KASHF KA ZIKR QURAN ME

Kashf Wa Karamaat Ka Suboot
Quran , Tafaseer E Quraan Se :….1-Alama Khazin Rahmatullahi Alai
Sureh Hijr Ki Aayaat “ في ذلك لآيات للمتوسمين” Ki Tafseer Karte Huwe Likhte Hai :…
.Imam Mujahid Farmaate Hai Ke Muta-Wassimeen  Ka Matlab Hai Firaasat  Waale Aur Is Ta’aweel Ki Taaid Is Hadees Se Ho Rahi Hai Jo Hazrat Abu Saeed Khudri Se Riwayat Hai Ke Huzur alaihissalam Ne Irshaad Farmaaya Ke Momin Ki Firaasat Se Daro Kyunke Wo Allah Tala Ki Di Huwi Baatini Rooshni Ke Zariye Dekhta Hai ,…
-Isi Tarah Alama Aalusi Rh. Sureh  Tahrim Ke Ayaat No 11 Me Hazrat Aasiya Rdh. Ki Dua “رَبِّ ابْنِ لِي عِنْدَكَ بَيْتًا فِي الْجَنَّةِ” Ke Tahet Likhte Hai :فكشف الله لها عن بيتها في الجنة….Allah Ne Uske Liye Kholdiya Uske Ghar Ko Jannat Me Yaani Dunya Me Rehte Huwe Allah Tala Ne Hazrat Aasiya Rdh. Ko Kashf Ke Zariye Se Apna Ghar Jannat Me Dikha Diya.….Aur Iske Saboot Ke Liye Ek Hadees Zikr Karte Huwe Farmaate Hai :(Ruhul Ma’ani : Jild 28 : Safa 495)….Balke Alama Aalusi Rh. Ki Tarah Degar Be-Shumaar Mufassireen Ikraam Ne Bhi Is Tarah Likha Hai:….4- Ibn Jauzi Rh. Ne Likha Hai :فكشف الله لها عن بيتها في الجنة حتى رأته قبل موته….Allah Ne Uske Liye Kholdiya Uske Ghar Ko Jannat Me Yaha Tak Ke Usne Apne Maut Se Pehle Usko Dekh Liya (Ba-Zariye Kashf Se).(Zaad Ul Maseer : Jild 8 : Safa 85)….Scan Page :View Original Image5- Ibn Kaseer Rh. Ne Farmaaya :وكشف الغطاء عن ثوبها ومنزلتها وكرامتها في الجنة لامرأة فرعون حتى رأت….Jannat Me Uske Ikraam Waale Ghar Se Parda Khol Diya Yaha Tak Usne (Hazrat Aasiya Rdh. Ne) Dikh Liya.(Tafseer Ibn Kaseer : Jild 8 : Safa 198)….Scan Page :Lehaaza Maloom Huwa Ke Kashf Ka Zikr Quraan E Paak Me Maujood Hai.Aur Yahi Wajeh Hai Ke….Ghair Muqallid Aalim Abu Hamza Abdul Khaliq Likhte Hai Ke….Jis Tarah Karamaat Quran Wa Hadees Se Saabit Hai , Is Tarah Kashf Bhi Quran Wa Sunnat Se Saabit Hai , Jo Unka Ka Inkaar Karega Gooya Wo Quran Wa Hadees Ka Inkaar Karta Hai. (Auliya Allah Ki Pehchaan : Safa 427)….Scan Page :Aur Yaad Rahe Ke Yeh Kitaab ( Auliya Allah Ki Pehchaan) Par 3 Ulama Ki Taqdeem Aur Takhreej Hai.….Taqdeem : Shaik Ul Hadees AbdullahNasir Rehmani Sahaab.….Takhreej : Hafiz Hamid Mehmood Sahaab , Hafiz Abu Bakr Sahaab.….Ta’aleef : Abu Hamza Abdul Khaliq Siddiqui Sahaab.….Goya 4 Ghair Muqallideen Ulama Ka Yeh Fatwa Hai Ke Jo Kashf Ka InkaarKarta Hai Wo Quraan Wa Sunnat Ka Inkaar Karta Hai.
 
