Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ki Aulaad ke liye Duaa :-*Is Aayat se Waazeh
Quraane Hakeem me he ki
“Yaha Pookara Zakariya ne Apne RABB ko Bola Ay RABB Meire Mujhe Apne Paas se de Suthri Aulaad Beshak Tu hi hei Duaa Soonne Wala”
(Surah Aale Imraan, Aayat-38)
Ek Aur Jagah Irshaad he
“Yah Zikr hei Teire RABB ki Us Rehmat ka Jo Usne Apne Bande Zakariya par ki, Jab Usne Apne RABB ko Aahista Pookara, Arz ki Ay Meire RABB Meiri Haddi Kamzor ho gayi Aur Sar se Budhaape ka Bhabhuka Futa Aur Ay Meire RABB Mei Tujhe Pookaar kar Kabhi Na-Muraad Na Raha, Aur Mujhe Apne Baad Apne Qaraabat Waalo(Rishtedaaro) ka Dar he Aur Meiri Aurat Baanjh he to Mujhe Apne Paas se koi Aysa De Daal Jo Meira Kaam Utha le”
(Surah Mariyam, Aayat-2, 3, 4, 5)



Hazrat Zakariya Alayhis Salaam Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ki Aulaad se the, Aap Alayhis Salaam ke Aaaba wa Ajdaad(Baap-Daada) Jo Nabi the Wo Beitul Muqaddas me Wahi Likha karte the, Aap ki koi Aulaad Na thi, Is liye RABB TA’ALA se Duaa ki, Aap ne Duaa Qabooliyat ke Waqt me ki, Duaa Mukhaffi (Chhupe/Khufiya) Tour par ki Taaki Riyaakaari(Dikhawe) se Door rahe Aur Isme Kaamil Khulush Paya Jaaye Aur Loug bhi ye Na Kahe ki ye Budhaape ki Umr me Aulaad ko Maang Raha he, Duaa karte Pehle Apne Ujr ka Izhaar Kiya ki Ay Meire ALLAH TA’ALA Meiri Haddi Kamzor ho gayi,
Aap Alayhis Salaam ne Apni Kamzori ka Zikr karne ke Baad Sarke Baalo ke Safeid hone ka Zikr kar Diya, Aur Arz kiya Mei Teira Wo Banda hu Jise Tune Arsha Daraaz se Apne Lutf wa Karam ka Khogar Bana Diya he, Jab Kabhi Meine koi Sawaal Kiya Tune Radd Na kiya, Jo bhi Meine Maanga Tune Ataa kiya, Mujhe Yaqin he ki Ye Ilteja bhi Sharfe Qabul se Sarfaraaz hogi,
Aur Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne Arz kiya AY ALLAH TA’ALA Mujhe Apne Rishtedaaro par Khouf he ki wo Deen ke Umur ko Kaamil Tour par Sar-Anjaam de Sakenge, Deen me Fasaad Feilayenge, Is liye Tu Mujhe Bachcha Ataa Farma Jise Mansabe Nabuwwat par Faaiz kar de, Taki wo Umur E Deen ki Hifaazat kar Sake, Use Ilm Aur Nabuwwat ka Meira Aur Aulaade Yaaqub Alayhis Salaam me se Ambiya Alayhis Salaam ka Jaanasheen Bana, Yaha Wiraasat se Muraad Maal Wa Doulat nahi Balki Ilm Aur Nabuwwat he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-485, 486, 487)

>> Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko Beite ki Bashaarat :-*

Quraane Azeem me he ki
“To Farishto ne Use Aawaaz di Aur Wah Apni Namaaz ki Jagah Khada Namaaz Padh Raha tha Beshak ALLAH Aapko Khush-khabri deita hei Yahyaa ki Jo ALLAH ki Taraf ke Ek Kalime ki Tasdeeq Karega Aur Sardaar Hameisha ke liye Aurato se Bachne wala Aur NABI Hamaare Khaaso se”
(Surah Aale Imraan, Aayat-39)
Malaika se Muraad Hazrat Jibrail Alayhis Salaam he Ya’ni ye Khush-khabri deine waale Hazrat Jibrail Alayhis Salaam he,
Aap Alayhis Salaam ko Bashaarat deine ke liye Jab Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Aaye to Aap Alayhis Salaam Apni Namaaz Padhne ki Jagah Namaaz Padh rahe the ,
Aap Alayhis Salaam ko Jis Beite ki Bashaarat di gayi Uske Chand Awsaaf bhi Zikr kiye gaye ki wo ALLAH TA’ALA ki Taraf se Kalme ki Tasdeeq karne wala Hoga, Yaha Kalma se Muraad Hazrat Isaa Alayhis Salaam he, Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam Hazrat Isaa Alayhis Salaam se 6 Maah(Mahine) Bade he, Sabse Pehle Aap hi Unhe Taslim karne Waale Aur Unki Tasdeeq karne waale he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam RoohulAllah he,



Ek Martaba Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ki Waalida se Mulaaqaat ki, Jo Unki Khala he To Unhone Kaha ki Kya Tumhe Ma’alum he ki Mei Haamela hu..??
To Mariyam Alayhis Salaam ne kaha Mei bhi Haamela hu, To Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ki Waalida ne kaha Jo Tumhaare Peit me Bacha he Meine Use Apne Peit Waale Bachhe ko Sajda karte hue Paya, Yani Meira Baccha Tumhaare Bacche ko Sajda karta he..
Is se Waajeh ho Raha he ki Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ne Sabse Pehle Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Tasdeeq ki.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-487, 488)
>> Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ka Naam ALLAH TA’ALA ne Khud Rakha Quraane E Paak me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Ay Zakariya Hum Tujhe Khush-khabri Soonaate he Ek Ladke ki Jinka Naam Yahyaa he Iske Pehle Humne Is Naam ka Koi Na kiya”
(Surah Mariyam, Aayat-7)
Har Bacche ka Naam Uske Waalidein Rakhte he Aur wo bhi Paidaaish ke Baad, Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ki Paidaaish se Pehle Aap ka Naam ALLAH AZZAWAJAL ne Rakha Aur wo bhi Aysa Naam ki Aap se Pehle Ye Naam Kisi Shaksh ka bhi Nahi tha,
>> Aap Alayhis Salaam ka Naam Yahyaa kyu Rakha…??
Haqiqat to ALLAH TA’ALA hi Behtar Jaanta he, Lekin Mufassireen e Kiraam ne Baaz Wajah Bayaan ki he,
> ALLAH TA’ALA ne Unke Zariye Unki Waaalida ke Baanjh-pan ko Zindagi Ataa Farmaayi,
> Aap Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Na-farmaani ke Iraade se Door Rakh kar Taaqat ki Zindagi se Sarfaraaz kiya kyuki Aap ko ALLAH TA’ALA ne Gunaaho ke Iraade se bhi Door Rakha,
> Deen ko Aap Alayhis Salaam ke Zariye Zinda Rakha Kyuki Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne Deen ke Qayaam ke liye hi to Aap ke liye Duaa ki thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-21, Safa-186,187)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-489, 490
Related-after this