imam ahmad raza khan barelvi alahazrat story in hindi Wiladat-e-Ba-Sa’adat Meray Aaqa AalaHazrat, Imamay Ahl-Sunnat, Wali-eNe’mat, Azeem-ul-Barakat, A’zeem-ul-Martabat, Parwana-eSham-e-Risalat, Mujadid-e-Den-o-Milat, Hami-e-Sunnat,  Mahi-e-Bid’at, A’alim-e-Shari’at, Bais-e-Khayr-o-Barakat, Hazrat A’llama Maulana Al-Haj Al-Hafiz Al-Qari Shah Imam Ahmad Raza Khan ki wiladat-e-Ba-Sa’adat Bareli Shareef kay mahalla Jasoli may 10 Shawwal-ul-Mukarram 1272 Hijri Baroz hafta ba-waqt-e-zuhur mutabiq 14 june 1856 ko hui. San-e-Paydaish kay a’tibar say aap ka naam Al-Mukhtar (1272 Hijri) hay.
 AalaHazrat,ka san-e-wiladat Mayray Aaqa AalaHazrat,nay apna Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan 3 Apka Naam-e-Mubarak Muhammad hay our Apkay dada nay Ahmed Raza kah ker pukara our isi naam say mash’hor huway.
Hayrat Angayz Bachpan U’momam her zamanay kay bachon ka wohi haal hota hay jo aaj kal bachon ka hay kay saat (7) A’ath (8) saal tak to unhen kisi baat ka hosh nahi hota our na hi wo kisi baat ki tayh tak pohanch saktay hayn, Magar
A’ala ka bachpan bari ahmiyat ka hamil tha. Kam sini, khurd Sali (ya’ni bachpan) our kam umri may hosh mandi our quwwat-e-hafiza ka ye a’alam tha kay sarhay chaar saal ki nanhi si umar may Quran-e-Majeed nazira mukamal parhnay ki nay’mat say baryab ho gay.
Chay Saal kay thay kay Rabi-ul-Awal kay Mubarak mahenay may mumber per jalva-Afroz ho kar Milad-u-Nabi kay mozo’ per aik bohat baray ijtam’a may nihayat pur magaz takreer farma ker u’lamaye kiraam our Mashaykh ‘Uzzam say tehseen-o-afreen ki dad wusool ki. Usi umar may Ap nay Baghdad Shareef kay baray may simt ma’loom kar li phir tadam-e-Hayat baldah-e-mubarika Ghaus-e-A’zam Ɍ (ya’ni Ghaus-e-A’zam kay Mubarak shahar) ki taraf pa’aon na phaylaye. Namaz say to Ishq ki had tak lagao tha chuna-chay Namaz-e-panjgana ba-jama’at takbeer-e-ola ka tahaffuz kartay huwey masjid may ja kar ada farmaya kartay, jab kabhi kisi
4 khatoon ka samina hota to furan nazrayn neechi kartay huwey sar jhuka liya kartay, goya kay Sunnat-e-Mustafa ;alaihissalam ka Ap per ghalaba tha jis ka izhar kartay huway Huzoor Pur Noor alaihissalam ki khidmat A’aliya mey youn salam pesh kartay hayn:
AalaHazrat,nay larakpen may takwa ko is qadar apna liya tha kay chaltay waqt qadmon ki A’ahat tak sunnae na deti thi. Saat saal kay thay kay Mah-e-Ramazan-ul-Mubarak may rozay rakhnay shuru ker diye.
Bachpan ki ayk hikayat Janab-e-Sayad Ayub Ali Shah Sahib farmatay hayn kay bachpen may Ap ko ghar per a Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan 5 e-Pak mangwa ker dekha to us may katib nay galti say zair ki jaga zabar likh diya tha, ya’ni jo A’la Hazrat  ki zaban say nikalta tha wo sahi thakay Dada nay pucha kay betay jis tarah Moulvi Sahib parhatay thay tum usi tarah kuyon nahi parhtay thay?
Arz ki: Mayn iradah karta tha magar zaban per qabo na pata tha. A’la Hazrat khud farmatay thay kay meray ustad jin say Mayn ibtada’e kitab parhta tha, jab mujhay sabaq parha diya kartay, aik do martaba mayn dekh ker kitab band ker deta, jab sabaq suntay to haraf ba-haraf lafz ba-lafz sunna deta. Rozana ye halat dekh ker sakht ta’jub kartay. Aik din mujh say farmanay lagay kay Ahmed Miyan! Ye to kaho Admi ho ya Jin?
kay mujh ko parhatay dayr nahi lagti hay magar tum ko yad kartay dayr nahi lagti ! Ap nay farmaya kay Allah ÄȐÇ Ä ǽ ka sukar hay mayn insan hi hon haan Allah ǽ ka Fazul-o-Karam shamil-e-Hal hay.
Allah ki un per rahmat ho our unkay sadqay hamari behisab maghfirat ho. 
 
6 Peyhla Fatwa Mayray Aaqa A’la Hazrat nay sirf terah (13) saal dus (10) mah chaar (4) din ki umer may tamam Muraweja u’loom ki takmeel apnay Walid Majid Raees-ul-Mutakallimeen Moulna Naqi Ali Khan Ä say ker kay sanad-e-faraghat hasil ker li. Usi din Ap nay aik suwal kay jawab may peyhla fatwa tahreer farmaya tha. Fatwa sahi paa ker Ap kay Walid-e-Majid nay Masnad-e-Ifta Ap kay supurd ker di our akhir waqt tak fatwa tahreer farmatay rahay.
Allah ki un per rahmat ho our unkay sadqay hamari bayhisab maghfirat ho.
