islamic hiqayat articles on islam in hindi urdu part one  BAAB 32 
Baaz taarikeene duniya ka kehna hai, nek amal karne mein pesh pesh raho, ALLAH TA’ALA se darte raho , jhooti ummeedon mein na pado, maut ko na bhoolo aur duniya se ragbat na rakho kyunki ye farebi aur makkaar hai jisne dhoka de kar raahe KHUDA se door kar diya , iski jhooti ummeedon ne tumhe aazmaaish mein daal diya aur yeh tumhare saamne intehaayi haseen shakl (behroop ) mein beparda dulhan bankar aati hai , aankhein use dekhti hai , dil uspar fida hai aur roohein uski farefta hai magar usne kitne aashiqon ko qatl kar diya aur apne parwaanon ko zillat wa ruswaayi ke ghadon mein dhakel diya hai? tum use nigaahe haqeeqat beeni se dekho to maaloom hoga, ye masaaib ka ghar hai, iske Khaaliq ne bhi iski mazammat ki hai, iska har naya, puraana ho jaata hai, iski saltanat khatam ho jaati hai, iska moazzaz , zaleel ho jaata hai, iski kasrat , qillat mein tabdeel ho jaati hai, iski mohabbat fanaa ho jaati hai, iski bhalaayi guzar jaati hai, ALLAH tum par rehmat  kare, gaflat se jaago, iski meethi neend se bedaar ho jao, qabl iske ke kaha jaaye falaan beemaar hai ya usey jaan ke laale pade hai, koi aisi dawaa ya aisa tabeeb hai jo use shifa de phir tabeeb bulaaya jaaye aur wo teri zindagi ke baare me naa-ummeedi ka izhaar kare, phir kaha jaaye ke falaan ne apni daulat ka hisaab lagaa kar waseeyat kardi hai, phir kaha jaaye uski zabaan band ho gayi aur woh apne azeezon se baat nahi kar sakta aur hamsaayon ko nahi pehchaan  sakta hai.
Us waqt teri peshaani par paseene ke qatre ubhar aaye, teri aah wa bakaa sunaayi de, maut par tera yaqeen raasikh (pakka) ho jaaye, teri nigaah taktaki baandhkar dekhne lage , tere andeshe sach saabit ho, teri zabaan gungi ho jaaye, tere azeez rone lage aur tujhse kaha jaaye ye tera falaan beta hai, ye tera falaan bhai hai magar tu unse guftagu na kar sake, teri zabaan par mohar lag jaaye , tu ise hila na sake phir tujhpar maut taari ho, tere tamaam aazaa se rooh nikaali jaaye aur use aasmaan ki taraf le jaaya jaaye, us waqt tere bhai tujh par jama ho jaaye, tere liye kafan laaya jaaye , phir tujhe nehlaa kar kafan pehnaya jaaye, teri tamaam ummeedein munqata (khatam) ho jaaye aur tere dushman sukoon ki saans le, tere ahle khaana tere maal ki taraf mutawajjah ho aur tu apne aamaal ki sazaa paane ke liye tanha reh jaaye.
EK ZAAHID KI EK BAADSHAH KO NASEEHATEIN:
Kisi taarik e duniya ne ek baadshah se kaha ke duniya ki mazammat aur use chord dene ka logon mein sabse zyada mustahiq wo shakhs hai jo maaldaar hai aur daulat ke balboote apne kaam anjaam de raha hai, ho sakta hai uske maal par koi aafat naazil ho kar use mohtaaj karne ya koi aafat uski jama karda poonji aur uske darmiyaan tafarqa (judaayi) daal de ya koi baadshah uske maal o daulat ko paamaal (barbaad) karta hua guzar jaaye ya koi takleef uske jism mein saraayat kar jaaye ya duniya ki koi jaan se pyaari cheez use doston ki nazron mein gira de , aur is tareeke par bhi duniya laayak e mazammat hai ke ye jo kuch deti hai waapas le leti hai, ye ek hi waqt mein do do aadmiyon se mohabbat karti hai, ye hansne waalon par hansti hai aur ronewalon par roti hai, dete waqt waapsi ka taqaaza bhi kar deti hai , aaj maaldaaron ke sar par taaj rakhti hai aur kal use mitti mein chupa deti hai, chaahe jaanewala usi ke gam mein mar gaya ho aur zinda usi ke liye zinda ho, wo har jaanewale ke waaris ke gale mein mil jaati hai aur kisi tagaiyyur wa badlao ki parwaah nahi karti.

