islamic kahaniyan islamic stories in hindi urdu part 1 ,islamic short stories in hindi,
islamic stories of prophets in hindi,islamic kahaniyan in hindi,i want islamic story in hindi,
quran stories in hindi, islamic stories in hindi pdf, islamic stories for kids, islamic stories videos in urdu, islamic kahani in hindi, islamic stories of prophets, beautiful islamic stories with morals, islamic inspirational stories, islam dharm ka itihas in hindi, islamic story books, the greatest stories from the quran, goodnight stories from the quran (goodword),
allah ki kahani hindi, goodnight stories from the quran goodword, islamic kahaniyan, islamic kahaniyan in hindi, islamic stories for kids, islam ki kahani, islamic moral stories in hindi, islamic video, allah ki kahani hindi,
quran ki kahani in hindi


(1) Ka’bah-e-Musharrafah ka tawaf kerni wali Jinn ‘Auratayn

“islamic stories in hindi” Mashhoor Sahabi Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Zubayr farmatay hayn kay aik raat chand ‘auraton ko Tawaf-e-Ka’bah kertay daykh ker Mayn wartah-e-hayrat may doob gaya! (Kyun kay woh ‘aam auraton ki tarah nahin thi)
Jab woh farigh huyi to baahar nikal gaye. Mayn un kay ta’aqub may rawanah huwa, woh chalti rahi yahan tak kay woh aik viraan jungle may dakhil ho gaye, wahan kuch mu’ammar
(ya’ni barray umr kay) afraad baythay thay, unho nay mujh ay poocha: “Aye Ibn-e-Zubayr! Aap yahan kaysay aa gaye?” Mayn nay jawab daynay kay bajaye un say suwal ker diya:
“Aap kaun log hayn?” unho nay kaha: “Hum Jinnaat hayn”Mayn nay apnay ta’aqub aur is ka sabab bayan kiya, unhonnay kaha: “Yeh hamari ‘auratayn (ya’ni jinniyan) hayn. Aye
Ibn-e-Zubayr! Aap khanay may kiya pasand farmaye gay?”
Mayn nay kaha: “Tazah pakkii khajorayn” halan kay us waqtMakkah-e-Mukarrama may tazah khajoor ka kahi naam-o-nishan na tha. Laykin woh Mayray paas pakkitazah khajoorayn lay aaye. Jab Mayn khaa chuka to kaha: “Jobach gayi hayn unhayn sath layjaiye” Hazrat Sayyiduna
Abdullah Ibn-e-Zubayr farmatay hayn kay Maynnay woh bachi huyi khajoorayn uthaye aur ghar wapas aagaya. (Luqt-ul-Marjaan Fee Ahkam-il-jan, safha. 247)
Allah ki un per rahmat ho aur un kay sadaqay hamari
bay hisab Maghfirat ho
Gham-e-Hayat abhi rahaton may dhal jaye
Tayri ‘ata ka isharah jo ho gaya Ya Rab
(Wasail-e-Bakhshish, safha. 96)

(2) Chamkeela Saanp

“islamic short stories”  in hindiHazrat Sayyiduna ‘Ata Bin Abi Rabah farmatayhayn kay Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin ‘AmrMasjid-e-Haraam may maujood thay kay aik sufaid aur siyahrang ka chamkeela saanp aaya, Us nay Baytullah Shareef katawaf kiya phir woh “Maqaam-e-Ibrahim” kay paas aaya aur
goya Namaz ada ker raha tha to Hazrat Sayyiduna AbdullahBin ‘Amr us kay pas aa ker kharay ho gaye aur farmaya: Aye Saanp! Shayad tum nay ‘Umray kay arkaan puray ker liye
hayn aur ab Mayn tumharay baray may yahan kay na samajhogon say darta hoon (ya’ni kahi woh tumhayn asli saanp samajh ker maar na dalayn lihaza tum yahan say jaldi chalay
jao)” Chunanchay woh ghooma aur aasman ki taraf urr gaya (Ayzan, safha. 101)
Allah ¬ ki un per rahmat ho aur un kay sadaqay hamari
bay hisabb Maghfirat ho
.
Ker day Hajj ka sharaf ‘ata Ya Rab Sabz Gumbad bhi day dikha Ya Rab
Ye tayri hi to hay ‘inayat kay Mujh ko Makkay bula liya Ya Rab
(Wasail-e-Bakhshish, safha. 87)