.Kashf Ki Ta’areef :….
Kashf Ki Ta’areef Karte Huwe Ghair Muqallid Aalim Shaik Abdullah Nasir Rehmani Sahaab Likhte Hai Ke :…
.Kashf Yaani Koi Banda Aisi Baat Sune Jo Kisi Aur Ne Nahi Suni , Ya Aalam E Paak ya Bedari Me Kuch Dekhe Jise Kisi Aur Ne Nahi Dekha Ya Aisi Ilm Kisi Aur Ke Paas Nahi Hai.….Is Cheez Ko Kashf Kehte Hai. (Aqeedatun Firqatun Naajiya : Safa 335)….
Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Ne Ka Yeh Aqeeda Hai Ke Kashf Wa IlhaamKe Zariye Allah Tala Apni Dosto Aur Bando Ko Ghaib Ka Haal Bataa Deta Hai.…
.Fail Allah Tala Ka Hota Hai Aur Zaahir Bande Par Hota Hai.….Lehaaza Auliya Ko Kashf Hota Hai Aur Kashf Wa Karamaat Ko Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Haq Aur Sach Maante Hai.

hazrat siddiqe akbar ka kashf

Kashf Wa Karaamat Khulfa E Rasheedin Se Bhi Saabit Hai..….Kashf Aur Sayyidina Siddiq E Akbar
:…Imam Ghazali, Hazrat Sayyidina Siddiq E Akbar. Ka Ek Kashf Naql Karte Huwe Tehreer Karte Hai :…Hazrat Abu Bakr Siddiq Ne ApniWafaat Ke Waqt Apni Sahebzaadi Sayyida Hazrat Ayesha Se Farmaaya Ke Mere Waaris Tumaare Alaawa Tumaare 2 Bhai Aur 2 Behne Hai (Halaanke Us Waqt Hazrat Ayesha . Ki Sirf Ek Bahen Hazrat Asma . Thi) Magar Hazrat Abu Bakr. Ki biwi Hamal Se Thi Baad Me Unse Ladki Paida Huwi.…
Isse Maloom Huwa Ke Sayyidina Siddiq E Akbar  Ko Ba-Taur E Kashf Wa Karaamat Ke Zariye Pehle Hi Maloom Hogaya Tha Ke Bach-Chi Paida Hogi.…(Ahya Ul Uloom Lil Ghazali : Jild 3 : Safa 23):Sanad E Hind Imam Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke…Hazrat Siddiq E Akbar  Ne Hazrat Ayesha Siddiqa Se Farmaaye : Jo Jaaidaad Maine Aapko Di Hai Agar Aap Ne Haasil Karliya Toh Theek Hai Warna Aap Ke Saat Aap Ke 2 Bhai Aur Behne Shareek Honge Yaani Sabko Miraas Me Milegi.…
Toh Hazrat Ayesha Siddiqa  Ne Farmaaya Ke Meri Bahen Toh Yahi Asma Hai Dusri Bahen Kaun Si Hai ? Toh Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Farmaaya Ke Mai Samjhta Hu Ke Bint E Khaarja (Siddiq E Akbar Ki Aahliya) Ko Ladki Ka Hamal Hai Aur Uske Pait Me Ladki Hai.…Shah Wali Ullah  Farmaate Hai KeSiddiq E Akbar  Ki Wafaat Ke Baad Hazrat Ayesha  Ki Bahen Umme Kulsum Paida Huwi.…
Hazrat Shah Wali Ullah Rh. Ne Is Waqiye Se Kashf Par Istedlaal Kiya Hai , Chunaanche Unwaan Bandhkar Likhte Hai :…Yeh Waqiya Hazrat Siddiq E Akbar Ka Kashf Hai Ke Allah Tala Ne Chupi Huwi Baato Ko Unpar Zaahir Kardiya.…(Ezaalatul Khafaa : Jild 3 : Safa 77)…Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq Ka Yeh Waqiya , Imam E Darul Hijrah Imam Malik  Ne Bhi Apni Muwatta Me Naql Kiya Hai. (MuwattaImam Malik : Jild 2 : Safa 1089 , Safa2783)ha

HAZRAT UMAR KA KASHF

Hazrat Mulla Ali Qari Rh. Farmaate Hai Ke…Hazrat Umar Ke Min Jumla (Total) Karaamaat Aur Kashf Me Se Wo Waqiya Bhi Hai Jisko Amr Ibn Haaris  Ne Bayaan Kiya Hai , Ke Hazrat Umar  Ne Jume Ke Khutbe Ke Dauraan Achaanak Khutba Rok Kar Pukaara , Aye Saariya Pahard Ki Taraf Palto. (Mirqaat Ul Mafaateh : Jild 11 : Safa 205)