quets HAZRATE HASAN BASRI RADIYALLAHU ANHU KE IRSHAADAAT:

HAZRATE HASAN BASRI RADIYALLAHU ANHU ne HAZRATE UMAR BIN ABDUL AZIZ RADIYALLAHU ANHU ko likha ki ye duniya chordne ki jagah hai, theherne ka maqaam nahi hai. HAZRATE AADAM ALAIHISSALAAM ko sazaa ke taur par is par utaara gaya tha isliye AMEERUL MOMINEEN is se door door rahiye.
Is duniya ka tohsha isko chord dena, iski punji faqr wa faaqa hai har waqt apne chaahnewalon ko qatl karti rehti hai, izzat wale ko zaleel aur maaldaar ko fakeer bana deti hai, yeh zaher hai, jise insaan bekhabri mein khaa kar maut se humkinaar ho jaata hai, ismein zaraahat ka ilaaj karnewale zakhmi ki tarah lambe dukh se bachne ke liye kuch der sabr kijiye aur lambi bimaari se bachne ke liye kuch lamho tak ilaaj ki shiddat bardaasht kijiye, aur is farebi dhokebaaz se jo khoob ban-than kar jalwanuma hui hai aur makr ka jaal failaaye hue hai, jhooti ummeedon ki faraawaani saath laayi hai aur ek aisi dulhan ka andaaz apnaaye hai jise aankhen dekhna chaahti hai, jiske dil shaidaayi hai aur jaane uspar fidaayi hai aur ye tamaam chaahnewalon ko khatm karti chali aayi hai aur mitaati chali jaayegi, kya koi aqalmand is se naseehat haasil nahi karta?
Jab iska koi aashiq ise paa leta hai to wo gumraah ho jaata hai aur is se dilchaspi ke sabab apni aakhirat ko bhi bhool jaata hai yahan tak ke uske qadam dagmaga jaate hai aur wo daaimi hasrat mein giraftaar ho jaata hai, uspar maut ki sakhtiyaan aur dukh taari hote hai, poori tarah naa paane ki hasrat aur matloob tak risaayi haasil naa kar sakne ka afsos use aur zyada dukhi bana deta hai, uski rooh shadeed dukh ke aalam mein bagair kisi zaade raah ke nikalti hai aur uske qadam kahin nahi tikte.
Ameerul Mumineen ! Is se bachte rahiye kyunki duniya daar jab iski musarrat mein doob jaata hai to woh use dukh mein mubtala kar deti hai, is mein nuqsaan paanewala farebzada hai, is mein nafa paanewala dohra dhoke me hai kyunki iski wus’at masaaib tak jaa pohonchi hai, iska wajood aamaada e fanaa hai, iski khushi dukhon mein lipti hui hai, jo iska ho jaata ai woh waapas nahi laut ta aur anjaam se bekhabar rehta hai , iski ummeedein jhooti tamannayein baatil, iska saaf , gadla ,iski aish mukhtasar hai, insaan agar gaur kare to woh iske khatraat mein ghira hua hai.
Iski nematein khatron se bhari aur iske dukh haulnaak hai, ALLAH TA’ALA ne iski tambeeh ki hai aur naseehat farmayi hai, ALLAH ke yahan iski koi qadar nahi aur naa ALLAH TA’ALA ne ispar kabhi rehmat ki nazar daali hai. NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke huzur mein iske khazaane aur unki kunjiyaan pesh ki gayi magar AAPNE qubool karne se inkaar kar diya kyunki ALLAH TA’ALA ke yahan iski haisiyat machchar ke par se bhi kam hai. agar AAP ise qubool farma lete tab bhi ALLAH TA’ALA ke khazaanon mein koi farq na aata, dekhna! Kahin iski mohabbat mein hukme KHUDA ki mukhaalifat na ho, Iski ulfat mein ALLAH ki naaraazgi na ho aur ise uske maalik ki mansha (marzi) ke mukhaalif maqaam na mile.
ALLAH TA’ALA ne ise bataure aazmaayish mominon se pher diya aur apne dushmanon ki fareftagi ki wajah se unhe daulat se maalamaal kar diya, jo bewaqoof use paa leta hai wo samajhta hai ke shayad ALLAH ne use izzat de di hai aur ye bhool jaata hai ke ALLAH TA’ALA ke mehboob NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne apne shikam mubaarak par paththar baandhe the.
