Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko Beite ki Bashaarat par Ta’ajub huwa :-
Quraane Hakeem me he ki
“Bola Ay Meire RABB Meire Ladka Kaha se hoga Mujhe To Pahunch Gaya Budhapa Aur Meiri Aurat Baanjh, Farmaya ALLAH Yu hi Karta hai jo Chaahe, Arz ki Ay Meire RABB Meire liye Koi Nishaani Karde”
(Surah Aale Imraan, Aayat-40, 41)
Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko Jab Bashaarat di gayi Us Waqt Aap ki Umr 120 Saal Aur Aap Alayhis Salaam ki Zovja(Biwi) ki Umr 90 Saal thi, Aap Alayhis Salaam ne Beite ke liye Duaa bhi ki thi ALLAH TA’ALA ki Qudrato ka Mushaaida kar Chuke the, NABI ko ALLAH TA’ALA ki Qudrat me Kabhi koi Shak nahi ho Sakta Fir Is Sawaal ka Kya Matlab ho Sakta he Ay Meire RABB Ladka kaha se hoga…??
Is Sawaal ka Jawaab Allama Aalusi Rahmatullah Alay In Alfaaz me deite he
Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ka ye Sawaal ALLAH TA’ALA ki Qudrat ko Azeem Samajhte hue Aur Us par Batoure Ta’ajub tha Ye Insaani Fitrat ka Taqaaza he ki Jab Use Koi Badi Nishaani Haasil ho to wo Ta’ajub Karte hue Kehta he Aysa bhi ho Jaayega…? Insaani Souch se Buland Chiz ka Husul Yaqinan Muta’jib karta he,
Leave A Comment