jinnat ki dunya > Jinnato ki Peidaish :-

QURAAN E KAREEM me
“Val janna, Khalaknaahu Minanarissmum”
Tarjuma :- Aur Jinnato ko Ham ne Aaag e Samum se Peida kiya he,Naare Sumum eshi Bhadakti Aaag he Jisme Khalike Qainaat ne Banayi thi, jisme Noor aur Andhera Dono the,
Noor se Farishtey Peida Farmaye aur Aag se Jinnat Wajud me aaye, jin me Tamam Jino ke Bujurg Aur Sardar ‘Jaan’ peida hua,
(‘jaan’ Duniya ke Sabse pehle Jinnat he jo Qainaat ki Suruvat me peidaa huva, aur Iblish se 1,44,000 Saal pehle Peida hua aur Uska Naam ‘Taarnus’ aur Laqab ‘Jaan’ tha, Kaiyo ne uska Naam ‘Soma’ bataya he)
Farishto ki Peidaish Noor se hui thi is liye vo Ibadat-e-Ilahi me Masgul ho gaye, Aur Gunah se mehfuz aur Masoom rahe,
Jinnato ki Peidaish Aaag se hui thi, jin me Kai Imaan se Malamal ho gaye aur kai Kufr Zulm aur Nafarmani me rahe.
(Namaz Aur Nabi, Hissa-2, Safa-16)
>> Jinnato ki Basti :-
Hazrat Aadam AlayheSalam ki Peidaish se pehle ALLAH TA’ALA ne Jinnato ko Peida karke Jamin par Aabad kiye,
Vahabbin Manbah ki Lambi Rivayat ka ek Hissa he ki,
Jinnat Ki Nasal feilne ka ye Aalam tha ki ek Hamal se Ek Ladka aur Ek Ladki peida hote, jab un logo ki Tadat 70,000 hui to Saadi ka Silsila Chalu hi raha, fir unki Aulad ki koi Hadd na rahi,
Iblish ne bhi Banuljaan ki ek ladki se Saadi ki thi, ushe bhi kai Saari Aulad peida hui thi,
jab Jin aur Jaan (Pehle Peida honevala jinnat ka naam ‘Jaan’ tha) ki Nasal ke liye Duniya me Rehne ki jagah na rahi to ALLAH TA’ALA ne ‘jaan’ (ki Aulad) ko Hawa me rehne ki jagah di.
(Namaz Aur Nabi, Hissa-2, Safa-17)
Hazrat adam alaihissalam ki toba ka waqiya in urdu Hindi part 3
>> Duniyame Jinnato ke pehle Peygamber :-
Hazrat e Ka’ab Aehbaar RadiAllaho Ta’ala Anho Faramate he ki, ALLAH TA’ALA ne Jinnato me se jis Nabi ko Hidayat ke liye bheje the Unka Naam ‘Aamir bin Jaan'(Jo Jinnat koum ke hi the) Jinnato ne unhe Qatl kar diya, uske Baad Sagid bin Ma’ak bin Ma’aarad Bin Jaan ko bheja to Wo bhi Jinnato ke hath Sahid ho gaye,
(Upar ki Rivayat me Aage farmate he ki)
Jinnato ki Tufaani Aur Bedarkari ko dekh kar HaqTa’ala ne 800 Nabi, 800 Saal me bheje, Har Saal ek Nabi Aata Raha Aur Jinnat Unhe Qatl karte rahe,
