imam hussain karbala story in hindi urdu 1 Wiladat ba karamat imam hussain raziyallahu tala anhu
Rakib-e-dosh-e-Mustafa sallallahu alaihiu wasallam  3 Jiger Gosha-eMurtaza, Dilband-e Fatima, Sultan-e-Karbala, Sayyid-ushShuhada, Imam-e-A’ali Maqaam, Imam-e-Arsh-e-Maqam, Imam-e-Humam, Imam-e-Tishnah Kaam, Hazrat Sayyiduna Imam “imam hussain “raziyallahu tala anhu saraapa karamat thay hatta kay aap kiwiladat ba Sa’adat bhi ba karamat hay. Hazrat Sayyidi Arif Billah Noor ud din Abdul Rahman Jami 4  9 Shawahidun-Nubuwwah may farmatay hayn, Sayyiduna “imam hussain”raziyallahu tala anhu
ki wiladat ba Sa’adat 4 Sha’ban-ul-Mu’azzam
4 Hijri ko Madina Munawwarah
: Mangal kay din huyi. Manqool hay kay “imam hussain” raziyallahu tala anhu  ki Muddat e Haml 6 maah hay. Hazrat Sayyiduna Yahya alaihissalam 
Imam-e-A’ali Maqaam Imam-e-Husain
kay ilawah koi aysa bacha zindah na raha jis ki Muddat-e-Haml 6 maah
huyi ho. (Shawahid-un-Nubuwwah, safha. 228)
َ
Marhaba Sarwar-e-Aalam kay pisar aaye hayn
Sayyidah Fatimah kay lakht e jigar aaye hayn
Wah qismat kay charagh-e-Haramayn aaye hayn
Ay Musalmano! Mubarak kay Husain aaye hayn

aap ki chand karamat

1)Rukhsar say anwaar ka izhar
Hazrat Allamah Jami mazeed farmatay hayn: Hazrat Imam-e-A’ali Maqaam Sayyiduna imam hussain raziyallahu tala anhu  ki yeh shan thi kay “Jab andhayray may tashreef ferma hotay to aap ki Mubarak payshani or dono muqaddas rukhsaron say anwaar nikaltay or qurb-o-jawar ziya baar (ya’ni roshan) ho jatey. (ibid, safha. 228)
Teri nasl-e-pak may hay bacha bacha Noor ka Tu hay a’yn-e-Noor Tera sab gharanah Noor ka Kunwayn ka paani ubal para Hazrat Sayyiduna Imam A’li Maqam “Imam-e-Husain”
jab Madina Munawwarah say Makkah Mukarramah ki taraf rawanah huway to rastay may Hazrat Sayyiduna Ibn-eMuti’e say mulaqat huyi. Unho nay arz ki




Mere kunwayn may paani bahut hi kam hay, Baray-e-karam! Du’aye
barakat say nawaz dijiye. Aap nay us kunwayn ka paani talab
farmaya. Jab paani ka dawl hazir kiya gaya to Aap nay munh
laga ker us may say paani nosh kiya or kulli ki. Phir dawl ko
waapis kunwayn may daal diya to “Kunwayn ka paani kafi
berh bhi gaya or pehlay say ziyada meetha or lazeez bhi ho
gaya”. (At Tabqat-ul-Kubra, Jild. 05, Safha. 110)
Bagh-e-Jannat kay hayn bahr e mad’ha khuwan-e-Ahl-e-Bayt
Tum ko muzdah naar ka aye dushmanan-e-Ahl-e-Bayt

