islamic quotes in hindi,islamic quotes in hindi font,islamic quotes in hindi images,islamic quotes in hindi facebook,,islamic thought in hindi,islamic status in hindi for whatsapp
islamic shayari images hindi,dear diary islamic quotes images,islamic hindi shayari image
dear diary allah quotes,islamic status for facebook in hindi,islamic thought in english
jumma mubarak status hindi mai,whatsapp status about namaz,deeni status for whatsapp in hindi,dua status in hindi 2 line,islamic shayari whatsapp,Kisi shayar ka qaul hai;
islamic quotes in hindi,
jab tu ne nafs ki har pukaar par labbaik kaha to woh tujhe  ki taraf bulaayega.
Ek aur shayar kehta hai
?jab tu khwaahishaat e nafsaani ki mukhaalifat nahi karega to yeh tujhe har us kaam ke liye kahega jo tere liye baa’is e aar ho.
Ek aur shayar kehta hai;
?agar tu ne apni khwaahishaat ki pairwi ki to naa tujhe seedha raasta milega aur naa tu sardaari haasil kar sakega.
Ek aur shayar kehta hai ;
1- jab tu tamaam ausaaf e hameeda ka husool aur ALLAH ki rehmat se apni muraadon ko poora hona chaahta hai.
2- to is bure nafs ki khwaahishaat ki mukhaalifat kar kyunki yeh ishq se bhi zyada dushman aur muhlik hai.
3-woh dono khwaahishaat ko halaak karne ka sabab hai albatta aashiq jab paak-daaman ho to gunaah se Bach jaata hai.
4-aur nafsaani khwaahishaat ke poora hone ki aarzuon ko tark karde , agar tu aqalmand hai to woh kaam kar jo tere nafs ki khwaahishaat ke khilaaf ho.
Ek aur shayar kehta hai;
Khwaahishaat ki pairwi mein aql ka noor chup jaata hai aur khwaahishaat ki mukhaalifat karnewale ki aql ki nooraaniyat baraabar badhti rehti hai.
FAZAL BIN ABBAS ??? ???? ??? ka kehna hai ;
Zamaana jaahil ko buland maqaam de deta hai aur khwaahishaat ki pairwi aqalmand, hoshiyaar ko uske maqaam se pher deti hai.
Kabhi log aise jawaan ki taareef karte hai jo khataakaar hota hai aur ehsaan karnewale shakhs ki malaamat ki jaati hai haalaanke woh baa-muraad hota hai.
Ek doosra shayar kehta hai;
1- jab tu chaahe ke ummeedon se faaida uthaanewaala ho to nafs ko khwaahishaat ki pairwi se bacha.
2- aur uski khwaahishaat poori naa kar aur gumraah aur baagiyon ki raunaq naa ban.
3- nafs aur uski khwaahishaat ko tark kar de kyunki yeh har us shakhs ko jo uski taraf qadam badhaata hai , buraaiyyon ka hukm deta hai.
4- shayad ke tu is tarah jahannam se najaat paa le jo aante kaantnewaali aur khaal utaarnewali hai.
Daanaaon (aqalmandon) ka qaul hai ke khwaahish ek buri sawaari hai jo tujhe museebaton ki taareekiyon mein le jaati hai aur naa-muwafiq charagaah hai jo tujhe dukhon ka waaris banaati hai lihaaza khabardaar ho ke tujhe nafs ki khwaahish buraaiyyon par sawaar naa kare aur gunaahon ki andher nagri mein khema naa daal de. kisi daana (aqalmand ) se kaha gaya ke agar tum shaadi kar lete to khoob tha , to usne bar-jasta jawaab diya agar main talaaq de sakta to apne nafs ko talaaq de deta, aur yeh sher padha;
Duniya se tanhaa ho ja kyunki tu tanha hi duniya mein bheja gaya tha.
1 – maine us raaz ko paa liya hai, iske siwa aur kuch nahi hai ke parhezgaari duniya aur daulat e duniya ko chord dene ka naam hai.
2- jab tu daulat paa kar usey tark karde to samajh le ke tera taqwa aise hai jaise ek musalmaan ka taqwa hai.
Zaahid woh nahi hai jo duniya ke naa hote huwe us sey kinaara-kash huwa, balki zaahid woh hai ke jiske paas duniya apni tamaam tar hashr saamaaniyon ke saath aayi magar usne us sey munh pher liya aur bhaag gaya, jaisa ke ABU TAMMAAM kehta hai;
Jab aadmi ne Zuhad ikhtiyaar naa kiya aur duniya apni tamaam tar raa’naaiyon ke saath jalwaagar huwi to woh zaahid nahi kehlaayega.