Maal E Tijaarat Us Maal ko Kehte he Jise Bechne ki Niyyat se Kharida gaya he Aur Agar Kharidne ya Miraas me Milne ke Baad Tijaarat ki Niyyat ki to Ab Woh Maale Tijaarat Nahi Kahlaayega.
(Radd ul Muhtaar, Jild-3, Safa-221)
Jeise Zaid ne Bike Is Niyyat se Kharidi ki Use Beich Dunga Aur Nafa’a Kamaaunga To ye Maal E Tijaarat he,
> Maal E Tijaarat ka Nisaab :-
Maal E Tijaarat ki Koi Bhi Chiz ho, Jiski Qimmat Sone ya Chandi ke Nisaab(7.50 Tola Sona ya 52.50 Tola Chandi ki Qimmat) ko Pahunche to Us par bhi Zakaat Waajib he.
(Bahaare Shariyat, Jild-1, Hissa-5, Safa-903)
> Maal E Tijaarat ki Zakaat Aur Hisaab :-
Qimmat ka 40wa Hissa(Yani 2.50%) Zakaat ke Tour Par Deina hoga.
(Fatawa E Amzadiya, Jild-1, Safa-378)
Maal E Tijaarat ki Zakaat deine ke liye Uski Qimmat Lagwa li jaaye Fir Uska 40wa Hissa Zakaat de di Jaaye.
(Fatawa E Amzadiya, Jild-1, Safa-378)
>> Ushr par Zakaat :-
> Ushr Kise Kehte he..??
Zamin se Nafa’a Haasil Karne ki Garaz se Ugaayi Jaane Waali Shai ki Peidaawar par Jo Zakaat Adaa ki Jaati he Use Ushr Kehte he.
(Fataawa E Hindiya (Aalamgiri), Jild-1, Safa-185)
> Zameen ki Zakaat ko Ushr Kyu Kehte he..??
Zameen ki Peidaawar ka Umuman 10wa Hissa Batoure Zakaat Diya jata he Is liye Ise Ushr(Yani 10wa Hissa) Kehte he,
> Zameen ki Kis Peidaawar Par Ushr Waajib he..??
Jo Chize Aysi ho ki Unki Peidaawar se Zameen ka Nafa’a Haasil karna Maqshud ho Khwaah Woh Galla, Anaaz Aur Fal-Frut ho ya Sabziya Wageira Masalan Anaaz Aur Galla me Gandum, Jaw, Chaawal, Ganna, Kapaas, Juwaar, Dhaan(Chaawal) Baajra, Mugfali, Makkai Aur Suraj Mukhi, Raai, Sarso Wageira,
Falo me Kharbuza, Aam, Amrud, Maalta, Luqaat, Seib, Chiku, Anaar, Naaspati, Santara, Papita, Naariyal, Tarbuj, Faalsa, Jaamun, Lichi, Limbu, Aadu, Khajur, Anaanas Aur Angur Wageira,
Sabjiyo me Kakdi, Tinda, Bhindi, Aalu, Tamaatar, Sabj Mirch, Podina, Gaajar, Chukandar, Matar, Piyaaz, Lahsan, Paalak, Dhaniya Aur Meithi Wageira,
In Sab ki Peidaawar me se Ushr(10wa Hissa) Ya Nishf Ushr(20wa Hissa) Waajib he.
(Fataawa E Hindiya(Aalamgiri), Jild-1, Safa-186)
> Kis Peidaawar Par Ushr Waajib nahi..??
Jo Chize Aysi ho ki Unki Peidaawar se Zameen ka Nafa’a Haasil karna Maqshud Na ho Un me Ushr Nahi,
> Ushr Waajib hone ki Miqdaar :-
Ushr Waajib hone ke liye Inki Koi Miqdaar Muqarrar nahi he Balki Zameen se Anaaz, Fal Aur Sabziyo ki Jitni Peidaawar bhi Haasil ho Us par Ushr(10wa Hissa) ya Nishf Ushr(20 wa Hissa) deina Waajib hoga.
(Fataawa E Hindiya(Aalamgiri))
> Ushr ki Adaaygi :-
Jab Peidaawar Haasil ho jaaye Yani Fasl Pak Jaaye Ya Fal Nikal Aaye Aur Nafa’a Uthaane ke Qaabil ho Jaaye to Ushr Waajib ho Jaayega, Fasl Kaatne ya Fal Todne ke Baad Hisaab Lagaa kar Ushr Adaa Karna Hoga.
(Durre Mukhtaar, Jild-3, Safa-321)
> Gharelu Saamaan par Zakaat :-
Jiske Paas T.v., Computer, Friz Aur Washing Machine Wageira ho to Us Par Zakaat Waajib nahi hogi, Is liye ki ye Sab Gharelu Saamaan he, Khwaah Unhe Istemaal karta ho ya Nahi Kyu ki Ye Maale Naami Nahi he.
(Waqaarul Fataawa, Jild-2, Safa-389)
> Providend Fund (P.F.) par Zakaat :-
Chunki ye Fund Maalik ki Milk hota he Is liye Agar Mulaajim(Employee) Maalik E Nisaab he to Jab se Raqam Jamaa Hona Shuru Hui Usi Waqt se Is Raqam ki bhi Zakaat Har Saal Farz hoti rahegi,
(Fataawa e Faizur Rasool, Hissa-1, Safa-479)
Lekin Adaaygi Us Waqt Waajib Hogi Jab Miqdaare Nisaab ka Kam Az Kam 5wa Hissa Wasul ho Jaaye.
(Fatawa E Faqih E Millat, Jild-1, Safa-320)
Leave A Comment