ISHQ WA MOHABBAT :
MOHABBAT KI TAAREEF;
Mohabbat naam hai pasandeeda cheez ki taraf mailaane tab’aa (tabiyat ke jhukao) ka, agar ye mailaan shiddat ikhtiyaar kar jaaye to use ishq kehte hai, us mein zyadati hoti rehti hai yahaan tak ke aashiq mehboob ka banda be-daam ban jaata hai aur maal o daulat us par qurbaan kar deta hai, Zulekha ki misaal le lijiye jisne YUSUF ALAIHISSALAAM ki mohabbat mein apna husn aur maal o daulat qurbaan kar diya,
Zulekha ke paas 70 oonton ke bojh ke baraabar jawaahar aur moti the jo ishq e YUSUF mein nisaar kar diye, jab bhi koi ye keh deta ke maine YUSUF ALAIHISSALAAM ko dekha hai to wo use besh qeemat haar de deti yahan tak ke kuch bhi baaqi na rahaa, usne har cheez ka naam YUSUF rakh chhoda tha aur fart e mohabbat ( mohabbat ki ziyaadati) mein YUSUF ALAIHISSALAAM ke siwa sab kuch bhool gayi thi, jab aasmaan ki taraf dekhti to use har sitaare mein YUSUF ka naam nazar aata tha. kehte hai ke jab Zulekha Imaan laayi aur HAZRATE YUSUF ALAIHISSALAAM ki zawjiyat ( nikah me) mein daakhil hui to siwaaye ibaadat wa riyaazat aur tawajjoh ILLALLAH ke use koi kaam na tha, agar
YUSUF ALAIHISSALAAM use din ko apne paas bulaate to kehti raat ko aaungi aur raat ko bulaate to din ka waada karti.YUSUF ALAIHISSALAAM ne farmaya Zulekha ! tu to meri mohabbat mein diwaani thi, jawaab diya ye us waqt ki baat hai ke jab main AAPKI mohabbat ki haqeeqat se waaqif na thi. ab main AAPKI mohabbat ki haqeeqat pehchaan chuki hun isliye ab meri mohabbat me tumhaari shirkat bhi gawaara nahi. HAZRATE YUSUF ALAIHISSALAAM ne farmaya mujhe ALLAH ne is baat ka hukum farmaya hai aur mujhe batlaaya hai ke tere batan (pet) se
ALLAH TA’ALA do bete paida karega aur dono ko nabuwwat se sarfaraaz farmaya jaayega, Zulekha ne kaha agar ye hukme KHUDAWANDI hai aur hikmate ILAAHI hai to main sar e tasleem kham karti hun.
MAJNU NE APNA NAAM LAILA. BATLAYA:
MAJNU se kisine poocha tera naam kya hai? Bola laila! Ek din us se kisi ne kaha laila mar gayi? Majnu na jawaab diya laila nahi mari wo to mere dil mein zinda hai aur main hi laila hun.
Ek din jab majnu ka laila ke ghar se guzar hua to wo sitaaron ko dekhta hua guzarne laga ,kisi ne kaha neeche dekho shayad tumhe laila nazar aajaaye, majnu bola mere liye laila ke ghar ke upar chamakne wale sitaare ki ziyaarat hi kaafi hai.
MOHABBAT KI IBTADA AUR INTEHAA:
Jab MANSOOR HALLAAJ ko qaid mein 18 din guzar gaye ,to janab SHIBLI REHMATULLAH ALAIH ne unke paas jaa kar daryaaft kiya AYE MANSOOR! MOHABBAT kya hai? Mansoor ne jawaab diya Aaj nahi kal ye sawaal poochna, jab doosra din hua aur unko qaid se nikaal kar maqtal ki taraf le gaye to wahan mansoor ne SHIBLI ko dekhkar kaha SHIBLI !Mohabbat ki ibteda jalna aur intehaa qatl ho jaana hai.
ISHAARA :
jab
MANSOOR REHMATULLAH ALAIH ki nigaahe haq dekhne waali nigaahon ne iski haqeeqat ko pehchaan liya ke
“ALLAH TA’ALA ki zaat ke siwa har shaye baatil hai”
aur zaat e ILAAHI hi haq hai ,to wo apne naam tak ko bhool gaye, lihaaza jab unse sawaal kiya gaya ke tumhara naam kya hai ? To jawaab diya main haq hun.
