jannat ka bayan jannat ka nazara in hindi
BAAB 72
“jannat ka bayan” JANNAT AUR MARAATIBE EHLE JANNAT :Is se pehle aap jis ghar ke gam wa andoh aur mehnat wa aalaam ka haal padh chuke hain, us ghar ke
muqaable me ek aur ghar hai, pehle ghar ko jahannam ka naam diya gaya tha aur is doosre ghar ka naam Jannat hai. Ab zara us ghar ki ne’maton aur musarraton par nazar daaliye kyunki ye baat to taiyshuda hai ke jo ek ghar se mehroom hoga usey doosre ghar me jaana hoga, chaahe woh Jannat ho ya jahannam, lihaaza zaroori hai ke jahannam ki halaakat-kheziyon se bachne ke liye apne dil me taweel gaur wa fikr kijiye taake kisi tarah us sey najaat haasil ho jaaye aur dil ko khauf e Khuda ka gahwaara banaaiye aur Jannat ki
hamesha rehnewaali ne’maton ke muta’alliq taweel soch wa vichaar karte huwe ALLAH TA’ALA ki Rehmat se ummeed rakhiye ke WOH hamein bhi uska makeen banaayega jiska USNE apne nek bandon se waada farmaya hai.
Apne nafs ko Khauf e ILAAHI ka chaabuk maariye aur ummeed ki muhaar daal kar seedhe raasta par gaamzan rakhiye, isi soorat me hi to aap mulk e azeem (Jannat) ko paayenge aur dardnaak azaab se mehfooz rahenge.