 MAZAMMAT E DUNIYA MEIN EK AUR HADEES E QUDSI:
Hadees e qudsi hai, ALLAH TA’ALA ne HAZRATE MOOSA ALAIHISSALAAM se farmaya ke jab tu daulatmandi ko apne paas aata hua dekhe to samajh lena ke kisi gunaah ki sazaa aa rahi hai aur jab faqr wa faaqa ko dekhe to keh khush aamdeed , kyunki ye nekon ki alaamat hai. Aye logon ! Agar chaaho to ISAA ALAIHISSALAAM ke naqshe qadam par chalo jo farmaya karte the ke bhook Meri khaal , khauf Meri aadat , oon Mera libaas , sardiyon mein suraj ki kirnein Meri aag, chaand Mera chiraag, do paaun Meri sawaari aur zameen ki sabziyaan Meri giza hai, na subah Mere paas kuch hota hai aur na shaam ko kuch hota hai magar duniya mein Mujhse badh kar koi gani nahi hai.
HAZRAT E WAHAB BIN MUNABBEH REHMATULLAH ALAIH kehte hai ke jab ALLAH TA’ALA ne HAZRATE MOOSA aur HAROON ALAIHIMUSSALAAM ko fir’aun ki taraf bheja to farmaya uski duniyawi shaan o shaukat se khauf zada na hona woh MERI ijaazat ke bagair na bol sakta hai , na saans le sakta hai aur naa hi palak jhapak sakta hai kyunki uski peshaani MERE haath mein hai aur duniya se uska faaida haasil karna tumko ta’ajjub mein naa daale, ye cheez duniya ki raunaq hai. bewaqoofon ki zeenat, agar MAIN chaahun to tumhe aisi jaah o hashmat (rob wa dabdaba) aur duniyawi qadr wa manzilat dekar bhejoon ke fir’aun dekhte hi apne ijz (laachaari) ka iqraar karle lekin MAINE tumse duniya ko poshida kar liya hai aur tumhari tawajjoh us se hata di hai kyunki MAIN apne doston ko dunyawi ne’maton se door kar deta hun jaise meherbaan gadriyaa apni bakriyon ko halaakat-khez charagaahon se door rakhta hai aur MAIN unhe duniya ke fareb se bachaata hun jaise charwaaha apne oonton ko khatarnaak jagaahon se bachaata hai, ye unki hiqaarat ke liye nahi balki isliye hai ke wo MERI bakshi hui izzat se poora hissa paa lein, MAIN apne doston ki inkesaari , Khauf, dilon mein khushu wa khuzu aur taqwa se sajaata hun jinka asar unke jismon par numaaya hota hai, yahi unka libaas hai, yahi unka zaahir aur yahi unka baatin hai, yahi unki matlooba najaat , tamannayein, qaabil e fakhr izzat aur pehchaan hai, jab tum unse milo, narm bartao karo aur unke liye dil aur zabaan ko saraapa tawaazo’  banao aur yaad rakho! Jisne MERE kisi dost ko khaufzada kiya usne MUJHE jung ki daawat di aur MAIN qayamat ke din uspar gazabnaak hounga.
HAZRATE ALI RADIYALLAHU ANHU ne ek din khutba diya aur farmaya baakhabar raho ! Tum marnewale ho , maut ke baad phir uthaaye jaoge aur apne aamaal ki jazaa wa sazaa paaoge, tumhe duniya ki zindagi dhoke mein mubtala na karde , ye masaib mein lipti hui , naa-paayidaari mein mashoor , dhoke se mausoof aur iski har cheez mitnewaali hai, ye apne chaahnewalon mein dol ki tarah hai, hamesha ek haalat mein nahi rehti, ismein utarnewala masaib se nahi bach sakta, kabhi to ye apne chaahnewalon par khushi wa musarrat bikherti hai aur kabhi gam wa andoh se humkinaar kar deti hai, iski haalatein mukhtalif hai, ye adalti badalti rehti hai , ismein aaraam qaabil e mazammat aur wus’ate maal naapaayedaar hai, ye apne basnewalon ko teeron ki tarah kamaan se nikaalkar nishaanon par maarti rehti hai aur unhe maut se humkinaar karti rehti hai.