Muntaha mein hai ke mohabbat ka sidq teen cheezon mein zaahir hota hai, muhib (mohabbat karnewala), mehboob ki baaton ko sab ki baaton se achcha samajhta hai. uski majlis ko tamaam majlison se behtar samajhta hai aur uski raza ko auron ki raza par tarjee deta hai.
kehte hai ke ishq pardaadari karnewala aur raazon ko zaahir karnewala hai aur wajd zikr ki sheereeni ke waqt rooh ke galba e shauq ka bojh uthaane se aajiz hota jata hai.yahan tak ke agar wajd ki haalat mein insaan ka koi azw bhi kaat liya jaaye to use mehsoos tak nahi hoga
.
HIKAAYAT:
Ek aadmi daryaa e furaat mein naha raha tha, usne suna ke koi shakhs ye aayat padh raha hai….(mafhoom)
“AYE MUJRIMON ! AAJ ALAAHIDA HOJAO.”
ye sunte hi wo tadapne laga aur doob kar mar gaya.
MOHAMMAD BIN ABDULLAAH BAGHDAADI REHMATULLAH ALAIH kehte hai maine basra mein ek buland maqaam par khade hue ek naujawaan ko dekha jo logon se keh raha tha ke jo aashiqon ki maut marna chaahe use is tarah marna chaahiye (kyunki ishq mein maut ke bagair koi lutf nahi hai) itna kaha aur wahan se khud ko gira diya. Logon ne jab use uthaaya to wo dam tod chuka tha.
JANAAB JUNAID BAGHDADI REHMATULLAH ALAIH ka qaul hai ke tasawwuf apni pasand ko tark kar dene ka naam hai.
HIKAYAT:
ZEHR UR RIYAAZ mein hai
HAZRATE ZUNNOON MISRI REHMATULLAH ALAIH kehte hai ek din main khana e Kaaba mein daakhil ho gaya, maine wahan sutoon ke qareeb ek barahna naujawaan mareez ko pade dekha jiske dil se rone ki aawaazein nikal rahi thi, maine uske qareeb jaa kar use salaam kiya aur poocha tum kaun ho? Usne kaha main ek gareeb ul watan aashiq hun. main uski baat samajh gaya aur maine kaha main bhi teri tarah hun , wo ro padaa, uska rona dekh kar mujhe bhi rona aa gaya.usne mujhe dekh kar kaha tum kyun ro rahe ho? Maine kaha isliye ke tera aur mera marz ek hi hai.usne cheekh maari aur uski rooh parwaaz kar gayi. maine uspar apna kapda daala aur kafan lene chala aaya. jab main kafan lekar waapas pahoncha to wo jawaan wahan nahi tha.mere munh se be-saakhta SUBHANALLAH niklaa, tab maine haatif e gaibi ki aawaaz suni jo keh raha tha, aye ZUNNOON !uski zindagi mein shaitaan use dhoondta tha magar na paa saka , maalik e dauzakh ne use dhoonda magar na paa saka, rizwaan e jannat use talaash ke baawajood na paa saka , maine poocha wo phir kahan gaya?
jawab aaya;
Apne ishq , kasrat e ibaadat aur tauba me jaldi ki wajah se wo apne Qaadir , Rabbul izzat ke huzoor pahonch gaya hai.
AASHIQ KI PEHCHAAN:
Ek shakhs se aashiq ke muta’alliq poocha gaya, unhone kaha aashiq mel-milaap se door , tanhaayi pasand, gaur o fikr mein dooba hua aur chupchaap rehta hai. jab use dekha jaaye woh nazar nahi aata , jab bulaaya jaaye to sunta nahi, jab baat ki jaaye to samajhta nahi aur jab uspar koi museebat aa jaaye to gamgeen nahi hota, wo bhook ki parwaah aur barahngi (nange hone) ka ehsaas nahi rakhta , kisi ki dhamkiyon se nahi darta , wo tanhaayi mein ALLAH TA’ALA se iltejaayein karta hai, Uski rehmat se uns wa mohabbat rakhta hai, wo duniya ke liye duniyawaalon se nahi jhagadta.
JANAAB ABU TURAAB BAKHSHI REHMATULLAH ALAIH ne ishq ki alaamat mein chand sheyr kahe hai: (mafhoom yun hain)
☆Tu dhoka na de kyunki mehboob ke paas dalaail aur aashiq ke paas mehboob ke tohfon ke wasaail hai.
☆Ek alaamat (pehchaan) ye hai ke wo apni talkh (sakht) aazmaayish se lutf-andoz hota hai aur mehboob jo karta hai wo uspar khush hota hai.
☆Uski taraf se manaa karna bhi atiiya hai aur faqr uske liye izzat afzaayi aur ek fauri neki hai.
☆Ek alaamat ye hai ke wo mehboob ki itaa’at ka pukhta iraada rakhta hai agarche use malaamat karnewale malaamat karein.