“jannat ka bayan” Ab zara ahle jannat ke baare mein gaur kijiye, unke chehron par ataaye RABBANI ki taazgi aur shaguftagi hogi , muhar kiye huwe sharaab e tahoor ke jaam unke haathon mein honge aur woh surkh yaaqoot ke mimbaron par jalwa afroz honge jinke upar safed buraaq motiyon ke saaibaan tane honge, neeche bemisaal sabz resham ke farsh honge , woh shehed wa sharaab ki nehron ke kinaare nasb shuda takhton par tek lagaaye honge, jinhein gilmaañ wa jannati bachche aur intehaayi haseen o jameel jannati hoorein, jo moti aur mongon ki tarah hongi (jinhein issey pehle kisi insaan aur jinn ne haath nahi lagaaya hoga), yeh sab unhein ghere honge, jo hoorein jannat ke darjaat mein subuk kharaami kar rahi hongi, jab unmein se koi ek chalne par maail hogi to 70,000 beheshti bachche
uske libaas uthaaye honge, unpar safed reshmi libaas hoga jisko dekhkar log hairaan reh jaayenge, lulu aur marjaan se jadaa huwa taaj unke zebe sar honge, woh intehaayi naaz o andaaz waali sheereen adaa itr-bez aur budhape aur dukh se be-niyaaz hongi ,woh yaaqoot se taiyyar kiye huwe mehlon mein faro-kash hongi aur Jannat ke baagon ke darmiyaan aankhein neechi kiye aaraam farma hogi.
Phir un jannatiyon aur hooron par aabkhore, aaftaabe aur sharaab e tahoor ke pyaale liye gilmaan phirenge, jinmein intehaayi safed, lazzat baksh mashroob hoga aur unke irdgird jannati khaadim aur amrad, motiyon ki tarah phir rahe honge yeh unke aamaal ki jazaa hogi ke woh amanwaale maqaam mein chashmon,
baagon aur nehron ke darmiyaan RABB E QADEER ke nazdeek sachche maqaam mein honge ,woh unmein baithkar RABB E KAREEM ka deedaar karenge , unke chehron par ALLAH ki ne’maton ki taazgi ke aasaar numaaya honge, unke chehre zillat wa ruswaayi se aalooda nahi honge, balki woh ALLAH ke muazzaz bande honge, RABB E KAREEM ki jaanib se unhein tohfe ataa honge , woh apni us pasandeeda jagah mein hamesha rehnewale honge, naa usmein unhein koi khauf hoga naa gam , woh maut ki takleef se bekhauf honge, woh Jannat mein ne’matein paayenge ,
Jannat ke lazeez khaane khaayenge , doodh , sharaab , shehed aur saaf paani ki aisi nehron se apni pyaas bujhaayenge jin nehron ki zameen chaandi ki , kankariyaan motiyon ki aur mitti mushk ki hogi, jis se tez khushboo aayegi, wahan ka sabzaa zaafraan ka hoga ,woh kaafoor ke teelon par baithenge aur unpar
phoolon ke itr ki baarish hogi aur unki khidmat mein chaandi ke pyaale jinpar moti jade honge aur jo yaaqoot aur marjaan se jade honge , laaye jaayenge, kisi pyaale mein salsabeel ke thande aur meethe paani mein muharband sharaab mili huwi hogi aur aisa pyaala jiski safaayi ki wajah se usmein maujood sharaab ka rang o roop baahar se nazar aa raha hoga , aadmi us jaisa murassa’ musaffa bartan banaane ka tasawwur hi nahi kar sakta, woh pyaala aise khaadim ke haath mein hoga ke aadmi uske chehre ki chamak damak ko yaad karega, lekin suraj mein uski dilkash soorat , haseen chehra aur be-nazeer aankhein kahaan?Hadees nabi alaihissalam in hindi mot kya he 400
Ta’ajjub hai aise shakhs par jo us ghar par imaan rakhta hai , uski taareefon ko sachcha jaanta hai aur is baat ka yaqeen e kaamil rakhta hai ke usmein rehnewale kabhi bhi maut se hamkinaar nahi honge , jo usmein aajayega usey dukh dard nahi sataayenge , usmein rehnewalon par kabhi bhi badlao nahi aayega aur woh hamesha aman wa sukoon se rahenge ,yeh sab kuch jaanne ke baawajood woh aise ghar mein dil lagaata hai jo aakhirkaar ujadnewaala hai, jiska aish khatm honewaala hai, bakhuda agar jannat mein sirf maut se bekhaufi hoti , insaan bhook,Hazrat Khwaja Abul Hasan Khirqani
pyaas aur tamaam hawaadisaat se bekhauf hi reh sakta aur digar in’aamaat naa hote tab bhi woh jannat is laayak thi ke uske liye duniya ko chord diya jaaye aur uspar aisi cheez ko tarjee naa di jaati jo lutt jaane waali aur mit jaanewali hai che jaaye ke jannat mein rehnewale bekhauf baadshaahon ki tarah hon, rangaarang musarraton wa raahaton se humkinaar hon, har khwaahish ko paane waale hon , har roz arshe aazam ke qurb mein jaanewale hon , ALLAH TA’ALA ka deedaar karnewale hon , ALLAH TA’ALA ko aisi bemisaal nigaahon se dekhnewaale hon ke jis nigaah se woh jannat ki ne’maton ko nahi dekha karte the. woh un ne’maton se phirnewale naa hon , hamesha unhi ne’maton mein rahein aur unke khatm hone se aman mein hon.Hazrat maryam Alaihissalam kon story in hindi part 1
“jannat ka bayan” HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya munaadi pukaarega, Aye jannat ke rehnewaalon ! Tum hamesha tandrust rahoge, kabhi beemaar nahi honge, hamesha zinda rahoge lekin maut nahi aayegi , hamesha jawaan rahoge, kabhi budhaapa nahi aayega aur tum hamesha in’aam wa ikraam mein rahoge , kabhi naa-ummeed nahi hoge aur yahi Farmane ILAAHI hai;
Aur pukaare jaayenge ke yeh bahisht hai jiske tum apne aamaal ke sabab waaris huwe ho.
Aur tum jab jannat ki sifaat (khoobiyaan) jaanna chaaho to Quran e majeed padho kyunki ALLAH TA’ALA ke bayaan se oomda kisi ka bayaan nahi hai aur ALLAH TA’ALA ke is farmaan se ke;namaz juma in hindi jumuah prayer hidis nabi
Jo apne RAB ke huzoor khada hone se darta hai uske liye do jannatein hai.
Surah REHMAAN ke aakhir tak padho, Surah WAAQIYA aur doosri soorton ka mutaala’ karo (inmein jannat ki ne’maton ka zikr hai.)