2)Ghoray nay bad lagam ko aag may daal diya

Imam-e-A’ali Maqaam, Imam-e-Arsh Maqaam, Imam-e-Humam,
Imam-e-Tishnah Kaam, Hazrat Sayyiduna Iimam hussain raziyallahu tala anhu
Yaum-e-Aashura ya’ni baroz Jumu’ah-tul-Mubarak 10 Muharramul-Haraam sun 61 Hijri ko yazeediyon par Itmam-e-Hujjat kernay kay liye jis waqt Maydan-e-Karbala may khutbah irshad ferma rahay thay us waqt aap kay mazloom qafilay kay khaymon ki
hifazat kay liye khandaq may roshan kardah aag ki taraf daykh ker aik bad zaban yazeedi (Malik-bin-Urwah) is tarah bakwas kernay laga” aye “Hussain”
!tum nay wahan ki aag say pehlay yehiaag laga di:
Hazrat Sayyiduna imam hussain raziyallahu tala anhu َ ya’ni” aye dushman e khuda! Tu jhoota hay, tujhay yeh ghuman hay kay  Mayn dozakh may jaoon ga!” Imam-e-A’ali Maqaam kay qafilay kay aik jaa-nisar juwan Hazrat Sayyiduna Muslim bin A’wsajah
nay Hazrat Imam-e-A’ali Maqaam say us munh phhat
bad lagaam kay munh per teer marnay ki ijazat talab ki. Hazrat Imam imam hussain raziyallahu tala anhu
nay yeh ferma kar ijazat daynay
say inkar kiya kay hamari taraf say hamlay ka aaghaz nahin
hona chahiye. Phir Imam-e-Tishnah Kaam 0 nay dast e
du’a buland kar kay arz ki:
Ay Rabb-e-Qahhar!  Is na bakar ko Azab-e-Nar say qabl
bhi is dunya naa payedar may aag kay azab may mubtala
ferma”. Fauran du’a mustajab (qabool) huyi aur us kay ghoray
ka paoon zameen kay aik surakh per para jis say ghoray ko
jhatka laga or bay Adab-o-Gustkh Yazeedi ghoray say gira, us
ka paooon rakaab may uljha, ghora usay ghaseetta huwa dora
aur aag ki khandaq may daal diya. aur bad-naseeb aag may jal
kar bhasam ho gaya. Imam-e-A’ali Maqaam  nay
Sajda-e-Shukr kiya, Hamd-e-Ilahi baja laye or arz ki: “Ya Allah
Tera shukr hay kay tu nay Aal-e-Rasool kay gustakh ko
saza di.” (Sawanih e Karbala, safha. 88)
Ahl-e-Bayt e pak say bay baa baakiyan gustakhiyan
َ dushmanan-e- Ahl-e-Bay

3)Siyah bichchu nay dank maara

Gustakh-o-bad lagaam yzeedi ka hathaun hath bhayanak anjam daykh ker bhi bajaye i’brat haasil kernay kay is ko aik ittifaqi amr samajhtay huway aik bay baak yazeedi nay baka: Aap ko Allah kay Rasool alaihissalam ay kiya nisbat? yeh sun
ker qalb-e-Imam ko sakht ezaa pohanchi or tarap kar dua mangi:
Ay Rabb-e-Jabbar
is bad guftar ko apnay azab maygiriftar ferma”. Du’a ka asar hathaun hath zaahir huwa, us
bakwasi ko aik dum qaza-e-hajat ki zarurat paysh aaye, fauran ghoray say utar kar aik taraf ko bhaga aur barhana ho kar baytha, achanak aik siyah bichchu nay dank maara najasat aloodah tarapta phirta tha, nihayat hi zillat kay sath apnay lashkar kay samnay is bad zaban ki jan nikli. Magar in sang dilo or bay sharmon ko ibrat na huyi is waaqia’h ko bhi in logo nay ittifaqi samajh ker nazar andaz ker diya. (ibid. safha. 89)
‘Ali kay piyaray Khatoon-e-Jannat kay jigar paaray Zameen say aasman tak dhoom hay un ki siyadat ki21 benefis of bismillah -wazifasof bismillah