(‘Ajaibul Kasas’ me Jinnato ke Peygamber ka Aana aur Jinnato ki Sarkashi ka Haal is tarah he)
Jis Wakt Jamin Par Jinnato ki Aabadi Bad gayi, HAQQ TA’ALA Ne Khud ki ibadat ka Huqm diya, Jinnat Huqme ILAHI me Kamarkash rahe, Jab Jinnato ko Duniya me Aabad hue kai Hazaro (Kaiyo ne 36,000, Saal likhe he) Saal hue to ‘Kufr’ ko Apnake Ajabe ILAHI ke Haqdar bane,
HAQQ TA’ALA ne Tamam Gumandiyo ko Halaq kar diya, Aur Baaki Imandar Neik Jinnato me se Ek Jinnat ko Hakim bana ke Nayi Sariyat Aata Farmayi, Dusre Dour (36,000 Saal) Baad fir Gumrahi aur Na Farmani Apnayi, Is Baar bhi Ajaabe ILAHI ne Unko Thikane laga diya, jo log Bach gaye usme se Fir Ek jinnat ko HAQQ TA’ALA ne Hakim Banaya, Tisre Dour (36,000 Saal) Pura hone me Fitna Fasaad ka Dour Suru ho gaya,
HAQQ TA’ALA ka Ajab Nazil hua, to Na Farman Loko ko Halak Karne me Aaye, Baaki Imandar Neik Loko me se Fir HAQQ TA’ALA ne Jino ki Hidayat ke liye Ek Jinnat Mukararr kiya, Jab Tak Wo Jinda Raha tab tak Jinnato me Da’avat e Tablegi karta raha, Uske Marne ke Baad Jinnato me Ek Shaksh Neik Na Raha aur Jamin par Tufani Jinnato ke siva Koi Ek Neik Jinnat na Raha Tab HAQQ Ta’ala Ne Unka QatleAam kar diya,
(Namaz Aur Nabi, Hissa-2, Safa-18)
Tufani Jinnato ka Qatle Aam kisne kiya Vo Ab Aa Raha he,
>>> Jinnato par KHUDA ka Kehra Ajab :-
Jab Jinnat Khuda ki Bedarkari se Na Hate to HAQQ TA’ALA ne Pehle Aasman par Rehnewale Jinnato ko Jamin par Rehnevale Jinnat ka Qatle Aam ke liye Bheja,
Aasmani Jinnato ki Fouz ka SipehSalar ‘Iblish’ tha, Iblish Jamin par Aate hi Jinnato ko Thikane laga diya,
Hazrat Ka’ab RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he ki,
Jinnat jab(Khud ki Koum Jinnat ke) RASOOLO ke Ahekaam ke Khilaaf Gaye To ALLAH TA’ALA ne Aasman par Rehnewale Jinnato ko Huqm kiya ki Tum Jamin par Ja ke Jinnato ko Thikane Laga do, Aur Iblish Laskar ka Sardar Mukarar kiya gaya, Iblish ki Fouz Jamin par Aate hi Qatle Aam Suru kar diya, Jinnat Bhagne lage, ek Jagah Panah li, to Vaha Aaag Aake Unhe Jala Gayi, Jamin par Iblish aur Uski Fouz Aabad Ho Gayi.
(Namaz Aur Nabi, Hissa-2, Safa-18,19)
” Qatlo Gaarat ke, Natije he Khrab,
Jis me Poshida he, MOULA ka Azab,
Sarkashi Karke, Jinno ne kya liya,
Qudrate Rabbi se, Badla paa liya”
 