(3) Saanp numa jinn nay Hajar-e-Aswad chooma

 “islamic kahani in hindi” Hazrat Sayyiduna Abu Zubayr farmatay hayn: Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Safwan
Baytullah Shareef kay qareeb baythay thay kay “Iraqi darwazay” say achanak aik saanp dakhil huwa aur Khana-e-Ka’bah ka tawaf kiya phir Hajar-e-Aswad kay pas aaya aur usay chuma. Hazrat Sayyiduna Abdullah Bin Safwan nay us say farmaya: “Aye Jinn! Ab aap nay apna Umrah ada ker liya hay, hamaray bacchay khaufzadah hayn lihaza Aap wapas chalay
jaye” Chunanchay woh jis taraf say aaya tha usi taraf say wapas chala gaya. (Ayzan, safha. 100)
Allah ¬ki un per rahmat ho aur un kay sadaqay hamari bay hisab Maghfirat ho.
Sharaf day Hajj ka mujhay Behr-e-Mustafa Ya Rab
Rawanah suway Madinah ho Qafilah Ya Rab
(Wasail-e-Bakhshishsafha. 94)

(4) Pani ki taraf rahnumaye karnay wala jinn

islamic stories for kids” Hazrat Sayyiduna Usman-e-Ghani kay daur-ekhilafatmay ‘Aashiqan-e-Rasool ka aik qafilah Hajj kay iraday say nikla, unhayn rastay may piyas lagi, aik kunwan nazar aaya magar us ka pani khaara tha. Lihaza woh aagay barrh gaye, hatta kay sham ho gaye laykin pani na mila. Qafilah raat bhar chalta raha yahan tak kay aik khajoor kay darakht kay pas pohancha, yaka yak aik siyah faam mota aadami namudar huwa, us nay kaha: Aye qafilay walon! Mayn nay Rasoolullah alaihiisalam ko farmatay suna hay: “Jo shakhs Allah Ta’aala aur qiyamat kay din per Iman rakhta hay usay chahiye kay woh Musalman bhaiyon kay liye wohi pasand karay jo apnay
liye pasand kerta hay aur Musalman bhaiyon kay liye who cheez na pasand karay jo apnay liye na pasand kerta hay” Tum
log yahan say aagay berrho, aik tayla aaye ga phir apni daye
janib murr jana wahan tumhayn pani mil jaye ga. Un may say kisi nay kaha Allah ¬
ki qasam! Mayray khayal may yeh shaytan hay, dusray shakhs nay tardeed kertay huway kaha: Shaytan is qism ki baatayn nahin kerta, ye koi Musalman jinn hay. Bahar haal woh log chal parray aur us jinn ki nishandahi kay mutabiq pani tak pohanch gaye. (Ayzan, safha. 109)
Kisi kay hath nay mujh ko sahara day diya warnah Kahan Mayn aur kahan yeh rastay paycheedah paycheedah kayimam hussain karbala

(5) Qafila-e-Hajj Ka pur Asraar jawan Shahanshah Baghdad Huzoor-e-Ghaus-e-Pak raziyallahu anah

