masjid ki tameer ki fazilat masjid ki fazilat hadees in hindi
FAZEELAT E MASJID
Farmane ILAAHI hai:
“ALLAH Ki masaajid ko sirf wohi log aabaad karte hai jo ALLAH aur aakhirat ke din par imaan laate hain.”
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jis shakhs ne ALLAH ki raza-joi ke liye masjid banaayi agarche woh masjid bhat teetar ke bil ke baraabar hi kyun naa ho , ALLAH TA’ALA us shakhs ke liye jannat mein mahal banaa deta hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai jab tum mein se koi masjid se mohabbat rakhta hai ALLAH TA’ALA us sey mohabbat rakhta hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jab tum mein se koi shakhs masjid mein daakhil ho to baithne se pehle do rakaat namaz adaa kare.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke masjid ke hamsaaya ki namaz masjid ke siwa jaiz nahi hai.
Ek aur irshaad e NABAWI ﷺ hai ke tum mein se koi fard jab tak jaa-e -namaz par rehta hai farishte uske liye magfirat wa bakshish ki duaein karte hai aur kehte hai Aye ALLAH ! Is par salaamati naazil farma, Aye ALLAH !
Is par rehem farma aur Aye ALLAH ! Isey baksh de , yeh duaein us waqt tak jaari rehti hai jab tak ke woh kisi se baat naa kare yaa masjid se nikal naa jaaye.
“islamic hadees in hindi” Farmane NABAWI ﷺ hai ke aakhir zamane mein MERI ummat ke kuch log aise honge jo masjidon mein aayenge aur giroh banaakar duniyawi baatein karte rahenge aur duniya ki mohabbat ke qisse bayaan karenge , unke saath naa baithna , ALLAH TA’ALA ko unki koi zaroorat nahi hai.
“islamic hadees in hindi” ﷺ hai ke ALLAH TA’ALA ka yeh irshaad baaz ilhaami kitaabon mein maujood hai ke zameen par masjidein MERA ghar hai aur unki taameer wa aabaadi mein hissa lene wale MERI ziyaarat jarnewaale hain , pas khushkhabri hai MERE us bande ke liye jo apne ghar mein tahaarat haasil karke MERE ghar mein MERI ziyaarat ko aata hai lihaaza MUJH par haq hai ke MAIN aanewale zaair ko izzat o waqaar ataa karun.
“islamic hadees in hindi” HUZOOR ﷺ ka irshaad hai ke jab tum kisi aise aadmi ko dekho jo masjid me aane ka aadi hai to uske Imaan ki gawaahi do.
Janaab e SAEED BIN MUSAAIB رضي الله عنه ka qaul hai jo shakhs masjid me baith-ta hai, goya woh ALLAH ki majlis me baith-ta hai lihaaza usey bhalaayi ke siwa koi aur baat nahi karna chaahiye.
“islamic hadees in hindi” Ek Hadees me yeh bhi aaya hai ke masjid me duniyawi baatein nekiyon ko is tarah khaa jaati hai jaise jaanwar chaara khaa jaate hain.
IMAAM E NAKHAEE رضي الله عنه
ka qaul hai, Salfe Saaliheen ne farmaaya ke raat ki taareeki me masjid me aane waale ke liye Jannat Waajib ho jaati hai.jannat kya he jannat ka bayan in hindi
HAZRATE ANAS BIN MAALIK رضي الله عنه ka farmaan hai ke jo shakhs masjid me charaag jalaata hai, jab tak us charaag ki raushni se masjid raushan rehti hai Haamileene Arsh aur tamaam Farishte uske liye magfirat ki dua karte rehte hain.
HAZRATE ALI رضي الله عنه farmate hai ke jab aadmi Mar jaata hai to uski namaaz padhne ki jagah aur aasmaan ki jagah , jahaan se uske amal chadha karte hai , uspar rote hai phir AAPNE yeh aayat padhi,07 Tawazo inkisari ki fazilat fakhr na karo hadise nabawi
“pas unpar naa zameen o aasmaan roye aur naa hi unhein dheel di gayi (yaani jab aisa shakhs marta hai jiski namaaz padhne ki jagah nahi hoti to uspar zameen o aasmaan nahi rote)
HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنه ka qaul hai ke namaazi par 40 subhein zameen roti hai , HAZRATE ATAA’ KHURAASAANI رضي الله عنه ka qaul hai ke banda jab zameen ke kisi tukde par sajda karta hai to woh tukda qayamat ke din uske amal ki gawaahi dega aur us bande ki maut ke din woh tukda rota hai.
HAZRATE ANAS BIN MAALIK رضي الله عنه ka qaul hai ke zameen ka har woh tukda jis par namaaz adaa ki jaati hai yaa zikr e KHUDA kiya jaata hai woh ird-gird ke tamaam tukdon par fakhr karta hai aur upar se neeche saatveen zameen tak woh musarrat wa shaadmaani mehsoos karta hai aur jab banda kisi zameen par namaaz padhta hai woh zameen uspar fakhr karti hai.11 ilm ki ahmiyat hadis e nabawi alaihissalam
Aur yeh bhi kaha gaya hai ke koi jamaa’at aisi nahi jo kahin jaa kar thehre magar zameen ka woh tukda jo unki qiyaam-gaah hai , yaa to unpar salaamati bhejta hai yaa unpar laanat karta hai.400 islamic hadees in hindi urdu
END OF BAAB 75
Leave A Comment