>> Ameerul Moumeneen Hazrate Ali ul Murtaza RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ke HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Irshaad Farmaya
“Beshak ALLAH TA’ALA ne Bani Israaeel ke Ek NABI ki Taraf Wahi Farmaayi ke Aap Apni Qoum ko Khabar Dijiye ke Jo bhi Banda Meiri Roza ke liye Ek Din ka Roza Rakhta he to Mei Uske Jism ko Sehhat bhi Ataa Farmata hu Aur Usko Azeem Azr bhi Dunga”.
(Shoebul Imaan, Jild-2, Safa-412, Hadees-3923)
>> Imaam Aala Hazrat Rahmatullah Alay Irshaad Farmaate he
Ek Saal Ramzaan ul Mubaarak se Thoda Arsaa Qabl(Pehle) Waalide Marhum Hazrat Naki Ali Khan Rahmatullah Alay Khawaab me Tashreef Laaye Aur Farmaya Beita Ramzaan Shareef me Tum Shakht Beemaar ho Jaaoge, Magar Khyaal Rakhna Koi Roza Qaza Na hone Paaye, Chunanche Waalid Sahaab ke Hasbul Irshaad Waaqei Ramzaan ul Mubaarak me Shakht Beemaar ho gaya, Lekin Koi Roza Na Chhuta, Rozo hi ki Barkat se ALLAH TA’ALA Ne Mujhe Sehhat Ataa Farmaayi Aur Sehhat kyu Na Milti ke SAIYYADUL MAHBUBEEN Sallallaho Alayhe Wasallam ka Irshaad E Paak bhi to he ‘Roza rakho Sehhat yaab ho Jaaoge’.
(Al Malfuz, Hissa-2, Safa-143)
Baaz Lougo ka Ye Tasawwur he ki Roza Rakhne se Insaan Kamzor ho kar Beemaar Pad jata he Haalaanki Aysa Nahi he Balki Roza Rakhne se to Sehhat Milti he..
Sahri ke Ta’aluq se HUZOOR REHMATE DO AALAM, SARWARE KOUNEIN Sallallaho Alayhe Wasallam ke Chand Irshaadaat..
>> “Sahri Khaya karo Kyuki Sahri me Barkat he”.
(Muslim Shareef, Jild-1, Safa-633, Hadees-1923)
>> “Hamaare Aur Ahle Kitaab ke Darmiyaan Sahri Khane ka Farq he”.
(Muslim Shareef, Safa-552, Hadees-1096)
>> “ALLAH AZZAWAJAL Aur Uske Farishte Sahri Khane waalo par Rahmat Naazil Farmaate he”.
(Sahi Ibne Habban, Jild-5, Safa-194, Hadees-3458)
>> “HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Apne Saath Jab Kisi Sahaabi ko Sahri Khane ke liye Bulaate to Irshaad Farmaate “Aao Barkat ka Khana Khaa lo”.
(Sunaane Abu Daawud, Jild-2, Safa-442, Hadees-2344)
>> “Roza Rakhne ke liye Sahri Khaa kar Quwwat Haasil Karo Aur Din(Ya’ni Do-pahar) ke Waqt Aaram karke Raat ki Ibaadat ke liye Taaqat Haasil Karo”.
(Sunaane Ibne Maajah, Jild-2, Safa-321, Hadees-1693)
> “Sahri Barkat ki Chiz he Jo ALLAH TA’ALA ne Tumko Ataa Farmaayi he Is ko Mat Chhodna”.
(Sunaane Nasaai, Jild-2, Safa-79, Hadees-2472)
>> “3 Aadmi Jitna bhi Khaa le In Sha Allah Unse Koi Hisaab Na hoga Ba-Sarte ki Khana Halaal ho,
1) Rozaadaar Iftaar ke Waqt,
2) Sahri Khane waale,
3) Mujaahid Jo ALLAH TA’ALA ke Raaste me Sarhade Islaam ki Hifaazat kare”.
(Attargib Wattarhib,Jild-2, Safa-90, Hadees-9)
> “Sahri Poori ki Poori Barkat he Pas Tum Na Chhodo Chaahe yahi ho ki Tum Paani ka Ek Ghunt Pee lo, Beshak ALLAH TA’ALA Aur Uske Farishte Rahmat Bheijte he Sahri Karne Waalo par”.
(Musnade Ahmad Bin Hambal, Jild-4, Safa-88, Hadees-11396)
>> “Hazrate Saiyyadna Irbaaz Bin Saariya RadiAllaho Ta’ala Anho Bayaan karte he ki Ek Baar Ramzaan ul Mubaarak me HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Mujhe Apne Saath Sahri Khane ke liye Bulaya Aur Farmaya “Aao Mubaarak Khane ke liye””.
(Sunaane Abu Daawud, Jild-2, Safa-442, Hadees-2344)
In Tamaam Faraamin se Hame Yahi Dars Milta he ki Sahri Hamaare liye Ek Azeem Ne’amat he Jis se Be Sumaar Jismaani Aur Roohani Fawaaid Haasil Hote
sehri ki dua
allahumma asumu gadan laka fagfirmi maa qaddamtu wa akhkhartu
अल्लाहुम्मा असुमु गदन लाका फग्फिरली माँ क़द्दम्तु व अख्खार्तु
Leave A Comment