“islamic inspirational stories” Aik baar apnay Mureedon ka qafila liye Hajj kay liye rawanah huway, jab yeh qafilah kisi manzil per utarta to sufaid kaprray may malboos aik pur asraar jawan kahi say aa jata, woh un kay sath khata peeta nahin tha. Huzoor-e-Ghaus-e-A’zam nay apnay Mureedon ko wasiyyat (ya’ni takeed) farmaye thi kay woh is “jawan” say baat cheet na karayn. Qafilah Makkahe-Mukarrama may dakhil huwa aur aik ghaarmay qiyam pazeer ho gaya. Jab yeh Hujjaj Kiraam ghaar saynikaltay to woh pur asraar jawan ghaar kay andar dakhil hojata aur jab yeh dakhil hotay to woh baahar nikal jata. Aikmartabah sab log nikal gaye laykin qafilay kay aik Haji sahib
Bayt-ul-Khula (wash room) may rah gaye, usi dauran purasraar jawan ghar may dakhil huwa to usay koi nazar nahin aaya. Us nay thayli kholi aur aik gaddar (ya’ni aadh pakki
khajoor) nikaal ker khanay laga. Jab woh Haji Sahab Bayt-ulKhula
say niklay aur un ki nazar pur asraar jawan per parri to woh wahan say chala gaya. Us kay ba’d phir kabhi qafilay walon kay paas nahin aaya. Jab un Haji Sahib nay Sarkar Ghaus-e-Pak ko is hayrat angayz baat ki khabar di to farmaya: Yeh pur asraar jawan un jinnon may say hay jinhon nay Rasoolullah alaihissala say Quran-e-Majeed suna hay (Luqt-ul-Marjan, safha. 239)
Allah ¬ ki un per rahmat ho aur un kay sadaqay hamari
bay hisab Maghfirat hoImam Hussain History 2
Jinn-o-insaan-o-malak ko hay bharosa tayra
Sarwara marj’a-e-kul hay dar-e-wala tayra
(Zauq -e-Naat

