>>> Maah E Ramzaan me Inteqaal ki Fazilat :-
=============================

> Hazrate Saiyyadna Abdullah Ibne Mas’ud RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Jisko Maah E Ramzaan ke Ikhtetaam ke Waqt Mout Aayi wo Jannat me Daakhil hoga Aur Jiski Mout Arfaa ke Din(Yani 9 Jil Hijjatul Haraam) ke Khatm hote Waqt Aayi Woh bhi Jannat me Daakhil hoga Aur Jiski Mout Sadqa deine ki Haalat me Aayi Woh bhi Daakhile Jannat hoga.
(Hilyatul Auliya, Jild-5, Safa-26, Hadees-6187)
> Ummul Mo’meneen Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
Jiska Roze ki Haalat me Intiqaal huwa ALLAH AZZAWAJAL Usko Qayaamat tak ke Rozo ka Sawaab Ataa Farmata he.
(Al Firdoush Bimausril Khitaab, Jild-3, Safa-504, Hadees-5557)
> Hazraate Mohaddisheen E Kiraam Rahmatullah Alay ka Qoul he
Jo Momin Is Mahine me Marta he Woh Sidha Jannat me Jata he Goya Uske liye Dozakh ka Darwaza Band he.
(Anisul Waaizin, Safa-25)
SubhanAllah…

.