Imam Ghazali Rh. Bhi Is Waqiya Se Kashf Par Istedlaal Karte Huwe Farmaate Hai , Chunaanche Likhte Hai :…Aur Hazrat Umar  Ne DarmiyaanE Khutbe Me Farmaaya Ke Aye Saariya Pahard Ki Taraf Palto Aur Yeh Baat Zaahir Hogayi Thi. (Ahya UlUloom : Jild 3 : Safa 23)
:Isi Tarah Imam Ibn Ul Qayyim  NeIs Waqiye Se Kashf Ke Saheeh Hone Par Istedlaal Farmaaya (Kitaab Ur Rooh : Safa 672)…Hazrat Umar Farooq Rdh. Ka EkAur Kashf……Chand Log Qabile Mazhij Se Hazrat Umar Farooq Ke Paas Aaye Unme Ashtar Nakh’ii Bhi Tha , Toh Aapne Ghaur Se (Usko) Upar Se Neeche Tak Dekha Aur Pucha Yeh Kaun Hai Toh Logo Ne Kaha , Yeh Maalik Bin Haaris Hai.…Toh Hazrat Umar Ne Farmaaya Ke Maalik Bin Haaris Ko Allah Tala Tabaah Kare Ke Mai Uski Wajeh Se Musalmaano Par Bahut Pareshaani Dekhta  Hu (Kyunke Yeh Qaatilaan E Usmaan  Ka Leader Tha).(Kitaabu Ur Rooh : 672) :(Tafseer E Qurtubi : Jild 12 : Safa 236)
Isse Maloom Huwa Ke Aainda Aane Waale Zamaane Me Runumaa Hone Waale Haadse Ke Bare Me Hazrat Umar  Ko Pehle Allah Tala Ne Ilhaam Aur Kashf Farmaaya Tab Hi Toh Inhone Khabar Di Jo Baad Me 100% Saheeh Saabit Huwi.

HAZRAT USMANE GANI KA KASHF

…Imam Nawawi  , Imam Ibn Ul Qayyim Rh. , Imam Qurtubi Rh. , Imam Ghazali  Aur Imam Raazi Rh. Ne Hazrat Usmaan  Ka Ek Waqiya Naql Kiya Hai :…Hazrat Usmaan Ke Paas Ek Aadmi Aaya Jiski Nigaah Raaste Me Kisi Aurat Par Pardgayi Thi Toh Hazrat Usmaan Rdh. Ne Farmaaya :…Tumme Se Koi Ek Hamaari Taraf Aata Hai Aur Uske Aankho Me Zinaa Ka Asar Hai , Toh Us Aadmi Ne Kaha Ke Kya Rasoolullah sallallaahu  alaihi wasallam Ke Baad BhiWahi Aati Hai ,Toh Hazrat Usmaan  Ne Farmaaya Nahi Lekin Baseerat Aur Burhaan Aur Sach-Chi Firaasat Hai
…Yeh Waqiya Mamuli Ikhtelaaf E Lafzi Ke Saat Darj E Zail Kitaabo Me Maujood Hai :(Bustaan Ul Aarifeen : Safa 388)Scan Page :(Kitaab Ur Ruh : Safa 675)(Ahya Ul Uloom Ud Deen : Jild 3 : Safa 23-24)(Tafseer E Qurtubi : Jild 12 : Safa 236)(Tafseer E Kabeer Lir Raazi : Jild 21 : Safa 89)
:Ghaur Farmaaye ! Hazrat Usmaan Ko Kaise Pata Chalaa Ke Us Aadmi Ne Raaste Me Ghair Mehram Aurat Ko Dekha Hai , Agarche Dekhna Bilaa Iraada Ho.…Hazrat Usmaan Rdh. Aalim Ul Ghaib Nahi The Balke Firaasat Ke Zariye Unpar Yeh Munkashif Hogaya.

HAZRAT ALI KA KASHF

Tarah Imam Ibn Hajar Asqalaani  Ne Hazrat Ali  Ka Ek Waqiya Naql Kiya Hai Farmaate Hai Ke Harsama Bin Salma  Farmaate Hai Ke Hum Hazrat Ali  Ke Humrah Safar Par Chale , Aap Rdh. Chalkar Karbala Tak Gaye Aur Daraqt Ke Paas Namaz Padhi Aur Waha Ki Zameen Ki Thodi Si Matti Utaayi Aur Usko Soong Kar Irshaad Farmaaya :…
Afsoos Hai Tujhpar , Aye Matti Ek Aisi Qaum Tujhpar Qatal Ki Jaayegi Jo Be-Ghair Hisaab Ke Jannat Me Jaayegi.…Phir Raavi Aage Likhe Hai Ke Baad Me Maine Khud Dekha Ke Us Jagah Par Hazrat Hussain  Shaheed Kardiye Gaye.…(Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 2 : Safa 348)
Dekhiye ! Hazrat  Ne Bahut Pehle Se Apne bete Hazrat Hussain  Ki Shahaadat Ki Jagah Bataayi Aur Wahi Unki Shahaadat Huwi.…Toh Hazrat Ali  Kya Aalim Ul Ghaib The.…Kya Hafiz Ibn Hajar  Ne Aise Naql Karne Ki Wajeh Wo Aur Unki Kitaab Ghair Motabar Aur Shirk Ki Dawaat Deti