Aur agar tum Ahaadees e muqaddasa se jannat ki tafseelaat jaanna chaahte ho to mazkoora baalaa ijmaal ke baad ab uski tafseel par gaur o fikr karo , sabse pehle jannaton ki taadaad zehen nasheen karlo , HUZOOR ﷺ ne Farmane ILAAHI “Aur us shakhs ke liye jo apne RAB ke huzoor khada hone se daraa, do jannatein hai.”
ki tafseer mein farmaaya do jannatein chaandi ki hai, unki tamaam ashyaa (cheezein) aur zuroof (bartan) wagairah chaandi ke hai aur do jannatein sone ki hai , unki tamaam cheezein aur zuroof ( bartan) wagairah sone ke hai aur jannat e a’dan mein logon aur tajalli e Geebat ki saza Chugalkhori ka azab in hindi hadis islam

ILAAHI ke darmiyaan sirf RAB ki kibriyaayi ka parda hoga .
Raahe jannat ke darwaaze to woh bohot beshumaar honge jis tarah gunaahon ki aqsaam ke mutaabiq jahannam ke alaahida alaahida darwaaze hain, usi tarah ibaadat ki aqsaam ke mutaabiq jannat ke alaahida alaahida darwaaze honge chunaanche HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke jisne apne maal se raahe KHUDA mein kharch kiya, woh jannat ke tamaam darwaazon se bulaaya jaayega aur jannat ke 8 darwaaze hain jo shakhs namaazi hoga woh namaaz ke darwaaze se bulaaya jaayega , rozedaar roze wale darwaaze se , sadqa karnewala sadqe ke darwaaze se aur mujaahid jihaad ke darwaaze se bulaaya jayega. HAZRATE ABUBAKR SIDDIQUE رضي الله عنه ne arz ki Yaa RASOOLALLAH ﷺ ! Bakhuda ALLAH par dushwaar nahi ke bande ko kis darwaaze par bulaaya jaaye ,kya makhlooq mein se koi shakhs aisa bhi hoga jisey tamaam darwaazon se bulaaya jaaye ? AAPNE farmaya haan , aur MUJHE ummeed hai ke TUM unhi mein se honge.40 hadis islam Geebat Chugli Aur kai islamic hadis 40 ब्यूटीफुल हदीस इन हिंदी

“jannat ka bayan” HAZRATE AASIM BIN ZAMURAH , HAZRATE ALI رضي الله عنه se riwaayat karte hai ,UNHONE jahannam ka bohot zyada tazkira kiya jisey MAIN bhool gaya hun, phir UNHONE kaha ;
Aur jo log apne RAB se darey woh jannat ki taraf jauq dar jauq lejaaye jaayenge.
Jab woh jannat ke darwaazon mein se ek darwaaze par pohonchenge to woh aisa darakht paayenge jiske neeche paani ke do chashme jaari honge woh hukm ke mutaabiq ek chashme par jaayenge aur paani piyenge jiske peete hi unke jism se tamaam dukh dard aur takleefein zaail (khatm) ho jaayegi , phir woh doosre chashme par jaa kar us sey tahaarat haasil karenge , tab unpar ALLAH TA’ALA ki ne’maton ki taazgi aajaayegi, uske baad kabhi bhi unke baal muntashir nahi honge aur naa hi unke sar kabhi dardmand honge, jaise unhone tel lagaaya liya ho , phir woh jannat ke darwaaze par pohonchenge to jannat ke darbaan unhein kahenge “tum par salaamati ho tum khush haal huwe , lihaaza usmein hamesha rehne ke liye daakhil ho jao.”

