islamic hadees in hindi hawas nafs k bare me islamic hadees in hindi,islamic hadees in hindilanguage,islamic hadees in hindi with images,beautiful hadees in hindi,quran hadees in hindi,hadees book in hindi,40 hadees in hindi,hadees in hindi image,small hadees sharif in hindi,islamic quotes in hindi images,40 hadees,,islamic hadees in english,
islamic post for whatsapp,hadith in hindi pdf,best islamic quotes for facebook,
hadees in hindi video,islamic sms hadees in hindi 140,hadees for womens in hindi,quran hadith messages in hindi,hadith bayan,islam kiya he,hadees in hind,i app,iman ki hadees,hadis lyrics,hadees images english,40 hadees in hindi pdf,hadees mohabbat,bayaan in hindi,islamic hadees in hindi pdf,hadishindi,hadisinhindi,
“islamic hadees in hindi” HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنه ka qaul hai ke is se muraad woh kaafir hai jisne ALLAH TA’ALA ki jaanib se ataa ki huwi kisi hidaayat aur daleel ke bagair khwaahishaat ko apna Deen banaa liya hai.
iska matlab yeh hai ke woh khwaahishaat e nafsaani ka pairo hai aur woh har aisa kaam karne par taiyyaar ho jaata hai jiski taraf uski khwaahishaat ishaara karti hai aur ALLAH TA’ALA ki kitaab ke mutaabiq amal nahi karta goya ke woh apni khwaahishaat ki ibaadat karta hai.
Farmaane ILAAHI hai:
Aur unki khwaahishaat ki ittebaa ( pairwi ) naa kar.”
Aur irshaad e RABBANI hai quran
“Aur khwaahish ki pairwi naa kar” , yeh tujhe ALLAH ke raaste se hataa degi.
Isi liye HUZOOR ﷺ in alfaaz mein ALLAH TA’ALA se dua maanga karte :
AYE ALLAH MAIN TUJHSE panaah Maangta hun us khwaahish se jiski itaa’at ki jaati hai aur us bukhl se jiski pairwi ki jaati hai.
Aur AAPNE farmaya ke teen baatein insaan ke liye muhlik hai, itaa’at ki huwi khwaahish, ittebaa kiya huwa bukhl aur insaan ka apne aapko bohot badaa samajhna, aur yeh isliye hai ke har gunaah ka baais nafsaani khwaahishaat hai aur yahi insaan ko jahannam ki taraf le jaati hai , ALLAH TA’ALA hamein inse panaah de , Aameen.
“islamic hadees in hindi” HAZRATE UMAR رضي الله عنه ka irshaad hai ke tum apne nafson ko roko kyunki yeh aisa haraawal dasta hai jo tumhein buraayi ki aakhri sarhad tak le jaata hai , haq qadwa aur giraañ hai, baatil subuk aur tabaah karnewala hai, tauba ke ilaaj se behtar yahi hai ke insaan gunaahon ko hi chord de, bohot si nigaahon ne shehwat ki kheti ki aur ek lamhe ki lazzat unko taweel gam ki meeraas de gayi.
HAZRATE LUQMAAN عليه السلام ne apne bete se kaha ke Aye bete !MAIN sabse pehle tujhe tere nafs se daraata hun kyunki har nafs ki khwaahishaat aur aarzuein hai, agar tu unko poora kardega to woh apni khwaahishaat ko taweel (lamba) kardega aur tujhse tamaam khwaahishaat ko poora karne ki talab karega, bila shubha shehwat dil mein is tarah poshidaa hoti hai jaise paththar mein aag !
agar tu paththar par chaqmaaq (woh paththar jis se aag nikalti hai) maarega to aag niklegi warna nahi.NABI E AKRAM ﷺ ka farmaan hai ke ALLAH TA’ALA ne aql ko paida farmaya aur us se farmaya, saamne aa, to woh saamne huwi , phir farmaya peeche hatt to woh peeche hatt gayi, RAB TA’ALA ne farmaya MUJHE APNI izzat o jalaal ki qasam ! MAIN tujhe APNI sabse zyada pasandeeda makhlooq mein rakhunga.
Phir ALLAH TA’ALA ne himaaqat ko paida farmaya aur aage aane ka hukm diya chunaanche woh aage huwi , phir farmaya peeche hatt to woh peeche hatt gayi , tab ALLAH TA’ALA ne farmaya MUJHE APNI izzat o jalaal ki qasam ! MAIN tujhe APNI badtareen makhlooq mein rakhunga. Yeh Tirmizi ki riwaayat hai.