☆Ek alaamat ye hai ke tum use muskuraata hua paoge agarche uske dil mein mehboob ki taraf se aag sulag rahi hoti hai.
☆Ek alaamat yeh hai ki tum use khataakaaron ki guftagu samajhta hua paoge.
☆Ek alaamat ye hai ke tum use har us baat ka hifaazat karnewala paoge jise wo kehta hai.
HIKAYAT:
HAZRATE ISAA ALAIHIS SALAAM ek jawaan ke qareeb se guzre jo baag ko paani de raha tha ,usne AAPSE kaha ALLAH TA’ALA se dua kijiye , ALLAH TA’ALA mujhe ek zarra apne ishq ka ataa farma de. AAPNE farmaya ek zarra bohot badi cheez hai ,tum uske tahammul ki isteta’at nahi rakhte ,kehne laga achcha aadhe zarre ka sawaal kijiye, HAZRATE ISAA ALAIHIS SALAAM ne RAB TA’ALA se sawaal kiya “AYE ALLAH ! ise aadha zarra apne ishq ka ataa farma de,uske haq mein ye dua karke AAP wahan se rawana ho gaye.
Kaafi muddat ke baad AAP phir usi raaste se guzre aur us jawaan ke muta’alliq sawaal kiya. logon ne kaha wo to deewana ho gaya hai aur kahin pahaadon ki taraf nikal gaya hai. HAZRATE ISAA ALAIHIS SALAAM ne RAB se dua ki Aye ALLAH ! Meri us jawaan se mulaqaat kara de, pas AAPNE dekha wo ek chattaan par khada aasmaan ki taraf dekh raha tha. AAPNE use salaam kiya magar wo khaamosh raha, AAPNE kaha mujhe nahi jaante main ISAA hun ? ALLAH TA’ALA ne HAZRATE ISAA ALAIHIS SALAAM ki taraf wahi ki ke AYE ISAA ! jiske dil mein MERI mohabbat ka aadha zarra maujood ho wo insaanon ki baat kaise sunega? MUJHE Apni izzat aur jalaal ki qasam! agar use aari se do tukde bhi kar diya jaaye to use mehsoos bhi na hoga.
Jo shakhs teen baaton ka daawa karta hai aur khud unko teen cheezon se paak nahi rakhta to uska daawaa baatil hai.
1)Jo shakhs zikre KHUDA ki halaawat ko paane ka daawa karta hai magar duniya se bhi mohabbat rakhta hai.
2) Jo apne aamaal mein ikhlaas ka daawa karta hai magar logon se apni izzat afzaayi ka khwaahishmand hai.
3) Jo apne Khaaliq (paida karnewala) ki mohabbat ka daawa karta hai magar apne nafs ko zaleel nahi karta.
FARMANE NABAVI hai ke Meri ummat par anqareeb aisa zamaana aanewala hai , jab wo paanch cheezon se mohabbat karenge aur paanch cheezon ko bhool jaayenge.
1) duniya se mohabbat rakhenge , Aakhirat ko bhool jaayenge .
2) maal se mohabbat rakhenge ur yaum e hisaab ko bhool jaayenge.
3) makhlooq se mohabbat rakhenge magar Khaaliq ko bhool jaayenge.
4) gunaahon se mohabbat rakhenge magar tauba ko bhool jaayenge.
5) makaanon se mohabbat rakhenge aur qabr ko bhool jaayenge.
HAZRATE MANSOOR BIN AMMAAR REHMATULLAH ALAIH ne ek jawaan ko naseehat karte hue kaha aye jawaan! Tujhe teri jawaani dhoke mein na daale, kitne jawaan aise the jinhone tauba ko muakkhar aur apni ummeedon ko taweel kar diya, maut ko bhula diya aur ye kehte rahe ke kal tauba kar lenge, parson tauba kar lenge, yahan tak ke usi gaflat mein malakul-maut aagaya aur woh andheri qabr mein jaa soye, na unhe maal ne , naa gulaamon ne, na aulaad ne , aur naa hi maa baap ne koi faida diya,
FARMAANE ILAAHI hai:
“Us din amwaal wa aulaad kuch faida na denge.”
Aye RABBE ZUL JALAAL !
hamein maut se pehle tauba ki taufeeq de, hamein khwaab e gaflat se hoshiyaar farma de aur SAYYEDUL MURSALEEN SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki shafa’at naseeb farma.
momin ki taareef ye hai ke wo har ghadi tauba karta rahe aur apne guzishta (pichle) gunaahon par sharminda rahe, thodi si mataa’e duniya par raazi rahe, duniyawi mashaagul ko bhool kar aakhirat ki fikr kare aur khuloos e qalb se ALLAH TA’ALA ki ibaadat karta rahe.