                             jinnat ki qisme

Is Silsile me NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya ko Jinnato ki 3 kisme he,
1) Vo he jo Hawa me Udate he,
2) Vo he jo Saanp(Sneck) aur Kutte(Dog) ki Shakl me hote he,
3) vo he jo Safar karte he, Aur Rukte he.
Jinnato ki Kismo ke Bayan me Aata he ki Jin Saanp(Sneck) ka Rup leta he Uske Bare me Dilchasp Hikayat padhe…
Hazrat Safwan Bin Mo’atal Farmate he ki,
Ham Thode Musalman ek sath Mil kar Hajj karne ke liye Ghar se Nikle to Raaste me ek bahot bada Saanp(Sneck) dekha, jo Tadap raha tha, Hamne Deikha he ki wo Tadap Tadap ke Thodi deir ke baad Mar gaya, Hamari Jama’at me se ek Shaksh ne ek Kapda Nikala Aur Mare hue Saanp ko Usme Lapeit ke Jamin me ek Khadda khod kar Usme Dafan kar diya,
Fir Ham MAKKA E MUAJJAMA me Pahonche, Aur Masjid e Haram me Dakhil hue to ek Shaksh Hamare Paas aaya, Aur kehnelaga ki Tumhare me se Vo kon Neik Inshan he Jisne ‘Umru Bin Jabir RadiAllaho Ta’ala Anho” se Neik Suluk kiya..??
Hamne Kaha ‘Umru Bin Jabir’ ko Ham Nahi Jante,
Us Shaksh ne kaha Vo Kon he ke Jisne Raste me Margaye hue Saanp ko Kafan-Dafan kiya..??
Ham ne Bataya ki Vo Ye Hamara Sathi he, Fir vo Shaksh Hamare Sathi ke janib kehne laga, JajakAllah, Vo ki Jiska Aapne Kafan-Dafan kiya he Vo to HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Jinnat Sahabi the, Aur Unka Naam Umru bin Jabir tha, Aur vo to Navjawano me se the jinho ne HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Jabane Noor se Quraan Suna Tha.Zakat Deine ke Ta’aluq se Masaail in hindi
Ek Dusri Rivayat me Aata he ki ek Baar Hazrat Umar Bin Abdul Ajij RadiAllaho Ta’ala Anho ek Chattiyal Meidan me se gujar rahe the, Aapne Raaste me Ek Bahot Bada Saanp(Sneck) Maraa hua dekha, Aapne Apni Chadar Fadi Aur Usme Wo Saanp ko Lapet kar Dafan kar diya,
Dafan karne ke baad Aapne ek Aavaj Suni,
“Ey Surk, Me Gawahi Deta hu ki Mene RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam se Suna tha ki Tum ek Chattiyal Meidan me Maroge, Aur Tumhara Kafan-Dafan ek Marde Saaleh karega”,
Hazrat Umar Bin Abdul Ajij RadiAllaho Ta’ala Anho ye Aavaj Sunkar Aapne Farmaya ki, ALLAH Aap par Rahem Farmaye, Tum Kon ho..? Aur me ye kiski Aavaj Soon raha hu..?
Jawab mila ki, me Vo Jinnato me se Hu ki Jinhone RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ki Jabane Anwar se Quraan Suna tha, Vo Jinnato me se Mere Aur Surk ke Siva koi Jinda Na Raha Aur Surk bhi Gujar gaya, Aur Sirf me Akela Baaki raha hu.
(Namaz Aur Nabi, Hissa-2, Safa-22,23)
ALLAHU AKBER,Zakat ke fazail with Hadise nabwi alaissalam
 
>> Arbi Jaban me Jinnato ke Naam :-
Ibne Abdul Bare kehte he ki Ilm walo ke Nazdik Jinnato ki kuch kisme he,
1) Asli Jinnat ko ‘Jinni’ kehte he,
2) Vo Jin, jo Logo ke Sath rehte he Unhe ‘Aamir’ kehte he,
3) Vo Jin, jo Baccho ko Pareshan karte he Unhe ‘Arvaah’ kehte he,
4) Sabse Zyada Khabees Aur Pareshan karnewale Jin ko ‘Seitaan’ kehte he,
5) Jo Jin ki Sararat Had se Jyada Bad Jati he Aur Unki Pakad Khub Majbut ho jaye to Unhe ‘Ifrit’ ya ‘Afrit’ kehte he.
(Namaz Aur Nabi, Hissa-2, Safa-21)Hazrat taloot and jaloot story in hindi urdu

>> Duniya ke Pehle Jinnat ki
Aarju :-

Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Rivayat he ki,
ALLAH TA’ALA ne Jino ke Baap ‘Soma’ ko peida kiya Aur Farmaya ki Tum Kya Chahte ho…??
Soma ne kaha me Chahta hu ki Ham Logo ko deikhe Magar Log Hame na deikhe,
Hame Jamin me Dafan karne me Aaye, Aur
Ham Logo me Budhe, Dusri Baar Fir se Jawan ho jaye,
fir Uski Vo Khwahish Puri Karne me Aayi,
Ab Jin Logo ko Deikhte he, Magar Loug unhe Nahi deikh Nahi Sakte,
Jab wo Marte he to Jamin Me Dafan hote he, Aur Unho me Koi Budha Tab tak Nahi Marta Jab Tak Dusri baar Jawan na ho jaye.
(Namaz Aur Nabi, Hissa-2, Safa-21)
ALLAHU AKBER,
Share Kare… Hazrat Uzair alahissalam story in urdu hindi
Hazrat adam alaihissalam history in urdu Hindi part 1
Hazrat ayub alaihis salam ka waqiya in hindi Story 2