islamic hadees in hindi Imame Husain ki shaan or manaqib
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke fazail me bahut si HADITH waarid hai. Aap hazraat paihle un HADITH ko Sama`aat farmaye jo sirf aap ke MANAAQIB me hai. Fir jo HADITH kisi dono SHAHZAADO ke fazail ko shamil hai wo baad me pesh ki jayegi IN SHA ALLAH.
islamic hadees in hindi======
TIRMIZI SHAREEF ki HADITH hai HAZRAT YAALA BIN MURRA RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se riwayat hai ke
HUZOOR PUR NOOR SAYYAD-A-ALAM SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya
HUSSAIN mujhse hai aur mai HUSSAIN se hu . yani HUSSAIN ko HUZOOR se aur HUZOOR ko HUSSAIN se intehayi kurb hai .HUSSAIN se dosti HUZOOR se dosti hai ,HUSSAIN se dushmani HUZOOR se dushmani hai ,aur HUSSAIN se ladayi karna HUZOOR se ladayi karna hai .
SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM wa RADI ALLAHU TA`ALA ANHU
Aur SARKAR-A-AQDAS Irshaad farmate hai jisne HUSSAIN se mohabbat ki usne ALLAH TA`ALA se mohabbat ki.
(MISHKAT SAFA 571)
Isliye ke HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se mohabbat karna HUZOOR SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM se mohabbat karna hai aur HUZOOR SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM mohabbat karna ALLAH TA`ALA se mohabbat karna hai .
Azawajal salallahu alaihi wasallam wa radiallahu ta’ala anhu
(MIRQAAT SHARAH MISHKAT JILD 5 SAFA 605)
MOHARRAM-UL-HARAM WA
=================================
HAZRAT AMIR MUVAYYA RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki wafat ke baad yazeed takht nasheen hote hi apni bait ke liye her taraf khutoot wa hukm naame rawana kiye. MADEENA MUNAWWARA ke governor waleed bin uqba tha ,unko apne baap ki wafat ki iteela ki aur likha ke her khaas wa aam se meri bait lo aur HUSSAIN BIN ALI,ABDULLAH BIN ZUBAIR aur ABDULLAH BIN UMAR(RADI ALLAHU TA`ALA ANHUM) se paihle bait lo, in sabko ek lamha mohlat na do.
MADEENA MUAWWARA ke logo ko abhi tak HAZRAT AMIR MUVAYYA ke inteqaal ki khabar na thi,yazeed ke hukm naame se waleed bahut ghabraya isliye ki in HAZRAAT se bait lena asaan nahi tha, usne mashware ke liye marwaan bin hikam ko bulaya.
Marwaan bin hikam wo shaks hai ke jab uski paidaish hue aur HUZOOR AQDAS SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ki khidmat me taihneek (koi chiz chaba kar narm karke khilane) ke liye laya gya to HUZOOR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya :ye girgit ka beta girgit hai.
(ANNAHIYA safa 45)
wo marwaan ki usko aur uske baap ko HUZOOR AQDAS SALLALLAHU TA`ALA ALIHI WA SALLAM ne girgit farmaya ,aise marwaan se bhala khair ki ummid kiya ho sakti hai.
MADEENA MUNAWWARA ke governor waleed ne jab marwaan se mashwara liya to usne kaha in tino ko isi waqt bulaye aur bait ke liye kahe .
Agar wo bait kar len to betar warna tino ko qatl kar de.
(tabri jil 2 safa 162)
islamic hadees in hindi
=======
HAZRAT ABU HURAIRAH RADI ALLAHU TA`ALA ANHU farmate hai ke maine RASOOL-A-AKRAM SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ko dekha ke wo HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ke LUAB-A-DAHEN ko is tarah chuste hai jaise aadmi khajoor chusta hai .
(NOORUL ABSAAR SAFA 114)
Aur MARWI hai ke HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR RADI ALLAHU TA`ALA ANHU KABA SHAREEF ke saye me tashreef farma the ,unhone HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ko tashreef late hue dekha to farmaya: aaj ye aasmaan walo ke nazdeek tamam zameen walo se ziyadah mahbob hai.
(BARKAT-A-AAL-A-RASOOL SAFA 145)
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne paidal chalkar 25 HAJJ kiye. Aap badi fazilat ke maalik the aur kasrat se NAMAAZ,ROZA,HAJJ ,SADQA aur digar UMOORE KHAIR ada farmate the.
(BARKAT-A-AAL-A-RASOOL SAFA 154) HADITH
======
HAZRAT ABU SAEED KHUDRI RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se riwayat hai ke NABI KAREEM SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya HASAN aur HUSSAIN JANNATI jawano ke sardaar hai.