Kisi ne kya khoob kaha hai ;
1- us shakhs ki raai jo har baat mein aql se mashwara karta hai durustagi ko paa leti hai.
2- aur us shakhs ne dekha ke jab bhi khwaahishaat ki pairwi ki jaaye woh bure anjaam aur azaab mein mubtela karti hai.
“islamic hadees in hindi language” ,Farmaane NABAWI ﷺ hai ke tumhara behtareen amal parhezgaari hai aur farmaaya parhezgaari aamaal ki sarwari hai aur farmaaya parhezgaar ban, sab logon se zyaada ibaadat karnewala ban jaayega aur qanaa’at kar ki sab logon se zyaada shukr karnewala ban jaayega.
Farmaane NABAWI ﷺ hai ke jisme parhezagaari maujood nahi ( jo usey ALLAH TA’ALA ki naafarmaani se roke to ) uske kisi amal ki ALLAH TA’ALA ko parwaah nahi hai.
HAZRAT E IBRAHIM BIN ADHAM رضي الله عنه ka farmaan hai ke parhezgaari ke teen martabe hain, ek Zuhd Farz hai aur woh hai ALLAH TA’ALA ki haraam ki huwi cheezon se rukna, doosra Zuhad Salaamati ke liye hai aur woh hai shubha waali cheezon ko chhord dena, teesra Zuhad Fazeelat ke haasil karne ke liye hai aur woh hai
ALLAH TA’ALA ki halaal ki huwi cheezon ko bhi chhord dena aur yeh Zuhad ka bohot hi Aala martaba hai.
IBNE MUBARAK رضي الله عنه ka qaul hai ke Zuhad, Zuhad ko chupaane ka naam hai , jab Zaahid logon se door rahe to uski justuju rakho aur jab Zaahid logon ki talaash mein sargardaañ ho to us sey kinaara-kashi ikhtiyaar kar lo.
HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya munaadi pukaarega, Aye jannat ke rehnewaalon !
Tum hamesha tandrust rahoge, kabhi beemaar nahi honge, hamesha zinda rahoge lekin maut nahi aayegi , hamesha jawaan rahoge, kabhi budhaapa nahi aayega aur tum hamesha in’aam wa ikraam mein rahoge , kabhi naa-ummeed nahi hoge aur yahi Farmane ILAAHI hai;
Aur pukaare jaayenge ke yeh bahisht hai jiske tum apne aamaal ke sabab waaris huwe ho.
Aur tum jab jannat ki sifaat (khoobiyaan) jaanna chaaho to Quran e majeed padho kyunki ALLAH TA’ALA ke bayaan se oomda kisi ka bayaan nahi hai aur ALLAH TA’ALA ke is farmaan se ke;
Jo apne RAB ke huzoor khada hone se darta hai uske liye do jannatein hai.
Surah REHMAAN ke aakhir tak padho, Surah WAAQIYA aur doosri soorton ka mutaala’ karo (inmein jannat ki ne’maton ka zikr hai.)
Aur agar tum Ahaadees e muqaddasa se jannat ki tafseelaat jaanna chaahte ho to mazkoora baalaa ijmaal ke baad ab uski tafseel par gaur o fikr karo , sabse pehle jannaton ki taadaad zehen nasheen karlo , HUZOOR ﷺ ne Farmane ILAAHI “Aur us shakhs ke liye jo apne RAB ke huzoor khada hone se daraa, do jannatein hai.”
ki tafseer mein farmaaya do jannatein chaandi ki hai, unki tamaam ashyaa (cheezein) aur zuroof (bartan) wagairah chaandi ke hai aur do jannatein sone ki hai , unki tamaam cheezein aur zuroof ( bartan) wagairah sone ke hai aur jannat e a’dan mein logon aur tajalli e ILAAHI ke darmiyaan sirf RAB ki kibriyaayi ka parda hoga
.