Har kisi ki maut ka waqt muqarrar hai aur har shakhs ko poora rizq diya jaata hai aur aye bandagaane KHUDA ! Baakhabar raho, tum us raaste ke raahi ho jis par tumse pehle taweel (lambi) umron wale guzar chuke hai, wo tum se zyada taaqatwar, behtareen kaarigar aur oomdah yaadgaarein chordnewale the magar duniya ke inqilaab mein unki aawaazein khaamosh ho gayi, unke jism bosida , sheher veeraan aur yaadgaarein mit gayi aur mazboot mehlon aur musarrat ke badle mein unhe paththaron ke takiye mile aur paththaron se tayyaar shuda qabrein unka madfan bani, unke thikaane qareeb hai lekin unke makeen door ke hai, wo apne qabile se alaihida aur ahle mohalla se beparwaah hai, unka aabaadi se koi ta’alluq nahi, rishtedaaron aur padosiyon ke qareeb hote hue bhi unka baahim koi mel-milaap nahi hai aur mel-milab ho bhi kaise sakta hai, unhe masaaib ki chakkiyon ne pees diya hai aur namnaak mitti aur paththar unhe kha gaye hai, wo chand roz ki zindagi guzaarkar mar gaye ,unki khush haali purana qissa bangayi , unki maut par unke azeez roye aur wo mitti ke neeche jaa soye, unhone duniya se kooch kiya , ab unhe waapas nahi aana hai, afsos ! Sad afsos ! Goya wo ek hukum se jo qaail ki zabaan se nikal chuka, ab laut kar kis tarah aa sakta hai aur unke saamne qayamat ke din tak aalame barzakh hai, goya tum bhi waise hi ho jaise woh ho chuke, wahi dukh, wahi qabr ki tanhaayi hai, tum un qabron ke girvi ho aur unhi mein tumhe rehna hai, tum par kya beetegi agar tum un baaton ko dekh lo jab qabrein khole jaayegi, dilon ke raaz saamne hoge aur tum aamaal ki jazaa haasil karne ke liye RAB TA’ALA ke huzoor khade honge , guzashta gunaahon par tumhare jigar phatne ko honge , tamaam parde hat jaayenge aur tamaam gunaah aur raaz ki baatein tumhare saamne hongi , tab har ek ko uske aamaal ka badla diya jaayega.
 Farmane ILAAHI hai “taake bure apni buraiyyon ki sazaa aur nek apni achchaiyon ki jazaa paayein, mazeed farmaya ke naama e aamaal rakhe jaayenge , har nek o bad use dekhega.
RABBE ZUL JALAAL hamein aur aapko apne ahkaamaat par amal pairaa hone aur apne doston ke nakshe qadam par chalne ki taufeeq de taake hum uski rehmat ke tufail khuld e bari ko haasil kar le, bila shuba woh hameed o majeed hai.
Baaz daanaaon ka qaul hai ke din teer aur log nishaane hai, zamaana har din ek teer phenkta hai aur tujhe din raat ki gardish ke fareb mein mubtala kar deta hai yahan tak ke tere tamaam ajzaa bosida ho jaate hai, chalte dinon mein teri baqaa aur salaamati naamumkin hai, agar tujhe apne upar guzre hawaadisaate zamana ki khabar lag jaaye jinhone tere wajood ko nuksaan mein daala hai, to tujhe har aanewala din khaufzada karde aur ek ek lamha tujh par bhaari ho jaaye lekin ALLAH TA’ALA ki tadbeer har tadbeer se baala hai, usne insaanon ko dunyawi lazzaton ki mithaas mein daal diya hai haalaan ke ye duniya hanzal (indraain ka phal jo kadwa hota hai) se bhi zyada talkh (kadwi) banaayi gayi hai, har madaah iski zaahiri shaan o shaukat ki wajah se uske uyoob ko samajhne mein naakaam raha hai aur har waa’iz iske ajaaibaat ko badha chadha kar bayaan karta hai, AYE ALLAH ! hamein neki ki hidaayat de, Aameen.
kisi daana se duniya aur baqaa ke muta’alliq poocha gaya, usne kaha uska waqfa chashme zadan (palak jhapakne)  jitna hai kyunki jo waqt guzar gaya hai wo waapas nahi aayega aur mustaqbil ka tujhe ilm hi nahi hai, har din guzashta raat ki khabar sunaata hai aur lamhaat ke guzarne ki daastaan bayaan karta hai, hawaadisaate zamana insaan ko mutawaatir tagaiyyur (badlao) aur nuqsaan se humkinaar karte rehte hai, zamana jama’aton ko muntashir aur bikhra kar deta hai aur daulat ko muntaqil karta rehta hai, ummeedein taweel aur zindagi thodi hai aur ALLAH hi ki taraf har kaam ko ruju hona hai.