(6) Baagh kay jinnat 

“islamic kahani in hindi” “jinnat ki kahani”Hazrat Sayyiduna Abu Ishaaq Ibrahim Khawwaas farmatay hayn: Hamara qafilah suway Haram rawan dawan tha, kisi sabab say Mayn qafilay say alag ho gaya aur musalsal teen shabana roz chalta raha, is dawran mujhay na bhook lagi na piyaas, na hi koi haajat paysh aaye. Aakhir kaar Mayn aik haray bharay lahlaatay gulshan may ja nikla, wahan khoob phaldar darakht thay har taraf khushbu daar phool khilay thay aur beech may aik chhota sa talaab tha. Mayn nay apnay dil
may kaha: Yeh to goya jannat hay. Achanak khush posh ba imamah afraad ka aik gurooh aa gaya, unho nay Mujhay salam kiya, Mayn nay jawab diya, Mayray dil may khayal
guzra ho ya na ho yeh Jinnaat hayn kay yeh sar zameen hi ‘ajeeb-o-Ghareeb hay, itnay may un may say aik shakhs bola:
“Hum Qawm-e-Jinnaat may say hayn, hamara aik Mas`alay
may ba hum ikhtilaaf ho gaya hay. Hum nay Layla-tul-Jinn
may Allah Tabarak wa Ta’aala ka muqaddas kalam Ba Zabane-Shah-e-Khayr-ul-Anaam
sunnay ka sharaf haasil kiya hay aur usi pak kalam ki wajah say tamam dunyavi
kaam hum say lay liye gaye aur Allah Ta’aala ki mashiyyat (marzi) say is jungle may yeh taalaab hamara maqaam bana\ diya gaya hay. Mayn nay daryaft kiya kay Mayn nay apna Hajj
ka qafilah jahan chhorra hay, woh jaga yahan say kitni door hay? Ye sun ker un may say aik muskuraaya aur kahnay laga:
“Aye Abu Ishaaq! Allah ¬ hi kay liye asraar-o-a’jaibaat hayn, jahan is waqt Aap hayn, aik jawan kay siwa aaj tak koi nahin aaya aur woh bhi yehi wafaat pa gaya” ye kah ker us nay aik taraf isharah ker kay bataya: “Woh raha us ka Mazaar” woh mazaar talaab kay kinaray tha aur us kay ird gird aysay khush numa aur khushbu dar phool khilay huway thay jo us say pehlay Mayn nay kabhi na daykhay thay. Baat jari rakhtay huway us jinn nay kaha: “Aap kay aur qafilay kay darmiyan itnay itnay mahinay ki masafat (ya’ni fasilah) hay”. Hazrat Sayyiduna Abu Ishaaq Ibrahim Khawwaas farmatayhayn: “Mayn nay un jinnat say kaha: “Mujhay us marhoom jawan kay baray may kuch bataye” To aik nay kaha: “Hum yahan talaab kay kanaray baythay huway “mahabbat” ka tazkirah ker rahay thay, hamari guftugu jari thi kay achanak
aik jawan hamaray paas aaya aur us nay salam kiya. Hum nay salam ka jawab diya aur us say daryaft kiya: “Ay Jawan! Tum kahan say aaye ho?” Bola: Nisha pur kay aik shahar say” Hum nay pucha: “Tum wahan say kab niklay thay?” Us nay jawa diya: “Saat (7) din qabal” hum nay pucha: “Apnay watan say nikalnay ki wajah”? Kaha: “Allah Ta’aala ka yeh Farman”Tarjama-e-Kanz-ul-Iman: Aur apnay rab ki taraf ruju’ lao aur us kay huzoor gardan rakho qabal is kay tum par ‘azab aaye phir tumhari madad na ho. (Parah 24 Surah Al-Zumur:54) Hum nay us say kuch aur bhi suwalaat kiye jin kay jawabaat daytay daytay us nay yaka yak aik zordar cheekh maari aur us ki rooh qafas-e-unsari say parwaaz ker gaye. Hum nay usay yahan dafan ker diya aur yeh us ka mazaar hay (Allah us say razi ho) Hazrat Sayyiduna Ibrahim Khawwaas
farmatay hayn: Mayn marhoom jawan kay awsaaf sun kerbahut muta`ssir huwa aur aqeedat say Mayn mazaar shareefkay qareeb gaya to us kay sarhanay Nargis kay phoolon ka aik bahut barra guldastah rakha tha aur yeh ‘ibarat likhi huyi thimya’ni yeh Allah Ta’aala kay dost ki
qabr hay usay “ghayrat” nay qatl kiya hay. Aur aik warq per“ka ma’na likha tha. Phir Jinnaat nay Mujh say us aayatki tafseer poochi to Mayn nay bayan ker di. Woh bahut khush
huway aur un ka aapasi ikhtilaaf-o-iztiraab jata raha aurkahnay lagay: Hamaray mas’alay ka kafi-o-shafi jawab mil gaya. Hazrat Sayyiduna Ibrahim Khawwaas farmatay hayn: Phir mujhay neend aa gaye, jab baydaar huwa
to (Makkah-e-Mukarramah may Tan’eem kay maqaam per Hazrat Sayyidatuna ‘Aaishah Siddiqah  ki masjid kay paas apnay Aap ko paya aur Mayray pas aik
“Phoolon ka guldastah” maujood tha jo saal bhar tar-o-taza
raha phir kuch ‘arsay ba’d woh khud ba khud ghayb ho gaya
(Luqt-ul-Marjaan safha. 240)
Tamanna hay darakhtaun per tayre Rawzay kay ja baythay
Qafas jis waqt tootay taa`ir rooh-e-muqayyad ka
(7) ‘Ajeeb-o-ghareeb chhota sa parindah
“jinnat ki kahani” “jinnat ki kahani” Hazrat Sayyiduna Wahab aur Hazrat Sayyiduna Hasan Basr ki har saal Hajj kay mausim-e-bahar may Masjide-Khayf Shareef kay andar mulaqat huwa karti thi. Aik shab jab kay bheerr chhat chuki thi aur aksar Hujjaj-e-Kiraam so
chukay thay, al batta b’az Hujjaj-e-Kiraam un dono hazrat kay sath deeni guftugu ker rahay thay, yaka yak aik ‘ajeeb-o-ghareeb chhota sa parindah aaya aur Hazrat Wahab
4 5 ki aik janib halaqay may bayth gaya aur salam kiya, Hazrat Sayyiduna Wahab 4 5 nay us kay salam ka jawab diya aur poocha: Tum kaun ho? Us nay jawab diya: Mayn aik
Musalman jinn hoon. Poocha: kahiye kaysay aana huwa?
Bola: “Kiya Aap yeh pasand nahin farmatay kay hum Aap ki majlis may baythayn aur ‘ilm haasil karayn!” Hamaray andar Aap say riwayat bayan kernay walay bahut say jinnat hayn, hum
Aap hazrat kay sath bahut say kaamon may shareek hotay hayn maslan Namaz, jihad, beemaron ki ‘iyadat, Namaz-eJanazah aur Hajj-o-Umrah waghayraha neez Aap say ‘ilm haasil kertay aur Quran-e-Kareem ki tilawat suntay hayn (Kitab-ul-Hawatif li Ibn-e-Abi Duniya, jild. 2, safha. 526)
‘Aalam wajd may raqsan Mayra par par hota Kash! Mayn gumbad-e-khazra ka kabutar hota