4)Gustakh-e-Husain piyasa mara
Yazidi fauj ka aik sakht dil muzni shakhs imam hussain raziyallahu tala anhu kay samnay aa ker yun baknay laga: “Daykho to sahi dariya-efuraat kaysay mojayn maar raha hay, Khuda  ki qasam! Tumhayn is ka aik qatrah bhi naa milay ga aur tum yunhi piyasay halak ho jao gay.” Imam-e-Tishnah kaam Bargah-e-Rabb-ul-Anaam  may arz ki,Ya’ni “Ya
Allah is ko piyasa maar”. Imam-e-A’ali Maqaam imam hussain raziyallahu tala anhu
kay du’a mangtay hi us bay haya muzni ka ghora bidak ker daura, muzni pakarnay kay liye is kay peechhay bhaga, piyas ka ghalabah huwa, is shiddat ki piyas lagi kay ۡ J
piyas! Haye piyas! Pukarta tha magar Paani Jab is kay munh kay pas aata to aik qatrah bhi na pi sakta tha yahan tak kay isi shiddat-epiyas may tarap tarap ker mar gaya.(Sawanih Karbala, safha. 90) Han mujh ko rakho yaad Mayn Haydar ka pisar hoon Aur bagh-e-nubuwwat kay shajar ka Mayn samar hoon
Mayn deeda e himmat kay liye noor-e-nazar hoon
Piyasa hoon magar saqi e kawsar ka pisar hoon
Karamaat Itmam-e-Hujjat ki kari thi
 ki Shan-e-A’ali kis qadar azmat waali
hay. Maloom huwa kay Khuda wand-e-Ghafoor Imam-e-pak
ki bay adabi qat’an na manzoor hay. Aur
aap  ka badgo dono jahan may Mardood Matrood1 hay. Gustakhan-e-Husain ka dunya may bhi dardnaak sazaon ka samna huwa aur is may yaqinan bari ibrat hay. Sadr-ul-Afaazil
Hazrat Allamah Maulana Sayyid Muhammad Na’eemuddin Muradabadi  ba’z Gustakhan-e-Husain kay hathaun
hath honay walay ibarat naak bad anjam kay waaqiat naql kernay
kay ba’d tahreer fermatay hayn: Farzand-e-Rasool ko yeh baat bhi dikha dayni thi kay us kMaqbooliyyat-e-Bargah-e-Haq   par aur un kay Qurb-o1 Dhutkara huwa Manzilat per jaysi kay nusus e kaseerah Ahadees e ShaheerahShaahid hayn aysi hi in kay khawariq-o-karamaat bhi gawah
hayn. Apnay is fazl ka amali izhar bhi itmam-e-hujjat kay silsilay ki aik kari thi kay agar tum aankh rakhtay ho to daykh lo kay jo aysaMustajab-ud-Da’waat1 hay is kay muqablay may aana Khuda say jang kerna hay. Is ka anjam soch lo aur baaz raho magar
shararat kay mujassmay is say bhi sabaq na lay sakay aur dunya e
naa paydaar ki hirs ka bhoot jo in kay saron par suwar tha us nay
inhayn andha bana diya. (Sawanih e Karbala, Safha.
Karamaat Itmam-e-Hujjat ki kari thi
! Daykha aap nay! Imam-e- A’ali maqaam imam hussain raziyallahu tala anhu  ki Shan-e-A’ali kis qadar azmat waali hay. Maloom huwa kay Khuda wand-e-Ghafoor
ko Imam-e-pak imam hussain raziyallahu tala anh  ki bay adabi qat’an na manzoor hay. Auraap  ka badgo dono jahan may Mardood Matrood1hay.bismillahir rahma nirraheem is isme azam and best wazifa
Gustakhan-e-Husain ka dunya may bhi dardnaak sazaon ka samna huwa aur is may yaqinan bari ibrat hay. Sadr-ul-Afaazil Hazrat Allamah Maulana Sayyid Muhammad Na’eemuddinMuradabadiI ba’z Gustakhan-e-Husain kay hathaun
hath honay walay ibarat naak bad anjam kay waaqiat naql kernay kay ba’d tahreer fermatay hayn: Farzand-e-Rasool ko yeh baat bhi dikha dayni thi kay us ki
Maqbooliyyat-e-Bargah-e-Haq par aur un kay Qurb-o-Manzilat per jaysi kay nusus e kaseerah Ahadees e Shaheerah
Shaahid hayn aysi hi in kay khawariq-o-karamaat bhi gawah hayn. Apnay is fazl ka amali izhar bhi itmam-e-hujjat kay silsilay ki aik kari thi kay agar tum aankh rakhtay ho to daykh lo kay jo aysa Mustajab-ud-Da’waat1 hay is kay muqablay may aana Khuda   say jang kerna hay.