HAZRATE UMAR BIN ABDUL AZIZ RADIYALLAHU ANHU KA KHUTBA:
HAZRATE UMAR BIN ABDUL AZIZ RADIYALLAHU ANHU ne khutbe mein farmaya, aye logon! Tum ek khaas maqsad ke liye paida kiye gaye ho, agar tum iski tasdeeq karte ho to tum bewaqoof ho kyunki tumhare aamaal waise nahi hai aur agar tum use jhutlaate ho to halaakat mein padh gaye ho, tumhe is duniya mein hamesha nahi rehna hai balke ek jagah se doosri jagah muntaqil hona hai, aye bandagaane KHUDA! Tum aise ghar mein rehte ho jiska khaana gale mein phanda hai aur jiska peena uchchoo lagna hai, agar tum ek ne’mat ke husool mein khush hote ho to doosri ne’mat ki judaayi tumhe magmoom kar deti hai, us ghar ko pehchaanon jiski taraf tumko lautna hai aur jis mein tumko hamesha rehna hai, phir AAP rote huwe mimbar se utar aaye.
 HAZRATE ALI RADIYALLAHU ANHU ne apne khutba mein farmaya MAIN tumhe ALLAH TA’ALA se darne aur duniya ko chordne ki waseeyat karta hun, duniya tumhe chordnewaali hai magar tum us se chimte hue ho, wo tumhare ajsaam boseeda karti jaa rahi hai aur tum use nayaa karne ki fikr mein ho, tumhari misaal ek musaafir ki hai, duniya mein tum safar e aakhirat ke liye zaad e raah taiyyaar karne aaye ho jis tarah musaafir ko safar ke dauraan aaraam nahi hota aur woh shab o roz manaazil taiy karne ke liye qadam maarta chala jaata hai, usi tarah duniya mein qaraar nahi lena chaahiye aur shab o roz aamaal e swaaleha ke qadmon se safar e aakhirat taiy karna chaahiye.
Bohot se insaan aise hai jin ki ajal (maut) qareeb aa gayi aur kuch aise hai jinki zindagiyon mein se abhi ek hi din baaqi hai, use talaash karnewala uski tamanna mein use chord jaata hai, lihaaza uske dukh takleef par waawelaa mat karo kyunke ye sab cheezein anqareeb khatm honewali hai, iske maal o daulat par khushi na manao kyunke ye anqareeb khatm ho jaayegi, taalib e duniya par hairaangi hai wo duniya ko talaash kar raha hai aur maut uski talaash mein hai, wo maut se gaafil hai magar maut us se gaafil nahi hai.
ARBAAB E TAREEQAT KA DUNIYA KE HUSOOL MEIN TAREEQE KAAR:
HAZRATE MUHAMMED BIN HUSAIN REHMATULLAH ALAIH  ka qaul hai ke jab ahle ilm wa fazl , saahab e adab wa maarifat, logon ko maaloom hua ke ALLAH TA’ALA ne duniya ki mazammat ki hai, wo uske huzoor mein intehaayi zaleel cheez hai aur wo use Apne doston ke liye pasand nahi karta aur HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne us se kinara kashi pasand farmaayi hai aur SAHABA E KIRAAM RADIYALLAHU ANHUM ko uske fareb se bachne ki taaqeed ki to ahle ilm hazraat ne us se darmiyaani hissa liya , baaqi ko ALLAH ki raah mein baant diya, wo thodi rozi par raazi ho gaye aur baaqi ko chord diya unhone maamooli kapdon se tan dhaanpa, maamooli giza se bhook mitaayi aur duniya ko faani aur aakhirat ko baaqi samajhte hue wo duniya se ek sawaar ka zaad e raah lekar chale, unhone duniya ko veeraan aur aakhirat ko aabaad kar liya aur woh saraapaa aakhirat ki taraf mutawajjah ho gaye jiske muta’alliq unhe yaqeen tha ke woh anqareeb use paa lenge aur woh dili taur par aakhirat ki taraf kooch kar gaye, jiske muta’alliq unhe kaamil yaqeen tha ke woh anqareeb apne jismon samet udhar hi jaayenge jahan woh taweel ne’matein haasil karenge aur masaaib se unhe koi waasta nahi hoga aur ye sab kuch ALLAH ki taufeeq se hoga jiski pasand unhone apni pasand aur jiski naapasandeedgi ko unhone naapasand samajh liya hai.
 END OF BAAB 32Awliya Allah Kaise he