EK BAKHEEL MUNAAFIQ;
Ek munaafiq intehaayi bakheel tha, usne apni biwi ko qasam di ke agar tu ne kisi ko kuch diya to tujhpar talaaq hai. ek din ek saail (maangnewala) idhar aa niklaa , usne Khuda ke naam par sawaal kiya, aurat ne use teen rotiyaan de di, waapsi mein use wahi bakheel mil gaya aur poocha tujhe ye rotiyaan kisne di hai? saail ne uske ghar ke muta’alliq bataaya ke mujhe wahan se mili hai.bakheel tez qadmon se ghar ki taraf chal pada aur ghar pahonch kar biwi se bola , maine tujhe qasam nahi di thi ke kisi saail ko kuch nahi dena? Biwi boli saail ne ALLAH ke naam par sawaal kiya tha lihaaza main radd na kar saki.kanjoos ne jaldi se tunoor bhadkaya, tunoor surkh hogaya to biwi se kaha uth ALLAH ke naam par tunoor mein daakhil ho ja.aurat khadi hogayi aur apne zewaraat lekar tunoor ki taraf chal padi, kanjoos chillaaya ye zewaraat tu yahin chord jaa. aurat ne kaha aaj mera mehboob se mulaaqaat ka din hai, main uski baargaah mein ban sanwar kar jaungi, aur jaldi se tunoor mein ghus gayi. us badbakht ne tunoor ko band kar diya, jab teen din guzar gaye to usne tunoor ka dhakna uthakar andar jhaanka magar ye dekhkar hairaan reh gaya ke aurat ALLAH TA’ALA ki qudrat se sahi wa salaamat baithi hui thi. Haatif e gaibi ne aawaaz di kya tujhe ilm nahi ke aag Hamaare doston ko nahi jalaaati?
HAZRATE AASIYA KA IMAAN:
HAZRATE AASIYA RADIALLAHU TA’ALA ANHA ne apna imaan apne shohar firaun se chupaaya tha, jab firaun ko uska pata chala to usne hukum diya ke use gunaagu ( tarah-tarah ) ke azaab diye jaayein taa ke HAZRATE AASIYA imaan ko chord de, lekin AASIYA saabit qadam rahin, tab firaun ne mekhen (keelein) mangwaayi aur unke jism par mekhen ( keelein) gadwa di aur firaun kehne laga ab bhi waqt hai imaan ko chord do magar HAZRATE AASIYA ne jawaab diya tu mere wajood par qaadir hai lekin mera dil mere RAB ki panaah mein hai, Agar tu mera har azw kaat de tab bhi mera ishq badhta jaayega.
MOOSA ALAIHISSALAAM ka wahan se guzar hua ,
AASIYA ne MOOSA ALAIHISSALAAM se poocha mera RAB mujhse raazi hai ya nahi? HAZRATE MOOSA ALAIHISSALAAM ne farmaya aye AASIYA! aasmaan ke farishte tere intezaar mein hai aur ALLAH TA’ALA tere kaarnaamon par fakhr farmata hai, sawaal kar teri har haajat poori hogi. AASIYA ne dua maangi aye mere ŔAB mere liye Apne jawaare rehmat mein jannat mein makaan bana de , mujhe firaun uske mazaalim aur un zaalim logon se najaat ataa farma.
HAZRATE SALMAN RADIALLAHU ANHU kehte hai, AASIYA ko dhoop mein azaab diya jaata tha, jab log laut jaate to farishte apne paron se aap par saaya kiya karte the aur wo apne jannat waale ghar dekhti rehti thi.
HAZRATE ABU HURAIRA RADIALLAHU TA’ALA ANHU kehte hai ke jab firaun ne HAZRATE AASIYA ko dhoop mein lita kar chaar mekhen unke jism mein gadwa di aur unke seene par chakki ke paat rakh diye gaye to JANAAB E AASIYA ne aasmaan ki taraf nigaah utha kar arz ki,
Aye mere RAB mere liye Apne jawaare rehmat mein jannat mein makaan bana (akhir tak).
JANAAB E HASAN REHMATULLAH ALAIH kehte hai ALLAH TA’ALA ne us dua ke tufail AASIYA ko firaun se baa-izzat rihaayi ataa farmayi aur unko jannat mein bula liya jahan wo zihayat (zindon) ki tarah khaati peeti hi.
Is hikaayat se ye baat waazeh ho gayi ke masaib aur takleefon mein ALLAH ki panaah maangna, US se iltija karna aur rihaayi ka sawaal karna momineen aur swaliheen ka tareeka hai.
END OF BAAB 10
Leave A Comment