Raahe jannat ke darwaaze to woh bohot beshumaar honge jis tarah gunaahon ki aqsaam ke mutaabiq jahannam ke alaahida alaahida darwaaze hain, usi tarah ibaadat ki aqsaam ke mutaabiq jannat ke alaahida alaahida darwaaze honge chunaanche
HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke jisne apne maal se raahe KHUDA mein kharch kiya, woh jannat ke tamaam darwaazon se bulaaya jaayega aur jannat ke 8 darwaaze hain jo shakhs namaazi hoga woh namaaz ke darwaaze se bulaaya jaayega , rozedaar roze wale darwaaze se ,
sadqa karnewala sadqe ke darwaaze se aur mujaahid jihaad ke darwaaze se bulaaya jayega. HAZRATE ABUBAKR SIDDIQUE رضي الله عنه ne arz ki Yaa RASOOLALLAH ﷺ ! Bakhuda ALLAH par dushwaar nahi ke bande ko kis darwaaze par bulaaya jaaye ,kya makhlooq mein se koi shakhs aisa bhi hoga jisey tamaam darwaazon se bulaaya jaaye ? AAPNE farmaya haan , aur MUJHE ummeed hai ke TUM unhi mein se honge.
“islamic hadees in hindi language” ,HAZRATE AASIM BIN ZAMURAH , HAZRATE ALI رضي الله عنه se riwaayat karte hai ,UNHONE jahannam ka bohot zyada tazkira kiya jisey MAIN bhool gaya hun, phir UNHONE kaha ;
Aur jo log apne RAB se darey woh jannat ki taraf jauq dar jauq lejaaye jaayenge.
Jab woh jannat ke darwaazon mein se ek darwaaze par pohonchenge to woh aisa darakht paayenge jiske neeche paani ke do chashme jaari honge
woh hukm ke mutaabiq ek chashme par jaayenge aur paani piyenge jiske peete hi unke jism se tamaam dukh dard aur takleefein zaail (khatm) ho jaayegi , phir woh doosre chashme par jaa kar us sey tahaarat haasil karenge , tab unpar ALLAH TA’ALA ki ne’maton ki taazgi aajaayegi,
uske baad kabhi bhi unke baal muntashir nahi honge aur naa hi unke sar kabhi dardmand honge, jaise unhone tel lagaaya liya ho , phir woh jannat ke darwaaze par pohonchenge to jannat ke darbaan unhein kahenge “tum par salaamati ho tum khush haal huwe , lihaaza usmein hamesha rehne ke liye daakhil ho jao.”
“beautiful hadees in hindi” Jannat mein daakhil hote hi unhein bachhe gher lenge jaise duniya mein apne kisi door se aane waale kisi rishtedaar ko bachhe gher lete hai
aur woh us sey kahenge tujhe khushkhabri ho, ALLAH TA’ALA ne tere liye falaañ falaañ izzat o karaamat rakhi hai, phir un bachhon mein se
ek amrad us jannati ki biwiyon mein se kisi biwi ki taraf jo ke jannat ki hoor hogi, jaayega aur us sey kahega ki falaañ aadmi jo duniya mein falaañ naam se
bulaaya jaata tha, aaya hai. Hoor kahegi tu ne usey dekha hai, woh amrad kahega haan main usey dekh kar aa raha hun aur woh bhi
mere peeche aa raha hai, tab woh khushi se deewaani ho kar darwaaze ki dehleez par farte ishtiyaaq se khadi ho jaayegi.
jab woh jannati wahaan pohonchega aur us ghar ki buniyaadein dekhega jo motiyon ki hongi aur deewaarein surkh, sabz aur peele har rang ke motiyon se
bani huwi hongi, tab woh chath ko dekhega, woh bijli ki tarah aisi chamakdaar hogi ke agar ALLAH TA’ALA usey kudrat na deta to uski aankhen
zaail (andhi) ho jaati, phir sar jhuka kar neeche nazar karega to usey hoorein qataar dar qataar paani ke pyaale liye, saff baandhe takiye aur bichi huwi
masnadein nazar aayegi aur woh unse takiya laga kar kahega.
“sab tareefein ALLAH TA’ALA ke liye hai JISNE hamein iski hidaayat ki, agar
ALLAH hamein ye raah na dikhaata to hum hidaayat na paate” phir pukaarne waala pukaarega ke tum zinda raho kabhi nahi maroge,
ismein hamesha raho kabhi kooch nahi karaaye jaoge aur salaamat wa tandrust raho kabhi beemaar nahi honge aur HUZOOR ﷺ ne farmaya MAIN qayamat ke din jannat ke darwaaze par aakar usey khulwana chaahunga, jannat ka darbaan (RIZWAN) poochega kaun ho ?