Is ka anjam soch lo aur baaz raho magar shararat kay mujassmay is say bhi sabaq na lay sakay aur dunya e naa paydaar ki hirs ka bhoot jo in kay saron par suwar tha us nay inhayn andha bana diya. (Sawanih e Karbala, Safha. 90) Noor ka sutoon or sufaid parinday
Imam-e-A’ali Maqaam  ki shahadat kay ba’d aap kay Sare-Munawwar say muta’addad karamaat ka zuhoor huwa. Ahl-e- Bayt kay qafilay kay baqiyya afraad 11 Muharram-ul-
Haram ko Kufa pohanchay jab kay Shuhada e Karbala kay Mubarak sar un say pehlay hi wahan pohanch chukay thay. Imam-e-A’ali Maqaam ka Sar-e-Anwar ruswa e
zamanah Yazeedi bad bakht (khawli bin Yazeed) kay pas tha yeh
mardood raat kay waqt Kufa pohancha. Qasr-e-Imarat (ya’niGovernor House) ka darwaazah band ho chuka tha. Sar-e-Anwarko lay kar apnay ghar aa gaya. zalim nay Sar-e-Anwar ko bay adabikay sath zameen par rakh ker aik bara bartan us par ulat kar us kodhanp diya aur apni biwi “Nawar” kay pas ja ker kaha: Mayn
tumharay liye zamanay bhar ki dolat laya hoon, woh daykh Husain
bin Ali ka sar Tere ghar par para hay. Woh bigar ker boli:”
Tujh par Khuda i Maar! Log to seem o zar laye aur tu
Farzand-e-Rasool ka Mubarak sar laya hay.

Khuda ki qasam!
Ab Mayn Tere sath kabhi na rahoon gi. “Nawar” yeh keh ker apnaybichhonay say uthi or Jidhar Sar-e-Anawr tashreef ferma tha udharaa ker beth gaye. Us ka bayan hay: Khuda ki Qasam! Mayn nay daykha kay aik Noor barabar aasman say us bartan tak Misl-e-
Sutoon chamak raha tha aur Sufaid parinday is kay ird gird mandla rahay thay. Jab subh huyi to khawli bin Yazeed Sar-e-Anwar ko Ibne- Ziyad bad Nihad kay pas lay gaya. (Al Kamil fit Tareekh jild. 3 safha. 434)
Baharaun per hayn aaj araishayn gulzar-e-jannat ki Suwari aanay waali hay Shaheedan-e- Mahabbat ki Khawli Bin Yazeed ka dardnaak Anjam Dunya ki mahabbat aur Maal-o-Zar ki hawas insan ko andha or anjam say bay khabar ker dayti hay. Badbakht khawli bin
yazeed nay dunya hi ki mahabbat ki waja say mazloom-ekarbala ka Sar-e-Anwar tan say juda kiya tha. Magar chand hi baras kay is dunya hi may us ka aysa khaufnaak anjam huwa kay kalayjah kanp jata hay chunanchay chand hi baras kay ba’dRuswaye khalq ho gaye barbad ho gaye Mardudon! Tum ko zillat har dawsara mili
Tum nay ujara Hazrat Zahra  ka bostanTum khud ujar gaye tumhayn yeh bad du’a mili
Dunya parasto! Deen say munh mor ker tumhayn Dunya mili na aysh-o-tarab2 ki hawa mili
Aakhir dikhaya rang shaheedon kay khoon nay Sar kat gaye amaan na tumhayn ik zara mili Paye hay kiya Na’eem unho nay abhi saza Daykhayn gay woh Jaheem3 may jis din saza mili