AalaHazrat, Ki Riyazi Dani Allah Ta’ala nay A’la Hazrat ko bay-andazah u’loom jalila say nawaza tha. Ap Ȝ È nay kamo-baysh pachas u’loom mayn qalam uthaya our qabil-e-qadar kutub tasneef farmayen. ko her fun may qafi dastaras hasil thi. Elm-e-toqeet mayn is qadar kamal hasil tha kay din ko suraj our raat ko sitaray dekh ker ghari mila letay. Waqt bulkul sahi
7 hota our kabhi aik minute ka bhi farq na huwa. Elm-e-Riyazi may Ap yagana-e-rozgar thay. Chuna-chay Ali-Garh University kay Voice Chanceller Doctor Ziya-u-din jo kay riyazi may gair mulki digriyan our tamgha-jaat hasil kiye huway thay. khidmaat may riyazi ka aik mas’ala puchnay Aey.
Irshad huwa : Farmaiey ! Unhon nay kaha: wo eysa mas’ala nahi jesay itni asani say arz karon. A’la Hazrat Ȝ È nay farmaya: Kuch to farmaeye. Voice Chanceller Sahib nay suwal pesh kiya to A’la Hazrat nay usi waqt iska tashafi bakhsh jawab day diya.
Unhon nay intahae herat say kaha kay mayn is mas’alay kay leye ‘ jana chahta tha ittifakan hamaray Diniyat kay Professor Moula Sayed Sulayman Ashraf Sahib nay meri Rayhnuma’e farmae our mayn yahan hazir ho gaya. Youn Ma’loom hota hay kay Ap isi mas’alay ko kitab dekh rahay thay.
Doctor Sahib Ba-sad farhat-o-Musarrat wapas tashreef lay gaey our aap kishakhsiyat say is qadar Mutassir huway kay darhi rakh li our Soom-o-Salat kay paband ho gaey.
ki un per rahmat ho our un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.
E’lawa Azen Meray Aaqa A’la Hazrat Elm-e-Takseer, Elm-eHayet, Elm-e-Jafar waghera may bhi qafi maharat rakhtay thay.
Hayrat Angez Quwwat-e-Hafiza Hazrat Abu-Hamid Sayed Muhammad Muhaddis Kacho-chwi Ȝ È     farmatay hayn kay jab Dar-ul-Iftah may kam karnay kay sil-silay may mera Berayli Shareef may qiyam tha to raat din esay waki’at samnay aatay thay kay A’la Hazrat ki hazir jawabi say log heran ho jatay. unki hazir jawabiyon may herat may dal denay walay waqe’at wo e’lmi hazir jawabi thi jis ki misal suni bhi nahin gae.
Maslan Istifta (Suwal) Aaya, Dar-ulIfta may kam karnay walon nay parha our esa ma’lom huwa kay nae qisim ka hadisa daryaft kiya gaya (ya’ni nae qisim ka mua’mila pesh aaya hay) our jab jawab juziyya ki shakal may na mil sakay ga Fuqaha-e-Kiram kay usool-e-A’mma say istinbat karna paray ga. (ya’ni fuqaha-e-kiram  kay bataey huway usolon say mas’ala nikalna par Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan
Sirf Aik Maah Mayn Hafiz-e-Quran Janab Sayed Ayoub Ali Sahib ka bayan hay kay aik roz A’la Hazrat nay irshad farmaya kay baaz nawaqif hazrat meray naam kay aagay Hafiz likh diya kartay hayn, halankay mayn is laqab ka ahal nahi hon.
Sayed Ayoub Ali Sahib farmatay hayn kay A’la Hazrat    nay isi roz say dour shuru ker diya jis ka waqt galiban E’sha ka wuzu farmanay kay b’ad say jama’at qaim honay tak makhsos tha. Rozana aik para yad farma liya kartay thay, yahan tak kay teesven roz teesvan para yad farma liya. Aik Mo’qay per farmaya kay mayn nay kalam-e-Pak bil-tarteeb ba-koshish yaad kar liya our ye is liye kay in bandgan-e-Khuda ka (jo meray naam kay aagay hafiz likh diya kartay hayn) kehna ghalat sabit na ho.
Allah ki un per rahmat ho un kay sadqay hamhari bay-hisab maghfirat ho
 
ka sarta-paa namuna thay, Ap ka na’tiya dewan ‘Hadaiq-e-Bakhshish Shareef’ is amar ka shahid hay. Aap  ki Noq-e-Qalam balkay Gehra’e qalb say nikala huwa her misr’a Mustafa Jan-e-Rahmat nay kabhi kisi dunyawi tajdar ki khushamad kay leye qaseeda nahi likha, is liye kay Aap Ȝ È     nay Huzoor-e-Tajdar-e-Risalat ki eta’at-o-ghulami ko dil-o-jan say qabool ker liya tha. Our us may martaba-e-kamal ko puhnchay huway they, is ka izhar Ap nay aik shay’r may is tarah farmaya:
Hukkam Ki Khushamad Say Ijtinab Aik martaba riyasat nan-parah (zila bahraich yupi Hind) kay nawab ki madah (ya’ni ta’reef) may shu’ra nay qasaid likhay. Kuch logon nay Ap ay bhi guzarish ki kay Hazrat Ap bhi nawab sahib ki madah (ta’reef) may koi qaseeda likh dayn. Ap nay us kay jawab may aik na’at shareef likhi jis ka matla’e1 ye hay: 1 Ghazal ya qaseedah kay shuru ka shay’r jis kay dino misron may qafiye hon wo matla’ kahlata hay.