8) Darindah bhi Tabe’e ho gaya

Hazrat Sayyiduna Sufyan Sawr aur Hazrat Sayyiduna Shayban Ra’ee dono Hajj kay iraday say niklay to un kay samnay aik darindah aa gaya. HazratSayyiduna Sufyan Sawri nay Hazrat Sayyiduna Shayban Ra’ee say farmaya: “Kiya Aap is darinday ko nahin daykh rahay?” To unho nay farmaya “Darye mat” Phir Hazrat Sayyiduna Shayban Ra’ee nay us ka
kaan pakarr ker dabaya to woh dum hilanay laga, Aa, nay us ki dum pakarr li, us per Hazrat Sayyiduna Sufyan Sawri nay farmaya: Kiya yeh “shuhrat” nahin? To
unho nay jawab diya: “Agar mujhay shuhrat ka khauf na hota
to Mayn apna zaad-e-rah is ki peeth per laad ker Makkah
Mukarramah lay jata” (Al-Razul Faaiq, safha. 103) ki un per rahmat ho aur un kay sadaqay hamari bay hisab Maghfirat ho
.
Shayr ka khatrah kiya shayr khud kaanp utha!
Samnay jab Nabi ka Ghulam aa gaya
“Kiya yeh shuhrat nahin?” ki wazahat
Meethay meethay Islami bhaiyon! ¬–
Darinday bhi
Allah walon kay tabe’e ho jatay hayn. Is hikayat may mashhor
tabe’e buzurg zabardast ‘Aalim-o-Muhaddis Hazrat Sayyiduna
Sufyan Sawri
, ka suwal kerna logon ko Hazrat Sayyiduna Shayban Ra’ee kay baray may Hubb-eJah kay ta’lluq say bad gumani say bachanay kay liye tha aur is suwal ka unho nay bhi kiya khoob jawab irshad fermaya. Bahar haal yeh barron ki baatayn hayn yeh hazrat ikhlas kay
paykar huwa kertay thay aur aik dusray ki batini islaah ka khayal rakha kertay thay.

9) Shayr nay rastah bataya

Hazrat Sayyiduna Safinah Room ki sar zameen may jihad kay dawran islami lashkar say bicharr gaye aur lashkar ki talash may dorrtay huway chalay ja rahay thay kay achanak jungle say aik shayr nikal ker un kay samnay aa gaya, Aapnay
buland aawaaz say farmaya: Aye AbulHaris! (Yeh shayr ki kunyat hay) Mayn Rasoolullah ka ghulamhoon aur Mayra mua’malah yeh hay kay may Lashker-e-Islam say alag parr gaya hoon aur lashkar ki talash may hoon. Yeh sun ker shayr dum hilata huwa un kay pehlo may aa ker kharra ho gaya aur barabar un ko apnay sath may liye huway chalta raha yahan tak kay yeh Lashkar-e-Islam may pohanch gaye to shayr wapas chala gaya (Mishkat, jild. 2, safha. 400, Hadees. 5949)
Shayr ka khatrah kiya! Woh bigaray ga kiya! Samnay jab Nabi ka ghulam aa gaya