Jannat mein daakhil hote hi unhein bachhe gher lenge jaise duniya mein apne kisi door se aane waale kisi rishtedaar ko bachhe gher lete hai aur woh us sey kahenge tujhe khushkhabri ho, ALLAH TA’ALA ne tere liye falaañ falaañ izzat o karaamat rakhi hai, phir un bachhon mein se ek amrad us jannati ki biwiyon mein se kisi biwi ki taraf jo ke jannat ki hoor hogi, jaayega aur us sey kahega ki falaañ aadmi jo duniya mein falaañ naam se bulaaya jaata tha, aaya hai. Hoor kahegi tu ne usey dekha hai, woh amrad kahega haan main usey dekh kar aa raha hun aur woh bhi mere peeche aa raha hai, tab woh khushi se deewaani ho kar darwaaze ki dehleez par farte ishtiyaaq se khadi ho jaayegi.
Hazrat isa alaihissalam par hawareen ka iman lana hindi
jab woh jannati wahaan pohonchega aur us ghar ki buniyaadein dekhega jo motiyon ki hongi aur deewaarein surkh, sabz aur peele har rang ke motiyon se bani huwi hongi, tab woh chath ko dekhega, woh bijli ki tarah aisi chamakdaar hogi ke agar ALLAH TA’ALA usey kudrat na deta to uski aankhen zaail (andhi) ho jaati, phir sar jhuka kar neeche nazar karega to usey hoorein qataar dar qataar paani ke pyaale liye, saff baandhe takiye aur bichi huwi masnadein nazar aayegi aur woh unse takiya laga kar kahega.
“sab tareefein ALLAH TA’ALA ke liye hai JISNE hamein iski hidaayat ki, agar ALLAH hamein ye raah na dikhaata to hum hidaayat na paate” phir pukaarne waala pukaarega ke tum zinda raho kabhi nahi maroge, ismein hamesha raho kabhi kooch nahi karaaye jaoge aur salaamat wa tandrust raho kabhi beemaar nahi honge aur HUZOOR ﷺ ne farmaya MAIN qayamat ke din jannat ke darwaaze par aakar usey khulwana chaahunga, jannat ka darbaan (RIZWAN) poochega kaun ho ?islamic hadees in hindi new post 40
MAIN kahunga MOHAMMED (ﷺ) darbaan kahega mujhe yahi hukm diya gaya hai ke AAPSE pehle kisi ke liye darwaaza na kholun.

Phir jannat ke baala khaano aur buland o baala mukhtalif tabqaat ke muta’aliq gaur karo beshak aakhirat bohot bade darjaat aur bohot badi azmat dene waali hai, jaisa ke logon ki zaahiri ibaadat aur unke baatini sifaat zaahir me mukhtalif hai isi
tarah daarul jazaa mein jannat ke bhi mukhtalif darjaat hai, agar tum jannat ka aala darja haasil karna chaahte ho to koshish karo ki koi doosra ibaadat karne mein tumse sabqat na le jaaye, ALLAH TA’ALA ne bhi APNI itaa’at mein muqaable aur ek doosre se sabqat le jaane ka hukm farmaaya hai chunaanche farmane ILAAHI hai :-
“Apne RAB ki bakshish ki taraf sabqat haasil karo.”
Ek aur makaam par irshaad farmaya:-Achchhe akhlaq in hindi hadis nabi alihissalm
“Aur usi mein chaahiye ke ragbat karne waale ragbat karein.”
Ta’ajjub ki baat to ye hai ke agar tumhare dost ya humsaaye (padosi) tumse rupiye paise mein yaa makaanaat ki taameer mein tumse sabqat le jaaye to tumko bohot afsos hota hai, tumhara dil tang hota hai aur hasad ki wajah se zindagi mein bekaifi paida ho jaati hai magar tumne kabhi jannat ke husool ke muta’aliq nahi socha, bas apne haalaat ko jannat ke husool ke liye behtar banao aur tum jannat mein aise logon ko paoge jo tumse sabqat le gaye honge, aise maqaamaat par raunak afroz honge ke tamaam duniya bhi jiske baraabar nahi ho sakti.