Naizah par Sar-e-Aqdas ki Tilawat  
Hazrat Sayyiduna Zayd bin Arqam  ka bayan hay: Jab yazeediyon nay Imam Husain  %  kay Sar-e-Anwar ko naizay par charha ker Kufa ki galiyon may gasht kiya us waqt
Mayn apnay makaan kay baala khana par tha. Jab Sar-e-MubarakMere samnay say guzra to Mayn nay suna kay sar-e-pak nay (Parah 15 Surah Kahaf ki aayat namber 9) tilawat farmaye:
Sar-e-Anwar ko log naizay par liye jatay thay us waqt Mayn
“Dimishq” may tha. Sar-e-Mubarak kay samnay aik shakhs surah
Kahaf perh raha tha jab woh aayat number 15 par pohancha:Tarjamah Kanz-ul-Iman: Pahaar ki khoh (ghar) aur jungle kay kanaray walay hamari aik ajeeb nishani thay. (Parah. 15, al Kahaf 9) Us waqt Allahnay quwwat-e-goyaye bakhshi to Sar-e-
Anwar nay ba zaban e faseeh fermaya:
“Ashab-e-Kahf kay waqi’ah say Mera qatal aur Mere sar ko liye
phirna ajeeb tar hay. (Sharh us Sudoor, safha. 212)
Sar shaheedan-e-mahabbat kay hayn nayzaun par buland
Aur oonchi ki Khuda  
nay izz o shan-e-Ahl-e-Bayt   Sadr-ul-Afazil Hazrat Allamah Sayyid Muhammad Na’eemuddin Muradabadi apni kitab Sawanih Karbala may yeh hikayat naql kernay kay ba’d farmatay hayn: Dar haqeeqat baat yehi hay kyun kay Ashab-e- Kahf par kafiron nay zulm kiya tha aur Hazrat Imam A’ali\ Maqaam  ko in kay Nana Jan $%   & % ‘
ummat nay Mehman bana ker bulaya, phir bay wafai say paani tak band ker diya! Aal-o-Ashab ko Hazrat Imam Pak imam hussain raziyallahu tala anhu samnay shaheed kiya. Phhir khud Imam A’li Maqam  ko shaheed kiya, Ahl-e-Bait-e-Kiraam 
ko aseer (ya’ni qaydi banaya) sar e mubarak ko shahar shahar phiraya Ashabe-
Kahf saalha saal ki taweel neend kay ba’d bolay yeh zaroor
ajeeb hay magar Sar-e-Anwar ka Tan-e-Aqdas say juda honay
kay ba’d Kalam farmana ajeeb tar hay. (Sawanih Karbala, page. 118)
Khoon say likha huwa Sha’ir Yazeed paled kay na pak lashkari Shuhada e Karbala  # , –  kay pakeezah saron ko lay kar ja rahay thay. Dareen asna aik manzil par
thehray. Hazrat Sayyiduna Shah Abdul Aziz Muhaddis Dihlvi
H likhtay hayn, woh nabeez ya’ni khajoor ka sheerah peenay lagay. aik aur riwayat may hay, Ya’ni woh
sharab peenay lagayn. Itnay may aik Lohay ka Qalam Nummudar
huwa aur us nay Khoon say yeh Sha’ir likha.
(Ya’ni kiya Husain 
kay qatil yeh bhi ummeed rakhtay hayn kay roz-e-qiyamat in kay Nana Jan 
ki shafa’at paye gay?)
Ba’z riwayaat may hay kay Huzoor Sarwar-e-
Aalam alaihissalam ki bi’sat-e-shrifah say 300 Baras paysh tar
yeh sha’ir lika huwa mila. (As Sawa’iq-ul-Muharriqah, Safha.194)

