> Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko bhi Shaheed kar Diya Gaya :-
Jab Yahyaa Alayhis Salaam ko Shaheed kar Diya Gaya to Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne Baadshaah ke Zulm wa Sitam se Bachne ke liye Shahar se Baahar Jaane ka Rukh Kiya, Baadshaah ne Usi Faahisha Aurat ke kehne par Aap Alayhis Salaam ko Pakadne ke liye Apne Sipaaahiyo ko Bheija, Aap Alayhis Salaam ne Apni Jaan Bachaane ke liye Darakht ke Tane me Chhup gaye Jo Andar se Khaali tha,
Zakariya Alayhis Salaam ko Darakht ke Andar se Khaali Tane me Jab Paya Gaya to Un Lougo ne Darakht ko Uper se Niche Aaare se Kaat Diya,
(ALLAHU AKBER…)
Ya’ni Is Tarah Zakariya Alayhis Salaam ke Jism Mubaarak ke 2 Tukde karke Aap Alayhis Salaam ko Shaheed kar Diya Gaya,
Khyaal rahe ki Jaan ki Hifaazat ka Wa’ada Sirf HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se RABB TA’ALA ne Farmaya
“Aur ALLAH TA’ALA Aap Ko Lougo se Bachaaye rakhega”
(Surah Al Maaida)
Aur Dusre Rasoolo se Jo Nusrat ka Wa’ada Farmaya Us se Muraad ye he ki Tum Itne Bade Lougo ki Mukhaalefat ke Baawajud Meire Ahekaam Un tak Pahoncha Sakoge, Tumhaare Dalaail ka Woh Koi Jawaab Nahi de Sakenge Aur Tumhaare Badle me Unke Kayi Aadmiyo ko Qatl karaa Dunga, Ambiya Alayhis Salaam ko Lougo se Bachaaye Rakhne ka Wa’ada Na Farmaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-496)
> Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Fazilat :-*
Quraan E Majeed me he ki
“Aur Jab Farishto ne kaha Ay Mariyam Beshak ALLAH ne Tujhe Chun liya Aur Khub Suthra Kiya Aur Aaj Saare Jahaan ki Aurato se Tujhe Pasand Kiya, Ay Mariyam Apne RABB ke Huzur Adab se Khadi ho Aur Uske liye Sajda kar Aur Ruku’a Walo ke Sath Ruku’a kar”
(Surah Aale Imraan, Aayat-42, 43)
Aayate Kareema me Malaika (Farishto) ka Zikr he Lekin Is se Muraad Sirf Jibrail Alayhis Salaam he,
Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki 3 Sifat Bayaan ki gayi he ‘Chun Leina’, ‘Paak Suthra Karna’ Aur ‘Jahaan ki Aurato par Pasand Karna’,
1) Pehli Sifat ka Matlab ye he ki Aap se Pehle Kisi Mu’annas(Female) ko Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Ijaazat nahi thi, Sirf Aap Ko hi Is Muqaddas ke liye Chun liya gaya tha, Aap ki Waalida(Maa) ne Aap Ko Doodh nahi Pilaya tha, Balki Paidaaish hote hi Beitul Muqaddas me Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ke Supurd(Hawaale) kar Diya Gaya tha, ALLAH TA’ALA ne Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Jannat ke Khaane Ataa kar ke Khushushiyat Ataa ki, ALLAH TA’ALA ne Aap Ko Apni Ibaadat ke liye Chun liya Aur Isi Wajah se Aap par Mukhtelaf(Alag Alag) Qism ki Maherbaaniya ki Aur Hidaayat se Nawaaza Aur Aap ki Hifaazat ka Zimma Khud Uthaya, Aap ke Rizq ka Ma’amla Bageir Zaahiri Asbaab ke Apne Qabza E Qudrat me liya, Aap Ko Hamesha Rizq ALLAH TA’ALA ki Taraf se Haasil Raha, Farishte ka Kalaam Aap Ko ALLAH TA’ALA ne Sahih Tariqe se Soon ne ki Toufiq Ataa Farmaayi Jo kisi Dusri Aurato ko Mayassar Na Hui,
2) Dusri Sifat Aap Ko ‘Paak Suthra’ Banaya, Yani Kufr wa Gunaah se Aap Ko Paak Rakha Aur Aap Ko Mardo ke Chhune se Paak Rakha Aur Aap Ko Heiz se Paak Rakha kyu ki Bayaan kiya jata he ki Aap Ko Heiz nahi Aata tha Aur Aap Ko Bure Af’aal Aur Buri Aadat se Paak Rakha Aur Aap Ko Yahudiyo ki Tohmat, Jhut se Bari Farmaya,
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-45)
3) Tisri Sifat Aaj Saare Jahaan ki Aurato par Tujhe Pasand Kiya, Is Masle me Ahle Ilm ke Mukhtelaf(Alag Alag) Aqwaal he
Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Jahaan ki Tamaam Aurato ki Sardaar he ya ki Aap Ko Hazrat Khadija, Hazrat Aaisha Aur Hazrat Fatima RadiAllaho Ta’ala Anha par Fazilat Haasil nahi,
Aala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alay ne Farmaya ki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Apne Zamaane me Tamaam Aurato par Afzaliyat Haasil thi, Har Zamaana me Har Aurat par Fazilat Haasil nahi,
Haashiya Jalaalein me he ki
Lekin In Douno ke Fazaail Kaseer he, Jo Ahaadish me Mazkur he, Wo Fazaail Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Haasil Nahi Is liye Hazrate Fatima Aur Hazrat Aaisha RadiAllaho Ta’ala Anha Ko Tamaam Jahaan ki Ibteda E Takhleeq se le kar Qayaamat Tak Aane Waali Aurato par Fazilat Haasil he Yahi Mohaqqieen e Ulma E Kiraam ka Mazhab he,
(Haashiya Jalaalein, Safa-51)
Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Namaaz Adaa karne ka Hukm Diya Taaki Aap Ko ALLAH TA’ALA Ka Qurb Haasil ho Aur Maraatib ki Bulandi Haasil ho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-496, 497, 498)
Leave A Comment