(MISHKAT SAFA 570)
HADITH
======
HAZRAT IBN-A-UMAR RADI ALLAHU TA`ALA ANHUMA se riwayat hai ke
RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya HASAN aur HUSSAIN dunya ke mere do phool (Flower)hai.
RADI ALLAHU TA’ALA ANHUM
HADITH
=======
HAZRAT USAAMA BIN ZAID RADI ALLAHU TA`ALA ANHU farmate hai ke ek raat mai kisi zarurat se SARWAR-A-KAYNAAT SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ki khidmat me hazir hua aap bahar tashreef laye to kisi chiz ko uthaye hue the jise mai nahi jaan saka, jab arze hajaat se mai farig hua to daryaft kiya ke HUZOOR ye kiya uthaye hue hai ,aapne CHADAR-A-MUBARAK hatayi to dekha ke aapke dono PAIHLUO me HAZRAT IMAM HASAN aur IMAM HUSSAIN(RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA ) hai. apne farmaya ye dono mere bete hai aur mere nawase hai. aur fir farmaya
👉🏻A ALLAH ! mai in dono ko mahbub rakhta hu tu bhi inko Mahbob rakh aur jo inse mohabbat rakhta hai unko bhi Mahbub rakh.
(MISHKAT SAFA 570)
HADITH
=======
HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU farmate hai ki RASOOL-A-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM is haal me bahar tashreef laye ki aap ek kandhe par HAZRAT HASAN aur dusre kandhe par HAZRAT HUSSAIN RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA ko uthaye hue the yahan tak ke hamare pas tashreef le aye aur farmaya:
jis ne in dono se mohabbat ki to us ne mujh se mohabbat ki aur jisne in dono se dushmani ki usne mujhse dushmani ki.( ASSHARFUL MOAB’BAD 71)Importance of worship of the night in islam
islamic hadees in hindi=======
HAZRAT FATIMA ZAHRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHA farmati ha;mai HASAN aur HUSSAIN ko lekar HUZUR PUR NOOR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ki khidmat me hazir hui aur arz kiya HUZOOR! Ye apke dono nawase hai inhe kuch ata farmaiye. To HUZOOR ne farmayawoman in islam part 7 -islamic articles
👉🏻HASAN ke liye meri HAIBAT wa SIYADAT hai aur HUSSAIN ke liye meri JUR’RAT wa SAKHAWAT hai.
(ASSHRFUL MOABBAD 72)
HUZUR ﷺ KI MUHABBAT….*
Hazrat Abdullah Bin Mugfil رضي الله تعالي عنه Se Marwi Hai Ke Huzur ﷺ Ne Muqarrar Farmaya…
*MERE ASHAB KE HAQ ME KHUDA SE DARO AUR KHUDA KA KHOUF KARO…*
UNHE MERE BAD NISHANA NAA BANAO…*
JISNE UNHE MEHBOOB RAKHA MERI MUHABBAT KI VAJAH SE USNE MUJHE MEHBOOB RAKHA….*
*JISNE UNSE BUGZ RAKHA WO MUJSE BUGZ RAKHTA HAI IS LIYE KE USNE UNSE BUGZ RAKHA….*
*JISNE UNHE TAKLEEF DI USNE MUJE TAKLEEF DI AUR JISNE MUJE TAKLEEF DI USNE BESHAK ALLAH TAA’LA KO TAKLEEF DI AUR JISNE ALLAH TAA’LA KO TAKLEEF DI QAREEB HAI KE ALLAH TAA’LA USE GIRAFTAR KARE….*benefits of durood sharif-DUROOD-E-FATH BENEFIT
(TIRMIZI SHARIF)*
Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالي عنه Se Marwi hai ke Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki “JAB TUM UNLOGO KO DEKHO JO MERE SAHABA KI GUSTAKHI KARE TO KEHDO KI TUMHARE SARO PAR ALLAH KI LAANAT”….
In AHadees Se Sahaba-E-Kiram رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Ka Martaba Aur Momin Ke liye Unke Sath Muhabbat Wa Ikhlas,Adab Wa Tazeem Ka Lazeem Hona Aur Un Gustakho se Door Rehna Sabit hua….
Isi Liye Ahle Subnat Ko Zaiz nahi ki Un Majliso me Jinme Rasool, Aale Rasool, Ashabe Rasool ki Shaan me Gustakhiya Ki Jati hai Usme Shirqat Kare Rasool-E-Kareem Aur Aal-E-Rasoole Kareem Aur Ashabe Rasooallah ﷺ Ke Dushmano Se Meljhol Momin Khalisul Aeteqad Ka Kaam Nahi….
Aadmi Apne Dushmano Ke Sath Nashisht Wa Barkhast, Ba Khushie Dil Baat Karna Gawara Nahi Karta To Dushmane Rasool Ashabe Rasool Ke Sath Kese Gawara Kar sakta hai….
*(GULZARE SHOHDA, Safa-18/19)*
Leave A Comment