par aksar sho’raa ne bohot se ash’aar kahe hai, unmein se chand ye hai :
1) main apni soorat par fakhr karnewale par hairaan hun kyunki wo kal tak ek naapaak nutfa tha.
2)aur apni khoobsoorti ke baawajood kal qabr mein ek badboodaar murdaar ho jaayega.
Khalf e ahmar kehta hai :
1) mera ek ikhtilaaf pasand dost hai jiski galtiyaan zyada aur achchaiyaan kam hai.
2)wo gubreele se bhi zyada ziddi hai aur kawwe se bhi zyada akadkar chalta hai.
Ek aur shayar kehta hai :
1) maine takabbur se kaha jab ke usne kaha mujh jaise ruju nahi kiya karte.
2) aye bohot jald duniya se kooch karnewale tu tawaazo kyun nahi karta ?
HAZRATE ZUNNOON MISRI رحمت لله عليه isi mauzoo par farmate hai :
1) aye maut ko naa chaahnewale mutakabbir Tujhpar salaamati ho hum mitti se hai.
2) ye duniya ki zindagi chand roza hai, maut ke saath hi pair baraabar ho jaayenge.
Mujaahid ne farmane ILAAHI ke maana ye bayaan kiye hai ke wo apne gharwalon ki taraf itraata hua gaya. والله اعلم
END OF BAAB 42.