Sar-e-Anwar ki Karamat say Rahib ka Qabool-e-Islam

Aik rahib Nasrani nay dayr (Ya’ni girja ghar) say Sar-e-Anwardaykha to poochha, Bataya, Kaha: “Tum buray log ho, Kiya ‘10,000’ Asharfiyan lay ker is par razi ho saktay ho kay aik raat yeh Sar Mere pas rahay. In lalchiyon nay qabool ker liya. Rahib nay Sar-e-Mubarak dhoya, Khushbu lagaye raat bhar apni raan par rakhay daykhta raha aik noor buland hota paya Rahib nay woh raat roo kar kaati, subh Islam laya or girja ghar, us ka maal
o mataa chhor ker apni zindagi Ahl-e-Bayt  # , -    ki khidmat may guzar di. (As-Sawa’iq-ul-Muharriqah, safha. 199) Dawlat e deedar paye pak janayn baych ker
Karbala may khoob hi chamki dukan-Ahl-e-Bayt 
Dirham-o-Dinar Thhekriyan ban gaye Yazidiyon nay lashkar e Imam-e-A’ali Maqaam  aur
un kay khaymon say Dirham-o-Dinar lootay thay aur jo rahib
say liye thay un ko taqseem kernay kay liye jab thayliyon kay
munh kholay to kiya daykha kay woh sub Dirham-o-Dinar
Thhekriyan banay huway thay aur un kay aik taraf Parah 13
Surah Ibrahim ki Aayat number 42
Tarajama Kanz-ul-Iman: Aur hergiz Allah  ko bay khabar
na janna Zalimon kay kaam say. (Parah 13, Surah Ibrahim, Ayat. 42)
Aur dusri taraf Parah 19 Surah Shu’ara ki Aayat number 227
tahreer thi.



Tarjama Kanz-ul-Iman: Aur ab jana chahtay hayn zalim kay
kis taraf karwat per palta khayen gay.(ibid, safha. 199)
Tum nay ujara Hazrat-e-Zahra ka bostan Tum khud ujar gaye tumhayn yeh Bad du’a mili
Ruswaye khalq ho gaye barbad ho gaye Mardudon! Tum ko zillat har dawsara mili
Meethay meethay Islami bhaiyon! Yeh qudrat ki taraf say aik dars-e-ibrat tha kay bad bakhto! Tum nay is faani dunya ki khaatir deen say munh mora aur Aal-e-Rasool per Zulm-o-Sitam ka pahaar tora yaad rakho! Deen say tum nay sakht la parwahi barti
aur jis faani aur bay wafa kay husool kay liye aysa kiya woh bhi
tumharay hath nahin aye gi aur tum     
(ya’ni dunya
may bhi nuqsan aur aakhirat may bhi nuqsan) ka misdaaq ho gaye. Dunya parastaun deen say munh mor ker tumhayn Dunya mili na aysh-o-tarab ki hawa miliTareekh Shaahid hay kay Musalmano nay jab bhi amalan deen kay muqablay may is faani dunya ko tarjeeh di to is bay wafa dunya say bhi hath dho baythay aur jinho nay is faani dunya
ko laat maardi aur Quran-o-Sunnat kay ahkamaat per
mazbooti say qaim rahay aur deen-o-iman say munh nahin mora balky apnay kirdar-o-amal say yeh sabit kiya Sar katay, kumbah maray sab kuch lootay Daman-e-Ahmed
na hathaun say chhotay To dunya hath bandh ker in kay peechay peechay ho gaye aur
woh Darain may sur khuru huway. Mere Aqa A’la Hazrat
farmatay hayn:
Woh kay is dar ka huwa khalq-e-Khuda us ki huyi
Woh kay is dar say phira Allah us say phir gaya.
Agla part jald hi aaega inshaallah