HAZRATE ABU SAEED KHUDRI رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaaya bila shuba jannati apne upar buland o baala khaanon mein rehne walon ko aise dekhenge, jaise tum door mashriq wa maghrib ke ufuq me bohot neeche kisi chamakdaar sitaare ko dekhte ho, ye unke darmiyaan bulandiyon ki wajah se hoga.
SAHABA E KIRAAM ne arz kiya YAA RASOOLALLAH ﷺ ! kya ye AMIBIYA E KIRAAM ke maqaamaat honge jahaan aur log nahi pohonch paayenge ?
AAPNE farmaaya haan qasam hai US zaat ki JISKE qabza e qudrat mein MERI jaan hai, wahaan woh log honge jo ALLAH par imaan laaye aur jinhone RASOOLON ki tasdeeq ki aur AAPNE irshaad farmaya jannat ke buland darjaat waale neeche se aise dikhaayi denge jaise tum door mashriq ya maghrib aasmaan ke ufuq par tulu hone waala sitaara dekhte ho aur ABU BAKR WA UMAR رضي الله عنهما unhi jannatiyon mein se hai aur dono khoob hain.

HAZRATE JAABIR رضي الله عنه kehte hain, HUZOOR ﷺ ne hum logon se farmaaya ke Kya MAIN tumhein jannat ke baala khaano ke muta’alliq na bataun? Maine arz kiya AAP par hamare maa baap qurbaan hon YAA RASOOLALLAH ﷺ ! zaroor yaad farmaaiye ! AAPNE farmaaya jannat mein motiyon jaise baala khaane hain jinke andarwaala hissa baahar se aur baahar ka hissa andar se dekha jaa sakta hai aur unmein aisi ne’matein, lazzatein aur musarratein hai jinhe na kisi aankh ne dekha, na kisi kaan ne suna aur na kisi aadmi ke dil mein unka tasawwur guzra. Maine poocha YAA RASOOLALLAH ﷺ ! yeh baala khaane kin logon ke liye honge ?07 Tawazo inkisari ki fazilat fakhr na karo hadise nabawi
AAPNE farmaya “us shakhs ke liye jo salaam ko phailaata hai, khaana khilaata hai, hamesha roze se rehta hai aur raat mein jab ke log sote hain woh namaaz padhta hai. Maine arz ki YAA RASOOLALLAH ﷺ ! in aamaal ko poora karne ki taaqat kaun rakhta hai ? AAPNE farmaya MERE ummati iski taaqat rakhte hain aur MAIN tumko iski tafseel batlaata hun , jo shakhs apne musalmaan bhai se mila aur usey salaam kiya to goya usne
salaam ko phailaaya, jisne apne ahlo ayaal ko khoob sair karaakar khaana khilaaya to usne khaana khilaaya, jisne maahe ramazan ke mukammal aur har mahine mein 3 roze rakhe usne daaimi roze rakhe, jo namaze isha padh kar soya aur usne subah ki namaaz jama’at se adaa ki to goya usne saari raat ibaadat ki aur log yaani yahood, nasaara aur majoos sote rahe.07 Tawazo inkisari ki fazilat fakhr na karo hadise nabawi
HUZOOR ﷺ se is farmaane ILAAHI :-
“Adan ke baagh mein paakeeza rehne ki jagahein hai.”
ki tafseer poochi gayi to AAPNE farmaya ke woh motiyon ke mahallaat honge, har mahal mein surkh yaaqoot ke 70 ghar honge, har ghar mein sabz zamurrad ke 70 makaan honge, har makaan mein ek takht hoga, har takht par qism qism ke 70 bichone honge, har bichone par uski biwi hoore ain hogi, har makaan mein 70 dastarkhwaan honge, har dastarkhwaan par 70 qism ke khaane honge, har makaan mein 70 khaadim honge aur momin har subah un tamaam dastar khwaanon par baith kar khaayenge.

END OF BAAB 72Best quetes from hadith
Leave A Comment