(10) Hirni ki pukar Ba Huzoor Shahanshah-e-Abrar

Umm-ul-Mu`mineen Hazrat Sayyidatuna Umm-e-Salamah say riwayat hay kay Sarkar-e-Wala Tabar, Baykason Kay Madad Gaar, Shafi’-e-Rooz-e-Shumar, Doo ‘Alam Kay
Malik-o-Mukhtar, . Sahra may thay. Achanak kisi
nay pukara: Ya Rasoolallah Aap ٖ nay mutawajjah ho ker daykha magar koi nazar na aaya. Phir
dusri taraf mutawajjah ho ker daykha to bandhi huyi aik Hirni
nazar aaye us nay ‘arz ki: . ya’ni Ya Rasoolallah! Mayray qareeb tashreef laye. Allah ¬ kay
Habib nay qareeb tashreef la ker farmaya: ya’ni tayri kiya haajat hay? Hirni boli: Is pahaarr may
Mayray do bachay hayn, Aap mujhay khool dijiye, Mayn un dono ko doodh pila ker Aap ki khidmat may hazir ho jaoon gi, Farmaya: Kiya Tu aysa karay gi? Hirni nay‘arz ki: Agar Mayn
aysa na karoon to Allah ¬ mujhay ‘Ishar ka ‘Azab day.
(‘Ishar aysi hamilah ountni ko kahtay hayn jis ka dus mahguzar janay kay ba’d bhi bacha bahar na aaye, aur us bay chari per bojh lada jaye jis kay sabab woh takleef say khoob bilbilay,
cheekhay, chillaye) To Aap . nay usay khool
diya aur us nay ja ker apnay bachon ko doodh pilaya aur is kay ba’d woh aa gayi aur Aap
. nay usay bandhdiya.
Itnay may A’arabi baydaar ho gaya aur us nay daykh ker arz ki: Ya Rasoolallah alaihissalam
Aap ko koi kaam hay?
Farmaya: Haan Is Hirni ko chhorr day, Us nay usay chhorr
diya. Chokriyan bharti huyi ja rahi thi aur ye kah rahi thi:) Mayn gawahi dayti hoon kay Allah kay siwa koi ma’bood nahin aur be-shak Aap Allah kay Rasool
hayn) (AL-Mu’jam-ul-Kabeer jild. 23 safha. 331 Hadees. 763, Al-Khasais-ulKubra
jild. 2 safha. 101)
Haan yahin kerti hayn chirryan faryaad
Haan yahin chahati hay Hirni daad Isi dar per Shutaran-e-nashaad
Gila-e-Ranj-o- ‘Ana kartay hayn
(Hadaiq-e-Bakhshish Shareef)

(11) Ount nay Tawaf Ka’bah kiya aur phir….

“islamic kahani in hindi”hijri ka waaqi’ah hay, aik ount apnay malik say khud ko chhurra ker bhaag kharra huwa, yahan tak kay Makkah Mukarramah pohancha aur seedha Masjid-ulHaram may dakhil ho gaya, log pakarrnay dorray magar kisi kay hath may na aaya, us nay Ka’bah Musharrafah kay gird saat (7) chakkar lagaye phir Hajar-e-Aswad per apnay hont rakh diye, is kay ba’d Meezab-e-Rahmat kay samnay kharra hogaya, us ki ankhaun say tap tap aansu gir rahay thay, isi tarah rotay rotay who zameen per aa raha aur us ka dam nikal gaya. Logon nay usay Basad-e-Ihtiram uthaya aur Safa-Marwah kay darmiyan dafna diya (Kitab-ul-Haj, safha. 114,) (Us
daur may aaj kal ki tarah ka mua’malah na tha wahan tadfeen mumkin thi chunan chay Shah Abdul Aziz Muhaddis Dahalvi
678
nay Bustan-ul-Muhaddiseen safha 298 per likha
hay: Mashhoor Muhaddis Hazrat Sayyiduna Imam Nasaye
Safa-o-Marwah kay darmiyan madfoon hayn)
.
Tasadduq ho rahay hayn lakhaun banday gird phir phir ker
Tawaf Khana-e-Ka’bah a’jab dil chasp manzar hay jald hi part 2 bhi aaega inshaallah more button if u want to read in urdi