MAIN kahunga MOHAMMED (ﷺ) darbaan kahega mujhe yahi hukm diya gaya hai ke AAPSE pehle kisi ke liye darwaaza na kholun.HAZRAT MUSA ALAIHASSALAM STORY IN URDU PART 16
“beautiful hadees in hindi” HAZRATE ABU SAEED KHUDRI رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaaya bila shuba jannati apne upar
buland o baala khaanon mein rehne walon ko aise dekhenge, jaise tum door mashriq wa maghrib ke ufuq me bohot neeche kisi
chamakdaar sitaare ko dekhte ho, ye unke darmiyaan bulandiyon ki wajah se hoga.
SAHABA E KIRAAM ne arz kiya YAA RASOOLALLAH ﷺ ! kya ye AMIBIYA E KIRAAM ke maqaamaat honge jahaan aur log nahi pohonch paayenge ?
AAPNE farmaaya haan qasam hai US zaat ki JISKE qabza e qudrat mein MERI jaan hai, wahaan woh log honge jo ALLAH par imaan laaye aur jinhone
ASOOLON ki tasdeeq ki aur AAPNE irshaad farmaya jannat ke buland darjaat waale neeche se aise dikhaayi denge jaise tum
door mashriq ya maghrib aasmaan ke ufuq par tulu hone waala sitaara dekhte ho aur ABU BAKR WA UMAR رضي الله عنهما unhi
jannatiyon mein se hai aur dono khoob hain.FAZEELAT E MASJID
HAZRATE JAABIR رضي الله عنه kehte hain, HUZOOR ﷺ ne hum logon se farmaaya ke Kya MAIN tumhein jannat ke baala khaano ke muta’alliq na bataun? Maine arz kiya AAP par hamare maa baap qurbaan hon YAA RASOOLALLAH ﷺ ! zaroor yaad farmaaiye ! AAPNE farmaaya jannat mein motiyon jaise baala khaane hain jinke andarwaala hissa baahar se aur baahar ka hissa andar seGibat ku Haqiqat or Chugalkhori ka bayan
dekha jaa sakta hai aur unmein aisi ne’matein, lazzatein aur musarratein hai jinhe na kisi aankh ne dekha, na kisi kaan ne suna3 Cheezen Mohabbat Badhane Ka Zariya Hai in hin
aur na kisi aadmi ke dil mein unka tasawwur guzra. Maine poocha YAA RASOOLALLAH ﷺ ! yeh baala khaane kin logon ke liye honge ?
AAPNE farmaya “us shakhs ke liye jo salaam ko phailaata hai, khaana khilaata hai, hamesha roze se rehta hai aur raat mein jab ke log sote hain woh
namaaz padhta hai. Maine arz ki YAA RASOOLALLAH ﷺ ! in aamaal ko poora karne ki taaqat kaun rakhta hai ? AAPNE farmaya MERE ummati iski taaqat rakhte hain aur MAIN tumko iski tafseel batlaata hun , jo shakhs apne musalmaan bhai se mila aur usey salaam kiya to goya usneHazrat isa alaihissalam par hawareen ka iman lana
salaam ko phailaaya, jisne apne ahlo ayaal ko khoob sair karaakar khaana khilaaya to usne khaana khilaaya, jisne maahe ramazan ke mukammal aur har mahine mein 3 roze rakhe usne daaimi roze rakhe, jo namaze isha padh kar soya aur usne subah ki namaaz jama’at se adaa ki to goyai hiqayat articles on islam in  urdu 32
usne saari raat ibaadat ki aur log yaani yahood, nasaara aur majoos sote rahe.
HUZOOR ﷺ se is farmaane ILAAHI :-
“Adan ke baagh mein paakeeza rehne ki jagahein hai.”
ki tafseer poochi gayi to AAPNE farmaya ke woh motiyon ke mahallaat honge, har mahal mein surkh yaaqoot ke 70 ghar honge,
har ghar mein sabz zamurrad ke 70 makaan honge, har makaan mein ek takht hoga, har takht par qism qism ke 70 bichone honge,
har bichone par uski biwi hoore ain hogi, har makaan mein 70 dastarkhwaan honge, har dastarkhwaan par 70 qism ke khaane honge,
har makaan mein 70 khaadim honge aur momin har subah un tamaam dastar khwaanon par baith kar khaayenge.HUQOOQ E AU
quetes of hazrat moYateemo ka maal khane se bacho or bhalai karola